Jeremiah 25 · 38 verses

यिर्मयाह 25 Jeremiah 25 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 25.

1

योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के चौथे वर्ष में जो बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के राज्य का पहिला वर्ष था,

Yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke chauthe varsh mein jo babul ke raja nabookadnessar ke rajya ka pahila varsh tha,

2

यहोवा का जो वचन यिर्मयाह नबी के पास पहुंचा, और जिसे यिर्मयाह नबी ने सब यहूदियों और यरूशलेम के सब निवासियों कहा, वह यह है:

Yahowa ka jo vachan yirmayaah nabi ke paas pahuncha, aur jise yirmayaah nabi ne sab Yahudiyon aur Yerushalem ke sab nivasiyon kaha, vah yah hai:

3

आमोन के पुत्र यहूदा के राजा योशिय्याह के राज्य के तेरहवें वर्ष से ले कर आज के दिन तक अर्थात तेईस वर्ष से यहोवा का वचन मेरे पास पहुंचता आया है; और मैं उसे बड़े यत्न के साथ तुम से कहता आया हूँ; परन्तु तुम ने उसे नहीं सुना।

Aamon ke putra Yahuda ke raja yoshiyyaah ke rajya ke terahvein varsh se le kar aaj ke din tak arthaat teis varsh se Yahowa ka vachan mere paas pahunchta aaya hai; aur main use bade yatn ke saath tum se kahta aaya hoon; parantu tum ne use nahi suna.

4

और यद्यपि यहोवा तुम्हारे पास अपने सारे दासों अथवा भविष्यद्वक्ताओं को भी यह कहने के लिये बड़े यत्न से भेजता आया है

Aur yadyapi Yahowa tumhare paas apne sare dason athva bhavishyadwaktaon ko bhi yah kahne ke liye bade yatn se bhejta aaya hai

5

कि अपनी अपनी बुरी चाल और अपने अपने बुरे कामों से फिरो: तब जो देश यहोवा ने प्राचीनकाल में तुम्हारे पितरों को और तुम को भी सदा के लिये दिया है उस पर बसे रहने पाओगे; परन्तु तुम ने न तो सुना और न कान लगाया है।

Ki apni apni buri chaal aur apne apne bure kamon se phiro: tab jo desh Yahowa ne pracheenkaal mein tumhare pitron ko aur tum ko bhi sada ke liye diya hai us par base rahne paoge; parantu tum ne na to suna aur na kaan lagaya hai.

6

और दूसरे देवताओं के पीछे हो कर उनकी उपासना और उन को दण्डवत मत करो, और न अपनी बनाई हुई वस्तुओं के द्वारा मुझे रिस दिलाओ; तब मैं तुम्हारी कुछ हानि न करूंगा।

Aur doosre devtaon ke peechhe ho kar unki upasna aur un ko dandavat mat karo, aur na apni banai hui vastuon ke dwara mujhe ris dilao; tab main tumhari kuchh hani na karoonga.

7

यह सुनने पर भी तुम ने मेरी नहीं मानी, वरन अपनी बनाई हुई वस्तुओं के द्वारा मुझे रिस दिलाते आए हो जिस से तुम्हारी हानि ही हो सकती है, यहोवा की यही वाणी है।

Yah sunne par bhi tum ne meri nahi mani, varan apni banai hui vastuon ke dwara mujhe ris dilate aaye ho jis se tumhari hani hi ho sakti hai, Yahowa ki yahi vani hai.

8

इसलिये सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि तुम ने जो मेरे वचन नहीं माने,

Isliye senaon ka Yahowa yon kahta hai ki tum ne jo mere vachan nahi mane,

9

इसलिये सुनो, मैं उत्तर में रहने वाले सब कुलों को बुलाऊंगा, और अपने दास बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर को बुलवा भेजूंगा; और उन सभों को इस देश और इसके निवासियों के विरुद्ध और इसके आस पास की सब जातियों के विरुद्ध भी ले आऊंगा; और इन सब देशों का मैं सत्यानाश कर के उन्हें ऐसा उजाड़ दूंगा कि लोग इन्हें देख कर ताली बजाएंगे; वरन ये सदा उजड़े ही रहेंगे, यहोवा की यही वाणी है।

Isliye suno, main uttar mein rahne vale sab kulon ko bulaoonga, aur apne daas babul ke raja nabookadnessar ko bulva bhejoonga; aur un sabhon ko is desh aur iske nivasiyon ke viruddh aur iske aas paas ki sab jatiyon ke viruddh bhi le aaoonga; aur in sab deshon ka main satyanaash kar ke unhein aisa ujaad doonga ki log inhein dekh kar tali bajayenge; varan ye sada ujde hi rahenge, Yahowa ki yahi vani hai.

10

और मैं ऐसा करूंगा कि इन में न तो हर्ष और न आनन्द का शब्द सुनाईं पड़ेगा, और न दुल्हे वा दुल्हिन का, और न चक्की का भी शब्द सुनाई पड़ेगा और न इन में दिया जलेगा।

Aur main aisa karoonga ki in mein na to harsh aur na aanand ka shabd sunai padega, aur na dulhe va dulhin ka, aur na chakki ka bhi shabd sunai padega aur na in mein diya jalega.

11

सारी जातियों का यह देश उजाड़ ही उजाड़ होगा, और ये सब जातियां सत्तर वर्ष तक बाबुल के राजा के आधीन रहेंगी।

Sari jatiyon ka yah desh ujaad hi ujaad hoga, aur ye sab jatiyan sattar varsh tak babul ke raja ke aadheen rahengi.

12

जब सत्तर वर्ष बीत चुकें, तब मैं बाबुल के राजा और उस जाति के लोगों और कसदियों के देश के सब निवासियों अर्ध्म का दण्ड दूंगा, यहोवा की यह वाणी है; और उस देश को सदा के लिये उजाड़ दूंगा।

Jab sattar varsh beet chukein, tab main babul ke raja aur us jati ke logon aur kasdiyon ke desh ke sab nivasiyon ardhm ka dand doonga, Yahowa ki yah vani hai; aur us desh ko sada ke liye ujaad doonga.

13

मैं उस देश में अपने वे सब वचन पूरे करूंगा जो मैं ने उसके विषय में कहे हैं, और जितने वचन यिर्मयाह ने सारी जातियों के विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर के पुस्तक में लिखे हैं।

Main us desh mein apne ve sab vachan poore karoonga jo main ne uske vishay mein kahe hain, aur jitne vachan yirmayaah ne sari jatiyon ke viruddh bhavishyadwani kar ke pustak mein likhe hain.

14

क्योंकि बहुत सी जातियों के लोग और बड़े बड़े राजा भी उन से अपनी सेवा कराएंगे; और मैं उन को उनकी करनी का फल भुगताऊंगा।

Kyonki bahut si jatiyon ke log aur bade bade raja bhi un se apni seva karayenge; aur main un ko unki karni ka phal bhugtaoonga.

15

इस्राएल के परमेश्वर यहोवा ने मुझ से यों कहा, मेरे हाथ से इस जलजलाहट के दाखमधु का कटोरा ले कर उन सब जातियों को पिला दे जिनके पास मैं तुझे भेजता हूँ।

Israel ke Parmeshwar Yahowa ne mujh se yon kaha, mere haath se is jalajlahat ke dakhamdhu ka katora le kar un sab jatiyon ko pila de jinke paas main tujhe bhejta hoon.

16

वे उसे पीकर उस तलवार के कारण जो मैं उनके बीच में चलाऊंगा लड़खड़ाएंगे और बावले हो जाएंगे।

Ve use peekar us talvaar ke karan jo main unke beech mein chalaoonga ladakhdayenge aur bavle ho jayenge.

17

सो मैं ने यहोवा के हाथ से वह कटोरा ले कर उन सब जातियों को जिनके पास यहोवा ने मुझे भेजा, पिला दिया।

So main ne Yahowa ke haath se vah katora le kar un sab jatiyon ko jinke paas Yahowa ne mujhe bheja, pila diya.

18

अर्थात यरूशलेम और यहूदा के नगरों के निवासियों, और उनके राजाओं और हाकिमों को पिलाया, ताकि उनका देश उजाड़ हो जाए और लोग ताली बजाएं, और उसकी उपमा देकर शाप दिया करें; जैसा आजकल होता है।

Arthaat Yerushalem aur Yahuda ke nagron ke nivasiyon, aur unke rajaon aur hakimon ko pilaya, taki unka desh ujaad ho jaye aur log tali bajayen, aur uski upma dekar shaap diya karein; jaisa aajkal hota hai.

19

और मिस्र के राजा फिरौन और उसके कर्मचारियों, हाकिमों, और सारी प्रजा को;

Aur Misr ke raja Firaun aur uske karmachariyon, hakimon, aur sari praja ko;

20

और सब दोगले मनुष्यों की जातियों को और उस देश के सब राजाओं को; और पलिश्तियों के देश के सब राजाओं को और अश्कलोन अज्जा और एक्रोन के और अशदोद के बचे हुए लोगों को;

Aur sab dogle manushyon ki jatiyon ko aur us desh ke sab rajaon ko; aur palishtiyon ke desh ke sab rajaon ko aur ashkalon ajja aur ekron ke aur ashdod ke bache hue logon ko;

21

और एदोनियों, मोआबियों और अम्मोनियों को और सारे राजाओं को;

Aur edoniyon, moaabiyon aur ammoniyon ko aur sare rajaon ko;

22

और सीदोन के सब राजाओं को, और समुद्र पार के देशों के राजाओं को;

Aur seedon ke sab rajaon ko, aur samudra paar ke deshon ke rajaon ko;

23

फिर ददानियों, तेमाइयों और बूजियों को और जितने अपने गाल के बालों को मुंड़ा डालते हैं, उन सभों को भी;

Phir dadaniyon, temaiyon aur boojiyon ko aur jitne apne gaal ke balon ko munda dalte hain, un sabhon ko bhi;

24

और अरब के सब राजाओं को और जंगल में रहने वाले दोगले मनुष्यों के सब राजाओं को;

Aur arab ke sab rajaon ko aur jangal mein rahne vale dogle manushyon ke sab rajaon ko;

25

और जिम्री, एलाम और मादै के सब राजाओं को;

Aur jimri, elaam aur madai ke sab rajaon ko;

26

और क्या निकट क्या दूर के उत्तर दिशा के सब राजाओं को एक संग पिलाया, निदान धरती भर में रहने वाले जगत के राज्यों के सब लोगों को मैं ने पिलाया। और इन सब के पीछे शेषक के राजा को भी पीना पड़ेगा।

Aur kya nikat kya door ke uttar disha ke sab rajaon ko ek sang pilaya, nidaan dharti bhar mein rahne vale jagat ke rajyon ke sab logon ko main ne pilaya. Aur in sab ke peechhe sheshak ke raja ko bhi peena padega.

27

तब तू उन से यह कहना, सेनाओं का यहोवा जो इस्राएल का परमेश्वर है, यों कहता है, पीओ, और मतवाले हो और छाँट करो, गिर पड़ो और फिर कभी न उठो, क्योंकि यह उस तलवार के कारण से होगा जो मैं तुम्हारे बीच में चलाऊंगा।

Tab tu un se yah kahna, senaon ka Yahowa jo Israel ka Parmeshwar hai, yon kahta hai, peeo, aur matvale ho aur chhaant karo, gir pado aur phir kabhi na utho, kyonki yah us talvaar ke karan se hoga jo main tumhare beech mein chalaoonga.

28

और यदि वे तेरे हाथ से यह कटोरा ले कर पीने से इनकार करें तो उन से कहना, सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि तुम को निश्चय पीना पड़ेगा।

Aur yadi ve tere haath se yah katora le kar peene se inkaar karein to un se kahna, senaon ka Yahowa yon kahta hai ki tum ko nishchay peena padega.

29

देखो, जो नगर मेरा कहलाता है, मैं पहिले उसी में विपत्ति डालने लगूंगा, फिर क्या तुम लोग निर्दोष ठहर के बचोगे? तुम निर्दोष ठहर के न बचोगे, क्योंकि मैं पृथ्वी के सब रहने वालों पर तलवार चलाने पर हूँ, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी हे।

Dekho, jo nagar mera kahlata hai, main pahile usi mein vipatti dalne lagoonga, phir kya tum log nirdosh thahar ke bachoge? Tum nirdosh thahar ke na bachoge, kyonki main prithvi ke sab rahne valon par talvaar chalane par hoon, senaon ke Yahowa ki yahi vani he.

30

इतनी बातें भविष्यद्वाणी की रीति पर उन से कहकर यह भी कहना, यहोवा ऊपर से गरजेगा, और अपने उसी पवित्र धाम में से अपना शब्द सुनाएगा; वह अपनी चराई के स्थान के विरुद्ध जोर से गरजेगा; वह पृथ्वी के सारे निवासियों के विरुद्ध भी दाख लताड़ने वालों की नाईं ललकारेगा।

Itni batein bhavishyadwani ki reeti par un se kahkar yah bhi kahna, Yahowa oopar se garjega, aur apne usi pavitra dhaam mein se apna shabd sunayega; vah apni charai ke sthaan ke viruddh jor se garjega; vah prithvi ke sare nivasiyon ke viruddh bhi daakh latadne valon ki nai lalkarega.

31

पृथ्वी की छोर लों भी कोलाहल होगा, क्योंकि सब जातियों से यहोवा का मुक़द्दमा है; वह सब मनुष्यों से वादविवाद करेगा, और दुष्टों को तलवार के वश में कर देगा।

Prithvi ki chhor lon bhi kolahal hoga, kyonki sab jatiyon se Yahowa ka muqaddama hai; vah sab manushyon se vadvivaad karega, aur dushton ko talvaar ke vash mein kar dega.

32

सेनाओं का यहोवा यों कहता है, देखो, विपत्ति एक जाति से दूसरी जाति में फैलेगी, और बड़ी आंधी पृथ्वी की छोर से उठेगी!

Senaon ka Yahowa yon kahta hai, dekho, vipatti ek jati se doosri jati mein phailegi, aur badi aandhi prithvi ki chhor se uthegi!

33

उस समय यहोवा के मारे हुओं की लोथें पृथ्वी की एक छोर से दूसरी छोर तक पड़ी रहेंगी। उनके लिये कोई रोने-पीटने वाला न रहेगा, और उनकी लोथें न तो बटोरी जाएंगी और न कबरों में रखी जाएंगी; वे भूमि के ऊपर खाद की नाईं पड़ी रहेंगी।

Us samay Yahowa ke mare huon ki lothein prithvi ki ek chhor se doosri chhor tak padi rahengi. Unke liye koi rone-peetne vala na rahega, aur unki lothein na to batori jayengi aur na kabron mein rakhi jayengi; ve bhoomi ke oopar khaad ki nai padi rahengi.

34

हे चरवाहो, हाय हाय करो और चिल्लाओ, हे बलवन्त मेढ़ो और बकरो, राख में लोटो, क्योंकि तुम्हारे वध होने के दिन आ पहुंचे हैं, और मैं मनभाऊ बरतन की नाईं तुम्हारा सत्यानाश करूंगा।

He charvaho, haay haay karo aur chillao, he balvant medho aur bakro, raakh mein loto, kyonki tumhare vadh hone ke din aa pahunche hain, aur main manbhau bartan ki nai tumhara satyanaash karoonga.

35

उस समय न तो चरवाहों के भागने के लिये कोई स्थान रहेगा, और न बलवन्त मेढ़े और बकरे भागने पाएंगे।

Us samay na to charvahon ke bhagne ke liye koi sthaan rahega, aur na balvant medhe aur bakre bhagne payenge.

36

चरवाहों की चिल्लाहट और बलवन्त मेढ़ों और बकरों के मिमियाने का शब्द सुनाईं पड़ता है! क्योंकि यहोवा उनकी चराई को नाश करेगा,

Charvahon ki chillahat aur balvant medhon aur bakron ke mimiyane ka shabd sunai padta hai! Kyonki Yahowa unki charai ko naash karega,

37

और यहोवा के क्रोध भड़कने के कारण शान्ति के स्थान नष्ट हो जाएंगे, जिन वासस्थानों में अब शान्ति है, वे नष्ट हो जाएंगे।

Aur Yahowa ke krodh bhadakne ke karan shanti ke sthaan nasht ho jayenge, jin vasasthanon mein ab shanti hai, ve nasht ho jayenge.

38

युवा सिंह की नाईं वह अपने ठौर को छोड़ कर निकलता है, क्योंकि अंधेर करनेहारी तलवार और उसके भड़के हुए कोप के कारण उनका देश उजाड़ हो गया है।

Yuva sinh ki nai vah apne thaur ko chhod kar nikalta hai, kyonki andher karnehari talvaar aur uske bhadke hue kop ke karan unka desh ujaad ho gaya hai.