Jeremiah 23 · 40 verses

यिर्मयाह 23 Jeremiah 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 23.

1

उन चरवाहों पर हाय जो मेरी चराई की भेड़-बकरियों को तितर-बितर करते ओर नाश करते हैं, यहोवा यह कहता है।

Un charvahon par haay jo meri charai ki bhed-bakriyon ko titar-bitar karte or naash karte hain, Yahowa yah kahta hai.

2

इसलिये इस्राएल का परमेश्वर यहोवा अपनी प्रजा के चरवाहों से यों कहता है, तुम ने मेरी भेड़-बकरियों की सुधि नहीं ली, वरन उन को तितर-बितर किया और बरबस निकाल दिया है, इस कारण यहोवा की यह वाणी है कि मैं तुम्हारे बुरे कामों का दण्ड दूंगा।

Isliye Israel ka Parmeshwar Yahowa apni praja ke charvahon se yon kahta hai, tum ne meri bhed-bakriyon ki sudhi nahi li, varan un ko titar-bitar kiya aur barbas nikaal diya hai, is karan Yahowa ki yah vani hai ki main tumhare bure kamon ka dand doonga.

3

तब मेरी भेड़-बकरियां जो बची हैं, उन को मैं उन सब देशों में से जिन में मैं ने उन्हें बरबस भेज दिया है, स्वयं ही उन्हें लौटा लाकर उन्हीं की भेड़शाला में इकट्ठा करूंगा, और वे फिर फूलें-फलेंगी।

Tab meri bhed-bakriyan jo bachi hain, un ko main un sab deshon mein se jin mein main ne unhein barbas bhej diya hai, swayan hi unhein lauta lakar unhi ki bhedshala mein ikattha karoonga, aur ve phir phoolein-phalengi.

4

मैं उनके लिये ऐसे चरवाहे नियुक्त करूंगा जो उन्हें चराएंगे; और तब वे न तो फिर डरेंगी, न विस्मित होंगी और न उन में से कोई खो जाएंगी, यहोवा की यह वाणी है।

Main unke liye aise charvahe niyukt karoonga jo unhein charayenge; aur tab ve na to phir darengi, na vismit hongi aur na un mein se koi kho jayengi, Yahowa ki yah vani hai.

5

यहोवा की यह भी वाणी है, देख ऐसे दिन आते हैं जब मैं दाऊद के कुल में एक धर्मी अंकुर उगाऊंगा, और वह राजा बनकर बुद्धि से राज्य करेगा, और अपने देश में न्याय और धर्म से प्रभुता करेगा।

Yahowa ki yah bhi vani hai, dekh aise din aate hain jab main Daud ke kul mein ek dharmi ankur ugaoonga, aur vah raja bankar buddhi se rajya karega, aur apne desh mein nyaay aur dharm se prabhuta karega.

6

उसके दिनों में यहूदी लोग बचे रहेंगे, और इस्राएली लोग निडर बसे रहेंगे: और यहोवा उसका नाम यहोवा “हमारी धार्मिकता” रखेगा।

Uske dinon mein Yahudi log bache rahenge, aur Israeli log nidar base rahenge: aur Yahowa uska naam Yahowa “hamari dharmikta” rakhega.

7

सो देख, यहोवा की यह वाणी है कि ऐसे दिन आएंगे जिन में लोग फिर न कहेंगे, कि “यहोवा जो हम इस्राएलियों को मिस्र देश से छुड़ा ले आया, उसके जीवन की सौगन्ध,”

So dekh, Yahowa ki yah vani hai ki aise din aayenge jin mein log phir na kahenge, ki “Yahowa jo ham Israeliyon ko Misr desh se chhuda le aaya, uske jeevan ki saugandh,”

8

परन्तु वे यह कहेंगे, “यहोवा जो इस्राएल के घराने को उत्तर देश से और उन सब देशों से भी जहां उसने हमें बरबस निकाल दिया, छुड़ा ले आया, उसके जीवन की सौगन्ध।” तब वे अपने ही देश में बसे रहेंगे।

Parantu ve yah kahenge, “Yahowa jo Israel ke gharane ko uttar desh se aur un sab deshon se bhi jahan usne hamein barbas nikaal diya, chhuda le aaya, uske jeevan ki saugandh.” tab ve apne hi desh mein base rahenge.

9

भविष्यद्वक्ताओं के विषय मेरा हृदय भीतर ही भीतर फटा जाता है, मेरी सब हड्डियां थरथराती है; यहोवा ने जो पवित्र वचन कहे हैं, उन्हें सुन कर, मैं ऐसे मनुष्य के समान हो गया हूँ जो दाखमधु के नशे में चूर हो गया हो,

Bhavishyadwaktaon ke vishay mera hriday bheetar hi bheetar phata jata hai, meri sab haddiyan tharathrati hai; Yahowa ne jo pavitra vachan kahe hain, unhein sun kar, main aise manushya ke samaan ho gaya hoon jo dakhamdhu ke nashe mein choor ho gaya ho,

10

क्योंकि यह देश व्यभिचारियों से भरा है; इस पर ऐसा शाप पड़ा है कि यह विलाप कर रहा है; वन की चराइयां भी सूख गई। लोग बड़ी दौड़ तो दौड़ते हैं, परन्तु बुराई ही की ओर; और वीरता तो करते हैं, परन्तु अन्याय ही के साथ।

Kyonki yah desh vyabhichariyon se bhara hai; is par aisa shaap pada hai ki yah vilaap kar raha hai; van ki charaiyan bhi sookh gai. Log badi daud to daudte hain, parantu burai hi ki or; aur veerta to karte hain, parantu anyaay hi ke saath.

11

क्योंकि भविष्यद्वक्ता और याजक दोनों भक्तिहीन हो गए हैं; अपने भवन में भी मैं ने उनकी बुराई पाई है, यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki bhavishyadwakta aur yajak donon bhaktiheen ho gaye hain; apne bhavan mein bhi main ne unki burai pai hai, Yahowa ki yahi vani hai.

12

इस कारण उनका मार्ग अन्धेरा और फिसलाहा होगा जिस में वे ढकेल कर गिरा दिए जाएंगे; क्योंकि, यहोवा की यह वाणी है कि मैं उनके दण्ड के वर्ष में उन पर विपत्ति डालूंगा!

Is karan unka maarg andhera aur phislaha hoga jis mein ve dhakel kar gira diye jayenge; kyonki, Yahowa ki yah vani hai ki main unke dand ke varsh mein un par vipatti daloonga!

13

शोमरोन के भविष्यद्वक्ताओं में मैं ने यह मूर्खता देखी थी कि वे बाल के नाम से भविष्यद्वाणी करते और मेरी प्रजा इस्राएल को भटका देते थे।

Shomron ke bhavishyadwaktaon mein main ne yah moorkhata dekhi thi ki ve baal ke naam se bhavishyadwani karte aur meri praja Israel ko bhatka dete the.

14

परन्तु यरूशलेम के नबियों में मैं ने ऐसे काम देखे हैं, जिन से रोंगटे खड़े हो जाते हैं, अर्थात व्यभिचार और पाखष्ड; वे कुकर्मियों को ऐसा हियाव बन्धाते हैं कि वे अपनी अपनी बुराई से पश्चात्ताप भी नहीं करते; सब निवासी मेरी दृष्टि में सदोमियों और अमोरियों के समान हो गए हैं।

Parantu Yerushalem ke nabiyon mein main ne aise kaam dekhe hain, jin se rongte khade ho jate hain, arthaat vyabhichaar aur pakhashd; ve kukarmiyon ko aisa hiyaav bandhate hain ki ve apni apni burai se pashchattaap bhi nahi karte; sab nivasi meri drishti mein sadomiyon aur amoriyon ke samaan ho gaye hain.

15

इस कारण सेनाओं का यहोवा यरूशलेम के भविष्यद्वक्ताओं के विषय में यों कहता है, देख, मैं उन को कड़ुवी वस्तुएं खिलाऊंगा और विष पिलाऊंगा; क्योंकि उनके कारण सारे देश में भक्तिहीनता फैल गई है।

Is karan senaon ka Yahowa Yerushalem ke bhavishyadwaktaon ke vishay mein yon kahta hai, dekh, main un ko kaduvi vastuein khilaoonga aur vish pilaoonga; kyonki unke karan sare desh mein bhaktiheenta phail gai hai.

16

सेनाओं के यहोवा ने तुम से यों कहा है, इन भविष्यद्वक्ताओं की बातों की ओर जो तुम से भविष्यद्वाणी करते हैं कान मत लगाओ, क्योंकि ये तुम को व्यर्थ बातें सिखाते हैं; ये दर्शन का दावा कर के यहोवा के मुख की नहीं, अपने ही मन की बातें कहते हैं।

Senaon ke Yahowa ne tum se yon kaha hai, in bhavishyadwaktaon ki baton ki or jo tum se bhavishyadwani karte hain kaan mat lagao, kyonki ye tum ko vyarth batein sikhate hain; ye darshan ka dava kar ke Yahowa ke mukh ki nahi, apne hi man ki batein kahte hain.

17

जो लोग मेरा तिरस्कार करते हैं उन में ये भविष्यद्वक्ता सदा कहते रहते हैं कि यहोवा कहता है, तुम्हारा कल्याण होगा; और जितने लोग अपने हठ ही पर चलते हैं, उन से ये कहते हैं, तुम पर कोई विपत्ति न पड़ेगी।

Jo log mera tiraskaar karte hain un mein ye bhavishyadwakta sada kahte rahte hain ki Yahowa kahta hai, tumhara kalyaan hoga; aur jitne log apne hath hi par chalte hain, un se ye kahte hain, tum par koi vipatti na padegi.

18

भला कौन यहोवा की गुप्त सभा में खड़ा हो कर उसका वचन सुनने और समझने पाया है?

Bhala kaun Yahowa ki gupt sabha mein khada ho kar uska vachan sunne aur samajhne paya hai?

19

वा किस ने ध्यान देकर मेरा वचन सुना है? देखो, यहोवा की जलजलाहट का प्रचण्ड बवण्डर और आंधी चलने लगी है; और उसका झोंका दुष्टों के सिर पर जोर से लगेगा।

Va kis ne dhyaan dekar mera vachan suna hai? Dekho, Yahowa ki jalajlahat ka prachand bavandar aur aandhi chalne lagi hai; aur uska jhonka dushton ke sir par jor se lagega.

20

जब तक यहोवा अपना काम और अपनी युक्तियों को पूरी न कर चुके, तब तक उसका क्रोध शान्त न होगा। अन्त के दिनों में तुम इस बात को भली भांति समझ सकोगे।

Jab tak Yahowa apna kaam aur apni yuktiyon ko poori na kar chuke, tab tak uska krodh shaant na hoga. Ant ke dinon mein tum is baat ko bhali bhanti samajh sakoge.

21

ये भविष्यद्वक्ता बिना मेरे भेजे दौड़ जाते और बिना मेरे कुछ कहे भविष्यद्वाणी करने लगते हैं।

Ye bhavishyadwakta bina mere bheje daud jate aur bina mere kuchh kahe bhavishyadwani karne lagte hain.

22

यदि ये मेरी शिक्षा में स्थिर रहते, तो मेरी प्रजा के लोगों को मेरे वचन सुनाते; और वे अपनी बुरी चाल और कामों से फिर जाते।

Yadi ye meri shiksha mein sthir rahte, to meri praja ke logon ko mere vachan sunate; aur ve apni buri chaal aur kamon se phir jate.

23

यहोवा की यह वाणी है, क्या मैं ऐसा परमेश्वर हूँ, जो दूर नहीं, निकट ही रहता हूँ?

Yahowa ki yah vani hai, kya main aisa Parmeshwar hoon, jo door nahi, nikat hi rahta hoon?

24

फिर यहोवा की यह वाणी है, क्या कोई ऐसे गुप्त स्थानों में छिप सकता है, कि मैं उसे न देख सकूं? क्या स्वर्ग और पृथ्वी दोनों मुझ से परिपूर्ण नहीं हैं?

Phir Yahowa ki yah vani hai, kya koi aise gupt sthanon mein chhip sakta hai, ki main use na dekh sakun? Kya swarg aur prithvi donon mujh se paripoorn nahi hain?

25

मैं ने इन भविष्यद्वक्ताओं की बातें भी सुनीं हैं जो मेरे नाम से यह कह कर झूठी भविष्यद्वाणी करते हैं कि मैं ने स्वप्न देखा है, स्वप्न!

Main ne in bhavishyadwaktaon ki batein bhi suni hain jo mere naam se yah kah kar jhoothi bhavishyadwani karte hain ki main ne swapn dekha hai, swapn!

26

जो भविष्यद्वक्ता झूठमूठ भविष्यद्वाणी करते और अपने मन ही के छल के भविष्यद्वक्ता हैं, यह बात कब तक उनके मन में समाई रहेगी?

Jo bhavishyadwakta jhoothmooth bhavishyadwani karte aur apne man hi ke chhal ke bhavishyadwakta hain, yah baat kab tak unke man mein samai rahegi?

27

जैसे मेरी प्रजा के लोगों के पुरखा मेरा नाम भूल कर बाल का नाम लेने लगे थे, वैसे ही अब ये भविष्यद्वक्ता उन्हें अपने अपने स्वप्न बता बताकर मेरा नाम भुलाना चाहते हैं।

Jaise meri praja ke logon ke purkha mera naam bhool kar baal ka naam lene lage the, vaise hi ab ye bhavishyadwakta unhein apne apne swapn bata batakar mera naam bhulana chahte hain.

28

यदि किसी भविष्यद्वक्ता ने स्वप्न देखा हो, तो वह उसे बताए, परन्तु जिस किसी ने मेरा वचन सुना हो तो वह मेरा वचन सच्चाई से सुनाए। यहोवा की यह वाणी है, कहां भूसा और कहां गेहूं?

Yadi kisi bhavishyadwakta ne swapn dekha ho, to vah use bataye, parantu jis kisi ne mera vachan suna ho to vah mera vachan sachchai se sunaye. Yahowa ki yah vani hai, kahan bhoosa aur kahan gehun?

29

यहोवा की यह भी वाणी है कि क्या मेरा वचन आग सा नहीं है? फिर क्या वह ऐसा हथौड़ा नहीं जो पत्थर को फोड़ डाले?

Yahowa ki yah bhi vani hai ki kya mera vachan aag sa nahi hai? Phir kya vah aisa hathauda nahi jo patthar ko phod dale?

30

यहोवा की यह वाणी है, देखो, जो भविष्यद्वक्ता मेरे वचन औरों से चुरा चुराकर बोलते हैं, मैं उनके विरुद्ध हूँ।

Yahowa ki yah vani hai, dekho, jo bhavishyadwakta mere vachan auron se chura churakar bolte hain, main unke viruddh hoon.

31

फिर यहोवा की यह भी वाणी है कि जो भविष्यद्वक्ता “उसकी यह वाणी है”, ऐसी झूठी वाणी कहकर अपनी अपनी जीभ डुलाते हैं, मैं उनके भी विरुद्ध हूँ।

Phir Yahowa ki yah bhi vani hai ki jo bhavishyadwakta “uski yah vani hai”, aisi jhoothi vani kahkar apni apni jeebh dulate hain, main unke bhi viruddh hoon.

32

यहोवा की यह भी वाणी है कि जो बिना मेरे भेजे वा बिना मेरी आज्ञा पाए स्वप्न देखने का झूठा दावा कर के भविष्यद्वाणी करते हैं, और उसका वर्णन कर के मेरी प्रजा को झूठे घमण्ड में आकर भरमाते हैं, उनके भी मैं विरुद्ध हूँ; और उन से मेरी प्रजा के लोगों का कुछ लाभ न होगा।

Yahowa ki yah bhi vani hai ki jo bina mere bheje va bina meri aagya paye swapn dekhne ka jhootha dava kar ke bhavishyadwani karte hain, aur uska varnan kar ke meri praja ko jhoothe ghamand mein aakar bharmate hain, unke bhi main viruddh hoon; aur un se meri praja ke logon ka kuchh laabh na hoga.

33

यदि साधारण लोगों में से कोई जन वा कोई भविष्यद्वक्ता वा याजक तुम से पूछे कि यहोवा ने क्या प्रभावशाली वचन कहा है, तो उस से कहना, क्या प्रभावशाली वचन? यहोवा की यह वाणी है, मैं तुम को त्याग दूंगा।

Yadi sadharan logon mein se koi jan va koi bhavishyadwakta va yajak tum se poochhe ki Yahowa ne kya prabhavshali vachan kaha hai, to us se kahna, kya prabhavshali vachan? Yahowa ki yah vani hai, main tum ko tyaag doonga.

34

और जो भविष्यद्वक्ता वा याजक वा साधारण मनुष्य “यहोवा का कहा हुआ भारी वचन” ऐसा कहता रहे, उसको घराने समेत मैं दण्ड दूंगा।

Aur jo bhavishyadwakta va yajak va sadharan manushya “Yahowa ka kaha huaa bhari vachan” aisa kahta rahe, usko gharane samet main dand doonga.

35

तुम लोग एक दूसरे से और अपने अपने भाई से यों पूछना, यहोवा ने क्या उत्तर दिया?

Tum log ek doosre se aur apne apne bhai se yon poochhna, Yahowa ne kya uttar diya?

36

वा, यहोवा ने क्या कहा है? “यहोवा का कहा हुआ भारी वचन”, इस प्रकार तुम भविष्य में न कहना नहीं तो तुम्हारा ऐसा कहना ही दण्ड का कारण हो जाएगा; क्योंकि हमारा परमेश्वर सेनाओं का यहोवा जो जीवित परमेश्वर है, तुम लोगों ने उसके वचन बिगाड़ दिए हैं।

Va, Yahowa ne kya kaha hai? “Yahowa ka kaha huaa bhari vachan”, is prakaar tum bhavishya mein na kahna nahi to tumhara aisa kahna hi dand ka karan ho jayega; kyonki hamara Parmeshwar senaon ka Yahowa jo jeevit Parmeshwar hai, tum logon ne uske vachan bigaad diye hain.

37

तू भविष्यद्वक्ता से यों पूछ कि यहोवा ने तुझे क्या उत्तर दिया?

Tu bhavishyadwakta se yon poochh ki Yahowa ne tujhe kya uttar diya?

38

वा, यहोवा ने क्या कहा है? यदि तुम “यहोवा का कहा हुआ प्रभावशाली वचन”: इसी प्रकार कहोगे, तो यहोवा का यह वचन सुनो, मैं ने तो तुम्हारे पास कहला भेजा है, भविष्य में ऐसा न कहना कि “यहोवा का कहा हुआ प्रभावशाली वचन।” परन्तु तुम यह कहते ही रहते हो, कि “यहोवा का कहा हुआ प्रभावशाली वचन।”

Va, Yahowa ne kya kaha hai? Yadi tum “Yahowa ka kaha huaa prabhavshali vachan”: isi prakaar kahoge, to Yahowa ka yah vachan suno, main ne to tumhare paas kahla bheja hai, bhavishya mein aisa na kahna ki “Yahowa ka kaha huaa prabhavshali vachan.” parantu tum yah kahte hi rahte ho, ki “Yahowa ka kaha huaa prabhavshali vachan.”

39

इस कारण देखो, मैं तुम को बिलकुल भूल जाऊंगा और तुम को और इस नगर को जिसे मैं ने तुम्हारे पुरखाओं को, और तुम को भी दिया है,

Is karan dekho, main tum ko bilkul bhool jaoonga aur tum ko aur is nagar ko jise main ne tumhare purkhaon ko, aur tum ko bhi diya hai,

40

त्याग कर अपने साम्हने से दूर कर दूंगा। और मैं ऐसा करूंगा कि तुम्हारी नामधराई और अनादर सदा बना रहेगा; और कभी भूला न जाएगा।

Tyaag kar apne samhane se door kar doonga. Aur main aisa karoonga ki tumhari namadhrai aur anadar sada bana rahega; aur kabhi bhoola na jayega.