Jeremiah 22 · 30 verses

यिर्मयाह 22 Jeremiah 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 22.

1

यहोवा ने यों कहा, यहूदा के राजा के भवन में उतर कर यह वचन कह,

Yahowa ne yon kaha, Yahuda ke raja ke bhavan mein utar kar yah vachan kah,

2

हे दाऊद की गद्दी पर विराजमान यहूदा के राजा, तू अपने कर्मचारियों और अपनी प्रजा के लोगों समेत जो इन फाटकों से आया करते हैं, यहोवा का वचन सुन।

He Daud ki gaddi par virajmaan Yahuda ke raja, tu apne karmachariyon aur apni praja ke logon samet jo in phatkon se aaya karte hain, Yahowa ka vachan sun.

3

यहोवा यों कहता है, न्याय और धर्म के काम करो; और लुटे हुए को अन्धेर करने वाले के हाथ से छुड़ाओ। और परदेशी, अनाथ और विधवा पर अन्धेर व उपद्रव मत करो, न इस स्थान में निर्दोषों का लोहू बहाओ।

Yahowa yon kahta hai, nyaay aur dharm ke kaam karo; aur lute hue ko andher karne vale ke haath se chhudao. Aur pardeshi, anaath aur vidhva par andher va upadrav mat karo, na is sthaan mein nirdoshon ka lohu bahao.

4

देखो, यदि तुम ऐसा करोगे, तो इस भवन के फाटकों से हो कर दाऊद की गद्दी पर विराजमान राजा रथों और घोड़ों पर चढ़े हुए अपने अपने कर्मचारियों और प्रजा समेत प्रवेश किया करेंगे।

Dekho, yadi tum aisa karoge, to is bhavan ke phatkon se ho kar Daud ki gaddi par virajmaan raja rathon aur ghodon par chadhe hue apne apne karmachariyon aur praja samet pravesh kiya karenge.

5

परन्तु, यदि तुम इन बातों को न मानो तो, मैं अपनी ही सौगन्ध खाकर कहता हूँ, यहोवा की यह वाणी है, कि यह भवन उजाड़ हो जाएगा।

Parantu, yadi tum in baton ko na mano to, main apni hi saugandh khakar kahta hoon, Yahowa ki yah vani hai, ki yah bhavan ujaad ho jayega.

6

क्योंकि यहोवा यहूदा के राजा के इस भवन के विषय में यों कहता है, तू मुझे गिलाद देश सा और लबानोन के शिखर सा दिखाई पड़ता है, परन्तु निश्चय मैं तुझे मरुस्थल व एक निर्जन नगर बनाऊंगा।

Kyonki Yahowa Yahuda ke raja ke is bhavan ke vishay mein yon kahta hai, tu mujhe gilaad desh sa aur labanon ke shikhar sa dikhai padta hai, parantu nishchay main tujhe marusthal va ek nirjan nagar banaoonga.

7

मैं नाश करने वालों को हथियार देकर तेरे विरुद्ध भेजूंगा; वे तेरे सुन्दर देवदारों को काट कर आग में झोंक देंगे।

Main naash karne valon ko hathiyaar dekar tere viruddh bhejoonga; ve tere sundar devdaron ko kaat kar aag mein jhonk denge.

8

और जाति जाति के लोग जब इस नगर के पास से निकलेंगे तब एक दूसरे से पूछेंगे, यहोवा ने इस बड़े नगर की ऐसी दशा क्यों की है?

Aur jati jati ke log jab is nagar ke paas se niklenge tab ek doosre se poochhenge, Yahowa ne is bade nagar ki aisi dasha kyon ki hai?

9

तब लोग कहेंगे, इसका कारण यह हे कि उन्होंने अपने परमेश्वर यहोवा की वाचा को तोड़ कर दूसरे देवताओं को दण्डवत की और उनकी उपासना भी की।

Tab log kahenge, iska karan yah he ki unhonne apne Parmeshwar Yahowa ki vacha ko tod kar doosre devtaon ko dandavat ki aur unki upasna bhi ki.

10

मरे हुओं के लिये मत रोओ, उसके लिये विलाप मत करो। उसी के लिये फूट फूटकर रोओ जो परदेश चला गया है, क्योंकि वह लौट कर अपनी जन्मभूमि को फिर कभी देखने न पाएगा।

Mare huon ke liye mat roo, uske liye vilaap mat karo. Usi ke liye phoot phootkar roo jo pardesh chala gaya hai, kyonki vah laut kar apni janmabhoomi ko phir kabhi dekhne na payega.

11

क्योंकि यहूदा के राजा योशिय्याह का पुत्र शल्लूम, जो अपने पिता योशिय्याह के स्थान पर राजा था और इस स्थान से निकल गया, उसके विषय में यहोवा यों कहता है कि वह फिर यहां लौट कर न आने पाएगा।

Kyonki Yahuda ke raja yoshiyyaah ka putra shalloom, jo apne pita yoshiyyaah ke sthaan par raja tha aur is sthaan se nikal gaya, uske vishay mein Yahowa yon kahta hai ki vah phir yahan laut kar na aane payega.

12

वह जिस स्थान में बंधुआ हो कर गया है उसी में मर जाएगा, और इस देश को फिर कभी देखने न पाएगा।

Vah jis sthaan mein bandhuaa ho kar gaya hai usi mein mar jayega, aur is desh ko phir kabhi dekhne na payega.

13

उस पर हाय जो अपने घर को अधर्म से और अपनी उपरौठी कोठरियों को अन्याय से बनवाता है; जो अपने पड़ोसी से बेगारी में काम कराता है और उसकी मज़दूरी नहीं देता।

Us par haay jo apne ghar ko adharm se aur apni uprauthi kothriyon ko anyaay se banvata hai; jo apne padosi se begari mein kaam karata hai aur uski mazdoori nahi deta.

14

वह कहता है, मैं अपने लिये लम्बा-चौड़ा घर और हवादार कोठा बना लूंगा, और वह खिड़कियां बना कर उन्हें देवदार की लकड़ी से पाट लेता है, और सिन्दूर से रंग देता है।

Vah kahta hai, main apne liye lamba-chauda ghar aur havadaar kotha bana loonga, aur vah khidkiyan bana kar unhein devdaar ki lakdi se paat leta hai, aur sindoor se rang deta hai.

15

तू जो देवदार की लकड़ी का अभिलाषी है, क्या इस रीति से तेरा राज्य स्थिर रहेगा। देख, तेरा पिता न्याय और धर्म के काम करता था, और वह खाता पीता और सुख से भी रहता था!

Tu jo devdaar ki lakdi ka abhilashi hai, kya is reeti se tera rajya sthir rahega. Dekh, tera pita nyaay aur dharm ke kaam karta tha, aur vah khata peeta aur sukh se bhi rahta tha!

16

वह इस कारण सुख से रहता था क्योंकि वह दीन और दरिद्र लोगों का न्याय चुकाता था। क्या यही मेरा ज्ञान रखना नहीं है? यहोवा की यह वाणी है।

Vah is karan sukh se rahta tha kyonki vah deen aur daridra logon ka nyaay chukata tha. Kya yahi mera gyaan rakhna nahi hai? Yahowa ki yah vani hai.

17

परन्तु तू केवल अपना ही लाभ देखता है, और निर्दोषों की हत्या करने और अन्धेर और उपद्रव करने में अपना मन और दृष्टि लगाता है।

Parantu tu keval apna hi laabh dekhta hai, aur nirdoshon ki hatya karne aur andher aur upadrav karne mein apna man aur drishti lagata hai.

18

इसलिये योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के विषय में यहोवा यह कहता है, कि जैसे लोग इस रीति से कह कर रोते हैं, हाय मेरे भाई, हाय मेरी बहिन! इस प्रकार कोई हाय मेरे प्रभु वा हाय तेरा वैभव कह कर उसके लिये विलाप न करेगा।

Isliye yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke vishay mein Yahowa yah kahta hai, ki jaise log is reeti se kah kar rote hain, haay mere bhai, haay meri bahin! Is prakaar koi haay mere Prabhu va haay tera vaibhav kah kar uske liye vilaap na karega.

19

वरन उसको गदहे की नाईं मिट्टी दी जाएगी, वह घसीट कर यरूशलेम के फाटकों के बाहर फेंक दिया जाएगा।

Varan usko gadhe ki nai mitti di jayegi, vah ghaseet kar Yerushalem ke phatkon ke bahar phenk diya jayega.

20

लबानोन पर चढ़कर हाय हाय कर, तब बाशान जा कर ऊंचे स्वर से चिल्ला; फिर अबारीम पहाड़ पर जा कर हाय-हाय कर, क्योंकि तेरे सब मित्र नाश हो गए हैं।

Labanon par chadhkar haay haay kar, tab bashaan ja kar oonche swar se chilla; phir abareem pahaad par ja kar haay-haay kar, kyonki tere sab mitra naash ho gaye hain.

21

तेरे सुख के समय मैं ने तुझ को चिताया था, परन्तु तू ने कहा, मैं तेरी न सुनूंगी। युवावस्था ही से तेरी चाल ऐसी है कि तू मेरी बात नहीं सुनती।

Tere sukh ke samay main ne tujh ko chitaya tha, parantu tu ne kaha, main teri na sunoongi. Yuvavastha hi se teri chaal aisi hai ki tu meri baat nahi sunti.

22

तेरे सब चरवाहे वायु से उड़ाए जाएंगे, और तेरे मित्र बंधुआई में चले जाएंगे; निश्चय तू उस समय अपनी सारी बुराइयों के कारण लज्जित होगी और तेरा मुंह काला हो जाएगा।

Tere sab charvahe vayu se udaye jayenge, aur tere mitra bandhuaai mein chale jayenge; nishchay tu us samay apni sari buraiyon ke karan lajjit hogi aur tera munh kala ho jayega.

23

हे लबानोन की रहने वाली, हे देवदार में अपना घोंसला बनाने वालो, जब तुझ को जच्चा की सी पीड़ाएं उठें तब तू व्याकुल हो जाएगी!

He labanon ki rahne vali, he devdaar mein apna ghonsla banane valo, jab tujh ko jachcha ki si peedayen uthein tab tu vyakul ho jayegi!

24

यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की सौगन्ध, चाहे यहोयाकीम का पुत्र यहूदा का राजा कोन्याह, मेरे दाहिने हाथ की अंगूठी भी होता, तोभी मैं उसे उतार फेंकता।

Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki saugandh, chahe yahoyakeem ka putra Yahuda ka raja konyaah, mere dahine haath ki angoothi bhi hota, tobhi main use utaar phenkta.

25

मैं तुझे तेरे प्राण के खोजियों के हाथ, और जिन से तू डरता है उनके अर्थात बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर और कसदियों के हाथ में कर दूंगा।

Main tujhe tere praan ke khojiyon ke haath, aur jin se tu darta hai unke arthaat babul ke raja nabookadnessar aur kasdiyon ke haath mein kar doonga.

26

मैं तुझे तेरी जननी समेत एक पराए देश में जो तुम्हारी जन्मभूमि नहीं है फेंक दूंगा, और तुम वहीं मर जाओगे।

Main tujhe teri janni samet ek paraye desh mein jo tumhari janmabhoomi nahi hai phenk doonga, aur tum vahi mar jaoge.

27

परन्तु जिस देश में वे लौटने की बड़ी लालसा करते हैं, वहां कभी लौटने न पाएंगे।

Parantu jis desh mein ve lautne ki badi lalsa karte hain, vahan kabhi lautne na payenge.

28

क्या, यह पुरुष कोन्याह तुच्छ और टूटा हुआ बर्तन है? क्या यह निकम्मा बर्तन है? फिर वह वंश समेत अनजाने देश में क्यों निकाल कर फेंक दिया जाएगा?

Kya, yah purush konyaah tuchchh aur toota huaa bartan hai? Kya yah nikamma bartan hai? Phir vah vansh samet anjane desh mein kyon nikaal kar phenk diya jayega?

29

हे पृथ्वी, पृथ्वी, हे पृथ्वी, यहोवा का वचन सुन!

He prithvi, prithvi, he prithvi, Yahowa ka vachan sun!

30

यहोवा यों कहता है कि इस पुरुष को निर्वंश लिखो, उसका जीवनकाल कुशल से न बीतेगा; और न उसके वंश में से कोई भाग्यवान हो कर दाऊद की गद्दी पर विराजमान वा यहूदियों पर प्रभुता करनेवाला होगा।

Yahowa yon kahta hai ki is purush ko nirvansh likho, uska jeevankaal kushal se na beetega; aur na uske vansh mein se koi bhagyavaan ho kar Daud ki gaddi par virajmaan va Yahudiyon par prabhuta karnevala hoga.