Jeremiah 20 · 18 verses

यिर्मयाह 20 Jeremiah 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 20.

1

जब यिर्मयाह यह भविष्यद्वाणी कर रहा था, तब इम्मेर का पुत्र पशहूर ने जो याजक और यहोवा के भवन का प्रधान रखवाला था, वह सब सुना।

Jab yirmayaah yah bhavishyadwani kar raha tha, tab immer ka putra pashhoor ne jo yajak aur Yahowa ke bhavan ka pradhaan rakhvala tha, vah sab suna.

2

सो पशहूर ने यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता को मारा और उसे उस काठ में डाल दिया जो यहोवा के भवन के ऊपर बिन्यामीन के फाटक के पास है।

So pashhoor ne yirmayaah bhavishyadwakta ko mara aur use us kaath mein daal diya jo Yahowa ke bhavan ke oopar binyameen ke phatak ke paas hai.

3

बिहान को जब पशहूर ने यिर्मयाह को काठ में से निकलवाया, तब यिर्मयाह ने उस से कहा, यहोवा ने तेरा नाम पशहूर नहीं मागोर्मिस्साबीब रखा है।

Bihaan ko jab pashhoor ne yirmayaah ko kaath mein se nikalvaya, tab yirmayaah ne us se kaha, Yahowa ne tera naam pashhoor nahi magormissabeeb rakha hai.

4

क्योंकि यहोवा ने यों कहा है, देख, मैं तुझे तेरे लिये और तेरे सब मित्रों के लिये भी भय का कारण ठहराऊंगा। वे अपने शत्रुओं की तलवार से तेरे देखते ही वध किए जाएंगे। और मैं सब यहूदियों को बाबुल के राजा के वश में कर दूंगा; वह उन को बंधुआ कर के बाबुल में ले जाएगा, और तलवार से मार डालेगा।

Kyonki Yahowa ne yon kaha hai, dekh, main tujhe tere liye aur tere sab mitron ke liye bhi bhay ka karan thahraoonga. Ve apne shatruon ki talvaar se tere dekhte hi vadh kiye jayenge. Aur main sab Yahudiyon ko babul ke raja ke vash mein kar doonga; vah un ko bandhuaa kar ke babul mein le jayega, aur talvaar se maar dalega.

5

फिर मैं इस नगर के सारे धन को और इस में की कमाई और सब अनमोल वस्तुओं को और यहूदा के राजाओं का जितना रखा हुआ धन है, उस सब को उनके शत्रुओं के वश में कर दूंगा; और वे उसको लूट कर अपना कर लेंगे और बाबुल में ले जाएंगे।

Phir main is nagar ke sare dhan ko aur is mein ki kamai aur sab anmol vastuon ko aur Yahuda ke rajaon ka jitna rakha huaa dhan hai, us sab ko unke shatruon ke vash mein kar doonga; aur ve usko loot kar apna kar lenge aur babul mein le jayenge.

6

और, हे पशहूर, तू उन सब समेत जो तेरे घर में रहते हैं बंधुआई में चला जाएगा; अपने उन मित्रों समेत जिन से तू ने झूठी भविष्यद्वाणी की, तू बाबुल में जाएगा और वहीं मरेगा, और वहीं तुझे और उन्हें भी मिट्टी दी जाएगी।

Aur, he pashhoor, tu un sab samet jo tere ghar mein rahte hain bandhuaai mein chala jayega; apne un mitron samet jin se tu ne jhoothi bhavishyadwani ki, tu babul mein jayega aur vahi marega, aur vahi tujhe aur unhein bhi mitti di jayegi.

7

हे यहोवा, तू ने मुझे धोखा दिया, और मैं ने धोखा खाया; तू मुझ से बलवन्त है, इस कारण तू मुझ पर प्रबल हो गया। दिन भर मेरी हंसी होती है; सब कोई मुझ से ठट्ठा करते हैं।

He Yahowa, tu ne mujhe dhokha diya, aur main ne dhokha khaya; tu mujh se balvant hai, is karan tu mujh par prabal ho gaya. Din bhar meri hansi hoti hai; sab koi mujh se thattha karte hain.

8

क्योंकि जब मैं बातें करता हूँ, तब मैं जोर से पुकार पुकारकर ललकारता हूँ कि उपद्रव और उत्पात हुआ, हां उत्पात! क्योंकि यहोवा का वचन दिन भर मेरे लिये निन्दा और ठट्ठा का कारण होता रहता है।

Kyonki jab main batein karta hoon, tab main jor se pukaar pukarkar lalkarta hoon ki upadrav aur utpaat huaa, han utpaat! Kyonki Yahowa ka vachan din bhar mere liye ninda aur thattha ka karan hota rahta hai.

9

यदि मैं कहूं, मैं उसकी चर्चा न करूंगा न उसके नाम से बोलूंगा, तो मेरे हृदय की ऐसी दशा होगी मानो मेरी हड्डियों में धधकती हुई आग हो, और मैं अपने को रोकते रोकते थक गया पर मुझ से रहा नहीं जाता।

Yadi main kahun, main uski charcha na karoonga na uske naam se boloonga, to mere hriday ki aisi dasha hogi mano meri haddiyon mein dhadhakti hui aag ho, aur main apne ko rokte rokte thak gaya par mujh se raha nahi jata.

10

मैं ने बहुतों के मुंह से अपना अपवाद सुना है। चारों ओर भय ही भय है! मेरी जान पहचान के सब जो मेरे ठोकर खाने की बाट जोहते हैं, वे कहते हैं, उसके दोष बताओ, तब हम उनकी चर्चा फैला देंगे। कदाचित वह धोखा खाए, तो हम उस पर प्रबल हो कर, उस से बदला लेंगे।

Main ne bahuton ke munh se apna apvaad suna hai. Charon or bhay hi bhay hai! Meri jaan pahchaan ke sab jo mere thokar khane ki baat johte hain, ve kahte hain, uske dosh batao, tab ham unki charcha phaila denge. Kadachit vah dhokha khaye, to ham us par prabal ho kar, us se badla lenge.

11

परन्तु यहोवा मेरे साथ है, वह भयंकर वीर के समान है; इस कारण मेरे सताने वाले प्रबल न होंगे, वे ठोकर खाकर गिरेंगे। वे बुद्धि से काम नहीं करते, इसलिये उन्हें बहुत लज्जित होना पड़ेगा। उनका अपमान सदैव बना रहेगा और कभी भूला न जाएगा।

Parantu Yahowa mere saath hai, vah bhayankar veer ke samaan hai; is karan mere satane vale prabal na honge, ve thokar khakar girenge. Ve buddhi se kaam nahi karte, isliye unhein bahut lajjit hona padega. Unka apmaan sadaiv bana rahega aur kabhi bhoola na jayega.

12

हे सेनाओं के यहोवा, हे धर्मियों के परखने वाले और हृदय और मन के ज्ञाता, जो बदला तू उन से लेगा, उसे मैं देखूं, क्योंकि मैं ने अपना मुक़द्दमा तेरे ऊपर छोड़ दिया है।

He senaon ke Yahowa, he dharmiyon ke parakhne vale aur hriday aur man ke gyata, jo badla tu un se lega, use main dekhun, kyonki main ne apna muqaddama tere oopar chhod diya hai.

13

यहोवा के लिये गाओ; यहोवा की स्तुति करो! क्योंकि वह दरिद्र जन के प्राण को कुकर्मियों के हाथ से बचाता है।

Yahowa ke liye gao; Yahowa ki stuti karo! Kyonki vah daridra jan ke praan ko kukarmiyon ke haath se bachata hai.

14

श्रापित हो वह दिन जिस में मैं उत्पन्न हुआ! जिस दिन मेरी माता ने मुझ को जन्म दिया वह धन्य न हो!

Shrapit ho vah din jis mein main utpann huaa! Jis din meri mata ne mujh ko janm diya vah dhanya na ho!

15

श्रापित हो वह जन जिसने मेरे पिता को यह समाचार देकर उसको बहुत आनन्दित किया कि तेरे लड़का उत्पन्न हुआ है।

Shrapit ho vah jan jisne mere pita ko yah samachaar dekar usko bahut aanandit kiya ki tere ladka utpann huaa hai.

16

उस जन की दशा उन नगरों की सी हो जिन्हें यहोवा ने बिन दया ढा दिया; उसे सवेरे तो चिल्लाहट और दोपहर को युद्ध की ललकार सुनाई दिया करे,

Us jan ki dasha un nagron ki si ho jinhein Yahowa ne bin daya dha diya; use savere to chillahat aur dophar ko yuddh ki lalkaar sunai diya kare,

17

क्योंकि उसने मुझे गर्भ ही में न मार डाला कि मेरी माता का गर्भाशय ही मेरी क़ब्र होती, और मैं उसी में सदा पड़ा रहता।

Kyonki usne mujhe garbh hi mein na maar dala ki meri mata ka garbhashay hi meri qabra hoti, aur main usi mein sada pada rahta.

18

मैं क्यों उत्पात और शोक भोगने के लिये जन्मा और कि अपने जीवन में परिश्रम और दु:ख देखूं, और अपने दिन नामधराई में व्यतीत करूं?

Main kyon utpaat aur shok bhogne ke liye janma aur ki apne jeevan mein parishram aur dukh dekhun, aur apne din namadhrai mein vyateet karun?