Jeremiah 19 · 15 verses

यिर्मयाह 19 Jeremiah 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 19.

1

यहोवा ने यों कहा, तू जा कर कुम्हार से मिट्टी की बनाई हुई एक सुराही मोल ले, और प्रजा के कुछ पुरनियों में से और याजकों में से भी कुछ प्राचीनों को साथ ले कर,

Yahowa ne yon kaha, tu ja kar kumhaar se mitti ki banai hui ek surahi mol le, aur praja ke kuchh purniyon mein se aur yajkon mein se bhi kuchh pracheenon ko saath le kar,

2

हिन्नोमियों की तराई की ओर उस फाटक के निकट चला जा जहां ठीकरे फेंक दिए जाते हैं; और जो वचन मैं कहूं, उसे वहां प्रचार कर।

Hinnomiyon ki tarai ki or us phatak ke nikat chala ja jahan theekre phenk diye jate hain; aur jo vachan main kahun, use vahan prachaar kar.

3

तू यह कहना, हे यहूदा के राजाओं और यरूशलेम के सब निवासियों, यहोवा का वचन सुनो। इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है, इस स्थान पर मैं ऐसी विपत्ति डालने पर हूँ कि जो कोई उसका समाचार सुने, उस पर सन्नाटा छा जाएगा।

Tu yah kahna, he Yahuda ke rajaon aur Yerushalem ke sab nivasiyon, Yahowa ka vachan suno. Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai, is sthaan par main aisi vipatti dalne par hoon ki jo koi uska samachaar sune, us par sannata chha jayega.

4

क्योंकि यहां के लोगों ने मुझे त्याग दिया, और इस स्थान में दूसरे देवताओं के लिये जिन को न तो वे जानते हैं, और न उनके पुरखा वा यहूदा के पुराने राजा जानते थे धूप जलाया है और इस को पराया कर दिया है; और उन्होंने इस स्थान को निर्दोषों के लोहू से भर दिया,

Kyonki yahan ke logon ne mujhe tyaag diya, aur is sthaan mein doosre devtaon ke liye jin ko na to ve jante hain, aur na unke purkha va Yahuda ke purane raja jante the dhoop jalaya hai aur is ko paraya kar diya hai; aur unhonne is sthaan ko nirdoshon ke lohu se bhar diya,

5

और बाल की पूजा के ऊंचे स्थानों को बना कर अपने लड़के-बालों को बाल के लिये होम कर दिया, यद्यपि मैं ने कभी भी जिसकी आज्ञा नहीं दी, न उसकी चर्चा की और न वह कभी मेरे मन में आया।

Aur baal ki pooja ke oonche sthanon ko bana kar apne ladke-balon ko baal ke liye hom kar diya, yadyapi main ne kabhi bhi jiski aagya nahi di, na uski charcha ki aur na vah kabhi mere man mein aaya.

6

इस कारण यहोवा की यह वाणी है कि ऐसे दिन आते हैं कि यह स्थान फिर तोपेत वा हिन्नोमियों की तराई न कहलाएगा, वरन घात ही की तराई कहलाएगा।

Is karan Yahowa ki yah vani hai ki aise din aate hain ki yah sthaan phir topet va hinnomiyon ki tarai na kahlayega, varan ghaat hi ki tarai kahlayega.

7

और मैं इस स्थान में यहूदा और यरूशलेम की युक्तियों को निष्फल कर दूंगा; और उन्हें उनके प्राणों के शत्रुओं के हाथ की तलवार चलवा कर गिरा दूंगा। उनकी लोथों को मैं आकाश के पक्षियों और भूमि के जीवजन्तुओं का आहार कर दूंगा।

Aur main is sthaan mein Yahuda aur Yerushalem ki yuktiyon ko nishphal kar doonga; aur unhein unke pranon ke shatruon ke haath ki talvaar chalva kar gira doonga. Unki lothon ko main aakaash ke pakshiyon aur bhoomi ke jeevjantuon ka aahaar kar doonga.

8

और मैं इस नगर को ऐसा उजाड़ दूंगा कि लोग इसे देख कर डरेंगे; जो कोई इसके पास से हो कर जाए वह इसकी सब विपत्तियों के कारण चकित होगा और घबराएगा।

Aur main is nagar ko aisa ujaad doonga ki log ise dekh kar darenge; jo koi iske paas se ho kar jaye vah iski sab vipattiyon ke karan chakit hoga aur ghabrayega.

9

और घिर जाने और उस सकेती के समय जिस में उनके प्राण के शत्रु उन्हें डाल देंगे, मैं उनके बेटे-बेटियों का मांस उन्हें खिलाऊंगा और एक दूसरे का भी मांस खिलाऊंगा।

Aur ghir jane aur us saketi ke samay jis mein unke praan ke shatru unhein daal denge, main unke bete-betiyon ka maans unhein khilaoonga aur ek doosre ka bhi maans khilaoonga.

10

तब तू उस सुराही को उन मनुष्यों के साम्हने तोड़ देना जो तेरे संग जाएंगे,

Tab tu us surahi ko un manushyon ke samhane tod dena jo tere sang jayenge,

11

और उन से कहना, सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि जिस प्रकार यह मिट्टी का बासन जो टूट गया कि फिर बनाया न जा सके, इसी प्रकार मैं इस देश के लोगों को और इस नगर को तोड़ डालूंगा। और तोपेत नाम तराई में इतनी कब्रें होंगी कि क़ब्र के लिये और स्थान न रहेगा।

Aur un se kahna, senaon ka Yahowa yon kahta hai ki jis prakaar yah mitti ka basan jo toot gaya ki phir banaya na ja sake, isi prakaar main is desh ke logon ko aur is nagar ko tod daloonga. Aur topet naam tarai mein itni kabrein hongi ki qabra ke liye aur sthaan na rahega.

12

यहोवा की यह वाणी है कि मैं इस स्थान और इसके रहने वालों के साथ ऐसा ही काम करूंगा, मैं इस नगर को तोपेत के समान बना दूंगा।

Yahowa ki yah vani hai ki main is sthaan aur iske rahne valon ke saath aisa hi kaam karoonga, main is nagar ko topet ke samaan bana doonga.

13

और यरूशलेम के घर और यहूदा के राजाओं के भवन, जिनकी छतों पर आकाश की सारी सेना के लिये धूप जलाया गया, और अन्य देवताओं के लिये तपावन दिया गया है, वे सब तोपेत के समान अशुद्ध हो जाएंगे।

Aur Yerushalem ke ghar aur Yahuda ke rajaon ke bhavan, jinki chhaton par aakaash ki sari sena ke liye dhoop jalaya gaya, aur anya devtaon ke liye tapavan diya gaya hai, ve sab topet ke samaan ashuddh ho jayenge.

14

तब यिर्मयाह तोपेत से लौटकर, जहां यहोवा ने उसे भविष्यद्वाणी करने को भेजा था, यहोवा के भवन के आंगन में खड़ा हुआ, और सब लोगों से कहने लगा;

Tab yirmayaah topet se lautkar, jahan Yahowa ne use bhavishyadwani karne ko bheja tha, Yahowa ke bhavan ke aangan mein khada huaa, aur sab logon se kahne laga;

15

इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता हे, देखो, सब गांवों समेत इस नगर पर वह सारी विपत्ति डालना चाहता हूँ जो मैं ने इस पर लाने को कहा है, क्योंकि उन्होंने हठ कर के मेरे वचन को नहीं माना है।

Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta he, dekho, sab ganvon samet is nagar par vah sari vipatti dalna chahta hoon jo main ne is par lane ko kaha hai, kyonki unhonne hath kar ke mere vachan ko nahi mana hai.