यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा, उठ कर कुम्हार के घर जा,
Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha, uth kar kumhaar ke ghar ja,
Jeremiah 18 · 23 verses
यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा, उठ कर कुम्हार के घर जा,
Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha, uth kar kumhaar ke ghar ja,
और वहां मैं तुझे अपने वचन सुनवाऊंगा।
Aur vahan main tujhe apne vachan sunvaoonga.
सो मैं कुम्हार के घर गया और क्या देखा कि वह चाक पर कुछ बना रहा है!
So main kumhaar ke ghar gaya aur kya dekha ki vah chaak par kuchh bana raha hai!
और जो मिट्टी का बासन वह बना रहा था वह बिगड़ गया, तब उसने उसी का दूसरा बासन अपनी समझ के अनुसार बना दिया।
Aur jo mitti ka basan vah bana raha tha vah bigad gaya, tab usne usi ka doosra basan apni samajh ke anusaar bana diya.
तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा, हे इस्राएल के घराने,
Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha, he Israel ke gharane,
यहोवा की यह वाणी है कि इस कुम्हार की नाईं तुम्हारे साथ क्या मैं भी काम नहीं कर सकता? देख, जैसा मिट्टी कुम्हार के हाथ में रहती है, वैसा ही हे इस्राएल के घराने, तुम भी मेरे हाथ में हो।
Yahowa ki yah vani hai ki is kumhaar ki nai tumhare saath kya main bhi kaam nahi kar sakta? Dekh, jaisa mitti kumhaar ke haath mein rahti hai, vaisa hi he Israel ke gharane, tum bhi mere haath mein ho.
जब मैं किसी जाति वा राज्य के विषय कहूं कि उसे उखाड़ूंगा वा ढा दूंगा अथवा नाश करूंगा,
Jab main kisi jati va rajya ke vishay kahun ki use ukhadoonga va dha doonga athva naash karoonga,
तब यदि उस जाति के लोग जिसके विषय मैं ने कह बात कही हो अपनी बुराई से फिरें, तो मैं उस विपत्ति के विषय जो मैं ने उन पर डालने को ठाना हो पछताऊंगा।
Tab yadi us jati ke log jiske vishay main ne kah baat kahi ho apni burai se phirein, to main us vipatti ke vishay jo main ne un par dalne ko thana ho pachhtaoonga.
और जब मैं किसी जाति वा राज्य के विषय कहूं कि मैं उसे बनाऊंगा और रोपूंगा;
Aur jab main kisi jati va rajya ke vishay kahun ki main use banaoonga aur ropoonga;
तब यदि वे उस काम को करें जो मेरी दृष्टि में बुरा है और मेरी बात न मानें, तो मैं उस भलाई के विष्य जिसे मैं ने उनके लिये करने को कहा हो, पछताऊंगा।
Tab yadi ve us kaam ko karein jo meri drishti mein bura hai aur meri baat na manein, to main us bhalai ke vishya jise main ne unke liye karne ko kaha ho, pachhtaoonga.
इसलिये अब तू यहूदा और यरूशलेम के निवासियों यह कह, यहोवा यों कहता है, देखो, मैं तुम्हारी हानि की युक्ति और तुम्हारे विरुद्ध प्रबन्ध कर रहा हूँ। इसलिये तुम अपने अपने बुरे मार्ग से फिरो और अपना अपना चालचलन और काम सुधारो।
Isliye ab tu Yahuda aur Yerushalem ke nivasiyon yah kah, Yahowa yon kahta hai, dekho, main tumhari hani ki yukti aur tumhare viruddh prabandh kar raha hoon. Isliye tum apne apne bure maarg se phiro aur apna apna chalachlan aur kaam sudharo.
परन्तु वे कहते हैं, ऐसा नहीं होने का, हम तो अपनी ही कल्पनाओं के अनुसार चलेंगे और अपने बुरे मन के हठ पर बने रहेंगे।
Parantu ve kahte hain, aisa nahi hone ka, ham to apni hi kalpanaon ke anusaar chalenge aur apne bure man ke hath par bane rahenge.
इस कारण प्रभु यहोवा यों कहता है, अन्यजातियों से पूछ कि ऐसी बातें क्या कभी किसी के सुनने में आई है? इस्राएल की कुमारी ने जो काम किया है उसके सुनने से रोम रोम खड़े हो जाते हैं।
Is karan Prabhu Yahowa yon kahta hai, anyajatiyon se poochh ki aisi batein kya kabhi kisi ke sunne mein aai hai? Israel ki kumari ne jo kaam kiya hai uske sunne se rom rom khade ho jate hain.
क्या लबानोन का हिम जो चट्टान पर से मैदान में बहता है बन्द हो सकता है? क्या वह ठण्डा जल जो दूर से बहता है कभी सूख सकता है?
Kya labanon ka him jo chattaan par se maidaan mein bahta hai band ho sakta hai? Kya vah thanda jal jo door se bahta hai kabhi sookh sakta hai?
परन्तु मेरी प्रजा मुझे भूल गई है; वे निकम्मी वस्तुओं के लिये धूप जलाते हैं; उन्होंने अपने प्राचीनकाल के मार्गों में ठोकर खाई है, और पगडण्डियों और बेहड़ मार्गों में भटक गए हैं।
Parantu meri praja mujhe bhool gai hai; ve nikammi vastuon ke liye dhoop jalate hain; unhonne apne pracheenkaal ke margon mein thokar khai hai, aur pagdandiyon aur behad margon mein bhatak gaye hain.
इस से उनका देश ऐसा उजाड़ हो गया है कि लोग उस पर सदा ताली बजाते रहेंगे; और जो कोई उसके पास से चले वह चकित होगा और सिर हिलाएगा।
Is se unka desh aisa ujaad ho gaya hai ki log us par sada tali bajate rahenge; aur jo koi uske paas se chale vah chakit hoga aur sir hilayega.
मैं उन को पुरवाई से उड़ाकर शत्रु के साम्हने से तितर-बितर कर दूंगा। उनकी विपत्ति के दिन मैं उन को मुंह नहीं परन्तु पीठ दिखाऊंगा।
Main un ko purvai se udakar shatru ke samhane se titar-bitar kar doonga. Unki vipatti ke din main un ko munh nahi parantu peeth dikhaoonga.
तब वे कहने लगे, चलो, यिर्मयाह के विरुद्ध युक्ति करें, क्योंकि न याजक से व्यवस्था, न ज्ञानी से सम्मति, न भविष्यद्वक्ता से वचन दूर होंगे। आओ, हम उसकी कोई बात पकड़ कर उसको नाश कराएं और फिर उसकी किसी बात पर ध्यान न दें।
Tab ve kahne lage, chalo, yirmayaah ke viruddh yukti karein, kyonki na yajak se vyavastha, na gyani se sammati, na bhavishyadwakta se vachan door honge. Aao, ham uski koi baat pakad kar usko naash karayen aur phir uski kisi baat par dhyaan na dein.
हे यहोवा, मेरी ओर ध्यान दे, और जो लोग मेरे साथ झगड़ते हैं उनकी बातें सुन।
He Yahowa, meri or dhyaan de, aur jo log mere saath jhagadte hain unki batein sun.
क्या भलाई के बदले में बुराई का व्यवहार किया जाए? तू इस बात का स्मरण कर कि मैं उनकी भलाई के लिये तेरे साम्हने प्रार्थना करने को खड़ा हुआ जिस से तेरी जलजलाहट उन पर से उतर जाए, और अब उन्होंने मेरे प्राण लेने के लिये गड़हा खोदा है।
Kya bhalai ke badle mein burai ka vyavhaar kiya jaye? Tu is baat ka smaran kar ki main unki bhalai ke liye tere samhane prarthana karne ko khada huaa jis se teri jalajlahat un par se utar jaye, aur ab unhonne mere praan lene ke liye gadha khoda hai.
इसलिये उनके लड़के-बालों को भूख से मरने दे, वे तलवार से कट मरें, और उनकी स्त्रियां निर्वंश और विधवा हो जाएं। उनके पुरुष मरी से मरें, और उनके जवान लड़ाई में तलवार से मारे जाएं।
Isliye unke ladke-balon ko bhookh se marne de, ve talvaar se kat marein, aur unki striyan nirvansh aur vidhva ho jayen. Unke purush mari se marein, aur unke javaan ladai mein talvaar se mare jayen.
जब तू उन पर अचानक शत्रुदल चढ़ाए, तब उनके घरों से चिल्लाहट सुनाईं दे! क्योंकि उन्होंने मेरे लिये गड़हा खोदा और मेरे फंसाने को फन्दे लगाए हैं।
Jab tu un par achanak shatrudal chadhaye, tab unke gharon se chillahat sunai de! Kyonki unhonne mere liye gadha khoda aur mere phansane ko phande lagaye hain.
हे यहोवा, तू उनकी सब युक्तियां जानता है जो वे मेरी मृत्यु के लिये करते हैं। इस कारण तू उनके इस अधर्म को न ढांप, न उनके पाप को अपने साम्हने से मिटा। वे तेरे देखते ही ठोकर खाकर गिर जाएं, अपने क्रोध में आकर उन से इसी प्रकार का व्यवहार कर।
He Yahowa, tu unki sab yuktiyan janta hai jo ve meri mrityu ke liye karte hain. Is karan tu unke is adharm ko na dhaamp, na unke paap ko apne samhane se mita. Ve tere dekhte hi thokar khakar gir jayen, apne krodh mein aakar un se isi prakaar ka vyavhaar kar.