Jeremiah 17 · 27 verses

यिर्मयाह 17 Jeremiah 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 17.

1

यहूदा का पाप लोहे की टांकी और हीरे की नोक से लिखा हुआ है; वह उनके हृदयरूपी पटिया और उनकी वेदियों के सींगों पर भी खुदा हुआ है।

Yahuda ka paap lohe ki tanki aur heere ki nok se likha huaa hai; vah unke hridayroopi patiya aur unki vediyon ke seengon par bhi khuda huaa hai.

2

उनकी वेदियां और अशेरा नाम देवियां जो हरे पेड़ों के पास और ऊंचे टीलों के ऊपर हैं, वे उनके लड़कों को भी स्मरण रहती हैं।

Unki vediyan aur ashera naam deviyan jo hare pedon ke paas aur oonche teelon ke oopar hain, ve unke ladkon ko bhi smaran rahti hain.

3

हे मेरे पर्वत, तू जो मैदान में है, तेरी धन-सम्पत्ति और भण्डार मैं तेरे पाप के कारण लुट जाने दूंगा, और तेरे पूजा के ऊंचे स्थान भी जो तेरे देश में पाए जाते हैं।

He mere parvat, tu jo maidaan mein hai, teri dhan-sampatti aur bhandaar main tere paap ke karan lut jane doonga, aur tere pooja ke oonche sthaan bhi jo tere desh mein paye jate hain.

4

तू अपने ही दोष के कारण अपने उस भाग का अधिकारी न रहने पाएगा जो मैं ने तुझे दिया है, और मैं ऐसा करूंगा कि तू अनजाने देश में अपने शत्रुओं की सेवा करेगा, क्योंकि तू ने मेरे क्रोध की आग ऐसी भड़काई जो सर्वदा जलती रहेगी।

Tu apne hi dosh ke karan apne us bhaag ka adhikari na rahne payega jo main ne tujhe diya hai, aur main aisa karoonga ki tu anjane desh mein apne shatruon ki seva karega, kyonki tu ne mere krodh ki aag aisi bhadkai jo sarvada jalti rahegi.

5

यहोवा यों कहता है, श्रापित है वह पुरुष जो मनुष्य पर भरोसा रखता है, और उसका सहारा लेता है, जिसका मन यहोवा से भटक जाता है।

Yahowa yon kahta hai, shrapit hai vah purush jo manushya par bharosa rakhta hai, aur uska sahara leta hai, jiska man Yahowa se bhatak jata hai.

6

वह निर्जल देश के अधमूए पेड़ के समान होगा और कभी भलाई न देखेगा। वह निर्जल और निर्जन तथा लोनछाई भूमि पर बसेगा।

Vah nirjal desh ke adhmooye ped ke samaan hoga aur kabhi bhalai na dekhega. Vah nirjal aur nirjan tatha lonchhai bhoomi par basega.

7

धन्य है वह पुरुष जो यहोवा पर भरोसा रखता है, जिसने परमेश्वर को अपना आधार माना हो।

Dhanya hai vah purush jo Yahowa par bharosa rakhta hai, jisne Parmeshwar ko apna aadhaar mana ho.

8

वह उस वृक्ष के समान होगा जो नदी के तीर पर लगा हो और उसकी जड़ जल के पास फैली हो; जब घाम होगा तब उसको न लगेगा, उसके पत्ते हरे रहेंगे, और सूखे वर्ष में भी उनके विषय में कुछ चिन्ता न होगी, क्योंकि वह तब भी फलता रहेगा।

Vah us vriksh ke samaan hoga jo nadi ke teer par laga ho aur uski jad jal ke paas phaili ho; jab ghaam hoga tab usko na lagega, uske patte hare rahenge, aur sookhe varsh mein bhi unke vishay mein kuchh chinta na hogi, kyonki vah tab bhi phalta rahega.

9

मन तो सब वस्तुओं से अधिक धोखा देने वाला होता है, उस में असाध्य रोग लगा है; उसका भेद कौन समझ सकता है?

Man to sab vastuon se adhik dhokha dene vala hota hai, us mein asadhya rog laga hai; uska bhed kaun samajh sakta hai?

10

मैं यहोवा मन की खोजता और हृदय को जांचता हूँ ताकि प्रत्येक जन को उसकी चाल-चलन के अनुसार अर्थात उसके कामों का फल दूं।

Main Yahowa man ki khojta aur hriday ko janchta hoon taki pratyek jan ko uski chaal-chalan ke anusaar arthaat uske kamon ka phal dun.

11

जो अन्याय से धन बटोरता है वह उस तीतर के समान होता है जो दूसरी चिड़िया के दिए हुए अंडों को सेती है, उसकी आधी आयु में ही वह उस धन को छोड़ जाता है, और अन्त में वह मूढ़ ही ठहरता है।

Jo anyaay se dhan batorta hai vah us teetar ke samaan hota hai jo doosri chidiya ke diye hue andon ko seti hai, uski aadhi aayu mein hi vah us dhan ko chhod jata hai, aur ant mein vah moodh hi thaharta hai.

12

हमारा पवित्र आराधनालय आदि से ऊंचे स्थान पर रखे हुए एक तेजोमय सिंहासन के समान है।

Hamara pavitra aaradhnalay aadi se oonche sthaan par rakhe hue ek tejomay sinhasan ke samaan hai.

13

हे यहोवा, हे इस्राएल के आधार, जितने तुझे छोड़ देते हैं वे सब लज्जित होंगे; जो तुझ से भटक जाते हैं उनके नाम भूमि ही पर लिखे जाएंगे, क्योंकि उन्होंने बहते जल के सोते यहोवा को त्याग दिया है।

He Yahowa, he Israel ke aadhaar, jitne tujhe chhod dete hain ve sab lajjit honge; jo tujh se bhatak jate hain unke naam bhoomi hi par likhe jayenge, kyonki unhonne bahte jal ke sote Yahowa ko tyaag diya hai.

14

हे यहोवा मुझे चंगा कर, तब मैं चंगा हो जाऊंगा; मुझे बचा, तब मैं बच जाऊंगा; क्योंकि मैं तेरी ही स्तुति करता हूँ।

He Yahowa mujhe changa kar, tab main changa ho jaoonga; mujhe bacha, tab main bach jaoonga; kyonki main teri hi stuti karta hoon.

15

सुन, वे मुझ से कहते हैं, यहोवा का वचन कहां रहा? वह अभी पूरा हो जाए!

Sun, ve mujh se kahte hain, Yahowa ka vachan kahan raha? Vah abhi poora ho jaye!

16

परन्तु तू मेरा हाल जानता है, मैं ने तेरे पीछे चलते हुए उतावली कर के चरवाहे का काम नहीं छोड़ा; न मैं ने उस आने वाली विपत्ति के दिन की लालसा की है; जो कुछ मैं बोला वह तुझ पर प्रगट था।

Parantu tu mera haal janta hai, main ne tere peechhe chalte hue utavli kar ke charvahe ka kaam nahi chhoda; na main ne us aane vali vipatti ke din ki lalsa ki hai; jo kuchh main bola vah tujh par pragat tha.

17

मुझे न घबरा; संकट के दिन तू ही मेरा शरणस्थान है।

Mujhe na ghabra; sankat ke din tu hi mera sharnasthaan hai.

18

हे यहोवा, मेरी आशा टूटने न दे, मेरे सताने वालों ही की आशा टूटे; उन्हीं को विस्मित कर; परन्तु मुझे निराशा से बचा; उन पर विपत्ति डाल और उन को चकनाचूर कर दे!

He Yahowa, meri aasha tootne na de, mere satane valon hi ki aasha toote; unhi ko vismit kar; parantu mujhe nirasha se bacha; un par vipatti daal aur un ko chaknachoor kar de!

19

यहोवा ने मुझ से यों कहा, जा कर सदर फाटक में खड़ा हो जिस से यहूदा के राजा वरन यरूशलेम के सब रहने वाले भीतर-बाहर आया जाया करते हैं;

Yahowa ne mujh se yon kaha, ja kar sadar phatak mein khada ho jis se Yahuda ke raja varan Yerushalem ke sab rahne vale bheetar-bahar aaya jaya karte hain;

20

और उन से कह, हे यहूदा के राजाओं और सब यहूदियों, हे यरूशलेम के सब निवासियों, और सब लोगो जो इन फाटकों में से हो कर भीतर जाते हो, यहोवा का वचन सुनो।

Aur un se kah, he Yahuda ke rajaon aur sab Yahudiyon, he Yerushalem ke sab nivasiyon, aur sab logo jo in phatkon mein se ho kar bheetar jate ho, Yahowa ka vachan suno.

21

यहोवा यों कहता है, सावधान रहो, विश्राम के दिन कोई बोझ मत उठाओ; और न कोई बोझ यरूशलेम के फाटकों के भीतर ले आओ।

Yahowa yon kahta hai, savdhaan raho, vishraam ke din koi bojh mat uthao; aur na koi bojh Yerushalem ke phatkon ke bheetar le aao.

22

विश्राम के दिन अपने अपने घर से भी कोई बोझ बाहर मत ले जाओ और न किसी रीति का काम काज करो, वरन उस आज्ञा के अनुसार जो मैं ने तुम्हारे पुरखाओं को दी थी, विश्राम के दिन को पवित्र माना करो।

Vishraam ke din apne apne ghar se bhi koi bojh bahar mat le jao aur na kisi reeti ka kaam kaaj karo, varan us aagya ke anusaar jo main ne tumhare purkhaon ko di thi, vishraam ke din ko pavitra mana karo.

23

परन्तु उन्होंने न सुना और न कान लगाया, परन्तु इसके विपरीत हठ किया कि न सुनें और ताड़ना से भी न मानें।

Parantu unhonne na suna aur na kaan lagaya, parantu iske vipreet hath kiya ki na sunein aur tadna se bhi na manein.

24

परन्तु यदि तुम सचमुच मेरी सुनो, यहोवा की यह वाणी है, और विश्राम के दिन इस नगर के फाटकों के भीतर कोई बोझ न ले आओ और विश्रामदिन को पवित्र मानो, और उस में किसी रीति का काम काज न करो,

Parantu yadi tum sachmuch meri suno, Yahowa ki yah vani hai, aur vishraam ke din is nagar ke phatkon ke bheetar koi bojh na le aao aur vishramdin ko pavitra mano, aur us mein kisi reeti ka kaam kaaj na karo,

25

तब तो दाऊद की गद्दी पर विराजमान राजा, रथों और घोड़ों पर चढ़े हुए हाकिम और यहूदा के लोग और यरूशलेम के निवासी इस नगर के फाटकों से हो कर प्रवेश किया करेंगे और यह नगर सर्वदा बसा रहेगा।

Tab to Daud ki gaddi par virajmaan raja, rathon aur ghodon par chadhe hue hakim aur Yahuda ke log aur Yerushalem ke nivasi is nagar ke phatkon se ho kar pravesh kiya karenge aur yah nagar sarvada basa rahega.

26

और लोग होमबलि, मेलबलि अन्नबलि, लोबान और धन्यवादबलि लिए हुए यहूदा के नगरों से और यरूशलेम के आसपास से, बिन्यामीन के देश और नीचे के देश से, पहाड़ी देश और दक्खिन देश से, यहोवा के भवन में आया करेंगे।

Aur log homabli, melabli annabli, lobaan aur dhanyavadabli liye hue Yahuda ke nagron se aur Yerushalem ke aaspaas se, binyameen ke desh aur neeche ke desh se, pahadi desh aur dakkhin desh se, Yahowa ke bhavan mein aaya karenge.

27

परन्तु यदि तुम मेरी सुन कर विश्राम के दिन को पवित्र न मानो, और उस दिन यरूशलेम के फाटकों से बोझ लिए हुए प्रवेश करते रहो, तो मैं यरूशलेम के फाटकों में आग लगाऊंगा; और उस से यरूशलेम के महल भी भस्म हो जाएंगे और वह आग फिर न बुझेगी।

Parantu yadi tum meri sun kar vishraam ke din ko pavitra na mano, aur us din Yerushalem ke phatkon se bojh liye hue pravesh karte raho, to main Yerushalem ke phatkon mein aag lagaoonga; aur us se Yerushalem ke mahal bhi bhasm ho jayenge aur vah aag phir na bujhegi.