Jeremiah 13 · 27 verses

यिर्मयाह 13 Jeremiah 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 13.

1

यहोवा ने मुझ से यों कहा, जा कर सनी की एक पेटी मोल ले, उसे कमर में बान्ध और जल में मत भीगने दे।

Yahowa ne mujh se yon kaha, ja kar sani ki ek peti mol le, use kamar mein baandh aur jal mein mat bheegne de.

2

तब मैं ने एक पेटी मोल ले कर यहोवा के वचन के अनुसार अपनी कमर में बान्ध ली।

Tab main ne ek peti mol le kar Yahowa ke vachan ke anusaar apni kamar mein baandh li.

3

तब दूसरी बार यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा कि

Tab doosri baar Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha ki

4

जो पेटी तू ने मोल ले कर कटि में कस ली है, उसे परात के तीर पर ले जा और वहां उसे कड़ाड़े पर की एक दरार में छिपा दे।

Jo peti tu ne mol le kar kati mein kas li hai, use paraat ke teer par le ja aur vahan use kadade par ki ek daraar mein chhipa de.

5

यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार मैं ने उसको परात के तीर पर ले जा कर छिपा दिया।

Yahowa ki is aagya ke anusaar main ne usko paraat ke teer par le ja kar chhipa diya.

6

बहुत दिनों के बाद यहोवा ने मुझ से कहा, उठ, फिर परात के पास जा, और जिस पेटी को मैं ने तुझे वहां छिपाने की आज्ञा दी उसे वहां से ले ले।

Bahut dinon ke baad Yahowa ne mujh se kaha, uth, phir paraat ke paas ja, aur jis peti ko main ne tujhe vahan chhipane ki aagya di use vahan se le le.

7

तब मैं परात के पास गया ओर खोद कर जिस स्थान में मैं ने पेटी को छिपाया था, वहां से उसको निकाल लिया। और देखो, पेटी बिगड़ गई थी; वह किसी काम की न रही।

Tab main paraat ke paas gaya or khod kar jis sthaan mein main ne peti ko chhipaya tha, vahan se usko nikaal liya. Aur dekho, peti bigad gai thi; vah kisi kaam ki na rahi.

8

तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुचा, यहोवा यों कहता है,

Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahucha, Yahowa yon kahta hai,

9

इसी प्रकार से मैं यहूदियों का गर्व, और यरूशलेम का बड़ा गर्व नष्ट कर दूंगा।

Isi prakaar se main Yahudiyon ka garva, aur Yerushalem ka bada garva nasht kar doonga.

10

इस दुष्ट जाति के लोग जो मेरे वचन सुनने से इनकार करते हैं जो अपने मन के हठ पर चलते, दूसरे देवताओं के पीछे चल कर उनकी उपासना करते ओर उन को दण्डवत करते हैं, वे इस पेटी के समान हो जाएंगे जो किसी काम की नहीं रही।

Is dusht jati ke log jo mere vachan sunne se inkaar karte hain jo apne man ke hath par chalte, doosre devtaon ke peechhe chal kar unki upasna karte or un ko dandavat karte hain, ve is peti ke samaan ho jayenge jo kisi kaam ki nahi rahi.

11

यहोवा की यह वाणी है कि जिस प्रकार से पेटी मनुष्य की कमर में कसी जाती है, उसी प्रकार से मैं ने इस्राएल के सारे घराने और यहूदा के सारे घराने को अपनी कटि में बान्ध लिया था कि वे मेरी प्रजा बनें और मेरे नाम और कीर्ति और शोभा का कारण हों, परन्तु उन्होंने न माना।

Yahowa ki yah vani hai ki jis prakaar se peti manushya ki kamar mein kasi jati hai, usi prakaar se main ne Israel ke sare gharane aur Yahuda ke sare gharane ko apni kati mein baandh liya tha ki ve meri praja banein aur mere naam aur keerti aur shobha ka karan hon, parantu unhonne na mana.

12

इसलिये तू उन से यह वचन कह, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, दाखमधु के सब कुप्पे दाखमधु से भर दिए जाएंगे। तब वे तुझ से कहेंगे, क्या हम नहीं जानते कि दाखमधु के सब कुप्पे दाखमधु से भर दिए जाएंगे?

Isliye tu un se yah vachan kah, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dakhamdhu ke sab kuppe dakhamdhu se bhar diye jayenge. Tab ve tujh se kahenge, kya ham nahi jante ki dakhamdhu ke sab kuppe dakhamdhu se bhar diye jayenge?

13

तब तू उन से कहना, यहोवा यों कहता है, देखो, मैं इस देश के सब रहने वालों को, विशेष कर के दाऊदवंश की गद्दी पर विराजमान राजा और याजक और भविष्यद्वक्ता आदि यरूशलेम के सब निवासियों को अपनी कोप रूपी मदिरा पिलाकर अचेत कर दूंगा।

Tab tu un se kahna, Yahowa yon kahta hai, dekho, main is desh ke sab rahne valon ko, vishesh kar ke daoodvansh ki gaddi par virajmaan raja aur yajak aur bhavishyadwakta aadi Yerushalem ke sab nivasiyon ko apni kop roopi madira pilakar achet kar doonga.

14

तब मैं उन्हें एक दूसरे से टकरा दूंगा; अर्थात बाप को बेटे से, और बेटे को बाप से, यहोवा की यह वाणी है। मैं उन पर कोमलता नहीं दिखाऊंगा, न तरस खाऊंगा और न दया कर के उन को नष्ट होने से बचाऊंगा।

Tab main unhein ek doosre se takra doonga; arthaat baap ko bete se, aur bete ko baap se, Yahowa ki yah vani hai. Main un par komalta nahi dikhaoonga, na taras khaoonga aur na daya kar ke un ko nasht hone se bachaoonga.

15

देखो, और कान लगाओ, गर्व मत करो, क्योंकि यहोवा ने यों कहा है।

Dekho, aur kaan lagao, garva mat karo, kyonki Yahowa ne yon kaha hai.

16

अपने परमेश्वर यहोवा की बड़ाई करो, इस से पहिले कि वह अन्धकार लाए और तुम्हारे पांव अन्धेरे पहाड़ों पर ठोकर खाएं, और जब तुम प्रकाश का आसरा देखो, तब वह उसको मृत्यु की छाया से बदल और उसे घोर अन्धकार बना दे।

Apne Parmeshwar Yahowa ki badai karo, is se pahile ki vah andhakaar laye aur tumhare paanv andhere pahadon par thokar khayen, aur jab tum prakaash ka aasra dekho, tab vah usko mrityu ki chhaya se badal aur use ghor andhakaar bana de.

17

और यदि तुम इसे न सुनो, तो मैं अकेले में तुम्हारे गर्व के कारण रोऊंगा, और मेरी आंखों से आंसुओं की धारा बहती रहेगी, क्योंकि यहोवा की भेड़ें बंधुआ कर ली गई हैं।

Aur yadi tum ise na suno, to main akele mein tumhare garva ke karan rooonga, aur meri aankhon se aansuon ki dhara bahti rahegi, kyonki Yahowa ki bhedein bandhuaa kar li gai hain.

18

राजा और राजमाता से कह, नीचे बैठ जाओ, क्योंकि तुम्हारे सिरों के शोभायमान मुकुट उतार लिए गए हैं।

Raja aur rajmata se kah, neeche baith jao, kyonki tumhare siron ke shobhaymaan mukut utaar liye gaye hain.

19

दक्खिन देश के नगर घेरे गए हैं, कोई उन्हें बचा न सकेगा; सम्पूर्ण यहूदी जाति बन्दी हो गई है, वह पूरी रीति से बंधुआई में चली गई है।

Dakkhin desh ke nagar ghere gaye hain, koi unhein bacha na sakega; sampoorn Yahudi jati bandi ho gai hai, vah poori reeti se bandhuaai mein chali gai hai.

20

अपनी आंखें उठा कर उन को देख जो उत्तर दिशा से आ रहे हैं। वह सुन्दर झुण्ड जो तुझे सौंपा गया था कहां है?

Apni aankhein utha kar un ko dekh jo uttar disha se aa rahe hain. Vah sundar jhund jo tujhe saumpa gaya tha kahan hai?

21

जब वह तेरे उन मित्रों को तेरे ऊपर प्रधान ठहराएगा जिन्हें तू ने अपनी हानि करने की शिक्षा दी है, तब तू क्या कहेगी? क्या उस समय तुझे ज़च्चा की सी पीड़ाएं न उठेंगी?

Jab vah tere un mitron ko tere oopar pradhaan thahrayega jinhein tu ne apni hani karne ki shiksha di hai, tab tu kya kahegi? Kya us samay tujhe zachcha ki si peedayen na uthengi?

22

और यदि तू अपने मन में सोचे कि ये बातें किस कारण मुझ पर पड़ी हैं, तो तेरे बड़े अधर्म के कारण तेरा आंचल उठाया गया है और तेरी एड़ियां बरियाई से नंगी की गई हैं।

Aur yadi tu apne man mein soche ki ye batein kis karan mujh par padi hain, to tere bade adharm ke karan tera aanchal uthaya gaya hai aur teri ediyan bariyai se nangi ki gai hain.

23

क्या हबशी अपना चमड़ा, वा चीता अपने धब्बे बदल सकता है? यदि वे ऐसा कर सकें, तो तू भी, जो बुराई करना सीख गई है, भलाई कर सकेगी।

Kya habshi apna chamda, va cheeta apne dhabbe badal sakta hai? Yadi ve aisa kar sakein, to tu bhi, jo burai karna seekh gai hai, bhalai kar sakegi.

24

इस कारण मैं उन को ऐसा तितर-बितर करूंगा, जैसा भूसा जंगल के पवन से तितर-बितर किया जाता है।

Is karan main un ko aisa titar-bitar karoonga, jaisa bhoosa jangal ke pavan se titar-bitar kiya jata hai.

25

यहोवा की यह वाणी है, तेरा हिस्सा और मुझ से ठहराया हुआ तेरा भाग यही है, क्योंकि तू ने मुझे भूल कर झूठ पर भरोसा रखा है।

Yahowa ki yah vani hai, tera hissa aur mujh se thahraya huaa tera bhaag yahi hai, kyonki tu ne mujhe bhool kar jhooth par bharosa rakha hai.

26

इसलिये मैं भी तेरा आंचल तेरे मुंह तक उठाऊंगा, तब तेरी लाज जानी जाएगी।

Isliye main bhi tera aanchal tere munh tak uthaoonga, tab teri laaj jani jayegi.

27

व्यभिचार और चोचला और छिनालपन आदि तेरे घिनौने काम जो तू ने मैदान और टीलों पर किए हैं, वे सब मैं ने देखे हैं। हे यरूशलेम, तुझ पर हाय! तू अपने आप को कब तक शुद्ध न करेगी? और कितने दिन तक तू बनी रहेगी?

Vyabhichaar aur chochla aur chhinalpan aadi tere ghinaune kaam jo tu ne maidaan aur teelon par kiye hain, ve sab main ne dekhe hain. He Yerushalem, tujh par haay! Tu apne aap ko kab tak shuddh na karegi? Aur kitne din tak tu bani rahegi?