Jeremiah 12 · 17 verses

यिर्मयाह 12 Jeremiah 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 12.

1

हे यहोवा, यदि मैं तुझ से मुक़द्दमा लड़ूं, तौभी तू धर्मी है; मुझे अपने साथ इस विषय पर वादविवाद करने दे। दुष्टों की चाल क्यों सफल होती है? क्या कारण है कि विश्वासघाती बहुत सुख से रहते हैं?

He Yahowa, yadi main tujh se muqaddama ladun, taubhi tu dharmi hai; mujhe apne saath is vishay par vadvivaad karne de. Dushton ki chaal kyon saphal hoti hai? Kya karan hai ki vishwasghati bahut sukh se rahte hain?

2

तू उन को बोता और वे जड़ भी पकड़ते; वे बढ़ते और फलते भी हैं; तू उनके मुंह के निकट है परन्तु उन के मनों से दूर है।

Tu un ko bota aur ve jad bhi pakadte; ve badhte aur phalte bhi hain; tu unke munh ke nikat hai parantu un ke manon se door hai.

3

हे यहोवा तू मुझे जानता है; तू मुझे देखता है, और तू ने मेरे मन की परीक्षा कर के देखा कि मैं तेरी ओर किस प्रकार रहता हूँ। जैसे भेड़-बकरियां घात होने के लिये झुण्ड में से निकाली जाती हैं, वैसे ही उन को भी निकाल ले और वध के दिन के लिये तैयार कर।

He Yahowa tu mujhe janta hai; tu mujhe dekhta hai, aur tu ne mere man ki pareeksha kar ke dekha ki main teri or kis prakaar rahta hoon. Jaise bhed-bakriyan ghaat hone ke liye jhund mein se nikali jati hain, vaise hi un ko bhi nikaal le aur vadh ke din ke liye taiyaar kar.

4

कब तक देश विलाप करता रहेगा, और सारे मैदान की घास सूखी रहेगी? देश के निवासियों की बुराई के कारण पशु-पक्षी सब नाश हो गए हैं, क्योंकि उन लोगों ने कहा, वह हमारे अन्त को न देखेगा।

Kab tak desh vilaap karta rahega, aur sare maidaan ki ghaas sookhi rahegi? Desh ke nivasiyon ki burai ke karan pashu-pakshi sab naash ho gaye hain, kyonki un logon ne kaha, vah hamare ant ko na dekhega.

5

तू जो प्यादों ही के संग दौड़कर थक गया है तो घोड़ों के संग क्योंकर बराबरी कर सकेगा? और यद्यपि तू शान्ति के इस देश में निडर है, परन्तु यरदन के आसपास के घने जंगल में तू क्या करेगा?

Tu jo pyadon hi ke sang daudkar thak gaya hai to ghodon ke sang kyonkar barabri kar sakega? Aur yadyapi tu shanti ke is desh mein nidar hai, parantu yardan ke aaspaas ke ghane jangal mein tu kya karega?

6

क्योंकि तेरे भाई और तेरे घराने के लोगों ने भी तेरा विश्वासघात किया है; वे तेरे पीछे ललकारते हैं, यदि वे तुझ से मीठी बातें भी कहें, तौभी उनकी प्रतीति न करना।

Kyonki tere bhai aur tere gharane ke logon ne bhi tera vishwasghaat kiya hai; ve tere peechhe lalkarte hain, yadi ve tujh se meethi batein bhi kahein, taubhi unki prateeti na karna.

7

मैं ने अपना घर छोड़ दिया, अपना निज भाग मैं ने त्याग दिया है; मैं ने अपनी प्राणप्रिया को शत्रुओं के वश में कर दिया है।

Main ne apna ghar chhod diya, apna nij bhaag main ne tyaag diya hai; main ne apni pranapriya ko shatruon ke vash mein kar diya hai.

8

क्योंकि मेरा निज भाग मेरे देखने में वन के सिंह के समान हो गया और मेरे विरुद्ध गरजा है; इस कारण मैं ने उस से बैर किया है।

Kyonki mera nij bhaag mere dekhne mein van ke sinh ke samaan ho gaya aur mere viruddh garja hai; is karan main ne us se bair kiya hai.

9

क्या मेरा निज भाग मेरी दृष्टि में चित्ती वाले शिकारी पक्षी के समान नहीं है? क्या शिकारी पक्षी चारों ओर से उसे घेरे हुए हैं? जाओ सब जंगली पशुओं को इकट्ठा करो; उन को लाओ कि खा जाएं।

Kya mera nij bhaag meri drishti mein chitti vale shikari pakshi ke samaan nahi hai? Kya shikari pakshi charon or se use ghere hue hain? Jao sab jangli pashuon ko ikattha karo; un ko lao ki kha jayen.

10

बहुत से चरवाहों ने मेरी दाख की बारी को बिगाड़ कर दिया, उन्होंने मेरे भाग को लताड़ा, वरन मेरे मनोहर भाग के खेत को सुनसान जंगल बना दिया है।

Bahut se charvahon ne meri daakh ki bari ko bigaad kar diya, unhonne mere bhaag ko latada, varan mere manohar bhaag ke khet ko sunsaan jangal bana diya hai.

11

उन्होंने उसको उजाड़ दिया; वह उजड़ कर मेरे साम्हने विलाप कर रहा है। सारा देश उजड़ गया है, तौभी कोई नहीं सोचता।

Unhonne usko ujaad diya; vah ujad kar mere samhane vilaap kar raha hai. Sara desh ujad gaya hai, taubhi koi nahi sochta.

12

जंगल के सब मुंडे टीलों पर नाशक चढ़ आए हैं; क्योंकि यहोवा की तलवार देश के एक छोर से ले कर दूसरी छोर तक निगलती जाती है; किसी मनुष्य को शान्ति नहीं मिलती।

Jangal ke sab munde teelon par nashak chadh aaye hain; kyonki Yahowa ki talvaar desh ke ek chhor se le kar doosri chhor tak nigalti jati hai; kisi manushya ko shanti nahi milti.

13

उन्होंने गेहूं तो बोया, परन्तु कटीले पेड़ काटे, उन्होंने कष्ट तो उठाया, परन्तु उस से कुछ लाभ न हुआ। यहोवा के क्रोध के भड़कने के कारण तुम अपने खेतों की उपज के विषय में लज्जित हो।

Unhonne gehun to boya, parantu kateele ped kate, unhonne kasht to uthaya, parantu us se kuchh laabh na huaa. Yahowa ke krodh ke bhadakne ke karan tum apne kheton ki upaj ke vishay mein lajjit ho.

14

मेरे दुष्ट पड़ोसी उस भाग पर हाथ लगाते हैं, जिसका भागी मैं ने अपनी प्रजा इस्राएल को बनाया है। उनके विष्य यहोवा यों कहता है कि मैं उन को उनकी भूमि में से उखाड़ डालूंगा, और यहूदा के घराने को भी उनके बीच में से उखड़ूंगा।

Mere dusht padosi us bhaag par haath lagate hain, jiska bhagi main ne apni praja Israel ko banaya hai. Unke vishya Yahowa yon kahta hai ki main un ko unki bhoomi mein se ukhaad daloonga, aur Yahuda ke gharane ko bhi unke beech mein se ukhdoonga.

15

उन्हें उखाड़ने के बाद मैं फिर उन पर दया करूंगा, और उन में से हर एक को उसके निज भाग और भूमि में फिर से लगाऊंगा।

Unhein ukhadne ke baad main phir un par daya karoonga, aur un mein se har ek ko uske nij bhaag aur bhoomi mein phir se lagaoonga.

16

और यदि वे मेरी प्रजा की चाल सीखकर मेरे ही नाम की सौगन्ध, यहोवा के जीवन की सौगन्ध, खाने लगें, जिस प्रकार से उन्होंने मेरी प्रजा को बाल की सौगन्ध खाना सिखलाया था, तब मेरी प्रजा के बीच उनका भी वंश बढ़ेगा।

Aur yadi ve meri praja ki chaal seekhkar mere hi naam ki saugandh, Yahowa ke jeevan ki saugandh, khane lagein, jis prakaar se unhonne meri praja ko baal ki saugandh khana sikhlaya tha, tab meri praja ke beech unka bhi vansh badhega.

17

परन्तु यदि वे न मानें, तो मैं उस जाति को ऐसा उखाड़ूंगा कि वह फिर कभी न पनंपेगी, यहोवा की यही वाणी है।

Parantu yadi ve na manein, to main us jati ko aisa ukhadoonga ki vah phir kabhi na panampegi, Yahowa ki yahi vani hai.