Jeremiah 11 · 23 verses

यिर्मयाह 11 Jeremiah 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 11.

1

यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा:

Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha:

2

इस वाचा के वचन सुनो, और यहूदा के पुरुषों और यरूशलेम के रहने वालों से कहो।

Is vacha ke vachan suno, aur Yahuda ke purushon aur Yerushalem ke rahne valon se kaho.

3

उन से कहो, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, श्रापित है वह मनुष्य, जो इस वाचा के वचन न माने

Un se kaho, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, shrapit hai vah manushya, jo is vacha ke vachan na mane

4

जिसे मैं ने तुम्हारे पुरखाओं के साथ लोहे की भट्ठी अर्थात मिस्र देश में से निकालने के समय, यह कहके बान्धी थी, मेरी सुनो, और जितनी आज्ञाएं मैं तुम्हें देता हूँ उन सभों का पालन करो। इस से तुम मेरी प्रजा ठहरोगे, और मैं तुम्हारा परमेश्वर ठहरूंगा;

Jise main ne tumhare purkhaon ke saath lohe ki bhatthi arthaat Misr desh mein se nikalne ke samay, yah kahke bandhi thi, meri suno, aur jitni aagyayen main tumhein deta hoon un sabhon ka palan karo. Is se tum meri praja thahroge, aur main tumhara Parmeshwar thahroonga;

5

और जो शपथ मैं ने तुम्हारे पितरों से खाई थी कि जिस देश में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, उसे मैं तुम को दूंगा, उसे पूरी करूंगा; और देखो, वह पूरी हुई है। यह सुन कर मैं ने कहा, हे यहोवा, ऐसा ही हो।

Aur jo shapath main ne tumhare pitron se khai thi ki jis desh mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, use main tum ko doonga, use poori karoonga; aur dekho, vah poori hui hai. Yah sun kar main ne kaha, he Yahowa, aisa hi ho.

6

तब यहोवा ने मुझ से कहा, ये सब वचन यहूद के नगरों और यरूशलेम की सड़कों में प्रचार कर के कह, इस वाचा के वचन सुनो और उसके अनुसार चलो।

Tab Yahowa ne mujh se kaha, ye sab vachan yahood ke nagron aur Yerushalem ki sadkon mein prachaar kar ke kah, is vacha ke vachan suno aur uske anusaar chalo.

7

क्योंकि जिस समय से मैं तुम्हारे पुरखाओं को मिस्र देश से छुड़ा ले आया तब से आज के दिन तक उन को दृढ़ता से चिताता आया हूँ, मेरी बात सुनो।

Kyonki jis samay se main tumhare purkhaon ko Misr desh se chhuda le aaya tab se aaj ke din tak un ko dridhta se chitata aaya hoon, meri baat suno.

8

परन्तु उन्होंने न सुनी और न मेरी बातों पर कान लगाया, किन्तु अपने अपने बुरे मन के हठ पर चलते रहे। इसलिये मैं ने उनके विषय इस वाचा की सब बातों को पूर्ण किया है जिसके मानने की मैं ने उन्हें आज्ञा दी थी और उन्होंने न मानी।

Parantu unhonne na suni aur na meri baton par kaan lagaya, kintu apne apne bure man ke hath par chalte rahe. Isliye main ne unke vishay is vacha ki sab baton ko poorn kiya hai jiske manne ki main ne unhein aagya di thi aur unhonne na mani.

9

फिर यहोवा ने मुझ से कहा, यहूदियों और यरूशलेम के निवासियों में विद्रोह पाया गया है।

Phir Yahowa ne mujh se kaha, Yahudiyon aur Yerushalem ke nivasiyon mein vidroh paya gaya hai.

10

जैसे इनके पुरखा मेरे वचन सुनने से इनकार करते थे, वैसे ही ये भी उनके अधर्म का अनुसरण कर के दूसरे देवताओं के पीछे चलते और उनकी उपासना करते हैं; इस्राएल और यहूदा के घरानों ने उस वाचा को जो मैं ने उनके पूर्वजों से बान्धी थी, तोड़ दिया है।

Jaise inke purkha mere vachan sunne se inkaar karte the, vaise hi ye bhi unke adharm ka anusran kar ke doosre devtaon ke peechhe chalte aur unki upasna karte hain; Israel aur Yahuda ke gharanon ne us vacha ko jo main ne unke poorvajon se bandhi thi, tod diya hai.

11

इसलिये यहोवा यों कहता है, देख, मैं इन पर ऐसी विपत्ति डालने पर हूँ जिस से ये बच न सकेंगे; और चाहे ये मेरी दोहाई दें तौभी मैं इनकी न सुनूंगा।

Isliye Yahowa yon kahta hai, dekh, main in par aisi vipatti dalne par hoon jis se ye bach na sakenge; aur chahe ye meri dohai dein taubhi main inki na sunoonga.

12

उस समय यरूशलेम और यहूदा के नगरों के निवासी उन देवताओं की दोहाई देंगे जिनके लिये वे धूप जलाते हैं, परन्तु वे उनकी विपत्ति के समय उन को कभी न बचा सकेंगे।

Us samay Yerushalem aur Yahuda ke nagron ke nivasi un devtaon ki dohai denge jinke liye ve dhoop jalate hain, parantu ve unki vipatti ke samay un ko kabhi na bacha sakenge.

13

हे यहूदा, जितने तेरे नगर हैं उतने ही तेरे देवता भी हैं; और यरूशलेम के निवासियों ने हर एक सड़क में उस लज्जापूर्ण बाल की वेदियां बना बनाकर उसके लिये धूप जलाया है।

He Yahuda, jitne tere nagar hain utne hi tere devta bhi hain; aur Yerushalem ke nivasiyon ne har ek sadak mein us lajjapoorn baal ki vediyan bana banakar uske liye dhoop jalaya hai.

14

इसलिये तू मेरी इस प्रजा के लिये प्रार्थना न करना, न कोई इन लोगों के लिये ऊंचे स्वर से बिनती करे, क्योंकि जिस समय ये अपनी विपत्ति के मारे मेरी दोहाई देंगे, तब मैं उनकी न सुनूंगा।

Isliye tu meri is praja ke liye prarthana na karna, na koi in logon ke liye oonche swar se binti kare, kyonki jis samay ye apni vipatti ke mare meri dohai denge, tab main unki na sunoonga.

15

मेरी प्रिया को मेरे घर में क्या काम है? उसने तो बहुतों के साथ कुकर्म किया, और तेरी पवित्रता पूरी रीति से जाती रही है। जब तू बुराई करती है, तब प्रसन्न होती है।

Meri priya ko mere ghar mein kya kaam hai? Usne to bahuton ke saath kukarm kiya, aur teri pavitrata poori reeti se jati rahi hai. Jab tu burai karti hai, tab prasann hoti hai.

16

यहोवा ने तुझ को हरी, मनोहर, सुन्दर फल वाली जलपाई तो कहा था, परन्तु उसने बड़े हुल्लड़ के शब्द होते ही उस में आग लगाई गई, और उसकी डालियां तोड़ डाली गई।

Yahowa ne tujh ko hari, manohar, sundar phal vali jalpai to kaha tha, parantu usne bade hullad ke shabd hote hi us mein aag lagai gai, aur uski daliyan tod dali gai.

17

सेनाओं का यहोवा, जिसने तुझे लगाया, उसने तुझ पर विपत्ति डालने के लिये कहा है; इसका कारण इस्राएल और यहूदा के घरानों की यह बुराई है कि उन्होंने मुझे रिस दिलाने के लिये बाल के निमित्त धूप जलाया।

Senaon ka Yahowa, jisne tujhe lagaya, usne tujh par vipatti dalne ke liye kaha hai; iska karan Israel aur Yahuda ke gharanon ki yah burai hai ki unhonne mujhe ris dilane ke liye baal ke nimitt dhoop jalaya.

18

यहोवा ने मुझे बताया और यह बात मुझे मालूम हो गई; क्योंकि यहोवा ही ने उनकी युक्तियां मुझ पर प्रगट कीं।

Yahowa ne mujhe bataya aur yah baat mujhe maloom ho gai; kyonki Yahowa hi ne unki yuktiyan mujh par pragat ki.

19

मैं तो वध होने वाले भेड़ के बच्चे के समान अनजान था। मैं न जानता था कि वे लोग मेरी हानि की युक्तियां यह कहकर करते हैं, आओ, हम फल समेत इस वृक्ष को उखाड़ दें, और जीवितों के बीच में से काट डालें, तब इसका नाम तक फिर स्मरण न रहे।

Main to vadh hone vale bhed ke bachche ke samaan anjaan tha. Main na janta tha ki ve log meri hani ki yuktiyan yah kahkar karte hain, aao, ham phal samet is vriksh ko ukhaad dein, aur jeeviton ke beech mein se kaat dalein, tab iska naam tak phir smaran na rahe.

20

परन्तु, अब हे सेनाओं के यहोवा, हे धर्मी न्यायी, हे अन्त:करण की बातों के ज्ञाता, तू उनका पलटा ले और मुझे दिखा, क्योंकि मैं ने अपना मुक़द्दमा तेरे हाथ में छोड़ दिया है।

Parantu, ab he senaon ke Yahowa, he dharmi nyayi, he antakran ki baton ke gyata, tu unka palta le aur mujhe dikha, kyonki main ne apna muqaddama tere haath mein chhod diya hai.

21

इसलिये यहोवा ने मुझ से कहा, अनातोत के लोग जो तेरे प्राण के खोजी हैं और यह कहते हैं कि तू यहोवा का नाम ले कर भविष्यद्वाणी न कर, नहीं तो हमारे हाथों से मरेगा।

Isliye Yahowa ne mujh se kaha, anatot ke log jo tere praan ke khoji hain aur yah kahte hain ki tu Yahowa ka naam le kar bhavishyadwani na kar, nahi to hamare hathon se marega.

22

इसलिये सेनाओं का यहोवा उनके विषय यों कहता है, मैं उन को दण्ड दूंगा; उनके जवान तलवार से, और उनके लड़के-लड़कियां भूखों मरेंगे;

Isliye senaon ka Yahowa unke vishay yon kahta hai, main un ko dand doonga; unke javaan talvaar se, aur unke ladke-ladkiyan bhookhon marenge;

23

और उन में से कोई भी न बचेगा। मैं अनातोत के लोगों पर यह विपत्ति डालूंगा; उनके दण्ड का दिन आने वाला है।

Aur un mein se koi bhi na bachega. Main anatot ke logon par yah vipatti daloonga; unke dand ka din aane vala hai.