James 5 · 20 verses

याकूब 5 James 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yakub 5.

1

हे धनवानों सुन तो लो; तुम अपने आने वाले क्लेशों पर चिल्ला-चिल्लाकर रोओ।

He dhanvanon sun to lo; tum apne aane vale kleshon par chilla-chillakar roo.

2

तुम्हारा धन बिगड़ गया और तुम्हारे वस्त्रों को कीड़े खा गए।

Tumhara dhan bigad gaya aur tumhare vastron ko keede kha gaye.

3

तुम्हारे सोने-चान्दी में काई लग गई है; और वह काई तुम पर गवाही देगी, और आग की नाईं तुम्हारा मांस खा जाएगी: तुम ने अन्तिम युग में धन बटोरा है।

Tumhare sone-chandi mein kai lag gai hai; aur vah kai tum par gavahi degi, aur aag ki nai tumhara maans kha jayegi: tum ne antim yug mein dhan batora hai.

4

देखो, जिन मजदूरों ने तुम्हारे खेत काटे, उन की वह मजदूरी जो तुम ने धोखा देकर रख ली है चिल्ला रही है, और लवने वालों की दोहाई, सेनाओं के प्रभु के कानों तक पहुंच गई है।

Dekho, jin majdooron ne tumhare khet kate, un ki vah majdoori jo tum ne dhokha dekar rakh li hai chilla rahi hai, aur lavne valon ki dohai, senaon ke Prabhu ke kanon tak pahunch gai hai.

5

तुम पृथ्वी पर भोग-विलास में लगे रहे और बड़ा ही सुख भोगा; तुम ने इस वध के दिन के लिये अपने हृदय का पालन-पोषण करके मोटा ताजा किया।

Tum prithvi par bhog-vilaas mein lage rahe aur bada hi sukh bhoga; tum ne is vadh ke din ke liye apne hriday ka palan-poshan karke mota taja kiya.

6

तुम ने धर्मी को दोषी ठहरा कर मार डाला; वह तुम्हारा साम्हना नहीं करता॥

Tum ne dharmi ko doshi thahra kar maar dala; vah tumhara samhana nahi karta.

7

सो हे भाइयों, प्रभु के आगमन तक धीरज धरो, देखो, गृहस्थ पृथ्वी के बहुमूल्य फल की आशा रखता हुआ प्रथम और अन्तिम वर्षा होने तक धीरज धरता है।

So he bhaiyon, Prabhu ke aagman tak dheeraj dharo, dekho, grihasth prithvi ke bahumoolya phal ki aasha rakhta huaa pratham aur antim varsha hone tak dheeraj dharta hai.

8

तुम भी धीरज धरो, और अपने हृदय को दृढ़ करो, क्योंकि प्रभु का शुभागमन निकट है।

Tum bhi dheeraj dharo, aur apne hriday ko dridh karo, kyonki Prabhu ka shubhagman nikat hai.

9

हे भाइयों, एक दूसरे पर दोष न लगाओ ताकि तुम दोषी न ठहरो, देखो, हाकिम द्वार पर खड़ा है।

He bhaiyon, ek doosre par dosh na lagao taki tum doshi na thahro, dekho, hakim dwaar par khada hai.

10

हे भाइयो, जिन भविष्यद्वक्ताओं ने प्रभु के नाम से बातें की, उन्हें दुख उठाने और धीरज धरने का एक आदर्श समझो।

He bhaiyo, jin bhavishyadwaktaon ne Prabhu ke naam se batein ki, unhein dukh uthane aur dheeraj dharne ka ek aadarsh samjho.

11

देखो, हम धीरज धरने वालों को धन्य कहते हैं: तुम ने अय्यूब के धीरज के विषय में तो सुना ही है, और प्रभु की ओर से जो उसका प्रतिफल हुआ उसे भी जान लिया है, जिस से प्रभु की अत्यन्त करूणा और दया प्रगट होती है।

Dekho, ham dheeraj dharne valon ko dhanya kahte hain: tum ne ayyoob ke dheeraj ke vishay mein to suna hi hai, aur Prabhu ki or se jo uska pratiphal huaa use bhi jaan liya hai, jis se Prabhu ki atyant karoona aur daya pragat hoti hai.

12

पर हे मेरे भाइयों, सब से श्रेष्ठ बात यह है, कि शपथ न खाना; न स्वर्ग की न पृथ्वी की, न किसी और वस्तु की, पर तुम्हारी बातचीत हां की हां, और नहीं की नहीं हो, कि तुम दण्ड के योग्य न ठहरो॥

Par he mere bhaiyon, sab se shreshth baat yah hai, ki shapath na khana; na swarg ki na prithvi ki, na kisi aur vastu ki, par tumhari batcheet han ki han, aur nahi ki nahi ho, ki tum dand ke yogya na thahro.

13

यदि तुम में कोई दुखी हो तो वह प्रार्थना करे: यदि आनन्दित हो, तो वह स्तुति के भजन गाए।

Yadi tum mein koi dukhi ho to vah prarthana kare: yadi aanandit ho, to vah stuti ke bhajan gaye.

14

यदि तुम में कोई रोगी हो, तो कलीसिया के प्राचीनों को बुलाए, और वे प्रभु के नाम से उस पर तेल मल कर उसके लिये प्रार्थना करें।

Yadi tum mein koi rogi ho, to kaleesiya ke pracheenon ko bulaye, aur ve Prabhu ke naam se us par tel mal kar uske liye prarthana karein.

15

और विश्वास की प्रार्थना के द्वारा रोगी बच जाएगा और प्रभु उस को उठा कर खड़ा करेगा; और यदि उस ने पाप भी किए हों, तो उन की भी क्षमा हो जाएगी।

Aur vishwaas ki prarthana ke dwara rogi bach jayega aur Prabhu us ko utha kar khada karega; aur yadi us ne paap bhi kiye hon, to un ki bhi kshama ho jayegi.

16

इसलिये तुम आपस में एक दूसरे के साम्हने अपने अपने पापों को मान लो; और एक दूसरे के लिये प्रार्थना करो, जिस से चंगे हो जाओ; धर्मी जन की प्रार्थना के प्रभाव से बहुत कुछ हो सकता है।

Isliye tum aapas mein ek doosre ke samhane apne apne papon ko maan lo; aur ek doosre ke liye prarthana karo, jis se change ho jao; dharmi jan ki prarthana ke prabhaav se bahut kuchh ho sakta hai.

17

एलिय्याह भी तो हमारे समान दुख-सुख भोगी मनुष्य था; और उस ने गिड़िगड़ा कर प्रार्थना की; कि मेंह न बरसे; और साढ़े तीन वर्ष तक भूमि पर मेंह नहीं बरसा।

Eliyyaah bhi to hamare samaan dukh-sukh bhogi manushya tha; aur us ne gidigda kar prarthana ki; ki menh na barse; aur sadhe teen varsh tak bhoomi par menh nahi barsa.

18

फिर उस ने प्रार्थना की, तो आकाश से वर्षा हुई, और भूमि फलवन्त हुई॥

Phir us ne prarthana ki, to aakaash se varsha hui, aur bhoomi phalvant hui.

19

हे मेरे भाइयों, यदि तुम में कोई सत्य के मार्ग से भटक जाए, और कोई उस को फेर लाए।

He mere bhaiyon, yadi tum mein koi satya ke maarg se bhatak jaye, aur koi us ko pher laye.

20

तो वह यह जान ले, कि जो कोई किसी भटके हुए पापी को फेर लाएगा, वह एक प्राण को मृत्यु से बचाएगा, और अनेक पापों पर परदा डालेगा॥

To vah yah jaan le, ki jo koi kisi bhatke hue papi ko pher layega, vah ek praan ko mrityu se bachayega, aur anek papon par parda dalega.