1 Peter 1 · 25 verses

1 पतरस 1 1 Peter 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 Patras 1.

1

पतरस की ओर से जो यीशु मसीह का प्रेरित है, उन परदेशियों के नाम, जो पुन्तुस, गलतिया, कप्पदुकिया, आसिया, और बिथुनिया में तित्तर बित्तर होकर रहते हैं।

Patras ki or se jo Yeshu Masih ka prerit hai, un pardeshiyon ke naam, jo puntus, galtiya, kappadukiya, aasiya, aur bithuniya mein tittar bittar hokar rahte hain.

2

और परमेश्वर पिता के भविष्य ज्ञान के अनुसार, आत्मा के पवित्र करने के द्वारा आज्ञा मानने, और यीशु मसीह के लोहू के छिड़के जाने के लिये चुने गए हैं। तुम्हें अत्यन्त अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥

Aur Parmeshwar pita ke bhavishya gyaan ke anusaar, aatma ke pavitra karne ke dwara aagya manne, aur Yeshu Masih ke lohu ke chhidke jane ke liye chune gaye hain. Tumhein atyant anugrah aur shanti milti rahe.

3

हमारे प्रभु यीशु मसीह के परमेश्वर और पिता का धन्यवाद दो, जिस ने यीशु मसीह के हुओं में से जी उठने के द्वारा, अपनी बड़ी दया से हमें जीवित आशा के लिये नया जन्म दिया।

Hamare Prabhu Yeshu Masih ke Parmeshwar aur pita ka dhanyavaad do, jis ne Yeshu Masih ke huon mein se ji uthne ke dwara, apni badi daya se hamein jeevit aasha ke liye naya janm diya.

4

अर्थात एक अविनाशी और निर्मल, और अजर मीरास के लिये।

Arthaat ek avinashi aur nirmal, aur ajar meeraas ke liye.

5

जो तुम्हारे लिये स्वर्ग में रखी है, जिन की रक्षा परमेश्वर की सामर्थ से, विश्वास के द्वारा उस उद्धार के लिये, जो आने वाले समय में प्रगट होने वाली है, की जाती है।

Jo tumhare liye swarg mein rakhi hai, jin ki raksha Parmeshwar ki samarth se, vishwaas ke dwara us uddhaar ke liye, jo aane vale samay mein pragat hone vali hai, ki jati hai.

6

और इस कारण तुम मगन होते हो, यद्यपि अवश्य है कि अब कुछ दिन तक नाना प्रकार की परीक्षाओं के कारण उदास हो।

Aur is karan tum magan hote ho, yadyapi avashya hai ki ab kuchh din tak nana prakaar ki pareekshaon ke karan udaas ho.

7

और यह इसलिये है कि तुम्हारा परखा हुआ विश्वास, जो आग से ताए हुए नाशमान सोने से भी कहीं, अधिक बहुमूल्य है, यीशु मसीह के प्रगट होने पर प्रशंसा, और महिमा, और आदर का कारण ठहरे।

Aur yah isliye hai ki tumhara parkha huaa vishwaas, jo aag se taye hue nashmaan sone se bhi kahi, adhik bahumoolya hai, Yeshu Masih ke pragat hone par prashansa, aur mahima, aur aadar ka karan thahre.

8

उस से तुम बिन देखे प्रेम रखते हो, और अब तो उस पर बिन देखे भी विश्वास करके ऐसे आनन्दित और मगन होते हो, जो वर्णन से बाहर और महिमा से भरा हुआ है।

Us se tum bin dekhe prem rakhte ho, aur ab to us par bin dekhe bhi vishwaas karke aise aanandit aur magan hote ho, jo varnan se bahar aur mahima se bhara huaa hai.

9

और अपने विश्वास का प्रतिफल अर्थात आत्माओं का उद्धार प्राप्त करते हो।

Aur apne vishwaas ka pratiphal arthaat aatmaon ka uddhaar praapt karte ho.

10

इसी उद्धार के विषय में उन भविष्यद्वक्ताओं ने बहुत ढूंढ़-ढांढ़ और जांच-पड़ताल की, जिन्हों ने उस अनुग्रह के विषय में जो तुम पर होने को था, भविष्यद्वाणी की थी।

Isi uddhaar ke vishay mein un bhavishyadwaktaon ne bahut dhoondh-dhaandh aur jaanch-padtaal ki, jinhon ne us anugrah ke vishay mein jo tum par hone ko tha, bhavishyadwani ki thi.

11

उन्होंने इस बात की खोज की कि मसीह का आत्मा जो उन में था, और पहिले ही से मसीह के दुखों की और उन के बाद होने वाली महिमा की गवाही देता था, वह कौन से और कैसे समय की ओर संकेत करता था।

Unhonne is baat ki khoj ki ki Masih ka aatma jo un mein tha, aur pahile hi se Masih ke dukhon ki aur un ke baad hone vali mahima ki gavahi deta tha, vah kaun se aur kaise samay ki or sanket karta tha.

12

उन पर यह प्रगट किया गया, कि वे अपनी नहीं वरन तुम्हारी सेवा के लिये ये बातें कहा करते थे, जिन का समाचार अब तुम्हें उन के द्वारा मिला जिन्हों ने पवित्र आत्मा के द्वारा जो स्वर्ग से भेजा गया: तुम्हें सुसमाचार सुनाया, और इन बातों को स्वर्गदूत भी ध्यान से देखने की लालसा रखते हैं॥

Un par yah pragat kiya gaya, ki ve apni nahi varan tumhari seva ke liye ye batein kaha karte the, jin ka samachaar ab tumhein un ke dwara mila jinhon ne pavitra aatma ke dwara jo swarg se bheja gaya: tumhein susmachaar sunaya, aur in baton ko swargadoot bhi dhyaan se dekhne ki lalsa rakhte hain.

13

इस कारण अपनी अपनी बुद्धि की कमर बान्धकर, और सचेत रहकर उस अनुग्रह की पूरी आशा रखो, जो यीशु मसीह के प्रगट होने के समय तुम्हें मिलने वाला है।

Is karan apni apni buddhi ki kamar bandhakar, aur sachet rahkar us anugrah ki poori aasha rakho, jo Yeshu Masih ke pragat hone ke samay tumhein milne vala hai.

14

और आज्ञाकारी बालकों की नाईं अपनी अज्ञानता के समय की पुरानी अभिलाषाओं के सदृश न बनो।

Aur aagyakari balkon ki nai apni agyanta ke samay ki purani abhilashaon ke sadrish na bano.

15

पर जैसा तुम्हारा बुलाने वाला पवित्र है, वैसे ही तुम भी अपने सारे चाल चलन में पवित्र बनो।

Par jaisa tumhara bulane vala pavitra hai, vaise hi tum bhi apne sare chaal chalan mein pavitra bano.

16

क्योंकि लिखा है, कि पवित्र बनो, क्योंकि मैं पवित्र हूं।

Kyonki likha hai, ki pavitra bano, kyonki main pavitra hoon.

17

और जब कि तुम, हे पिता, कह कर उस से प्रार्थना करते हो, जो बिना पक्षपात हर एक के काम के अनुसार न्याय करता है, तो अपने परदेशी होने का समय भय से बिताओ।

Aur jab ki tum, he pita, kah kar us se prarthana karte ho, jo bina pakshapaat har ek ke kaam ke anusaar nyaay karta hai, to apne pardeshi hone ka samay bhay se bitao.

18

क्योंकि तुम जानते हो, कि तुम्हारा निकम्मा चाल-चलन जो बाप दादों से चला आता है उस से तुम्हारा छुटकारा चान्दी सोने अर्थात नाशमान वस्तुओं के द्वारा नहीं हुआ।

Kyonki tum jante ho, ki tumhara nikamma chaal-chalan jo baap dadon se chala aata hai us se tumhara chhutkara chandi sone arthaat nashmaan vastuon ke dwara nahi huaa.

19

पर निर्दोष और निष्कलंक मेम्ने अर्थात मसीह के बहुमूल्य लोहू के द्वारा हुआ।

Par nirdosh aur nishkalank memne arthaat Masih ke bahumoolya lohu ke dwara huaa.

20

उसका ज्ञान तो जगत की उत्पत्ति के पहिले ही से जाना गया था, पर अब इस अन्तिम युग में तुम्हारे लिये प्रगट हुआ।

Uska gyaan to jagat ki utpatti ke pahile hi se jana gaya tha, par ab is antim yug mein tumhare liye pragat huaa.

21

जो उसके द्वारा उस परमेश्वर पर विश्वास करते हो, जिस ने उसे मरे हुओं में से जिलाया, और महिमा दी; कि तुम्हारा विश्वास और आशा परमेश्वर पर हो।

Jo uske dwara us Parmeshwar par vishwaas karte ho, jis ne use mare huon mein se jilaya, aur mahima di; ki tumhara vishwaas aur aasha Parmeshwar par ho.

22

सो जब कि तुम ने भाईचारे की निष्कपट प्रीति के निमित्त सत्य के मानने से अपने मनों को पवित्र किया है, तो तन मन लगा कर एक दूसरे से अधिक प्रेम रखो।

So jab ki tum ne bhaichare ki nishkapat preeti ke nimitt satya ke manne se apne manon ko pavitra kiya hai, to tan man laga kar ek doosre se adhik prem rakho.

23

क्योंकि तुम ने नाशमान नहीं पर अविनाशी बीज से परमेश्वर के जीवते और सदा ठहरने वाले वचन के द्वारा नया जन्म पाया है।

Kyonki tum ne nashmaan nahi par avinashi beej se Parmeshwar ke jeevte aur sada thaharne vale vachan ke dwara naya janm paya hai.

24

क्योंकि हर एक प्राणी घास की नाईं है, और उस की सारी शोभा घास के फूल की नाईं है: घास सूख जाती है, और फूल झड़ जाता है।

Kyonki har ek prani ghaas ki nai hai, aur us ki sari shobha ghaas ke phool ki nai hai: ghaas sookh jati hai, aur phool jhad jata hai.

25

परन्तु प्रभु का वचन युगानुयुग स्थिर रहेगा: और यह ही सुसमाचार का वचन है जो तुम्हें सुनाया गया था॥

Parantu Prabhu ka vachan yuganuyug sthir rahega: aur yah hi susmachaar ka vachan hai jo tumhein sunaya gaya tha.