तुम में लड़ाइयां और झगड़े कहां से आ गए? क्या उन सुख-विलासों से नहीं जो तुम्हारे अंगों में लड़ते-भिड़ते हैं?
Tum mein ladaiyan aur jhagde kahan se aa gaye? Kya un sukh-vilason se nahi jo tumhare angon mein ladte-bhidte hain?
James 4 · 17 verses
तुम में लड़ाइयां और झगड़े कहां से आ गए? क्या उन सुख-विलासों से नहीं जो तुम्हारे अंगों में लड़ते-भिड़ते हैं?
Tum mein ladaiyan aur jhagde kahan se aa gaye? Kya un sukh-vilason se nahi jo tumhare angon mein ladte-bhidte hain?
तुम लालसा रखते हो, और तुम्हें मिलता नहीं; तुम हत्या और डाह करते हो, ओर कुछ प्राप्त नहीं कर सकते; तुम झगड़ते और लड़ते हो; तुम्हें इसलिये नहीं मिलता, कि मांगते नहीं।
Tum lalsa rakhte ho, aur tumhein milta nahi; tum hatya aur daah karte ho, or kuchh praapt nahi kar sakte; tum jhagadte aur ladte ho; tumhein isliye nahi milta, ki mangte nahi.
तुम मांगते हो और पाते नहीं, इसलिये कि बुरी इच्छा से मांगते हो, ताकि अपने भोग विलास में उड़ा दो।
Tum mangte ho aur pate nahi, isliye ki buri ichchha se mangte ho, taki apne bhog vilaas mein uda do.
हे व्यभिचारिणयों, क्या तुम नहीं जानतीं, कि संसार से मित्रता करनी परमेश्वर से बैर करना है सो जो कोई संसार का मित्र होना चाहता है, वह अपने आप को परमेश्वर का बैरी बनाता है।
He vyabhicharinyon, kya tum nahi janti, ki sansaar se mitrata karni Parmeshwar se bair karna hai so jo koi sansaar ka mitra hona chahta hai, vah apne aap ko Parmeshwar ka bairi banata hai.
क्या तुम यह समझते हो, कि पवित्र शास्त्र व्यर्थ कहता है जिस आत्मा को उस ने हमारे भीतर बसाया है, क्या वह ऐसी लालसा करता है, जिस का प्रतिफल डाह हो?
Kya tum yah samajhte ho, ki pavitra shastra vyarth kahta hai jis aatma ko us ne hamare bheetar basaya hai, kya vah aisi lalsa karta hai, jis ka pratiphal daah ho?
वह तो और भी अनुग्रह देता है; इस कारण यह लिखा है, कि परमेश्वर अभिमानियों से विरोध करता है, पर दीनों पर अनुग्रह करता है।
Vah to aur bhi anugrah deta hai; is karan yah likha hai, ki Parmeshwar abhimaniyon se virodh karta hai, par deenon par anugrah karta hai.
इसलिये परमेश्वर के आधीन हो जाओ; और शैतान का साम्हना करो, तो वह तुम्हारे पास से भाग निकलेगा।
Isliye Parmeshwar ke aadheen ho jao; aur Shaitan ka samhana karo, to vah tumhare paas se bhaag niklega.
परमेश्वर के निकट आओ, तो वह भी तुम्हारे निकट आएगा: हे पापियों, अपने हाथ शुद्ध करो; और हे दुचित्ते लोगों अपने हृदय को पवित्र करो।
Parmeshwar ke nikat aao, to vah bhi tumhare nikat aayega: he papiyon, apne haath shuddh karo; aur he duchitte logon apne hriday ko pavitra karo.
दुखी होओ, और शोक करा, और रोओ: तुम्हारी हंसी शोक में और तुम्हारा आनन्द उदासी में बदल जाए।
Dukhi hoo, aur shok kara, aur roo: tumhari hansi shok mein aur tumhara aanand udasi mein badal jaye.
प्रभु के साम्हने दीन बनो, तो वह तुम्हें शिरोमणि बनाएगा।
Prabhu ke samhane deen bano, to vah tumhein shiromni banayega.
हे भाइयों, एक दूसरे की बदनामी न करो, जो अपने भाई की बदनामी करता है, या भाई पर दोष लगाता है, वह व्यवस्था की बदनामी करता है, और व्यवस्था पर दोष लगाता है; और यदि तू व्यवस्था पर दोष लगाता है, तो तू व्यवस्था पर चलने वाला नहीं, पर उस पर हाकिम ठहरा।
He bhaiyon, ek doosre ki badnami na karo, jo apne bhai ki badnami karta hai, ya bhai par dosh lagata hai, vah vyavastha ki badnami karta hai, aur vyavastha par dosh lagata hai; aur yadi tu vyavastha par dosh lagata hai, to tu vyavastha par chalne vala nahi, par us par hakim thahra.
व्यवस्था देने वाला और हाकिम तो एक ही है, जिसे बचाने और नाश करने की सामर्थ है; तू कौन है, जो अपने पड़ोसी पर दोष लगाता है?
Vyavastha dene vala aur hakim to ek hi hai, jise bachane aur naash karne ki samarth hai; tu kaun hai, jo apne padosi par dosh lagata hai?
तुम जो यह कहते हो, कि आज या कल हम किसी और नगर में जाकर वहां एक वर्ष बिताएंगे, और व्यापार करके लाभ उठाएंगे।
Tum jo yah kahte ho, ki aaj ya kal ham kisi aur nagar mein jakar vahan ek varsh bitayenge, aur vyapaar karke laabh uthayenge.
और यह नहीं जानते कि कल क्या होगा: सुन तो लो, तुम्हारा जीवन है ही क्या? तुम तो मानो भाप समान हो, जो थोड़ी देर दिखाई देती है, फिर लोप हो जाती है।
Aur yah nahi jante ki kal kya hoga: sun to lo, tumhara jeevan hai hi kya? Tum to mano bhaap samaan ho, jo thodi der dikhai deti hai, phir lop ho jati hai.
इस के विपरीत तुम्हें यह कहना चाहिए, कि यदि प्रभु चाहे तो हम जीवित रहेंगे, और यह या वह काम भी करेंगे।
Is ke vipreet tumhein yah kahna chahiye, ki yadi Prabhu chahe to ham jeevit rahenge, aur yah ya vah kaam bhi karenge.
पर अब तुम अपनी डींग पर घमण्ड करते हो; ऐसा सब घमण्ड बुरा होता है।
Par ab tum apni deeng par ghamand karte ho; aisa sab ghamand bura hota hai.
इसलिये जो कोई भलाई करना जानता है और नहीं करता, उसके लिये यह पाप है॥
Isliye jo koi bhalai karna janta hai aur nahi karta, uske liye yah paap hai.