हे मेरे भाइयों, तुम में से बहुत उपदेशक न बनें, क्योंकि जानते हो, कि हम उपदेशक और भी दोषी ठहरेंगे।
He mere bhaiyon, tum mein se bahut updeshak na banein, kyonki jante ho, ki ham updeshak aur bhi doshi thahrenge.
James 3 · 18 verses
हे मेरे भाइयों, तुम में से बहुत उपदेशक न बनें, क्योंकि जानते हो, कि हम उपदेशक और भी दोषी ठहरेंगे।
He mere bhaiyon, tum mein se bahut updeshak na banein, kyonki jante ho, ki ham updeshak aur bhi doshi thahrenge.
इसलिये कि हम सब बहुत बार चूक जाते हैं: जो कोई वचन में नहीं चूकता, वही तो सिद्ध मनुष्य है; और सारी देह पर भी लगाम लगा सकता है।
Isliye ki ham sab bahut baar chook jate hain: jo koi vachan mein nahi chookta, vahi to siddh manushya hai; aur sari deh par bhi lagaam laga sakta hai.
जब हम अपने वश में करने के लिये घोड़ों के मुंह में लगाम लगाते हैं, तो हम उन की सारी देह को भी फेर सकते हैं।
Jab ham apne vash mein karne ke liye ghodon ke munh mein lagaam lagate hain, to ham un ki sari deh ko bhi pher sakte hain.
देखो, जहाज भी, यद्यपि ऐसे बड़े होते हैं, और प्रचण्ड वायु से चलाए जाते हैं, तौभी एक छोटी सी पतवार के द्वारा मांझी की इच्छा के अनुसार घुमाए जाते हैं।
Dekho, jahaaj bhi, yadyapi aise bade hote hain, aur prachand vayu se chalaye jate hain, taubhi ek chhoti si patvaar ke dwara manjhi ki ichchha ke anusaar ghumaye jate hain.
वैसे ही जीभ भी एक छोटा सा अंग है और बड़ी बड़ी डींगे मारती है: देखो, थोड़ी सी आग से कितने बड़े वन में आग लग जाती है।
Vaise hi jeebh bhi ek chhota sa ang hai aur badi badi deenge marti hai: dekho, thodi si aag se kitne bade van mein aag lag jati hai.
जीभ भी एक आग है: जीभ हमारे अंगों में अधर्म का एक लोक है और सारी देह पर कलंक लगाती है, और भवचक्र में आग लगा देती है और नरक कुण्ड की आग से जलती रहती है।
Jeebh bhi ek aag hai: jeebh hamare angon mein adharm ka ek lok hai aur sari deh par kalank lagati hai, aur bhavchakra mein aag laga deti hai aur narak kund ki aag se jalti rahti hai.
क्योंकि हर प्रकार के बन-पशु, पक्षी, और रेंगने वाले जन्तु और जलचर तो मनुष्य जाति के वश में हो सकते हैं और हो भी गए हैं।
Kyonki har prakaar ke ban-pashu, pakshi, aur rengne vale jantu aur jalchar to manushya jati ke vash mein ho sakte hain aur ho bhi gaye hain.
पर जीभ को मनुष्यों में से कोई वश में नहीं कर सकता; वह एक ऐसी बला है जो कभी रुकती ही नहीं; वह प्राण नाशक विष से भरी हुई है।
Par jeebh ko manushyon mein se koi vash mein nahi kar sakta; vah ek aisi bala hai jo kabhi rukti hi nahi; vah praan nashak vish se bhari hui hai.
इसी से हम प्रभु और पिता की स्तुति करते हैं; और इसी से मनुष्यों को जो परमेश्वर के स्वरूप में उत्पन्न हुए हैं श्राप देते हैं।
Isi se ham Prabhu aur pita ki stuti karte hain; aur isi se manushyon ko jo Parmeshwar ke swaroop mein utpann hue hain shraap dete hain.
एक ही मुंह से धन्यवाद और श्राप दोनों निकलते हैं।
Ek hi munh se dhanyavaad aur shraap donon nikalte hain.
हे मेरे भाइयों, ऐसा नहीं होना चाहिए।
He mere bhaiyon, aisa nahi hona chahiye.
क्या सोते के एक ही मुंह से मीठा और खारा जल दोनों निकलते हैं? हे मेरे भाइयों, क्या अंजीर के पेड़ में जैतून, या दाख की लता में अंजीर लग सकते हैं? वैसे ही खारे सोते से मीठा पानी नहीं निकल सकता॥
Kya sote ke ek hi munh se meetha aur khara jal donon nikalte hain? He mere bhaiyon, kya anjeer ke ped mein jaitoon, ya daakh ki lata mein anjeer lag sakte hain? Vaise hi khare sote se meetha pani nahi nikal sakta.
तुम में ज्ञानवान और समझदार कौन है? जो ऐसा हो वह अपने कामों को अच्छे चालचलन से उस नम्रता सहित प्रगट करे जो ज्ञान से उत्पन्न होती है।
Tum mein gyanvaan aur samajhdaar kaun hai? Jo aisa ho vah apne kamon ko achchhe chalachlan se us namrata sahit pragat kare jo gyaan se utpann hoti hai.
पर यदि तुम अपने अपने मन में कड़वी डाह और विरोध रखते हो, तो सत्य के विरोध में घमण्ड न करना, और न तो झूठ बोलना।
Par yadi tum apne apne man mein kadvi daah aur virodh rakhte ho, to satya ke virodh mein ghamand na karna, aur na to jhooth bolna.
यह ज्ञान वह नहीं, जो ऊपर से उतरता है वरन सांसारिक, और शारीरिक, और शैतानी है।
Yah gyaan vah nahi, jo oopar se utarta hai varan sansarik, aur shareerik, aur shaitani hai.
इसलिये कि जहां डाह और विरोध होता है, वहां बखेड़ा और हर प्रकार का दुष्कर्म भी होता है।
Isliye ki jahan daah aur virodh hota hai, vahan bakheda aur har prakaar ka dushkarm bhi hota hai.
पर जो ज्ञान ऊपर से आता है वह पहिले तो पवित्र होता है फिर मिलनसार, कोमल और मृदुभाव और दया, और अच्छे फलों से लदा हुआ और पक्षपात और कपट रहित होता है।
Par jo gyaan oopar se aata hai vah pahile to pavitra hota hai phir milansaar, komal aur mridubhaav aur daya, aur achchhe phalon se lada huaa aur pakshapaat aur kapat rahit hota hai.
और मिलाप कराने वालों के लिये धार्मिकता का फल मेल-मिलाप के साथ बोया जाता है॥
Aur milaap karane valon ke liye dharmikta ka phal mel-milaap ke saath boya jata hai.