James 1 · 27 verses

याकूब 1 James 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yakub 1.

1

परमेश्वर के और प्रभु यीशु मसीह के दास याकूब की ओर से उन बारहों गोत्रों को जो तित्तर बित्तर होकर रहते हैं नमस्कार पहुंचे॥

Parmeshwar ke aur Prabhu Yeshu Masih ke daas Yakub ki or se un barhon gotron ko jo tittar bittar hokar rahte hain namaskaar pahunche.

2

हे मेरे भाइयों, जब तुम नाना प्रकार की परीक्षाओं में पड़ो

He mere bhaiyon, jab tum nana prakaar ki pareekshaon mein pado

3

तो इसको पूरे आनन्द की बात समझो, यह जान कर, कि तुम्हारे विश्वास के परखे जाने से धीरज उत्पन्न होता है।

To isko poore aanand ki baat samjho, yah jaan kar, ki tumhare vishwaas ke parkhe jane se dheeraj utpann hota hai.

4

पर धीरज को अपना पूरा काम करने दो, कि तुम पूरे और सिद्ध हो जाओ और तुम में किसी बात की घटी न रहे॥

Par dheeraj ko apna poora kaam karne do, ki tum poore aur siddh ho jao aur tum mein kisi baat ki ghati na rahe.

5

पर यदि तुम में से किसी को बुद्धि की घटी हो, तो परमेश्वर से मांगे, जो बिना उलाहना दिए सब को उदारता से देता है; और उस को दी जाएगी।

Par yadi tum mein se kisi ko buddhi ki ghati ho, to Parmeshwar se mange, jo bina ulahna diye sab ko udarta se deta hai; aur us ko di jayegi.

6

पर विश्वास से मांगे, और कुछ सन्देह न करे; क्योंकि सन्देह करने वाला समुद्र की लहर के समान है जो हवा से बहती और उछलती है।

Par vishwaas se mange, aur kuchh sandeh na kare; kyonki sandeh karne vala samudra ki lahar ke samaan hai jo hava se bahti aur uchhalti hai.

7

ऐसा मनुष्य यह न समझे, कि मुझे प्रभु से कुछ मिलेगा।

Aisa manushya yah na samjhe, ki mujhe Prabhu se kuchh milega.

8

वह व्यक्ति दुचित्ता है, और अपनी सारी बातों में चंचल है॥

Vah vyakti duchitta hai, aur apni sari baton mein chanchal hai.

9

दीन भाई अपने ऊंचे पद पर घमण्ड करे।

Deen bhai apne oonche pad par ghamand kare.

10

और धनवान अपनी नीच दशा पर: क्योंकि वह घास के फूल की नाईं जाता रहेगा।

Aur dhanvaan apni neech dasha par: kyonki vah ghaas ke phool ki nai jata rahega.

11

क्योंकि सूर्य उदय होते ही कड़ी धूप पड़ती है और घास को सुखा देती है, और उसका फूल झड़ जाता है, और उस की शोभा जाती रहती है; उसी प्रकार धनवान भी अपने मार्ग पर चलते चलते धूल में मिल जाएगा।

Kyonki soorya uday hote hi kadi dhoop padti hai aur ghaas ko sukha deti hai, aur uska phool jhad jata hai, aur us ki shobha jati rahti hai; usi prakaar dhanvaan bhi apne maarg par chalte chalte dhool mein mil jayega.

12

धन्य है वह मनुष्य, जो परीक्षा में स्थिर रहता है; क्योंकि वह खरा निकल कर जीवन का वह मुकुट पाएगा, जिस की प्रतिज्ञा प्रभु ने अपने प्रेम करने वालों को दी है।

Dhanya hai vah manushya, jo pareeksha mein sthir rahta hai; kyonki vah khara nikal kar jeevan ka vah mukut payega, jis ki pratigya Prabhu ne apne prem karne valon ko di hai.

13

जब किसी की परीक्षा हो, तो वह यह न कहे, कि मेरी परीक्षा परमेश्वर की ओर से होती है; क्योंकि न तो बुरी बातों से परमेश्वर की परीक्षा हो सकती है, और न वह किसी की परीक्षा आप करता है।

Jab kisi ki pareeksha ho, to vah yah na kahe, ki meri pareeksha Parmeshwar ki or se hoti hai; kyonki na to buri baton se Parmeshwar ki pareeksha ho sakti hai, aur na vah kisi ki pareeksha aap karta hai.

14

परन्तु प्रत्येक व्यक्ति अपनी ही अभिलाषा में खिंच कर, और फंस कर परीक्षा में पड़ता है।

Parantu pratyek vyakti apni hi abhilasha mein khinch kar, aur phans kar pareeksha mein padta hai.

15

फिर अभिलाषा गर्भवती होकर पाप को जनती है और पाप जब बढ़ जाता है तो मृत्यु को उत्पन्न करता है।

Phir abhilasha garbhavti hokar paap ko janti hai aur paap jab badh jata hai to mrityu ko utpann karta hai.

16

हे मेरे प्रिय भाइयों, धोखा न खाओ।

He mere priya bhaiyon, dhokha na khao.

17

क्योंकि हर एक अच्छा वरदान और हर एक उत्तम दान ऊपर ही से है, और ज्योतियों के पिता की ओर से मिलता है, जिस में न तो कोई परिवर्तन हो सकता है, ओर न अदल बदल के कारण उस पर छाया पड़ती है।

Kyonki har ek achchha vardaan aur har ek uttam daan oopar hi se hai, aur jyotiyon ke pita ki or se milta hai, jis mein na to koi parivartan ho sakta hai, or na adal badal ke karan us par chhaya padti hai.

18

उस ने अपनी ही इच्छा से हमें सत्य के वचन के द्वारा उत्पन्न किया, ताकि हम उस की सृष्टि की हुई वस्तुओं में से एक प्रकार के प्रथम फल हों॥

Us ne apni hi ichchha se hamein satya ke vachan ke dwara utpann kiya, taki ham us ki srishti ki hui vastuon mein se ek prakaar ke pratham phal hon.

19

हे मेरे प्रिय भाइयो, यह बात तुम जानते हो: इसलिये हर एक मनुष्य सुनने के लिये तत्पर और बोलने में धीरा और क्रोध में धीमा हो।

He mere priya bhaiyo, yah baat tum jante ho: isliye har ek manushya sunne ke liye tatpar aur bolne mein dheera aur krodh mein dheema ho.

20

क्योंकि मनुष्य का क्रोध परमेश्वर के धर्म का निर्वाह नहीं कर सकता है।

Kyonki manushya ka krodh Parmeshwar ke dharm ka nirvaah nahi kar sakta hai.

21

इसलिये सारी मलिनता और बैर भाव की बढ़ती को दूर करके, उस वचन को नम्रता से ग्रहण कर लो, जो हृदय में बोया गया और जो तुम्हारे प्राणों का उद्धार कर सकता है।

Isliye sari malinta aur bair bhaav ki badhti ko door karke, us vachan ko namrata se grahan kar lo, jo hriday mein boya gaya aur jo tumhare pranon ka uddhaar kar sakta hai.

22

परन्तु वचन पर चलने वाले बनो, और केवल सुनने वाले ही नहीं जो अपने आप को धोखा देते हैं।

Parantu vachan par chalne vale bano, aur keval sunne vale hi nahi jo apne aap ko dhokha dete hain.

23

क्योंकि जो कोई वचन का सुनने वाला हो, और उस पर चलने वाला न हो, तो वह उस मनुष्य के समान है जो अपना स्वाभाविक मुंह दर्पण में देखता है।

Kyonki jo koi vachan ka sunne vala ho, aur us par chalne vala na ho, to vah us manushya ke samaan hai jo apna swabhavik munh darpan mein dekhta hai.

24

इसलिये कि वह अपने आप को देख कर चला जाता, और तुरन्त भूल जाता है कि मैं कैसा था।

Isliye ki vah apne aap ko dekh kar chala jata, aur turant bhool jata hai ki main kaisa tha.

25

पर जो व्यक्ति स्वतंत्रता की सिद्ध व्यवस्था पर ध्यान करता रहता है, वह अपने काम में इसलिये आशीष पाएगा कि सुनकर नहीं, पर वैसा ही काम करता है।

Par jo vyakti swatantrata ki siddh vyavastha par dhyaan karta rahta hai, vah apne kaam mein isliye aasheesh payega ki sunkar nahi, par vaisa hi kaam karta hai.

26

यदि कोई अपने आप को भक्त समझे, और अपनी जीभ पर लगाम न दे, पर अपने हृदय को धोखा दे, तो उस की भक्ति व्यर्थ है।

Yadi koi apne aap ko bhakt samjhe, aur apni jeebh par lagaam na de, par apne hriday ko dhokha de, to us ki bhakti vyarth hai.

27

हमारे परमेश्वर और पिता के निकट शुद्ध और निर्मल भक्ति यह है, कि अनाथों और विधवाओं के क्लेश में उन की सुधि लें, और अपने आप को संसार से निष्कलंक रखें॥

Hamare Parmeshwar aur pita ke nikat shuddh aur nirmal bhakti yah hai, ki anathon aur vidhvaon ke klesh mein un ki sudhi lein, aur apne aap ko sansaar se nishkalank rakhein.