Hebrews 8 · 13 verses

इब्रानियों 8 Hebrews 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 8.

1

अब जो बातें हम कह रहे हैं, उन में से सब से बड़ी बात यह है, कि हमारा ऐसा महायाजक है, जो स्वर्ग पर महामहिमन के सिंहासन के दाहिने जा बैठा।

Ab jo batein ham kah rahe hain, un mein se sab se badi baat yah hai, ki hamara aisa mahayajak hai, jo swarg par mahamhiman ke sinhasan ke dahine ja baitha.

2

और पवित्र स्थान और उस सच्चे तम्बू का सेवक हुआ, जिसे किसी मनुष्य ने नहीं, वरन प्रभु ने खड़ा किया था।

Aur pavitra sthaan aur us sachche tambu ka sevak huaa, jise kisi manushya ne nahi, varan Prabhu ne khada kiya tha.

3

क्योंकि हर एक महायाजक भेंट, और बलिदान चढ़ाने के लिये ठहराया जाता है, इस कारण अवश्य है, कि इस के पास भी कुछ चढ़ाने के लिये हो।

Kyonki har ek mahayajak bhent, aur balidaan chadhane ke liye thahraya jata hai, is karan avashya hai, ki is ke paas bhi kuchh chadhane ke liye ho.

4

और यदि वह पृथ्वी पर होता तो कभी याजक न होता, इसलिये कि व्यवस्था के अनुसार भेंट चढ़ाने वाले तो हैं।

Aur yadi vah prithvi par hota to kabhi yajak na hota, isliye ki vyavastha ke anusaar bhent chadhane vale to hain.

5

जो स्वर्ग में की वस्तुओं के प्रतिरूप और प्रतिबिम्ब की सेवा करते हैं, जैसे जब मूसा तम्बू बनाने पर था, तो उसे यह चितावनी मिली, कि देख जो नमूना तुझे पहाड़ पर दिखाया गया था, उसके अनुसार सब कुछ बनाना।

Jo swarg mein ki vastuon ke pratiroop aur pratibimb ki seva karte hain, jaise jab Musa tambu banane par tha, to use yah chitavni mili, ki dekh jo namoona tujhe pahaad par dikhaya gaya tha, uske anusaar sab kuchh banana.

6

पर उस को उन की सेवकाई से बढ़कर मिली, क्योंकि वह और भी उत्तम वाचा का मध्यस्थ ठहरा, जो और उत्तम प्रतिज्ञाओं के सहारे बान्धी गई है।

Par us ko un ki sevkai se badhkar mili, kyonki vah aur bhi uttam vacha ka madhyasth thahra, jo aur uttam pratigyaon ke sahare bandhi gai hai.

7

क्योंकि यदि वह पहिली वाचा निर्दोष होती, तो दूसरी के लिये अवसर न ढूंढ़ा जाता।

Kyonki yadi vah pahili vacha nirdosh hoti, to doosri ke liye avsar na dhoondha jata.

8

पर वह उन पर दोष लगाकर कहता है, कि प्रभु कहता है, देखो वे दिन आते हैं, कि मैं इस्त्राएल के घराने के साथ, और यहूदा के घराने के साथ, नई वाचा बान्धूंगा।

Par vah un par dosh lagakar kahta hai, ki Prabhu kahta hai, dekho ve din aate hain, ki main istrayel ke gharane ke saath, aur Yahuda ke gharane ke saath, nai vacha bandhoonga.

9

यह उस वाचा के समान न होगी, जो मैं ने उन के बाप दादों के साथ उस समय बान्धी थी, जब मैं उन का हाथ पकड़ कर उन्हें मिसर देश से निकाल लाया, क्योंकि वे मेरी वाचा पर स्थिर न रहे, और मैं ने उन की सुधि न ली; प्रभु यही कहता है।

Yah us vacha ke samaan na hogi, jo main ne un ke baap dadon ke saath us samay bandhi thi, jab main un ka haath pakad kar unhein misar desh se nikaal laya, kyonki ve meri vacha par sthir na rahe, aur main ne un ki sudhi na li; Prabhu yahi kahta hai.

10

फिर प्रभु कहता है, कि जो वाचा मैं उन दिनों के बाद इस्त्राएल के घराने के साथ बान्धूंगा, वह यह है, कि मैं अपनी व्यवस्था को उन के मनों में डालूंगा, और उसे उन के हृदय पर लिखूंगा, और मैं उन का परमेश्वर ठहरूंगा, और वे मेरे लोग ठहरेंगे।

Phir Prabhu kahta hai, ki jo vacha main un dinon ke baad istrayel ke gharane ke saath bandhoonga, vah yah hai, ki main apni vyavastha ko un ke manon mein daloonga, aur use un ke hriday par likhoonga, aur main un ka Parmeshwar thahroonga, aur ve mere log thahrenge.

11

और हर एक अपने देश वाले को और अपने भाई को यह शिक्षा न देगा, कि तू प्रभु को पहिचान क्योंकि छोटे से बड़े तक सब मुझे जान लेंगे।

Aur har ek apne desh vale ko aur apne bhai ko yah shiksha na dega, ki tu Prabhu ko pahichaan kyonki chhote se bade tak sab mujhe jaan lenge.

12

क्योंकि मैं उन के अधर्म के विषय मे दयावन्त हूंगा, और उन के पापों को फिर स्मरण न करूंगा।

Kyonki main un ke adharm ke vishay me dayavant hoonga, aur un ke papon ko phir smaran na karoonga.

13

नई वाचा के स्थापन से उस ने प्रथम वाचा को पुरानी ठहराई, और जो वस्तु पुरानी और जीर्ण जो जाती है उसका मिट जाना अनिवार्य है॥

Nai vacha ke sthapan se us ne pratham vacha ko purani thahrai, aur jo vastu purani aur jeern jo jati hai uska mit jana anivarya hai.