Hebrews 7 · 28 verses

इब्रानियों 7 Hebrews 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 7.

1

यह मलिकिसिदक शालेम का राजा, और परमप्रधान परमेश्वर का याजक, सर्वदा याजक बना रहता है; जब इब्राहीम राजाओं को मार कर लौटा जाता था, तो इसी ने उस से भेंट करके उसे आशीष दी।

Yah malikisidak shalem ka raja, aur parmapradhaan Parmeshwar ka yajak, sarvada yajak bana rahta hai; jab Ibrahim rajaon ko maar kar lauta jata tha, to isi ne us se bhent karke use aasheesh di.

2

इसी को इब्राहीम ने सब वस्तुओं का दसवां अंश भी दिया: यह पहिले अपने नाम के अर्थ के अनुसार, धर्म का राजा, और फिर शालेम अर्थात शांति का राजा है।

Isi ko Ibrahim ne sab vastuon ka dasvan ansh bhi diya: yah pahile apne naam ke arth ke anusaar, dharm ka raja, aur phir shalem arthaat shanti ka raja hai.

3

जिस का न पिता, न माता, न वंशावली है, जिस के न दिनों का आदि है और न जीवन का अन्त है; परन्तु परमेश्वर के पुत्र के स्वरूप ठहरा॥

Jis ka na pita, na mata, na vanshavli hai, jis ke na dinon ka aadi hai aur na jeevan ka ant hai; parantu Parmeshwar ke putra ke swaroop thahra.

4

अब इस पर ध्यान करो कि यह कैसा महान था जिस को कुलपति इब्राहीम ने अच्छे से अच्छे माल की लूट का दसवां अंश दिया।

Ab is par dhyaan karo ki yah kaisa mahaan tha jis ko kulapti Ibrahim ne achchhe se achchhe maal ki loot ka dasvan ansh diya.

5

लेवी की संतान में से जो याजक का पद पाते हैं, उन्हें आज्ञा मिली है, कि लोगों, अर्थात अपने भाइयों से चाहे, वे इब्राहीम ही की देह से क्यों न जन्मे हों, व्यवस्था के अनुसार दसवां अंश लें।

Levi ki santaan mein se jo yajak ka pad pate hain, unhein aagya mili hai, ki logon, arthaat apne bhaiyon se chahe, ve Ibrahim hi ki deh se kyon na janme hon, vyavastha ke anusaar dasvan ansh lein.

6

पर इस ने, जो उन की वंशावली में का भी न था इब्राहीम से दसवां अंश लिया और जिसे प्रतिज्ञाएं मिली थी उसे आशीष दी।

Par is ne, jo un ki vanshavli mein ka bhi na tha Ibrahim se dasvan ansh liya aur jise pratigyayen mili thi use aasheesh di.

7

और उस में संदेह नहीं, कि छोटा बड़े से आशीष पाता है।

Aur us mein sandeh nahi, ki chhota bade se aasheesh pata hai.

8

और यहां तो मरनहार मनुष्य दसवां अंश लेते हैं पर वहां वही लेता है, जिस की गवाही दी जाती है, कि वह जीवित है।

Aur yahan to maranhaar manushya dasvan ansh lete hain par vahan vahi leta hai, jis ki gavahi di jati hai, ki vah jeevit hai.

9

तो हम यह भी कह सकते हैं, कि लेवी ने भी, जो दसवां अंश लेता है, इब्राहीम के द्वारा दसवां अंश दिया।

To ham yah bhi kah sakte hain, ki levi ne bhi, jo dasvan ansh leta hai, Ibrahim ke dwara dasvan ansh diya.

10

क्योंकि जिस समय मलिकिसिदक ने उसके पिता से भेंट की, उस समय यह अपने पिता की देह में था॥

Kyonki jis samay malikisidak ne uske pita se bhent ki, us samay yah apne pita ki deh mein tha.

11

तक यदि लेवीय याजक पद के द्वारा सिद्धि हो सकती है (जिस के सहारे से लोगों को व्यवस्था मिली थी) तो फिर क्या आवश्यकता थी, कि दूसरा याजक मलिकिसिदक की रीति पर खड़ा हो, और हारून की रीति का न कहलाए?

Tak yadi leveeya yajak pad ke dwara siddhi ho sakti hai (jis ke sahare se logon ko vyavastha mili thi) to phir kya aavashyakta thi, ki doosra yajak malikisidak ki reeti par khada ho, aur haroon ki reeti ka na kahlaye?

12

क्योंकि जब याजक का पद बदला जाता है तो व्यवस्था का भी बदलना अवश्य है।

Kyonki jab yajak ka pad badla jata hai to vyavastha ka bhi badalna avashya hai.

13

क्योंकि जिस के विषय में ये बातें कही जाती हैं कि वह दूसरे गोत्र का है, जिस में से किसी ने वेदी की सेवा नहीं की।

Kyonki jis ke vishay mein ye batein kahi jati hain ki vah doosre gotra ka hai, jis mein se kisi ne vedi ki seva nahi ki.

14

तो प्रगट है, कि हमारा प्रभु यहूदा के गोत्र में से उदय हुआ है और इस गोत्र के विषय में मूसा ने याजक पद की कुछ चर्चा नहीं की।

To pragat hai, ki hamara Prabhu Yahuda ke gotra mein se uday huaa hai aur is gotra ke vishay mein Musa ne yajak pad ki kuchh charcha nahi ki.

15

ओर जब मलिकिसिदक के समान एक और ऐसा याजक उत्पन्न होने वाला था।

Or jab malikisidak ke samaan ek aur aisa yajak utpann hone vala tha.

16

जो शारीरिक आज्ञा की व्यवस्था के अनुसार नहीं, परअविनाशी जीवन की सामर्थ के अनुसार नियुक्त हो तो हमारा दावा और भी स्पष्टता से प्रगट हो गया।

Jo shareerik aagya ki vyavastha ke anusaar nahi, paraavinashi jeevan ki samarth ke anusaar niyukt ho to hamara dava aur bhi spashtata se pragat ho gaya.

17

क्योंकि उसके विषय में यह गवाही दी गई है, कि तू मलिकिसिदक की रीति पर युगानुयुग याजक है।

Kyonki uske vishay mein yah gavahi di gai hai, ki tu malikisidak ki reeti par yuganuyug yajak hai.

18

निदान, पहिली आज्ञा निर्बल; और निष्फल होने के कारण लोप हो गई।

Nidaan, pahili aagya nirbal; aur nishphal hone ke karan lop ho gai.

19

(इसलिये कि व्यवस्था ने किसी बात की सिद्धि नहीं कि) और उसके स्थान पर एक ऐसी उत्तम आशा रखी गई है जिस के द्वारा हम परमेश्वर के समीप जा सकते हैं।

(isliye ki vyavastha ne kisi baat ki siddhi nahi ki) aur uske sthaan par ek aisi uttam aasha rakhi gai hai jis ke dwara ham Parmeshwar ke sameep ja sakte hain.

20

और इसलिये कि मसीह की नियुक्ति बिना शपथ नहीं हुई।

Aur isliye ki Masih ki niyukti bina shapath nahi hui.

21

(क्योंकि वे तो बिना शपथ याजक ठहराए गए पर यह शपथ के साथ उस की ओर से नियुक्त किया गया जिस ने उसके विषय में कहा, कि प्रभु ने शपथ खाई, और वह उस से फिर ने पछताएगा, कि तू युगानुयुग याजक है)।

(kyonki ve to bina shapath yajak thahraye gaye par yah shapath ke saath us ki or se niyukt kiya gaya jis ne uske vishay mein kaha, ki Prabhu ne shapath khai, aur vah us se phir ne pachhtayega, ki tu yuganuyug yajak hai).

22

सो यीशु एक उत्तम वाचा का जामिन ठहरा।

So Yeshu ek uttam vacha ka jamin thahra.

23

वे तो बहुत से याजक बनते आए, इस का कारण यह था कि मृत्यु उन्हें रहने नहीं देती थी।

Ve to bahut se yajak bante aaye, is ka karan yah tha ki mrityu unhein rahne nahi deti thi.

24

पर यह युगानुयुग रहता है; इस कारण उसका याजक पद अटल है।

Par yah yuganuyug rahta hai; is karan uska yajak pad atal hai.

25

इसी लिये जो उसके द्वारा परमेश्वर के पास आते हैं, वह उन का पूरा पूरा उद्धार कर सकता है, क्योंकि वह उन के लिये बिनती करने को सर्वदा जीवित है॥

Isi liye jo uske dwara Parmeshwar ke paas aate hain, vah un ka poora poora uddhaar kar sakta hai, kyonki vah un ke liye binti karne ko sarvada jeevit hai.

26

सो ऐसा ही महायाजक हमारे योग्य था, जो पवित्र, और निष्कपट और निर्मल, और पापियों से अलग, और स्वर्ग से भी ऊंचा किया हुआ हो।

So aisa hi mahayajak hamare yogya tha, jo pavitra, aur nishkapat aur nirmal, aur papiyon se alag, aur swarg se bhi ooncha kiya huaa ho.

27

और उन महायाजकों की नाईं उसे आवश्यक नहीं कि प्रति दिन पहिले अपने पापों और फिर लोगों के पापों के लिये बलिदान चढ़ाए; क्योंकि उस ने अपने आप को बलिदान चढ़ाकर उसे एक ही बार निपटा दिया।

Aur un mahayajkon ki nai use aavashyak nahi ki prati din pahile apne papon aur phir logon ke papon ke liye balidaan chadhaye; kyonki us ne apne aap ko balidaan chadhakar use ek hi baar nipta diya.

28

क्योंकि व्यवस्था तो निर्बल मनुष्यों को महायाजक नियुक्त करती है; परन्तु उस शपथ का वचन जो व्यवस्था के बाद खाई गई, उस पुत्र को नियुक्त करता है जो युगानुयुग के लिये सिद्ध किया गया है॥

Kyonki vyavastha to nirbal manushyon ko mahayajak niyukt karti hai; parantu us shapath ka vachan jo vyavastha ke baad khai gai, us putra ko niyukt karta hai jo yuganuyug ke liye siddh kiya gaya hai.