Hebrews 6 · 20 verses

इब्रानियों 6 Hebrews 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 6.

1

इसलिये आओ मसीह की शिक्षा की आरम्भ की बातों को छोड़ कर, हम सिद्धता की ओर आगे बढ़ते जाएं, और मरे हुए कामों से मन फिराने, और परमेश्वर पर विश्वास करने।

Isliye aao Masih ki shiksha ki aarambh ki baton ko chhod kar, ham siddhata ki or aage badhte jayen, aur mare hue kamon se man phirane, aur Parmeshwar par vishwaas karne.

2

और बपतिस्मों और हाथ रखने, और मरे हुओं के जी उठने, और अन्तिम न्याय की शिक्षारूपी नेव, फिर से न डालें।

Aur baptismon aur haath rakhne, aur mare huon ke ji uthne, aur antim nyaay ki shiksharoopi nev, phir se na dalein.

3

और यदि परमेश्वर चाहे, तो हम यही करेंगे।

Aur yadi Parmeshwar chahe, to ham yahi karenge.

4

क्योंकि जिन्हों ने एक बार ज्योति पाई है, जो स्वर्गीय वरदान का स्वाद चख चुके हैं और पवित्र आत्मा के भागी हो गए हैं।

Kyonki jinhon ne ek baar jyoti pai hai, jo swargeeya vardaan ka swaad chakh chuke hain aur pavitra aatma ke bhagi ho gaye hain.

5

और परमेश्वर के उत्तम वचन का और आने वाले युग की सामर्थों का स्वाद चख चुके हैं।

Aur Parmeshwar ke uttam vachan ka aur aane vale yug ki samarthon ka swaad chakh chuke hain.

6

यदि वे भटक जाएं; तो उन्हें मन फिराव के लिये फिर नया बनाना अन्होना है; क्योंकि वे परमेश्वर के पुत्र को अपने लिये फिर क्रूस पर चढ़ाते हैं और प्रगट में उस पर कलंक लगाते हैं।

Yadi ve bhatak jayen; to unhein man phiraav ke liye phir naya banana anhona hai; kyonki ve Parmeshwar ke putra ko apne liye phir kroos par chadhate hain aur pragat mein us par kalank lagate hain.

7

क्योंकि जो भूमि वर्षा के पानी को जो उस पर बार बार पड़ता है, पी पीकर जिन लोगों के लिये वह जोती-बोई जाती है, उन के काम का साग-पात उपजाती है, वह परमेश्वर से आशीष पाती है।

Kyonki jo bhoomi varsha ke pani ko jo us par baar baar padta hai, pi peekar jin logon ke liye vah joti-boi jati hai, un ke kaam ka saag-paat upjati hai, vah Parmeshwar se aasheesh pati hai.

8

पर यदि वह झाड़ी और ऊंटकटारे उगाती है, तो निकम्मी और स्रापित होने पर है, और उसका अन्त जलाया जाना है॥

Par yadi vah jhadi aur oontaktare ugati hai, to nikammi aur srapit hone par hai, aur uska ant jalaya jana hai.

9

पर हे प्रियो यद्यपि हम ये बातें कहते हैं तौभी तुम्हारे विषय में हम इस से अच्छी और उद्धारवाली बातों का भरोसा करते हैं।

Par he priyo yadyapi ham ye batein kahte hain taubhi tumhare vishay mein ham is se achchhi aur uddharvali baton ka bharosa karte hain.

10

क्योंकि परमेश्वर अन्यायी नहीं, कि तुम्हारे काम, और उस प्रेम को भूल जाए, जो तुम ने उसके नाम के लिये इस रीति से दिखाया, कि पवित्र लोगों की सेवा की, और कर भी रहे हो।

Kyonki Parmeshwar anyayi nahi, ki tumhare kaam, aur us prem ko bhool jaye, jo tum ne uske naam ke liye is reeti se dikhaya, ki pavitra logon ki seva ki, aur kar bhi rahe ho.

11

पर हम बहुत चाहते हैं, कि तुम में से हर एक जन अन्त तक पूरी आशा के लिये ऐसा ही प्रयत्न करता रहे।

Par ham bahut chahte hain, ki tum mein se har ek jan ant tak poori aasha ke liye aisa hi prayatn karta rahe.

12

ताकि तुम आलसी न हो जाओ; वरन उन का अनुकरण करो, जो विश्वास और धीरज के द्वारा प्रतिज्ञाओं के वारिस होते हैं।

Taki tum aalsi na ho jao; varan un ka anukran karo, jo vishwaas aur dheeraj ke dwara pratigyaon ke varis hote hain.

13

और परमेश्वर ने इब्राहीम को प्रतिज्ञा देते समय जब कि शपथ खाने के लिये किसी को अपने से बड़ा न पाया, तो अपनी ही शपथ खाकर कहा।

Aur Parmeshwar ne Ibrahim ko pratigya dete samay jab ki shapath khane ke liye kisi ko apne se bada na paya, to apni hi shapath khakar kaha.

14

कि मैं सचमुच तुझे बहुत आशीष दूंगा, और तेरी सन्तान को बढ़ाता जाऊंगा।

Ki main sachmuch tujhe bahut aasheesh doonga, aur teri santaan ko badhata jaoonga.

15

और इस रीति से उस ने धीरज धर कर प्रतिज्ञा की हुई बात प्राप्त की।

Aur is reeti se us ne dheeraj dhar kar pratigya ki hui baat praapt ki.

16

मनुष्य तो अपने से किसी बड़े की शपथ खाया करते हैं और उन के हर एक विवाद का फैसला शपथ से पक्का होता है।

Manushya to apne se kisi bade ki shapath khaya karte hain aur un ke har ek vivaad ka phaisla shapath se pakka hota hai.

17

इसलिये जब परमेश्वर ने प्रतिज्ञा के वारिसों पर और भी साफ रीति से प्रगट करना चाहा, कि उसकी मनसा बदल नहीं सकती तो शपथ को बीच में लाया।

Isliye jab Parmeshwar ne pratigya ke varison par aur bhi saaph reeti se pragat karna chaha, ki uski mansa badal nahi sakti to shapath ko beech mein laya.

18

ताकि दो बे-बदल बातों के द्वारा जिन के विषय में परमेश्वर का झूठा ठहरना अन्होना है, हमारा दृढ़ता से ढाढ़स बन्ध जाए, जो शरण लेने को इसलिये दौड़े है, कि उस आशा को जो साम्हने रखी हुई है प्राप्त करें।

Taki do be-badal baton ke dwara jin ke vishay mein Parmeshwar ka jhootha thaharna anhona hai, hamara dridhta se dhadhas bandh jaye, jo sharan lene ko isliye daude hai, ki us aasha ko jo samhane rakhi hui hai praapt karein.

19

वह आशा हमारे प्राण के लिये ऐसा लंगर है जो स्थिर और दृढ़ है, और परदे के भीतर तक पहुंचता है।

Vah aasha hamare praan ke liye aisa langar hai jo sthir aur dridh hai, aur parde ke bheetar tak pahunchta hai.

20

जहां यीशु मलिकिसिदक की रीति पर सदा काल का महायाजक बन कर, हमारे लिये अगुआ की रीति पर प्रवेश हुआ है॥

Jahan Yeshu malikisidak ki reeti par sada kaal ka mahayajak ban kar, hamare liye aguaa ki reeti par pravesh huaa hai.