Hebrews 5 · 14 verses

इब्रानियों 5 Hebrews 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 5.

1

क्योंकि हर एक महायाजक मनुष्यों में से लिया जाता है, और मनुष्यों ही के लिये उन बातों के विषय में जो परमेश्वर से सम्बन्ध रखती हैं, ठहराया जाता है: कि भेंट और पाप बलि चढ़ाया करे।

Kyonki har ek mahayajak manushyon mein se liya jata hai, aur manushyon hi ke liye un baton ke vishay mein jo Parmeshwar se sambandh rakhti hain, thahraya jata hai: ki bhent aur paap bali chadhaya kare.

2

और वह अज्ञानों, और भूले भटकों के साथ नर्मी से व्यवहार कर सकता है इसलिये कि वह आप भी निर्बलता से घिरा है।

Aur vah agyanon, aur bhoole bhatkon ke saath narmi se vyavhaar kar sakta hai isliye ki vah aap bhi nirbalta se ghira hai.

3

और इसी लिये उसे चाहिए, कि जैसे लोगों के लिये, वैसे ही अपने लिये भी पाप-बलि चढ़ाया करे।

Aur isi liye use chahiye, ki jaise logon ke liye, vaise hi apne liye bhi paap-bali chadhaya kare.

4

और यह आदर का पद कोई अपने आप से नहीं लेता, जब तक कि हारून की नाईं परमेश्वर की ओर से ठहराया न जाए।

Aur yah aadar ka pad koi apne aap se nahi leta, jab tak ki haroon ki nai Parmeshwar ki or se thahraya na jaye.

5

वैसे ही मसीह ने भी महायाजक बनने की बड़ाई अपने आप से नहीं ली, पर उस को उसी ने दी, जिस ने उस से कहा था, कि तू मेरा पुत्र है, आज मैं ही ने तुझे जन्माया है।

Vaise hi Masih ne bhi mahayajak banne ki badai apne aap se nahi li, par us ko usi ne di, jis ne us se kaha tha, ki tu mera putra hai, aaj main hi ne tujhe janmaya hai.

6

वह दूसरी जगह में भी कहता है, तू मलिकिसिदक की रीति पर सदा के लिये याजक है।

Vah doosri jagah mein bhi kahta hai, tu malikisidak ki reeti par sada ke liye yajak hai.

7

उस ने अपनी देह में रहने के दिनों में ऊंचे शब्द से पुकार पुकार कर, और आंसू बहा बहा कर उस से जो उस को मृत्यु से बचा सकता था, प्रार्थनाएं और बिनती की और भक्ति के कारण उस की सुनी गई।

Us ne apni deh mein rahne ke dinon mein oonche shabd se pukaar pukaar kar, aur aansu baha baha kar us se jo us ko mrityu se bacha sakta tha, prarthanayen aur binti ki aur bhakti ke karan us ki suni gai.

8

और पुत्र होने पर भी, उस ने दुख उठा उठा कर आज्ञा माननी सीखी।

Aur putra hone par bhi, us ne dukh utha utha kar aagya manni seekhi.

9

और सिद्ध बन कर, अपने सब आज्ञा मानने वालों के लिये सदा काल के उद्धार का कारण हो गया।

Aur siddh ban kar, apne sab aagya manne valon ke liye sada kaal ke uddhaar ka karan ho gaya.

10

और उसे परमेश्वर की ओर से मलिकिसिदक की रीति पर महायाजक का पद मिला॥

Aur use Parmeshwar ki or se malikisidak ki reeti par mahayajak ka pad mila.

11

इस के विषय में हमें बहुत सी बातें कहनी हैं, जिन का समझना भी कठिन है; इसलिये कि तुम ऊंचा सुनने लगे हो।

Is ke vishay mein hamein bahut si batein kahni hain, jin ka samajhna bhi kathin hai; isliye ki tum ooncha sunne lage ho.

12

समय के विचार से तो तुम्हें गुरू हो जाना चाहिए था, तौभी क्या यह आवश्यक है, कि कोई तुम्हें परमेश्वर के वचनों की आदि शिक्षा फिर से सिखाए ओर ऐसे हो गए हो, कि तुम्हें अन्न के बदले अब तक दूध ही चाहिए।

Samay ke vichaar se to tumhein guru ho jana chahiye tha, taubhi kya yah aavashyak hai, ki koi tumhein Parmeshwar ke vachnon ki aadi shiksha phir se sikhaye or aise ho gaye ho, ki tumhein ann ke badle ab tak doodh hi chahiye.

13

क्योंकि दूध पीने वाले बच्चे को तो धर्म के वचन की पहिचान नहीं होती, क्योंकि वह बालक है।

Kyonki doodh peene vale bachche ko to dharm ke vachan ki pahichaan nahi hoti, kyonki vah balak hai.

14

पर अन्न सयानों के लिये है, जिन के ज्ञानेन्द्रिय अभ्यास करते करते, भले बुरे में भेद करने के लिये पक्के हो गए हैं॥

Par ann sayanon ke liye hai, jin ke gyanendriya abhyaas karte karte, bhale bure mein bhed karne ke liye pakke ho gaye hain.