Hebrews 4 · 16 verses

इब्रानियों 4 Hebrews 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 4.

1

इसलिये जब कि उसके विश्राम में प्रवेश करने की प्रतिज्ञा अब तक है, तो हमें डरना चाहिए; ऐसा ने हो, कि तुम में से कोई जन उस से रहित जान पड़े।

Isliye jab ki uske vishraam mein pravesh karne ki pratigya ab tak hai, to hamein darna chahiye; aisa ne ho, ki tum mein se koi jan us se rahit jaan pade.

2

क्योंकि हमें उन्हीं की नाईं सुसमाचार सुनाया गया है, पर सुने हुए वचन से उन्हें कुछ लाभ न हुआ; क्योंकि सुनने वालों के मन में विश्वास के साथ नहीं बैठा।

Kyonki hamein unhi ki nai susmachaar sunaya gaya hai, par sune hue vachan se unhein kuchh laabh na huaa; kyonki sunne valon ke man mein vishwaas ke saath nahi baitha.

3

और हम जिन्हों ने विश्वास किया है, उस विश्राम में प्रवेश करते हैं; जैसा उस ने कहा, कि मैं ने अपने क्रोध में शपथ खाई, कि वे मेरे विश्राम में प्रवेश करने न पाएंगे, यद्यपि जगत की उत्पत्ति के समय से उसके काम पूरे हो चुके थे।

Aur ham jinhon ne vishwaas kiya hai, us vishraam mein pravesh karte hain; jaisa us ne kaha, ki main ne apne krodh mein shapath khai, ki ve mere vishraam mein pravesh karne na payenge, yadyapi jagat ki utpatti ke samay se uske kaam poore ho chuke the.

4

क्योंकि सातवें दिन के विषय में उस ने कहीं यों कहा है, कि परमेश्वर ने सातवें दिन अपने सब कामों को निपटा कर के विश्राम किया।

Kyonki satvein din ke vishay mein us ne kahi yon kaha hai, ki Parmeshwar ne satvein din apne sab kamon ko nipta kar ke vishraam kiya.

5

और इस जगह फिर यह कहता है, कि वे मेरे विश्राम में प्रवेश न करने पाएंगे।

Aur is jagah phir yah kahta hai, ki ve mere vishraam mein pravesh na karne payenge.

6

तो जब यह बात बाकी है कि कितने और हैं जो उस विश्राम में प्रवेश करें, और जिन्हें उसका सुसमाचार पहिले सुनाया गया, उन्होंने आज्ञा न मानने के कारण उस में प्रवेश न किया।

To jab yah baat baki hai ki kitne aur hain jo us vishraam mein pravesh karein, aur jinhein uska susmachaar pahile sunaya gaya, unhonne aagya na manne ke karan us mein pravesh na kiya.

7

तो फिर वह किसी विशेष दिन को ठहराकर इतने दिन के बाद दाऊद की पुस्तक में उसे आज का दिन कहता है, जैसे पहिले कहा गया, कि यदि आज तुम उसका शब्द सुनो, तो अपने मनों को कठोर न करो।

To phir vah kisi vishesh din ko thahrakar itne din ke baad Daud ki pustak mein use aaj ka din kahta hai, jaise pahile kaha gaya, ki yadi aaj tum uska shabd suno, to apne manon ko kathor na karo.

8

और यदि यहोशू उन्हें विश्राम में प्रवेश कर लेता, तो उसके बाद दूसरे दिन की चर्चा न होती।

Aur yadi yahoshu unhein vishraam mein pravesh kar leta, to uske baad doosre din ki charcha na hoti.

9

सो जान लो कि परमेश्वर के लोगों के लिये सब्त का विश्राम बाकी है।

So jaan lo ki Parmeshwar ke logon ke liye sabt ka vishraam baki hai.

10

क्योंकि जिस ने उसके विश्राम में प्रवेश किया है, उस ने भी परमेश्वर की नाईं अपने कामों को पूरा करके विश्राम किया है।

Kyonki jis ne uske vishraam mein pravesh kiya hai, us ne bhi Parmeshwar ki nai apne kamon ko poora karke vishraam kiya hai.

11

सो हम उस विश्राम में प्रवेश करने का प्रयत्न करें, ऐसा न हो, कि कोई जन उन की नाईं आज्ञा न मान कर गिर पड़े।

So ham us vishraam mein pravesh karne ka prayatn karein, aisa na ho, ki koi jan un ki nai aagya na maan kar gir pade.

12

क्योंकि परमेश्वर का वचन जीवित, और प्रबल, और हर एक दोधारी तलवार से भी बहुत चोखा है, और जीव, और आत्मा को, और गांठ गांठ, और गूदे गूदे को अलग करके, वार पार छेदता है; और मन की भावनाओं और विचारों को जांचता है।

Kyonki Parmeshwar ka vachan jeevit, aur prabal, aur har ek dodhari talvaar se bhi bahut chokha hai, aur jeev, aur aatma ko, aur gaanth gaanth, aur goode goode ko alag karke, vaar paar chhedta hai; aur man ki bhavnaon aur vicharon ko janchta hai.

13

और सृष्टि की कोई वस्तु उस से छिपी नहीं है वरन जिस से हमें काम है, उस की आंखों के साम्हने सब वस्तुएं खुली और बेपरदा हैं॥

Aur srishti ki koi vastu us se chhipi nahi hai varan jis se hamein kaam hai, us ki aankhon ke samhane sab vastuein khuli aur beparda hain.

14

सो जब हमारा ऐसा बड़ा महायाजक है, जो स्वर्गों से होकर गया है, अर्थात परमेश्वर का पुत्र यीशु; तो आओ, हम अपने अंगीकार को दृढ़ता से थामें रहे।

So jab hamara aisa bada mahayajak hai, jo swargon se hokar gaya hai, arthaat Parmeshwar ka putra Yeshu; to aao, ham apne angeekaar ko dridhta se thamein rahe.

15

क्योंकि हमारा ऐसा महायाजक नहीं, जो हमारी निर्बलताओं में हमारे साथ दुखी न हो सके; वरन वह सब बातों में हमारी नाईं परखा तो गया, तौभी निष्पाप निकला।

Kyonki hamara aisa mahayajak nahi, jo hamari nirbaltaon mein hamare saath dukhi na ho sake; varan vah sab baton mein hamari nai parkha to gaya, taubhi nishpaap nikla.

16

इसलिये आओ, हम अनुग्रह के सिंहासन के निकट हियाव बान्धकर चलें, कि हम पर दया हो, और वह अनुग्रह पाएं, जो आवश्यकता के समय हमारी सहायता करे॥

Isliye aao, ham anugrah ke sinhasan ke nikat hiyaav bandhakar chalein, ki ham par daya ho, aur vah anugrah payen, jo aavashyakta ke samay hamari sahayta kare.