Hebrews 3 · 19 verses

इब्रानियों 3 Hebrews 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 3.

1

सो हे पवित्र भाइयों तुम जो स्वर्गीय बुलाहट में भागी हो, उस प्रेरित और महायाजक यीशु पर जिसे हम अंगीकार करते हैं ध्यान करो।

So he pavitra bhaiyon tum jo swargeeya bulahat mein bhagi ho, us prerit aur mahayajak Yeshu par jise ham angeekaar karte hain dhyaan karo.

2

जो अपने नियुक्त करने वाले के लिये विश्वास योग्य था, जैसा मूसा भी उसके सारे घर में था।

Jo apne niyukt karne vale ke liye vishwaas yogya tha, jaisa Musa bhi uske sare ghar mein tha.

3

क्योंकि वह मूसा से इतना बढ़ कर महिमा के योग्य समझा गया है, जितना कि घर का बनाने वाला घर से बढ़ कर आदर रखता है।

Kyonki vah Musa se itna badh kar mahima ke yogya samjha gaya hai, jitna ki ghar ka banane vala ghar se badh kar aadar rakhta hai.

4

क्योंकि हर एक घर का कोई न कोई बनाने वाला होता है, पर जिस ने सब कुछ बनाया वह परमेश्वर है।

Kyonki har ek ghar ka koi na koi banane vala hota hai, par jis ne sab kuchh banaya vah Parmeshwar hai.

5

मूसा तो उसके सारे घर में सेवक की नाईं विश्वास योग्य रहा, कि जिन बातों का वर्णन होने वाला था, उन की गवाही दे।

Musa to uske sare ghar mein sevak ki nai vishwaas yogya raha, ki jin baton ka varnan hone vala tha, un ki gavahi de.

6

पर मसीह पुत्र की नाईं उसके घर का अधिकारी है, और उसका घर हम हैं, यदि हम साहस पर, और अपनी आशा के घमण्ड पर अन्त तक दृढ़ता से स्थिर रहें।

Par Masih putra ki nai uske ghar ka adhikari hai, aur uska ghar ham hain, yadi ham sahas par, aur apni aasha ke ghamand par ant tak dridhta se sthir rahein.

7

सो जैसा पवित्र आत्मा कहता है, कि यदि आज तुम उसका शब्द सुनो।

So jaisa pavitra aatma kahta hai, ki yadi aaj tum uska shabd suno.

8

तो अपने मन को कठोर न करो, जैसा कि क्रोध दिलाने के समय और परीक्षा के दिन जंगल में किया था।

To apne man ko kathor na karo, jaisa ki krodh dilane ke samay aur pareeksha ke din jangal mein kiya tha.

9

जहां तुम्हारे बाप दादों ने मुझे जांच कर परखा और चालीस वर्ष तक मेरे काम देखे।

Jahan tumhare baap dadon ne mujhe jaanch kar parkha aur chalees varsh tak mere kaam dekhe.

10

इस कारण मैं उस समय के लोगों से रूठा रहा, और कहा, कि इन के मन सदा भटकते रहते हैं, और इन्होंने मेरे मार्गों को नहीं पहिचाना।

Is karan main us samay ke logon se rootha raha, aur kaha, ki in ke man sada bhatakte rahte hain, aur inhonne mere margon ko nahi pahichana.

11

तब मैं ने क्रोध में आकर शपथ खाई, कि वे मेरे विश्राम में प्रवेश करने न पाएंगे।

Tab main ne krodh mein aakar shapath khai, ki ve mere vishraam mein pravesh karne na payenge.

12

हे भाइयो, चौकस रहो, कि तुम में ऐसा बुरा और अविश्वासी मन न हो, जो जीवते परमेश्वर से दूर हट जाए।

He bhaiyo, chaukas raho, ki tum mein aisa bura aur avishwasi man na ho, jo jeevte Parmeshwar se door hat jaye.

13

वरन जिस दिन तक आज का दिन कहा जाता है, हर दिन एक दूसरे को समझाते रहो, ऐसा न हो, कि तुम में से कोई जन पाप के छल में आकर कठोर हो जाए।

Varan jis din tak aaj ka din kaha jata hai, har din ek doosre ko samjhate raho, aisa na ho, ki tum mein se koi jan paap ke chhal mein aakar kathor ho jaye.

14

क्योंकि हम मसीह के भागी हुए हैं, यदि हम अपने प्रथम भरोसे पर अन्त तक दृढ़ता से स्थिर रहें।

Kyonki ham Masih ke bhagi hue hain, yadi ham apne pratham bharose par ant tak dridhta se sthir rahein.

15

जैसा कहा जाता है, कि यदि आज तुम उसका शब्द सुनो, तो अपने मनों को कठोर न करो, जैसा कि क्रोध दिलाने के समय किया था।

Jaisa kaha jata hai, ki yadi aaj tum uska shabd suno, to apne manon ko kathor na karo, jaisa ki krodh dilane ke samay kiya tha.

16

भला किन लोगों ने सुन कर क्रोध दिलाया? क्या उन सब ने नहीं जो मूसा के द्वारा मिसर से निकले थे?

Bhala kin logon ne sun kar krodh dilaya? Kya un sab ne nahi jo Musa ke dwara misar se nikle the?

17

और वह चालीस वर्ष तक किन लोगों से रूठा रहा? क्या उन्हीं से नहीं, जिन्हों ने पाप किया, और उन की लोथें जंगल में पड़ी रहीं?

Aur vah chalees varsh tak kin logon se rootha raha? Kya unhi se nahi, jinhon ne paap kiya, aur un ki lothein jangal mein padi rahi?

18

और उस ने किन से शपथ खाई, कि तुम मेरे विश्राम में प्रवेश करने न पाओगे? केवल उन से जिन्हों ने आज्ञा न मानी?

Aur us ne kin se shapath khai, ki tum mere vishraam mein pravesh karne na paoge? Keval un se jinhon ne aagya na mani?

19

सो हम देखते हैं, कि वे अविश्वास के कारण प्रवेश न कर सके॥

So ham dekhte hain, ki ve avishwaas ke karan pravesh na kar sake.