इस कारण चाहिए, कि हम उन बातों पर जो हम ने सुनी हैं और भी मन लगाएं, ऐसा न हो कि बहक कर उन से दूर चले जाएं।
Is karan chahiye, ki ham un baton par jo ham ne suni hain aur bhi man lagayen, aisa na ho ki bahak kar un se door chale jayen.
Hebrews 2 · 18 verses
इस कारण चाहिए, कि हम उन बातों पर जो हम ने सुनी हैं और भी मन लगाएं, ऐसा न हो कि बहक कर उन से दूर चले जाएं।
Is karan chahiye, ki ham un baton par jo ham ne suni hain aur bhi man lagayen, aisa na ho ki bahak kar un se door chale jayen.
क्योंकि जो वचन स्वर्गदूतों के द्वारा कहा गया था जब वह स्थिर रहा और हर एक अपराध और आज्ञा न मानने का ठीक ठीक बदला मिला।
Kyonki jo vachan swargadooton ke dwara kaha gaya tha jab vah sthir raha aur har ek apraadh aur aagya na manne ka theek theek badla mila.
तो हम लोग ऐसे बड़े उद्धार से निश्चिन्त रह कर क्योंकर बच सकते हैं? जिस की चर्चा पहिले पहिल प्रभु के द्वारा हुई, और सुनने वालों के द्वारा हमें निश्चय हुआ।
To ham log aise bade uddhaar se nishchint rah kar kyonkar bach sakte hain? Jis ki charcha pahile pahil Prabhu ke dwara hui, aur sunne valon ke dwara hamein nishchay huaa.
और साथ ही परमेश्वर भी अपनी इच्छा के अनुसार चिन्हों, और अद्भुत कामों, और नाना प्रकार के सामर्थ के कामों, और पवित्र आत्मा के वरदानों के बांटने के द्वारा इस की गवाही देता रहा॥
Aur saath hi Parmeshwar bhi apni ichchha ke anusaar chinhon, aur adbhut kamon, aur nana prakaar ke samarth ke kamon, aur pavitra aatma ke vardanon ke bantne ke dwara is ki gavahi deta raha.
उस ने उस आने वाले जगत को जिस की चर्चा हम कर रहे हैं, स्वर्गदूतों के आधीन न किया।
Us ne us aane vale jagat ko jis ki charcha ham kar rahe hain, swargadooton ke aadheen na kiya.
वरन किसी ने कहीं, यह गवाही दी है, कि मनुष्य क्या है, कि तू उस की सुधि लेता है? या मनुष्य का पुत्र क्या है, कि तू उस पर दृष्टि करता है?
Varan kisi ne kahi, yah gavahi di hai, ki manushya kya hai, ki tu us ki sudhi leta hai? Ya manushya ka putra kya hai, ki tu us par drishti karta hai?
तू ने उसे स्वर्गदूतों से कुछ ही कम किया; तू ने उस पर महिमा और आदर का मुकुट रखा और उसे अपने हाथों के कामों पर अधिकार दिया।
Tu ne use swargadooton se kuchh hi kam kiya; tu ne us par mahima aur aadar ka mukut rakha aur use apne hathon ke kamon par adhikaar diya.
तू ने सब कुछ उसके पांवों के नीचे कर दिया: इसलिये जब कि उस ने सब कुछ उसके आधीन कर दिया, तो उस ने कुछ भी रख न छोड़ा, जो उसके आधीन न हो: पर हम अब तक सब कुछ उसके आधीन नहीं देखते।
Tu ne sab kuchh uske panvon ke neeche kar diya: isliye jab ki us ne sab kuchh uske aadheen kar diya, to us ne kuchh bhi rakh na chhoda, jo uske aadheen na ho: par ham ab tak sab kuchh uske aadheen nahi dekhte.
पर हम यीशु को जो स्वर्गदूतों से कुछ ही कम किया गया था, मृत्यु का दुख उठाने के कारण महिमा और आदर का मुकुट पहिने हुए देखते हैं; ताकि परमेश्वर के अनुग्रह से हर एक मनुष्य के लिये मृत्यु का स्वाद चखे।
Par ham Yeshu ko jo swargadooton se kuchh hi kam kiya gaya tha, mrityu ka dukh uthane ke karan mahima aur aadar ka mukut pahine hue dekhte hain; taki Parmeshwar ke anugrah se har ek manushya ke liye mrityu ka swaad chakhe.
क्योंकि जिस के लिये सब कुछ है, और जिस के द्वारा सब कुछ है, उसे यही अच्छा लगा कि जब वह बहुत से पुत्रों को महिमा में पहुंचाए, तो उन के उद्धार के कर्ता को दुख उठाने के द्वारा सिद्ध करे।
Kyonki jis ke liye sab kuchh hai, aur jis ke dwara sab kuchh hai, use yahi achchha laga ki jab vah bahut se putron ko mahima mein pahunchaye, to un ke uddhaar ke karta ko dukh uthane ke dwara siddh kare.
क्योंकि पवित्र करने वाला और जो पवित्र किए जाते हैं, सब एक ही मूल से हैं: इसी कारण वह उन्हें भाई कहने से नहीं लजाता।
Kyonki pavitra karne vala aur jo pavitra kiye jate hain, sab ek hi mool se hain: isi karan vah unhein bhai kahne se nahi lajata.
पर कहता है, कि मैं तेरा नाम अपने भाइयों को सुनाऊंगा, सभा के बीच में मैं तेरा भजन गाऊंगा।
Par kahta hai, ki main tera naam apne bhaiyon ko sunaoonga, sabha ke beech mein main tera bhajan gaoonga.
और फिर यह, कि मैं उस पर भरोसा रखूंगा; और फिर यह कि देख, मैं उन लड़कों सहित जिसे परमेश्वर ने मुझे दिए।
Aur phir yah, ki main us par bharosa rakhoonga; aur phir yah ki dekh, main un ladkon sahit jise Parmeshwar ne mujhe diye.
इसलिये जब कि लड़के मांस और लोहू के भागी हैं, तो वह आप भी उन के समान उन का सहभागी हो गया; ताकि मृत्यु के द्वारा उसे जिसे मृत्यु पर शक्ति मिली थी, अर्थात शैतान को निकम्मा कर दे।
Isliye jab ki ladke maans aur lohu ke bhagi hain, to vah aap bhi un ke samaan un ka sahbhagi ho gaya; taki mrityu ke dwara use jise mrityu par shakti mili thi, arthaat Shaitan ko nikamma kar de.
और जितने मृत्यु के भय के मारे जीवन भर दासत्व में फंसे थे, उन्हें छुड़ा ले।
Aur jitne mrityu ke bhay ke mare jeevan bhar dasatva mein phanse the, unhein chhuda le.
क्योंकि वह तो स्वर्गदूतों को नहीं वरन इब्राहीम के वंश को संभालता है।
Kyonki vah to swargadooton ko nahi varan Ibrahim ke vansh ko sambhalta hai.
इस कारण उस को चाहिए था, कि सब बातों में अपने भाइयों के समान बने; जिस से वह उन बातों में जो परमेश्वर से सम्बन्ध रखती हैं, एक दयालु और विश्वास योग्य महायाजक बने ताकि लोगों के पापों के लिये प्रायश्चित्त करे।
Is karan us ko chahiye tha, ki sab baton mein apne bhaiyon ke samaan bane; jis se vah un baton mein jo Parmeshwar se sambandh rakhti hain, ek dayalu aur vishwaas yogya mahayajak bane taki logon ke papon ke liye prayashchitt kare.
क्योंकि जब उस ने परीक्षा की दशा में दुख उठाया, तो वह उन की भी सहायता कर सकता है, जिन की परीक्षा होती है॥
Kyonki jab us ne pareeksha ki dasha mein dukh uthaya, to vah un ki bhi sahayta kar sakta hai, jin ki pareeksha hoti hai.