Hebrews 1 · 14 verses

इब्रानियों 1 Hebrews 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 1.

1

पूर्व युग में परमेश्वर ने बाप दादों से थोड़ा थोड़ा करके और भांति भांति से भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा बातें कर के।

Poorva yug mein Parmeshwar ne baap dadon se thoda thoda karke aur bhanti bhanti se bhavishyadwaktaon ke dwara batein kar ke.

2

इन दिनों के अन्त में हम से पुत्र के द्वारा बातें की, जिसे उस ने सारी वस्तुओं का वारिस ठहराया और उसी के द्वारा उस ने सारी सृष्टि रची है।

In dinon ke ant mein ham se putra ke dwara batein ki, jise us ne sari vastuon ka varis thahraya aur usi ke dwara us ne sari srishti rachi hai.

3

वह उस की महिमा का प्रकाश, और उसके तत्व की छाप है, और सब वस्तुओं को अपनी सामर्थ के वचन से संभालता है: वह पापों को धोकर ऊंचे स्थानों पर महामहिमन के दाहिने जा बैठा।

Vah us ki mahima ka prakaash, aur uske tatva ki chhaap hai, aur sab vastuon ko apni samarth ke vachan se sambhalta hai: vah papon ko dhokar oonche sthanon par mahamhiman ke dahine ja baitha.

4

और स्वर्गदूतों से उतना ही उत्तम ठहरा, जितना उस ने उन से बड़े पद का वारिस होकर उत्तम नाम पाया।

Aur swargadooton se utna hi uttam thahra, jitna us ne un se bade pad ka varis hokar uttam naam paya.

5

क्योंकि स्वर्गदूतों में से उस ने कब किसी से कहा, कि तू मेरा पुत्र है, आज तू मुझ से उत्पन्न हुआ? और फिर यह, कि मैं उसका पिता हूंगा, और वह मेरा पुत्र होगा?

Kyonki swargadooton mein se us ne kab kisi se kaha, ki tu mera putra hai, aaj tu mujh se utpann huaa? Aur phir yah, ki main uska pita hoonga, aur vah mera putra hoga?

6

और जब पहिलौठे को जगत में फिर लाता है, तो कहता है, कि परमेश्वर के सब स्वर्गदूत उसे दण्डवत करें।

Aur jab pahilauthe ko jagat mein phir lata hai, to kahta hai, ki Parmeshwar ke sab swargadoot use dandavat karein.

7

और स्वर्गदूतों के विषय में यह कहता है, कि वह अपने दूतों को पवन, और अपने सेवकों को धधकती आग बनाता है।

Aur swargadooton ke vishay mein yah kahta hai, ki vah apne dooton ko pavan, aur apne sevkon ko dhadhakti aag banata hai.

8

परन्तु पुत्र से कहता है, कि हे परमेश्वर तेरा सिंहासन युगानुयुग रहेगा: तेरे राज्य का राजदण्ड न्याय का राजदण्ड है।

Parantu putra se kahta hai, ki he Parmeshwar tera sinhasan yuganuyug rahega: tere rajya ka rajdand nyaay ka rajdand hai.

9

तू ने धर्म से प्रेम और अधर्म से बैर रखा; इस कारण परमेश्वर तेरे परमेश्वर ने तेरे साथियों से बढ़कर हर्ष रूपी तेल से तुझे अभिषेक किया।

Tu ne dharm se prem aur adharm se bair rakha; is karan Parmeshwar tere Parmeshwar ne tere sathiyon se badhkar harsh roopi tel se tujhe abhishek kiya.

10

और यह कि, हे प्रभु, आदि में तू ने पृथ्वी की नेव डाली, और स्वर्ग तेरे हाथों की कारीगरी है।

Aur yah ki, he Prabhu, aadi mein tu ne prithvi ki nev dali, aur swarg tere hathon ki kareegri hai.

11

वे तो नाश हो जाएंगे; परन्तु तू बना रहेगा: और वे सब वस्त्र की नाईं पुराने हो जाएंगे।

Ve to naash ho jayenge; parantu tu bana rahega: aur ve sab vastra ki nai purane ho jayenge.

12

और तू उन्हें चादर की नाईं लपेटेगा, और वे वस्त्र की नाईं बदल जाएंगे: पर तू वही है और तेरे वर्षों का अन्त न होगा।

Aur tu unhein chadar ki nai lapetega, aur ve vastra ki nai badal jayenge: par tu vahi hai aur tere varshon ka ant na hoga.

13

और स्वर्गदूतों में से उसने किस से कब कहा, कि तू मेरे दाहिने बैठ, जब कि मैं तेरे बैरियों को तेरे पांवों के नीचे की पीढ़ी न कर दूं?

Aur swargadooton mein se usne kis se kab kaha, ki tu mere dahine baith, jab ki main tere bairiyon ko tere panvon ke neeche ki peedhi na kar dun?

14

क्या वे सब सेवा टहल करने वाली आत्माएं नहीं; जो उद्धार पाने वालों के लिये सेवा करने को भेजी जाती हैं?

Kya ve sab seva tahal karne vali aatmayen nahi; jo uddhaar pane valon ke liye seva karne ko bheji jati hain?