Hebrews 11 · 40 verses

इब्रानियों 11 Hebrews 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 11.

1

अब विश्वास आशा की हुई वस्तुओं का निश्चय, और अनदेखी वस्तुओं का प्रमाण है।

Ab vishwaas aasha ki hui vastuon ka nishchay, aur andekhi vastuon ka pramaan hai.

2

क्योंकि इसी के विषय में प्राचीनों की अच्छी गवाही दी गई।

Kyonki isi ke vishay mein pracheenon ki achchhi gavahi di gai.

3

विश्वास ही से हम जान जाते हैं, कि सारी सृष्टि की रचना परमेश्वर के वचन के द्वारा हुई है। यह नहीं, कि जो कुछ देखने में आता है, वह देखी हुई वस्तुओं से बना हो।

Vishwaas hi se ham jaan jate hain, ki sari srishti ki rachna Parmeshwar ke vachan ke dwara hui hai. Yah nahi, ki jo kuchh dekhne mein aata hai, vah dekhi hui vastuon se bana ho.

4

विश्वास की से हाबिल ने कैन से उत्तम बलिदान परमेश्वर के लिये चढ़ाया; और उसी के द्वारा उसके धर्मी होने की गवाही भी दी गई: क्योंकि परमेश्वर ने उस की भेंटों के विषय में गवाही दी; और उसी के द्वारा वह मरने पर भी अब तक बातें करता है।

Vishwaas ki se habil ne kain se uttam balidaan Parmeshwar ke liye chadhaya; aur usi ke dwara uske dharmi hone ki gavahi bhi di gai: kyonki Parmeshwar ne us ki bhenton ke vishay mein gavahi di; aur usi ke dwara vah marne par bhi ab tak batein karta hai.

5

विश्वास ही से हनोक उठा लिया गया, कि मृत्यु को न देखे, और उसका पता नहीं मिला; क्योंकि परमेश्वर ने उसे उठा लिया था, और उसके उठाए जाने से पहिले उस की यह गवाही दी गई थी, कि उस ने परमेश्वर को प्रसन्न किया है।

Vishwaas hi se hanok utha liya gaya, ki mrityu ko na dekhe, aur uska pata nahi mila; kyonki Parmeshwar ne use utha liya tha, aur uske uthaye jane se pahile us ki yah gavahi di gai thi, ki us ne Parmeshwar ko prasann kiya hai.

6

और विश्वास बिना उसे प्रसन्न करना अनहोना है, क्योंकि परमेश्वर के पास आने वाले को विश्वास करना चाहिए, कि वह है; और अपने खोजने वालों को प्रतिफल देता है।

Aur vishwaas bina use prasann karna anhona hai, kyonki Parmeshwar ke paas aane vale ko vishwaas karna chahiye, ki vah hai; aur apne khojne valon ko pratiphal deta hai.

7

विश्वास ही से नूह ने उन बातों के विषय में जो उस समय दिखाई न पड़ती थीं, चितौनी पाकर भक्ति के साथ अपने घराने के बचाव के लिये जहाज बनाया, और उसके द्वारा उस ने संसार को दोषी ठहराया; और उस धर्म का वारिस हुआ, जो विश्वास से होता है।

Vishwaas hi se nooh ne un baton ke vishay mein jo us samay dikhai na padti thi, chitauni pakar bhakti ke saath apne gharane ke bachaav ke liye jahaaj banaya, aur uske dwara us ne sansaar ko doshi thahraya; aur us dharm ka varis huaa, jo vishwaas se hota hai.

8

विश्वास ही से इब्राहीम जब बुलाया गया तो आज्ञा मानकर ऐसी जगह निकल गया जिसे मीरास में लेने वाला था, और यह न जानता था, कि मैं किधर जाता हूं; तौभी निकल गया।

Vishwaas hi se Ibrahim jab bulaya gaya to aagya mankar aisi jagah nikal gaya jise meeraas mein lene vala tha, aur yah na janta tha, ki main kidhar jata hoon; taubhi nikal gaya.

9

विश्वास ही से उस ने प्रतिज्ञा किए हुए देश में जैसे पराए देश में परदेशी रह कर इसहाक और याकूब समेत जो उसके साथ उसी प्रतिज्ञा के वारिस थे, तम्बुओं में वास किया।

Vishwaas hi se us ne pratigya kiye hue desh mein jaise paraye desh mein pardeshi rah kar Ishaq aur Yakub samet jo uske saath usi pratigya ke varis the, tambuon mein vaas kiya.

10

क्योंकि वह उस स्थिर नेव वाले नगर की बाट जोहता था, जिस का रचने वाला और बनाने वाला परमेश्वर है।

Kyonki vah us sthir nev vale nagar ki baat johta tha, jis ka rachne vala aur banane vala Parmeshwar hai.

11

विश्वास से सारा ने आप बूढ़ी होने पर भी गर्भ धारण करने की सामर्थ पाई; क्योंकि उस ने प्रतिज्ञा करने वाले को सच्चा जाना था।

Vishwaas se sara ne aap boodhi hone par bhi garbh dharan karne ki samarth pai; kyonki us ne pratigya karne vale ko sachcha jana tha.

12

इस कारण एक ही जन से जो मरा हुआ सा था, आकाश के तारों और समुद्र के तीर के बालू की नाईं, अनगिनित वंश उत्पन्न हुआ॥

Is karan ek hi jan se jo mara huaa sa tha, aakaash ke taron aur samudra ke teer ke balu ki nai, anginit vansh utpann huaa.

13

ये सब विश्वास ही की दशा में मरे; और उन्होंने प्रतिज्ञा की हुई वस्तुएं नहीं पाईं; पर उन्हें दूर से देखकर आनन्दित हुए और मान लिया, कि हम पृथ्वी पर परदेशी और बाहरी हैं।

Ye sab vishwaas hi ki dasha mein mare; aur unhonne pratigya ki hui vastuein nahi pai; par unhein door se dekhkar aanandit hue aur maan liya, ki ham prithvi par pardeshi aur bahri hain.

14

जो ऐसी ऐसी बातें कहते हैं, वे प्रगट करते हैं, कि स्वदेश की खोज में हैं।

Jo aisi aisi batein kahte hain, ve pragat karte hain, ki swadesh ki khoj mein hain.

15

और जिस देश से वे निकल आए थे, यदि उस की सुधि करते तो उन्हें लौट जाने का अवसर था।

Aur jis desh se ve nikal aaye the, yadi us ki sudhi karte to unhein laut jane ka avsar tha.

16

पर वे एक उत्तम अर्थात स्वर्गीय देश के अभिलाषी हैं, इसी लिये परमेश्वर उन का परमेश्वर कहलाने में उन से नहीं लजाता, सो उस ने उन के लिये एक नगर तैयार किया है॥

Par ve ek uttam arthaat swargeeya desh ke abhilashi hain, isi liye Parmeshwar un ka Parmeshwar kahlane mein un se nahi lajata, so us ne un ke liye ek nagar taiyaar kiya hai.

17

विश्वास ही से इब्राहीम ने, परखे जाने के समय में, इसहाक को बलिदान चढ़ाया, और जिस ने प्रतिज्ञाओं को सच माना था।

Vishwaas hi se Ibrahim ne, parkhe jane ke samay mein, Ishaq ko balidaan chadhaya, aur jis ne pratigyaon ko sach mana tha.

18

और जिस से यह कहा गया था, कि इसहाक से तेरा वंश कहलाएगा; वह अपने एकलौते को चढ़ाने लगा।

Aur jis se yah kaha gaya tha, ki Ishaq se tera vansh kahlayega; vah apne eklaute ko chadhane laga.

19

क्योंकि उस ने विचार किया, कि परमेश्वर सामर्थी है, कि मरे हुओं में से जिलाए, सो उन्हीं में से दृष्टान्त की रीति पर वह उसे फिर मिला।

Kyonki us ne vichaar kiya, ki Parmeshwar samarthi hai, ki mare huon mein se jilaye, so unhi mein se drishtaant ki reeti par vah use phir mila.

20

विश्वास ही से इसहाक ने याकूब और ऐसाव को आने वाली बातों के विषय में आशीष दी।

Vishwaas hi se Ishaq ne Yakub aur aisaav ko aane vali baton ke vishay mein aasheesh di.

21

विश्वास ही से याकूब ने मरते समय यूसुफ के दोनों पुत्रों में से एक एक को आशीष दी, और अपनी लाठी के सिरे पर सहारा लेकर दण्डवत किया।

Vishwaas hi se Yakub ne marte samay Yusuf ke donon putron mein se ek ek ko aasheesh di, aur apni lathi ke sire par sahara lekar dandavat kiya.

22

विश्वास ही से यूसुफ ने, जब वह मरने पर था, तो इस्त्राएल की सन्तान के निकल जाने की चर्चा की, और अपनी हड्डियों के विषय में आज्ञा दी।

Vishwaas hi se Yusuf ne, jab vah marne par tha, to istrayel ki santaan ke nikal jane ki charcha ki, aur apni haddiyon ke vishay mein aagya di.

23

विश्वास ही से मूसा के माता पिता ने उस को, उत्पन्न होने के बाद तीन महीने तक छिपा रखा; क्योंकि उन्होंने देखा, कि बालक सुन्दर है, और वे राजा की आज्ञा से न डरे।

Vishwaas hi se Musa ke mata pita ne us ko, utpann hone ke baad teen maheene tak chhipa rakha; kyonki unhonne dekha, ki balak sundar hai, aur ve raja ki aagya se na dare.

24

विश्वास ही से मूसा ने सयाना होकर फिरौन की बेटी का पुत्र कहलाने से इन्कार किया।

Vishwaas hi se Musa ne sayana hokar Firaun ki beti ka putra kahlane se inkaar kiya.

25

इसलिये कि उसे पाप में थोड़े दिन के सुख भोगने से परमेश्वर के लोगों के साथ दुख भोगना और उत्तम लगा।

Isliye ki use paap mein thode din ke sukh bhogne se Parmeshwar ke logon ke saath dukh bhogna aur uttam laga.

26

और मसीह के कारण निन्दित होने को मिसर के भण्डार से बड़ा धन समझा: क्योंकि उस की आंखे फल पाने की ओर लगी थीं।

Aur Masih ke karan nindit hone ko misar ke bhandaar se bada dhan samjha: kyonki us ki aankhe phal pane ki or lagi thi.

27

विश्वास ही से राजा के क्रोध से न डर कर उस ने मिसर को छोड़ दिया, क्योंकि वह अनदेखे को मानों देखता हुआ दृढ़ रहा।

Vishwaas hi se raja ke krodh se na dar kar us ne misar ko chhod diya, kyonki vah andekhe ko manon dekhta huaa dridh raha.

28

विश्वास ही से उस ने फसह और लोहू छिड़कने की विधि मानी, कि पहिलौठों का नाश करने वाला इस्त्राएलियों पर हाथ न डाले।

Vishwaas hi se us ne phasah aur lohu chhidakne ki vidhi mani, ki pahilauthon ka naash karne vala istrayeliyon par haath na dale.

29

विश्वास ही से वे लाल समुद्र के पार ऐसे उतर गए, जैसे सूखी भूमि पर से; और जब मिस्रियों ने वैसा ही करना चाहा, तो सब डूब मरे।

Vishwaas hi se ve laal samudra ke paar aise utar gaye, jaise sookhi bhoomi par se; aur jab misriyon ne vaisa hi karna chaha, to sab doob mare.

30

विश्वास ही से यरीहो की शहरपनाह, जब सात दिन तक उसका चक्कर लगा चुके तो वह गिर पड़ी।

Vishwaas hi se yareeho ki shahrapnaah, jab saat din tak uska chakkar laga chuke to vah gir padi.

31

विश्वास ही से राहाब वेश्या आज्ञा ने मानने वालों के साथ नाश नहीं हुई; इसलिये कि उस ने भेदियों को कुशल से रखा था।

Vishwaas hi se rahaab veshya aagya ne manne valon ke saath naash nahi hui; isliye ki us ne bhediyon ko kushal se rakha tha.

32

अब और क्या कहूँ क्योंकि समय नहीं रहा, कि गिदोन का, और बाराक और समसून का, और यिफतह का, और दाऊद का और शामुएल का, और भविष्यद्वक्ताओं का वर्णन करूं।

Ab aur kya kahun kyonki samay nahi raha, ki gidon ka, aur baraak aur samsoon ka, aur yiphtah ka, aur Daud ka aur shamuel ka, aur bhavishyadwaktaon ka varnan karun.

33

इन्होंने विश्वास ही के द्वारा राज्य जीते; धर्म के काम किए; प्रतिज्ञा की हुई वस्तुएं प्राप्त की, सिंहों के मुंह बन्द किए।

Inhonne vishwaas hi ke dwara rajya jeete; dharm ke kaam kiye; pratigya ki hui vastuein praapt ki, sinhon ke munh band kiye.

34

आग की ज्वाला को ठंडा किया; तलवार की धार से बच निकले, निर्बलता में बलवन्त हुए; लड़ाई में वीर निकले; विदेशियों की फौजों को मार भगाया।

Aag ki jwala ko thanda kiya; talvaar ki dhaar se bach nikle, nirbalta mein balvant hue; ladai mein veer nikle; videshiyon ki phaujon ko maar bhagaya.

35

स्त्रियों ने अपने मरे हुओं को फिर जीवते पाया; कितने तो मार खाते खाते मर गए; और छुटकारा न चाहा; इसलिये कि उत्तम पुनरुत्थान के भागी हों।

Striyon ne apne mare huon ko phir jeevte paya; kitne to maar khate khate mar gaye; aur chhutkara na chaha; isliye ki uttam punrutthaan ke bhagi hon.

36

कई एक ठट्ठों में उड़ाए जाने; और कोड़े खाने; वरन बान्धे जाने; और कैद में पड़ने के द्वारा परखे गए।

Kai ek thatthon mein udaye jane; aur kode khane; varan bandhe jane; aur kaid mein padne ke dwara parkhe gaye.

37

पत्थरवाह किए गए; आरे से चीरे गए; उन की परीक्षा की गई; तलवार से मारे गए; वे कंगाली में और क्लेश में और दुख भोगते हुए भेड़ों और बकरियों की खालें ओढ़े हुए, इधर उधर मारे मारे फिरे।

Pattharvaah kiye gaye; aare se cheere gaye; un ki pareeksha ki gai; talvaar se mare gaye; ve kangali mein aur klesh mein aur dukh bhogte hue bhedon aur bakriyon ki khalein odhe hue, idhar udhar mare mare phire.

38

और जंगलों, और पहाड़ों, और गुफाओं में, और पृथ्वी की दरारों में भटकते फिरे।

Aur janglon, aur pahadon, aur guphaon mein, aur prithvi ki dararon mein bhatakte phire.

39

संसार उन के योग्य न था: और विश्वास ही के द्वारा इन सब के विषय में अच्छी गवाही दी गई, तौभी उन्हें प्रतिज्ञा की हुई वस्तु न मिली।

Sansaar un ke yogya na tha: aur vishwaas hi ke dwara in sab ke vishay mein achchhi gavahi di gai, taubhi unhein pratigya ki hui vastu na mili.

40

क्योंकि परमेश्वर ने हमारे लिये पहिले से एक उत्तम बात ठहराई, कि वे हमारे बिना सिद्धता को न पहुंचे॥

Kyonki Parmeshwar ne hamare liye pahile se ek uttam baat thahrai, ki ve hamare bina siddhata ko na pahunche.