Hebrews 10 · 39 verses

इब्रानियों 10 Hebrews 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ibraniyon 10.

1

क्योंकि व्यवस्था जिस में आने वाली अच्छी वस्तुओं का प्रतिबिम्ब है, पर उन का असली स्वरूप नहीं, इसलिये उन एक ही प्रकार के बलिदानों के द्वारा, जो प्रति वर्ष अचूक चढ़ाए जाते हैं, पास आने वालों को कदापि सिद्ध नहीं कर सकतीं।

Kyonki vyavastha jis mein aane vali achchhi vastuon ka pratibimb hai, par un ka asli swaroop nahi, isliye un ek hi prakaar ke balidanon ke dwara, jo prati varsh achook chadhaye jate hain, paas aane valon ko kadapi siddh nahi kar sakti.

2

नहीं तो उन का चढ़ाना बन्द क्यों न हो जाता? इसलिये कि जब सेवा करने वाले एक ही बार शुद्ध हो जाते, तो फिर उन का विवेक उन्हें पापी न ठहराता।

Nahi to un ka chadhana band kyon na ho jata? Isliye ki jab seva karne vale ek hi baar shuddh ho jate, to phir un ka vivek unhein papi na thahrata.

3

परन्तु उन के द्वारा प्रति वर्ष पापों का स्मरण हुआ करता है।

Parantu un ke dwara prati varsh papon ka smaran huaa karta hai.

4

क्योंकि अनहोना है, कि बैलों और बकरों का लोहू पापों को दूर करे।

Kyonki anhona hai, ki bailon aur bakron ka lohu papon ko door kare.

5

इसी कारण वह जगत में आते समय कहता है, कि बलिदान और भेंट तू ने न चाही, पर मेरे लिये एक देह तैयार किया।

Isi karan vah jagat mein aate samay kahta hai, ki balidaan aur bhent tu ne na chahi, par mere liye ek deh taiyaar kiya.

6

होम-बलियों और पाप-बलियों से तू प्रसन्न नहीं हुआ।

Hom-baliyon aur paap-baliyon se tu prasann nahi huaa.

7

तब मैं ने कहा, देख, मैं आ गया हूं, (पवित्र शास्त्र में मेरे विषय में लिखा हुआ है) ताकि हे परमेश्वर तेरी इच्छा पूरी करूं।

Tab main ne kaha, dekh, main aa gaya hoon, (pavitra shastra mein mere vishay mein likha huaa hai) taki he Parmeshwar teri ichchha poori karun.

8

ऊपर तो वह कहता है, कि न तू ने बलिदान और भेंट और होम-बलियों और पाप-बलियों को चाहा, और न उन से प्रसन्न हुआ; यद्यपि ये बलिदान तो व्यवस्था के अनुसार चढ़ाए जाते हैं।

Oopar to vah kahta hai, ki na tu ne balidaan aur bhent aur hom-baliyon aur paap-baliyon ko chaha, aur na un se prasann huaa; yadyapi ye balidaan to vyavastha ke anusaar chadhaye jate hain.

9

फिर यह भी कहता है, कि देख, मैं आ गया हूं, ताकि तेरी इच्छा पूरी करूं; निदान वह पहिले को उठा देता है, ताकि दूसरे को नियुक्त करे।

Phir yah bhi kahta hai, ki dekh, main aa gaya hoon, taki teri ichchha poori karun; nidaan vah pahile ko utha deta hai, taki doosre ko niyukt kare.

10

उसी इच्छा से हम यीशु मसीह की देह के एक ही बार बलिदान चढ़ाए जाने के द्वारा पवित्र किए गए हैं।

Usi ichchha se ham Yeshu Masih ki deh ke ek hi baar balidaan chadhaye jane ke dwara pavitra kiye gaye hain.

11

और हर एक याजक तो खड़े होकर प्रति दिन सेवा करता है, और एक ही प्रकार के बलिदान को जो पापों को कभी भी दूर नहीं कर सकते; बार बार चढ़ाता है।

Aur har ek yajak to khade hokar prati din seva karta hai, aur ek hi prakaar ke balidaan ko jo papon ko kabhi bhi door nahi kar sakte; baar baar chadhata hai.

12

पर यह व्यक्ति तो पापों के बदले एक ही बलिदान सर्वदा के लिये चढ़ा कर परमेश्वर के दाहिने जा बैठा।

Par yah vyakti to papon ke badle ek hi balidaan sarvada ke liye chadha kar Parmeshwar ke dahine ja baitha.

13

और उसी समय से इस की बाट जोह रहा है, कि उसके बैरी उसके पांवों के नीचे की पीढ़ी बनें।

Aur usi samay se is ki baat joh raha hai, ki uske bairi uske panvon ke neeche ki peedhi banein.

14

क्योंकि उस ने एक ही चढ़ावे के द्वारा उन्हें जो पवित्र किए जाते हैं, सर्वदा के लिये सिद्ध कर दिया है।

Kyonki us ne ek hi chadhave ke dwara unhein jo pavitra kiye jate hain, sarvada ke liye siddh kar diya hai.

15

और पवित्र आत्मा भी हमें यही गवाही देता है; क्योंकि उस ने पहिले कहा था

Aur pavitra aatma bhi hamein yahi gavahi deta hai; kyonki us ne pahile kaha tha

16

कि प्रभु कहता है; कि जो वाचा मैं उन दिनों के बाद उन से बान्धूंगा वह यह है कि मैं अपनी व्यवस्थाओं को उनके हृदय पर लिखूंगा और मैं उन के विवेक में डालूंगा।

Ki Prabhu kahta hai; ki jo vacha main un dinon ke baad un se bandhoonga vah yah hai ki main apni vyavasthaon ko unke hriday par likhoonga aur main un ke vivek mein daloonga.

17

(फिर वह यह कहता है, कि) मैं उन के पापों को, और उन के अधर्म के कामों को फिर कभी स्मरण न करूंगा।

(phir vah yah kahta hai, ki) main un ke papon ko, aur un ke adharm ke kamon ko phir kabhi smaran na karoonga.

18

और जब इन की क्षमा हो गई है, तो फिर पाप का बलिदान नहीं रहा॥

Aur jab in ki kshama ho gai hai, to phir paap ka balidaan nahi raha.

19

सो हे भाइयो, जब कि हमें यीशु के लोहू के द्वारा उस नए और जीवते मार्ग से पवित्र स्थान में प्रवेश करने का हियाव हो गया है।

So he bhaiyo, jab ki hamein Yeshu ke lohu ke dwara us naye aur jeevte maarg se pavitra sthaan mein pravesh karne ka hiyaav ho gaya hai.

20

जो उस ने परदे अर्थात अपने शरीर में से होकर, हमारे लिये अभिषेक किया है,

Jo us ne parde arthaat apne shareer mein se hokar, hamare liye abhishek kiya hai,

21

और इसलिये कि हमारा ऐसा महान याजक है, जो परमेश्वर के घर का अधिकारी है।

Aur isliye ki hamara aisa mahaan yajak hai, jo Parmeshwar ke ghar ka adhikari hai.

22

तो आओ; हम सच्चे मन, और पूरे विश्वास के साथ, और विवेक को दोष दूर करने के लिये हृदय पर छिड़काव लेकर, और देह को शुद्ध जल से धुलवा कर परमेश्वर के समीप जाएं।

To aao; ham sachche man, aur poore vishwaas ke saath, aur vivek ko dosh door karne ke liye hriday par chhidkaav lekar, aur deh ko shuddh jal se dhulva kar Parmeshwar ke sameep jayen.

23

और अपनी आशा के अंगीकार को दृढ़ता से थामें रहें; क्योंकि जिस ने प्रतिज्ञा किया है, वह सच्चा है।

Aur apni aasha ke angeekaar ko dridhta se thamein rahein; kyonki jis ne pratigya kiya hai, vah sachcha hai.

24

और प्रेम, और भले कामों में उक्साने के लिये एक दूसरे की चिन्ता किया करें।

Aur prem, aur bhale kamon mein uksane ke liye ek doosre ki chinta kiya karein.

25

और एक दूसरे के साथ इकट्ठा होना ने छोड़ें, जैसे कि कितनों की रीति है, पर एक दूसरे को समझाते रहें; और ज्यों ज्यों उस दिन को निकट आते देखो, त्यों त्यों और भी अधिक यह किया करो॥

Aur ek doosre ke saath ikattha hona ne chhodein, jaise ki kitnon ki reeti hai, par ek doosre ko samjhate rahein; aur jyon jyon us din ko nikat aate dekho, tyon tyon aur bhi adhik yah kiya karo.

26

क्योंकि सच्चाई की पहिचान प्राप्त करने के बाद यदि हम जान बूझ कर पाप करते रहें, तो पापों के लिये फिर कोई बलिदान बाकी नहीं।

Kyonki sachchai ki pahichaan praapt karne ke baad yadi ham jaan boojh kar paap karte rahein, to papon ke liye phir koi balidaan baki nahi.

27

हां, दण्ड का एक भयानक बाट जोहना और आग का ज्वलन बाकी है जो विरोधियों को भस्म कर देगा।

Han, dand ka ek bhayanak baat johna aur aag ka jwalan baki hai jo virodhiyon ko bhasm kar dega.

28

जब कि मूसा की व्यवस्था का न मानने वाला दो या तीन जनों की गवाही पर, बिना दया के मार डाला जाता है।

Jab ki Musa ki vyavastha ka na manne vala do ya teen janon ki gavahi par, bina daya ke maar dala jata hai.

29

तो सोच लो कि वह कितने और भी भारी दण्ड के योग्य ठहरेगा, जिस ने परमेश्वर के पुत्र को पांवों से रौंदा, और वाचा के लोहू को जिस के द्वारा वह पवित्र ठहराया गया था, अपवित्र जाना है, और अनुग्रह की आत्मा का अपमान किया।

To soch lo ki vah kitne aur bhi bhari dand ke yogya thahrega, jis ne Parmeshwar ke putra ko panvon se raunda, aur vacha ke lohu ko jis ke dwara vah pavitra thahraya gaya tha, apvitra jana hai, aur anugrah ki aatma ka apmaan kiya.

30

क्योंकि हम उसे जानते हैं, जिस ने कहा, कि पलटा लेना मेरा काम है, मैं ही बदला दूंगा: और फिर यह, कि प्रभु अपने लोगों का न्याय करेगा।

Kyonki ham use jante hain, jis ne kaha, ki palta lena mera kaam hai, main hi badla doonga: aur phir yah, ki Prabhu apne logon ka nyaay karega.

31

जीवते परमेश्वर के हाथों में पड़ना भयानक बात है॥

Jeevte Parmeshwar ke hathon mein padna bhayanak baat hai.

32

परन्तु उन पहिले दिनों को स्मरण करो, जिन में तुम ज्योति पाकर दुखों के बड़े झमेले में स्थिर रहे।

Parantu un pahile dinon ko smaran karo, jin mein tum jyoti pakar dukhon ke bade jhamele mein sthir rahe.

33

कुछ तो यों, कि तुम निन्दा, और क्लेश सहते हुए तमाशा बने, और कुछ यों, कि तुम उन के साझी हुए जिन की र्दुदशा की जाती थी।

Kuchh to yon, ki tum ninda, aur klesh sahte hue tamasha bane, aur kuchh yon, ki tum un ke sajhi hue jin ki rdudsha ki jati thi.

34

क्योंकि तुम कैदियों के दुख में भी दुखी हुए, और अपनी संपत्ति भी आनन्द से लुटने दी; यह जान कर, कि तुम्हारे पास एक और भी उत्तम और सर्वदा ठहरने वाली संपत्ति है।

Kyonki tum kaidiyon ke dukh mein bhi dukhi hue, aur apni sampatti bhi aanand se lutne di; yah jaan kar, ki tumhare paas ek aur bhi uttam aur sarvada thaharne vali sampatti hai.

35

सो अपना हियाव न छोड़ो क्योंकि उसका प्रतिफल बड़ा है।

So apna hiyaav na chhodo kyonki uska pratiphal bada hai.

36

क्योंकि तुम्हें धीरज धरना अवश्य है, ताकि परमेश्वर की इच्छा को पूरी करके तुम प्रतिज्ञा का फल पाओ।

Kyonki tumhein dheeraj dharna avashya hai, taki Parmeshwar ki ichchha ko poori karke tum pratigya ka phal pao.

37

क्योंकि अब बहुत ही थोड़ा समय रह गया है जब कि आने वाला आएगा, और देर न करेगा।

Kyonki ab bahut hi thoda samay rah gaya hai jab ki aane vala aayega, aur der na karega.

38

और मेरा धर्मी जन विश्वास से जीवित रहेगा, और यदि वह पीछे हट जाए तो मेरा मन उस से प्रसन्न न होगा।

Aur mera dharmi jan vishwaas se jeevit rahega, aur yadi vah peechhe hat jaye to mera man us se prasann na hoga.

39

पर हम हटने वाले नहीं, कि नाश हो जाएं पर विश्वास करने वाले हैं, कि प्राणों को बचाएं॥

Par ham hatne vale nahi, ki naash ho jayen par vishwaas karne vale hain, ki pranon ko bachayen.