पौलुस की ओर से जो मसीह यीशु का कैदी है, और भाई तिमुथियुस की ओर से हमारे प्रिय सहकर्मी फिलेमोन।
Paulus ki or se jo Masih Yeshu ka kaidi hai, aur bhai timuthiyus ki or se hamare priya sahkarmi philemon.
Philemon 1 · 25 verses
पौलुस की ओर से जो मसीह यीशु का कैदी है, और भाई तिमुथियुस की ओर से हमारे प्रिय सहकर्मी फिलेमोन।
Paulus ki or se jo Masih Yeshu ka kaidi hai, aur bhai timuthiyus ki or se hamare priya sahkarmi philemon.
और बहिन अफिफया, और हमारे साथी योद्धा अरखिप्पुस और फिलेमोन के घर की कलीसिया के नाम॥
Aur bahin aphiphya, aur hamare sathi yoddha arkhippus aur philemon ke ghar ki kaleesiya ke naam.
हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह की ओर से अनुग्रह और शान्ति तुम्हें मिलती रहे॥
Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ki or se anugrah aur shanti tumhein milti rahe.
मैं तेरे उस प्रेम और विश्वास की चर्चा सुन कर, जो सब पवित्र लोगों के साथ और प्रभु यीशु पर है।
Main tere us prem aur vishwaas ki charcha sun kar, jo sab pavitra logon ke saath aur Prabhu Yeshu par hai.
सदा परमेश्वर का धन्यवाद करता हूं; और अपनी प्रार्थनाओं में भी तुझे स्मरण करता हूं।
Sada Parmeshwar ka dhanyavaad karta hoon; aur apni prarthanaon mein bhi tujhe smaran karta hoon.
कि तेरा विश्वास में सहभागी होना तुम्हारी सारी भलाई की पहिचान में मसीह के लिये प्रभावशाली हो।
Ki tera vishwaas mein sahbhagi hona tumhari sari bhalai ki pahichaan mein Masih ke liye prabhavshali ho.
क्योंकि हे भाई, मुझे तेरे प्रेम से बहुत आनन्द और शान्ति मिली, इसलिये, कि तेरे द्वारा पवित्र लोगों के मन हरे भरे हो गए हैं॥
Kyonki he bhai, mujhe tere prem se bahut aanand aur shanti mili, isliye, ki tere dwara pavitra logon ke man hare bhare ho gaye hain.
इसलिये यद्यपि मुझे मसीह में बड़ा हियाव तो है, कि जो बात ठीक है, उस की आज्ञा तुझे दूं।
Isliye yadyapi mujhe Masih mein bada hiyaav to hai, ki jo baat theek hai, us ki aagya tujhe dun.
तौभी मुझ बूढ़े पौलुस को जो अब मसीह यीशु के लिये कैदी हूं, यह और भी भला जान पड़ा कि प्रेम से बिनती करूं।
Taubhi mujh boodhe Paulus ko jo ab Masih Yeshu ke liye kaidi hoon, yah aur bhi bhala jaan pada ki prem se binti karun.
मैं अपने बच्चे उनेसिमुस के लिये जो मुझ से मेरी कैद में जन्मा है तुझ से बिनती करता हूं।
Main apne bachche unesimus ke liye jo mujh se meri kaid mein janma hai tujh se binti karta hoon.
वह तो पहिले तेरे कुछ काम का न था, पर अब तेरे और मेरे दोनों के बड़े काम का है।
Vah to pahile tere kuchh kaam ka na tha, par ab tere aur mere donon ke bade kaam ka hai.
उसी को अर्थात जो मेरे हृदय का टुकड़ा है, मैं ने उसे तेरे पास लौटा दिया है।
Usi ko arthaat jo mere hriday ka tukda hai, main ne use tere paas lauta diya hai.
उसे मैं अपने ही पास रखना चाहता था कि तेरी ओर से इस कैद में जो सुसमाचार के कारण है, मेरी सेवा करे।
Use main apne hi paas rakhna chahta tha ki teri or se is kaid mein jo susmachaar ke karan hai, meri seva kare.
पर मैं ने तेरी इच्छा बिना कुछ भी करना न चाहा कि तेरी यह कृपा दबाव से नहीं पर आनन्द से हो।
Par main ne teri ichchha bina kuchh bhi karna na chaha ki teri yah kripa dabaav se nahi par aanand se ho.
क्योंकि क्या जाने वह तुझ से कुछ दिन तक के लिये इसी कारण अलग हुआ कि सदैव तेरे निकट रहे।
Kyonki kya jane vah tujh se kuchh din tak ke liye isi karan alag huaa ki sadaiv tere nikat rahe.
परन्तु अब से दास की नाईं नहीं, वरन दास से भी उत्तम, अर्थात भाई के समान रहे जो शरीर में भी और विशेष कर प्रभु में भी मेरा प्रिय हो।
Parantu ab se daas ki nai nahi, varan daas se bhi uttam, arthaat bhai ke samaan rahe jo shareer mein bhi aur vishesh kar Prabhu mein bhi mera priya ho.
सो यदि तू मुझे सहभागी समझता है, तो उसे इस प्रकार ग्रहण कर जैसे मुझे।
So yadi tu mujhe sahbhagi samajhta hai, to use is prakaar grahan kar jaise mujhe.
और यदि उस ने तेरी कुछ हानि की है, या उस पर तेरा कुछ आता है, तो मेरे नाम पर लिख ले।
Aur yadi us ne teri kuchh hani ki hai, ya us par tera kuchh aata hai, to mere naam par likh le.
मैं पौलुस अपने हाथ से लिखता हूं, कि मैं आप भर दूंगा; और इस के कहने की कुछ आवश्यकता नहीं, कि मेरा कर्ज जो तुझ पर है वह तू ही है।
Main Paulus apne haath se likhta hoon, ki main aap bhar doonga; aur is ke kahne ki kuchh aavashyakta nahi, ki mera karj jo tujh par hai vah tu hi hai.
हे भाई यह आनन्द मुझे प्रभु में तेरी ओर से मिले: मसीह में मेरे जी को हरा भरा कर दे।
He bhai yah aanand mujhe Prabhu mein teri or se mile: Masih mein mere ji ko hara bhara kar de.
मैं तेरे आज्ञाकारी होने का भरोसा रखकर, तुझे लिखता हूं और यह जानता हूं, कि जो कुछ मैं कहता हूं, तू उस से कहीं बढ़कर करेगा।
Main tere aagyakari hone ka bharosa rakhkar, tujhe likhta hoon aur yah janta hoon, ki jo kuchh main kahta hoon, tu us se kahi badhkar karega.
और यह भी, कि मेरे लिये उतरने की जगह तैयार रख; मुझे आशा है, कि तुम्हारी प्रार्थनाओं के द्वारा मैं तुम्हें दे दिया जाऊंगा॥
Aur yah bhi, ki mere liye utarne ki jagah taiyaar rakh; mujhe aasha hai, ki tumhari prarthanaon ke dwara main tumhein de diya jaoonga.
इपफ्रास जो मसीह यीशु में मेरे साथ कैदी है।
Ipaphraas jo Masih Yeshu mein mere saath kaidi hai.
और मरकुस और अरिस्तर्खुस और देमास और लूका जो मेरे सहकर्मी है इन का तुझे नमस्कार॥
Aur markus aur aristarkhus aur demaas aur looka jo mere sahkarmi hai in ka tujhe namaskaar.
हमारे प्रभु यीशु मसीह का अनुग्रह तुम्हारी आत्मा पर होता रहे। आमीन॥
Hamare Prabhu Yeshu Masih ka anugrah tumhari aatma par hota rahe. Aamin.