Habakkuk 2 · 20 verses

हबक्कूक 2 Habakkuk 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Habakkook 2.

1

मैं अपने पहरे पर खड़ा रहूंगा, और गुम्मट पर चढ़ कर ठहरा रहूंगा, और ताकता रहूंगा कि मुझ से वह क्या कहेगा? और मैं अपने दिए हुए उलाहने के विषय में उत्तर दूं?

Main apne pahre par khada rahoonga, aur gummat par chadh kar thahra rahoonga, aur takta rahoonga ki mujh se vah kya kahega? Aur main apne diye hue ulahne ke vishay mein uttar dun?

2

यहोवा ने मुझ से कहा, दर्शन की बातें लिख दे; वरन पटियाओं पर साफ साफ लिख दे कि दौड़ते हुए भी वे सहज से पढ़ी जाएं।

Yahowa ne mujh se kaha, darshan ki batein likh de; varan patiyaon par saaph saaph likh de ki daudte hue bhi ve sahaj se padhi jayen.

3

क्योंकि इस दर्शन की बात नियत समय में पूरी होने वाली है, वरन इसके पूरे होने का समय वेग से आता है; इस में धोखा न होगा। चाहे इस में विलम्ब भी हो, तौभी उसकी बाट जोहते रहना; क्योंकि वह निश्चय पूरी होगी और उस में देर न होगी।

Kyonki is darshan ki baat niyat samay mein poori hone vali hai, varan iske poore hone ka samay veg se aata hai; is mein dhokha na hoga. Chahe is mein vilamb bhi ho, taubhi uski baat johte rahna; kyonki vah nishchay poori hogi aur us mein der na hogi.

4

देख, उसका मन फूला हुआ है, उसका मन सीधा नहीं है; परन्तु धर्मी अपने विश्वास के द्वारा जीवित रहेगा।

Dekh, uska man phoola huaa hai, uska man seedha nahi hai; parantu dharmi apne vishwaas ke dwara jeevit rahega.

5

दाखमधु से धोखा होता है; अहंकारी पुरूष घर में नहीं रहता, और उसकी लालसा अधोलोक के समान पूरी नहीं होती, और मृत्यु की नाईं उसका पेट नहीं भरता। वह सब जातियों को अपने पास खींच लेता, और सब देशों के लोगों को अपने पास इकट्ठे कर रखता है॥

Dakhamdhu se dhokha hota hai; ahankari puroosh ghar mein nahi rahta, aur uski lalsa adholok ke samaan poori nahi hoti, aur mrityu ki nai uska pet nahi bharta. Vah sab jatiyon ko apne paas kheench leta, aur sab deshon ke logon ko apne paas ikatthe kar rakhta hai.

6

क्या वे सब उसका दृष्टान्त चला कर, और उस पर ताना मार कर न कहेंगे कि हाय उस पर जो पराया धल छीन छीनकर धनवान हो जाता है? कब तक? हाय उस पर जो अपना घर बन्धक की वस्तुओं से भर लेता है।

Kya ve sab uska drishtaant chala kar, aur us par tana maar kar na kahenge ki haay us par jo paraya dhal chheen chheenkar dhanvaan ho jata hai? Kab tak? Haay us par jo apna ghar bandhak ki vastuon se bhar leta hai.

7

जो तुझ से कर्ज लेते हैं, क्या वे लोग अचानक न उठेंगे? और क्या वे न जागेंगे जो तुझ को संकट में डालेंगे?

Jo tujh se karj lete hain, kya ve log achanak na uthenge? Aur kya ve na jagenge jo tujh ko sankat mein dalenge?

8

और क्या तू उन से लूटा न जाएगा? तू ने बहुत सी जातियों को लूट लिया है, सो सब बचे हुए लोग तुझे भी लूट लेंगे। इसका कारण मनुष्यों की हत्या, और वह अपद्रव भी जो तू ने इस देश और राजधानी और इसके सब रहने वालों पर किया है॥

Aur kya tu un se loota na jayega? Tu ne bahut si jatiyon ko loot liya hai, so sab bache hue log tujhe bhi loot lenge. Iska karan manushyon ki hatya, aur vah apadrav bhi jo tu ne is desh aur rajdhani aur iske sab rahne valon par kiya hai.

9

हाय उस पर, जो अपने घर के लिये अन्याय के लाभ का लोभी है ताकि वह अपना घोंसला ऊंचे स्थान में बनाकर विपत्ति से बचे।

Haay us par, jo apne ghar ke liye anyaay ke laabh ka lobhi hai taki vah apna ghonsla oonche sthaan mein banakar vipatti se bache.

10

तू ने बहुत सी जातियों को काट कर अपने घर लिये लज्जा की युक्ति बान्धी, और अपने ही प्राण का दोषी ठहरा है।

Tu ne bahut si jatiyon ko kaat kar apne ghar liye lajja ki yukti bandhi, aur apne hi praan ka doshi thahra hai.

11

क्योंकि घर की भीत का पत्थर दोहाई देता है, और उसके छत की कड़ी उनके स्वर में स्वर मिलाकर उत्तर देती हैं।

Kyonki ghar ki bheet ka patthar dohai deta hai, aur uske chhat ki kadi unke swar mein swar milakar uttar deti hain.

12

हाय उस पर जो हत्या कर के नगर को बनाता, और कुटिलता कर के गढ़ को दृढ़ करता है।

Haay us par jo hatya kar ke nagar ko banata, aur kutilta kar ke gadh ko dridh karta hai.

13

देखो, क्या सेनाओं के यहोवा की ओर से यह नहीं होता कि देश देश के लोग परिश्रम तो करते हैं परन्तु वे आग का कौर होते हैं; और राज्य-राज्य के लोगों का परिश्रम व्यर्थ ही ठहरता है?

Dekho, kya senaon ke Yahowa ki or se yah nahi hota ki desh desh ke log parishram to karte hain parantu ve aag ka kaur hote hain; aur rajya-rajya ke logon ka parishram vyarth hi thaharta hai?

14

क्योंकि पृथ्वी यहोवा की महिमा के ज्ञान से ऐसी भर जाएगी जैसे समुद्र जल से भर जाता है॥

Kyonki prithvi Yahowa ki mahima ke gyaan se aisi bhar jayegi jaise samudra jal se bhar jata hai.

15

हाय उस पर, जो अपने पड़ोसी को मदिरा पिलाता, और उस में विष मिलाकर उसको मतवाला कर देता है कि उसको नंगा देखे।

Haay us par, jo apne padosi ko madira pilata, aur us mein vish milakar usko matvala kar deta hai ki usko nanga dekhe.

16

तू महिमा की सन्ती अपमान ही से भर गया है। तू भी पी, और अपने को खतनाहीन प्रगट कर! जो कटोरा यहोवा के दाहिने हाथ में रहता है, सो घूम कर तेरी ओर भी जाएगा, और तेरा वैभव तेरी छांट से अशुद्ध हो जाएगा।

Tu mahima ki santi apmaan hi se bhar gaya hai. Tu bhi pi, aur apne ko khatnaheen pragat kar! Jo katora Yahowa ke dahine haath mein rahta hai, so ghoom kar teri or bhi jayega, aur tera vaibhav teri chhaant se ashuddh ho jayega.

17

क्योंकि लबानोन में तेरा किया हुआ उपद्रव और वहां के पशुओं पर तेरा किया हुआ उत्पात, जिन से वे भयभीत हो गए थे, तुझी पर आ पड़ेंगे। यह मनुष्यों की हत्या और उस उपद्रव के कारण होगा, जो इस देश और राजधानी और इसके सब रहने वालों पर किया गया है॥

Kyonki labanon mein tera kiya huaa upadrav aur vahan ke pashuon par tera kiya huaa utpaat, jin se ve bhaybheet ho gaye the, tujhi par aa padenge. Yah manushyon ki hatya aur us upadrav ke karan hoga, jo is desh aur rajdhani aur iske sab rahne valon par kiya gaya hai.

18

खुदी हुई मूरत में क्या लाभ देख कर बनाने वाले ने उसे खोदा है? फिर झूठ सिखाने वाली और ढली हुई मूरत में क्या लाभ देख कर ढालने वाले ने उस पर इतना भरोसा रखा है कि न बोलने वाली और निकम्मी मूरत बनाए?

Khudi hui moorat mein kya laabh dekh kar banane vale ne use khoda hai? Phir jhooth sikhane vali aur dhali hui moorat mein kya laabh dekh kar dhalne vale ne us par itna bharosa rakha hai ki na bolne vali aur nikammi moorat banaye?

19

हाय उस पर जो काठ से कहता है, जाग, वा अबोल पत्थर से, उठ! क्या वह सिखाएगा? देखो, वह सोने चान्दी में मढ़ा हुआ है, परन्तु उस में आत्मा नहीं है॥

Haay us par jo kaath se kahta hai, jaag, va abol patthar se, uth! Kya vah sikhayega? Dekho, vah sone chandi mein madha huaa hai, parantu us mein aatma nahi hai.

20

परन्तु यहोवा अपने पवित्र मन्दिर में है; समस्त पृथ्वी उसके साम्हने शान्त रहे॥

Parantu Yahowa apne pavitra mandir mein hai; samast prithvi uske samhane shaant rahe.