Genesis 8 · 22 verses

उत्पत्ति 8 Genesis 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 8.

1

और परमेश्वर ने नूह की, और जितने बनैले पशु, और घरेलू पशु उसके संग जहाज में थे, उन सभों की सुधि ली: और परमेश्वर ने पृथ्वी पर पवन बहाई, और जल घटने लगा।

Aur Parmeshwar ne nooh ki, aur jitne banaile pashu, aur gharelu pashu uske sang jahaaj mein the, un sabhon ki sudhi li: aur Parmeshwar ne prithvi par pavan bahai, aur jal ghatne laga.

2

और गहिरे समुद्र के सोते और आकाश के झरोखे बंद हो गए; और उससे जो वर्षा होती थी सो भी थम गई।

Aur gahire samudra ke sote aur aakaash ke jharokhe band ho gaye; aur usse jo varsha hoti thi so bhi tham gai.

3

और एक सौ पचास दिन के पश्चात जल पृथ्वी पर से लगातार घटने लगा।

Aur ek sau pachaas din ke pashchaat jal prithvi par se lagataar ghatne laga.

4

सातवें महीने के सत्तरहवें दिन को, जहाज अरारात नाम पहाड़ पर टिक गया।

Satvein maheene ke sattarahvein din ko, jahaaj araraat naam pahaad par tik gaya.

5

और जल दसवें महीने तक घटता चला गया, और दसवें महीने के पहिले दिन को, पहाड़ों की चोटियाँ दिखलाई दीं।

Aur jal dasvein maheene tak ghatta chala gaya, aur dasvein maheene ke pahile din ko, pahadon ki chotiyan dikhlai di.

6

फिर ऐसा हुआ कि चालीस दिन के पश्चात नूह ने अपने बनाए हुए जहाज की खिड़की को खोल कर, एक कौआ उड़ा दिया:

Phir aisa huaa ki chalees din ke pashchaat nooh ne apne banaye hue jahaaj ki khidki ko khol kar, ek kauaa uda diya:

7

वह जब तक जल पृथ्वी पर से सूख न गया, तब तक कौआ इधर उधर फिरता रहा।

Vah jab tak jal prithvi par se sookh na gaya, tab tak kauaa idhar udhar phirta raha.

8

फिर उसने अपने पास से एक कबूतरी को उड़ा दिया, कि देखें कि जल भूमि से घट गया कि नहीं।

Phir usne apne paas se ek kabootri ko uda diya, ki dekhein ki jal bhoomi se ghat gaya ki nahi.

9

उस कबूतरी को अपने पैर के तले टेकने के लिये कोई आधार ने मिला, सो वह उसके पास जहाज में लौट आई: क्योंकि सारी पृथ्वी के ऊपर जल ही जल छाया था तब उसने हाथ बढ़ा कर उसे अपने पास जहाज में ले लिया।

Us kabootri ko apne pair ke tale tekne ke liye koi aadhaar ne mila, so vah uske paas jahaaj mein laut aai: kyonki sari prithvi ke oopar jal hi jal chhaya tha tab usne haath badha kar use apne paas jahaaj mein le liya.

10

तब और सात दिन तक ठहर कर, उसने उसी कबूतरी को जहाज में से फिर उड़ा दिया।

Tab aur saat din tak thahar kar, usne usi kabootri ko jahaaj mein se phir uda diya.

11

और कबूतरी सांझ के समय उसके पास आ गई, तो क्या देखा कि उसकी चोंच में जलपाई का एक नया पत्ता है; इस से नूह ने जान लिया, कि जल पृथ्वी पर घट गया है।

Aur kabootri saanjh ke samay uske paas aa gai, to kya dekha ki uski chonch mein jalpai ka ek naya patta hai; is se nooh ne jaan liya, ki jal prithvi par ghat gaya hai.

12

फिर उसने सात दिन और ठहरकर उसी कबूतरी को उड़ा दिया; और वह उसके पास फिर कभी लौट कर न आई।

Phir usne saat din aur thaharkar usi kabootri ko uda diya; aur vah uske paas phir kabhi laut kar na aai.

13

फिर ऐसा हुआ कि छ: सौ एक वर्ष के पहिले महीने के पहिले दिन जल पृथ्वी पर से सूख गया। तब नूह ने जहाज की छत खोल कर क्या देखा कि धरती सूख गई है।

Phir aisa huaa ki chha: sau ek varsh ke pahile maheene ke pahile din jal prithvi par se sookh gaya. Tab nooh ne jahaaj ki chhat khol kar kya dekha ki dharti sookh gai hai.

14

और दूसरे महीने के सताईसवें दिन को पृथ्वी पूरी रीति से सूख गई॥

Aur doosre maheene ke sataisvein din ko prithvi poori reeti se sookh gai.

15

तब परमेश्वर ने, नूह से कहा,

Tab Parmeshwar ne, nooh se kaha,

16

तू अपने पुत्रों, पत्नी, और बहुओं समेत जहाज में से निकल आ।

Tu apne putron, patni, aur bahuon samet jahaaj mein se nikal aa.

17

क्या पक्षी, क्या पशु, क्या सब भांति के रेंगने वाले जन्तु जो पृथ्वी पर रेंगते हैं, जितने शरीरधारी जीवजन्तु तेरे संग हैं, उस सब को अपने साथ निकाल ले आ, कि पृथ्वी पर उन से बहुत बच्चे उत्पन्न हों; और वे फूलें-फलें, और पृथ्वी पर फैल जाएं।

Kya pakshi, kya pashu, kya sab bhanti ke rengne vale jantu jo prithvi par rengte hain, jitne shareerdhari jeevjantu tere sang hain, us sab ko apne saath nikaal le aa, ki prithvi par un se bahut bachche utpann hon; aur ve phoolein-phalein, aur prithvi par phail jayen.

18

तब नूह, और उसके पुत्र, और पत्नी, और बहुएं, निकल आईं:

Tab nooh, aur uske putra, aur patni, aur bahuein, nikal aai:

19

और सब चौपाए, रेंगने वाले जन्तु, और पक्षी, और जितने जीवजन्तु पृथ्वी पर चलते फिरते हैं, सो सब जाति जाति करके जहाज में से निकल आए।

Aur sab chaupaye, rengne vale jantu, aur pakshi, aur jitne jeevjantu prithvi par chalte phirte hain, so sab jati jati karke jahaaj mein se nikal aaye.

20

तब नूह ने यहोवा के लिये एक वेदी बनाई; और सब शुद्ध पशुओं, और सब शुद्ध पक्षियों में से, कुछ कुछ ले कर वेदी पर होमबलि चढ़ाया।

Tab nooh ne Yahowa ke liye ek vedi banai; aur sab shuddh pashuon, aur sab shuddh pakshiyon mein se, kuchh kuchh le kar vedi par homabli chadhaya.

21

इस पर यहोवा ने सुखदायक सुगन्ध पाकर सोचा, कि मनुष्य के कारण मैं फिर कभी भूमि को शाप न दूंगा, यद्यपि मनुष्य के मन में बचपन से जो कुछ उत्पन्न होता है सो बुरा ही होता है; तौभी जैसा मैं ने सब जीवों को अब मारा है, वैसा उन को फिर कभी न मारूंगा।

Is par Yahowa ne sukhdayak sugandh pakar socha, ki manushya ke karan main phir kabhi bhoomi ko shaap na doonga, yadyapi manushya ke man mein bachpan se jo kuchh utpann hota hai so bura hi hota hai; taubhi jaisa main ne sab jeevon ko ab mara hai, vaisa un ko phir kabhi na maroonga.

22

अब से जब तक पृथ्वी बनी रहेगी, तब तक बोने और काटने के समय, ठण्ड और तपन, धूपकाल और शीतकाल, दिन और रात, निरन्तर होते चले जाएंगे॥

Ab se jab tak prithvi bani rahegi, tab tak bone aur katne ke samay, thand aur tapan, dhoopkaal aur sheetkaal, din aur raat, nirantar hote chale jayenge.