Genesis 7 · 24 verses

उत्पत्ति 7 Genesis 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 7.

1

और यहोवा ने नूह से कहा, तू अपने सारे घराने समेत जहाज में जा; क्योंकि मैं ने इस समय के लोगों में से केवल तुझी को अपनी दृष्टि में धर्मी देखा है।

Aur Yahowa ne nooh se kaha, tu apne sare gharane samet jahaaj mein ja; kyonki main ne is samay ke logon mein se keval tujhi ko apni drishti mein dharmi dekha hai.

2

सब जाति के शुद्ध पशुओं में से तो तू सात सात, अर्थात नर और मादा लेना: पर जो पशु शुद्ध नहीं है, उन में से दो दो लेना, अर्थात नर और मादा:

Sab jati ke shuddh pashuon mein se to tu saat saat, arthaat nar aur mada lena: par jo pashu shuddh nahi hai, un mein se do do lena, arthaat nar aur mada:

3

और आकाश के पक्षियों में से भी, सात सात, अर्थात नर और मादा लेना: कि उनका वंश बचकर सारी पृथ्वी के ऊपर बना रहे।

Aur aakaash ke pakshiyon mein se bhi, saat saat, arthaat nar aur mada lena: ki unka vansh bachkar sari prithvi ke oopar bana rahe.

4

क्योंकि अब सात दिन और बीतने पर मैं पृथ्वी पर चालीस दिन और चालीस रात तक जल बरसाता रहूंगा; जितनी वस्तुएं मैं ने बनाईं हैं सब को भूमि के ऊपर से मिटा दूंगा।

Kyonki ab saat din aur beetne par main prithvi par chalees din aur chalees raat tak jal barsata rahoonga; jitni vastuein main ne banai hain sab ko bhoomi ke oopar se mita doonga.

5

यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार नूह ने किया।

Yahowa ki is aagya ke anusaar nooh ne kiya.

6

नूह की अवस्था छ: सौ वर्ष की थी, जब जलप्रलय पृथ्वी पर आया।

Nooh ki avastha chha: sau varsh ki thi, jab jalapralay prithvi par aaya.

7

नूह अपने पुत्रों, पत्नी और बहुओं समेत, जलप्रलय से बचने के लिये जहाज में गया।

Nooh apne putron, patni aur bahuon samet, jalapralay se bachne ke liye jahaaj mein gaya.

8

और शुद्ध, और अशुद्ध दोनो प्रकार के पशुओं में से, पक्षियों,

Aur shuddh, aur ashuddh dono prakaar ke pashuon mein se, pakshiyon,

9

और भूमि पर रेंगने वालों में से भी, दो दो, अर्थात नर और मादा, जहाज में नूह के पास गए, जिस प्रकार परमेश्वर ने नूह को आज्ञा दी थी।

Aur bhoomi par rengne valon mein se bhi, do do, arthaat nar aur mada, jahaaj mein nooh ke paas gaye, jis prakaar Parmeshwar ne nooh ko aagya di thi.

10

सात दिन के उपरान्त प्रलय का जल पृथ्वी पर आने लगा।

Saat din ke upraant pralay ka jal prithvi par aane laga.

11

जब नूह की अवस्था के छ: सौवें वर्ष के दूसरे महीने का सत्तरहवां दिन आया; उसी दिन बड़े गहिरे समुद्र के सब सोते फूट निकले और आकाश के झरोखे खुल गए।

Jab nooh ki avastha ke chha: sauvein varsh ke doosre maheene ka sattarahvan din aaya; usi din bade gahire samudra ke sab sote phoot nikle aur aakaash ke jharokhe khul gaye.

12

और वर्षा चालीस दिन और चालीस रात निरन्तर पृथ्वी पर होती रही।

Aur varsha chalees din aur chalees raat nirantar prithvi par hoti rahi.

13

ठीक उसी दिन नूह अपने पुत्र शेम, हाम, और येपेत, और अपनी पत्नी, और तीनों बहुओं समेत,

Theek usi din nooh apne putra shem, haam, aur yepet, aur apni patni, aur teenon bahuon samet,

14

और उनके संग एक एक जाति के सब बनैले पशु, और एक एक जाति के सब घरेलू पशु, और एक एक जाति के सब पृथ्वी पर रेंगने वाले, और एक एक जाति के सब उड़ने वाले पक्षी, जहाज में गए।

Aur unke sang ek ek jati ke sab banaile pashu, aur ek ek jati ke sab gharelu pashu, aur ek ek jati ke sab prithvi par rengne vale, aur ek ek jati ke sab udne vale pakshi, jahaaj mein gaye.

15

जितने प्राणियों में जीवन की आत्मा थी उनकी सब जातियों में से दो दो नूह के पास जहाज में गए।

Jitne praniyon mein jeevan ki aatma thi unki sab jatiyon mein se do do nooh ke paas jahaaj mein gaye.

16

और जो गए, वह परमेश्वर की आज्ञा के अनुसार सब जाति के प्राणियों में से नर और मादा गए। तब यहोवा ने उसका द्वार बन्द कर दिया।

Aur jo gaye, vah Parmeshwar ki aagya ke anusaar sab jati ke praniyon mein se nar aur mada gaye. Tab Yahowa ne uska dwaar band kar diya.

17

और पृथ्वी पर चालीस दिन तक प्रलय होता रहा; और पानी बहुत बढ़ता ही गया जिस से जहाज ऊपर को उठने लगा, और वह पृथ्वी पर से ऊंचा उठ गया।

Aur prithvi par chalees din tak pralay hota raha; aur pani bahut badhta hi gaya jis se jahaaj oopar ko uthne laga, aur vah prithvi par se ooncha uth gaya.

18

और जल बढ़ते बढ़ते पृथ्वी पर बहुत ही बढ़ गया, और जहाज जल के ऊपर ऊपर तैरता रहा।

Aur jal badhte badhte prithvi par bahut hi badh gaya, aur jahaaj jal ke oopar oopar tairta raha.

19

और जल पृथ्वी पर अत्यन्त बढ़ गया, यहां तक कि सारी धरती पर जितने बड़े बड़े पहाड़ थे, सब डूब गए।

Aur jal prithvi par atyant badh gaya, yahan tak ki sari dharti par jitne bade bade pahaad the, sab doob gaye.

20

जल तो पन्द्रह हाथ ऊपर बढ़ गया, और पहाड़ भी डूब गए

Jal to pandrah haath oopar badh gaya, aur pahaad bhi doob gaye

21

और क्या पक्षी, क्या घरेलू पशु, क्या बनैले पशु, और पृथ्वी पर सब चलने वाले प्राणी, और जितने जन्तु पृथ्वी मे बहुतायत से भर गए थे, वे सब, और सब मनुष्य मर गए।

Aur kya pakshi, kya gharelu pashu, kya banaile pashu, aur prithvi par sab chalne vale prani, aur jitne jantu prithvi me bahutayat se bhar gaye the, ve sab, aur sab manushya mar gaye.

22

जो जो स्थल पर थे उन में से जितनों के नथनों में जीवन का श्वास था, सब मर मिटे।

Jo jo sthal par the un mein se jitnon ke nathnon mein jeevan ka shwaas tha, sab mar mite.

23

और क्या मनुष्य, क्या पशु, क्या रेंगने वाले जन्तु, क्या आकाश के पक्षी, जो जो भूमि पर थे, सो सब पृथ्वी पर से मिट गए; केवल नूह, और जितने उसके संग जहाज में थे, वे ही बच गए।

Aur kya manushya, kya pashu, kya rengne vale jantu, kya aakaash ke pakshi, jo jo bhoomi par the, so sab prithvi par se mit gaye; keval nooh, aur jitne uske sang jahaaj mein the, ve hi bach gaye.

24

और जल पृथ्वी पर एक सौ पचास दिन तक प्रबल रहा॥

Aur jal prithvi par ek sau pachaas din tak prabal raha.