Genesis 6 · 22 verses

उत्पत्ति 6 Genesis 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 6.

1

फिर जब मनुष्य भूमि के ऊपर बहुत बढ़ने लगे, और उनके बेटियां उत्पन्न हुई,

Phir jab manushya bhoomi ke oopar bahut badhne lage, aur unke betiyan utpann hui,

2

तब परमेश्वर के पुत्रों ने मनुष्य की पुत्रियों को देखा, कि वे सुन्दर हैं; सो उन्होंने जिस जिस को चाहा उन से ब्याह कर लिया।

Tab Parmeshwar ke putron ne manushya ki putriyon ko dekha, ki ve sundar hain; so unhonne jis jis ko chaha un se byaah kar liya.

3

और यहोवा ने कहा, मेरा आत्मा मनुष्य से सदा लों विवाद करता न रहेगा, क्योंकि मनुष्य भी शरीर ही है: उसकी आयु एक सौ बीस वर्ष की होगी।

Aur Yahowa ne kaha, mera aatma manushya se sada lon vivaad karta na rahega, kyonki manushya bhi shareer hi hai: uski aayu ek sau bees varsh ki hogi.

4

उन दिनों में पृथ्वी पर दानव रहते थे; और इसके पश्चात जब परमेश्वर के पुत्र मनुष्य की पुत्रियों के पास गए तब उनके द्वारा जो सन्तान उत्पन्न हुए, वे पुत्र शूरवीर होते थे, जिनकी कीर्ति प्राचीन काल से प्रचलित है।

Un dinon mein prithvi par danav rahte the; aur iske pashchaat jab Parmeshwar ke putra manushya ki putriyon ke paas gaye tab unke dwara jo santaan utpann hue, ve putra shoorveer hote the, jinki keerti pracheen kaal se prachlit hai.

5

और यहोवा ने देखा, कि मनुष्यों की बुराई पृथ्वी पर बढ़ गई है, और उनके मन के विचार में जो कुछ उत्पन्न होता है सो निरन्तर बुरा ही होता है।

Aur Yahowa ne dekha, ki manushyon ki burai prithvi par badh gai hai, aur unke man ke vichaar mein jo kuchh utpann hota hai so nirantar bura hi hota hai.

6

और यहोवा पृथ्वी पर मनुष्य को बनाने से पछताया, और वह मन में अति खेदित हुआ।

Aur Yahowa prithvi par manushya ko banane se pachhtaya, aur vah man mein ati khedit huaa.

7

तब यहोवा ने सोचा, कि मैं मनुष्य को जिसकी मैं ने सृष्टि की है पृथ्वी के ऊपर से मिटा दूंगा; क्या मनुष्य, क्या पशु, क्या रेंगने वाले जन्तु, क्या आकाश के पक्षी, सब को मिटा दूंगा क्योंकि मैं उनके बनाने से पछताता हूं।

Tab Yahowa ne socha, ki main manushya ko jiski main ne srishti ki hai prithvi ke oopar se mita doonga; kya manushya, kya pashu, kya rengne vale jantu, kya aakaash ke pakshi, sab ko mita doonga kyonki main unke banane se pachhtata hoon.

8

परन्तु यहोवा के अनुग्रह की दृष्टि नूह पर बनी रही॥

Parantu Yahowa ke anugrah ki drishti nooh par bani rahi.

9

नूह की वंशावली यह है। नूह धर्मी पुरूष और अपने समय के लोगों में खरा था, और नूह परमेश्वर ही के साथ साथ चलता रहा।

Nooh ki vanshavli yah hai. Nooh dharmi puroosh aur apne samay ke logon mein khara tha, aur nooh Parmeshwar hi ke saath saath chalta raha.

10

और नूह से, शेम, और हाम, और येपेत नाम, तीन पुत्र उत्पन्न हुए।

Aur nooh se, shem, aur haam, aur yepet naam, teen putra utpann hue.

11

उस समय पृथ्वी परमेश्वर की दृष्टि में बिगड़ गई थी, और उपद्रव से भर गई थी।

Us samay prithvi Parmeshwar ki drishti mein bigad gai thi, aur upadrav se bhar gai thi.

12

और परमेश्वर ने पृथ्वी पर जो दृष्टि की तो क्या देखा, कि वह बिगड़ी हुई है; क्योंकि सब प्राणियों ने पृथ्वी पर अपनी अपनी चाल चलन बिगाड़ ली थी।

Aur Parmeshwar ne prithvi par jo drishti ki to kya dekha, ki vah bigdi hui hai; kyonki sab praniyon ne prithvi par apni apni chaal chalan bigaad li thi.

13

तब परमेश्वर ने नूह से कहा, सब प्राणियों के अन्त करने का प्रश्न मेरे साम्हने आ गया है; क्योंकि उनके कारण पृथ्वी उपद्रव से भर गई है, इसलिये मैं उन को पृथ्वी समेत नाश कर डालूंगा।

Tab Parmeshwar ne nooh se kaha, sab praniyon ke ant karne ka prashn mere samhane aa gaya hai; kyonki unke karan prithvi upadrav se bhar gai hai, isliye main un ko prithvi samet naash kar daloonga.

14

इसलिये तू गोपेर वृक्ष की लकड़ी का एक जहाज बना ले, उस में कोठरियां बनाना, और भीतर बाहर उस पर राल लगाना।

Isliye tu goper vriksh ki lakdi ka ek jahaaj bana le, us mein kothriyan banana, aur bheetar bahar us par raal lagana.

15

और इस ढंग से उसको बनाना: जहाज की लम्बाई तीन सौ हाथ, चौड़ाई पचास हाथ, और ऊंचाई तीस हाथ की हो।

Aur is dhang se usko banana: jahaaj ki lambai teen sau haath, chaudai pachaas haath, aur oonchai tees haath ki ho.

16

जहाज में एक खिड़की बनाना, और इसके एक हाथ ऊपर से उसकी छत बनाना, और जहाज की एक अलंग में एक द्वार रखना, और जहाज में पहिला, दूसरा, तीसरा खण्ड बनाना।

Jahaaj mein ek khidki banana, aur iske ek haath oopar se uski chhat banana, aur jahaaj ki ek alang mein ek dwaar rakhna, aur jahaaj mein pahila, doosra, teesra khand banana.

17

और सुन, मैं आप पृथ्वी पर जलप्रलय करके सब प्राणियों को, जिन में जीवन की आत्मा है, आकाश के नीचे से नाश करने पर हूं: और सब जो पृथ्वी पर हैं मर जाएंगे।

Aur sun, main aap prithvi par jalapralay karke sab praniyon ko, jin mein jeevan ki aatma hai, aakaash ke neeche se naash karne par hoon: aur sab jo prithvi par hain mar jayenge.

18

परन्तु तेरे संग मैं वाचा बान्धता हूं: इसलिये तू अपने पुत्रों, स्त्री, और बहुओं समेत जहाज में प्रवेश करना।

Parantu tere sang main vacha bandhata hoon: isliye tu apne putron, stri, aur bahuon samet jahaaj mein pravesh karna.

19

और सब जीवित प्राणियों में से, तू एक एक जाति के दो दो, अर्थात एक नर और एक मादा जहाज में ले जा कर, अपने साथ जीवित रखना।

Aur sab jeevit praniyon mein se, tu ek ek jati ke do do, arthaat ek nar aur ek mada jahaaj mein le ja kar, apne saath jeevit rakhna.

20

एक एक जाति के पक्षी, और एक एक जाति के पशु, और एक एक जाति के भूमि पर रेंगने वाले, सब में से दो दो तेरे पास आएंगे, कि तू उन को जीवित रखे।

Ek ek jati ke pakshi, aur ek ek jati ke pashu, aur ek ek jati ke bhoomi par rengne vale, sab mein se do do tere paas aayenge, ki tu un ko jeevit rakhe.

21

और भांति भांति का भोज्य पदार्थ जो खाया जाता है, उन को तू ले कर अपने पास इकट्ठा कर रखना सो तेरे और उनके भोजन के लिये होगा।

Aur bhanti bhanti ka bhojya padaarth jo khaya jata hai, un ko tu le kar apne paas ikattha kar rakhna so tere aur unke bhojan ke liye hoga.

22

परमेश्वर की इस आज्ञा के अनुसार नूह ने किया।

Parmeshwar ki is aagya ke anusaar nooh ne kiya.