Genesis 5 · 32 verses

उत्पत्ति 5 Genesis 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 5.

1

आदम की वंशावली यह है। जब परमेश्वर ने मनुष्य की सृष्टि की तब अपने ही स्वरूप में उसको बनाया;

Aadam ki vanshavli yah hai. Jab Parmeshwar ne manushya ki srishti ki tab apne hi swaroop mein usko banaya;

2

उसने नर और नारी करके मनुष्यों की सृष्टि की और उन्हें आशीष दी, और उनकी सृष्टि के दिन उनका नाम आदम रखा।

Usne nar aur nari karke manushyon ki srishti ki aur unhein aasheesh di, aur unki srishti ke din unka naam aadam rakha.

3

जब आदम एक सौ तीस वर्ष का हुआ, तब उसके द्वारा उसकी समानता में उस ही के स्वरूप के अनुसार एक पुत्र उत्पन्न हुआ उसका नाम शेत रखा।

Jab aadam ek sau tees varsh ka huaa, tab uske dwara uski samanta mein us hi ke swaroop ke anusaar ek putra utpann huaa uska naam shet rakha.

4

और शेत के जन्म के पश्चात आदम आठ सौ वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुईं।

Aur shet ke janm ke pashchaat aadam aath sau varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

5

और आदम की कुल अवस्था नौ सौ तीस वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur aadam ki kul avastha nau sau tees varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

6

जब शेत एक सौ पांच वर्ष का हुआ, तब उसने एनोश को जन्म दिया।

Jab shet ek sau paanch varsh ka huaa, tab usne enosh ko janm diya.

7

और एनोश के जन्म के पश्चात शेत आठ सौ सात वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुईं।

Aur enosh ke janm ke pashchaat shet aath sau saat varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

8

और शेत की कुल अवस्था नौ सौ बारह वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur shet ki kul avastha nau sau barah varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

9

जब एनोश नब्बे वर्ष का हुआ, तब उसने केनान को जन्म दिया।

Jab enosh nabbe varsh ka huaa, tab usne kenaan ko janm diya.

10

और केनान के जन्म के पश्चात एनोश आठ सौ पन्द्रह वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां हुई।

Aur kenaan ke janm ke pashchaat enosh aath sau pandrah varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan hui.

11

और एनोश की कुल अवस्था नौ सौ पांच वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur enosh ki kul avastha nau sau paanch varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

12

जब केनान सत्तर वर्ष का हुआ, तब उसने महललेल को जन्म दिया।

Jab kenaan sattar varsh ka huaa, tab usne mahallel ko janm diya.

13

और महललेल के जन्म के पश्चात केनान आठ सौ चालीस वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुई।

Aur mahallel ke janm ke pashchaat kenaan aath sau chalees varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

14

और केनान की कुल अवस्था नौ सौ दस वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur kenaan ki kul avastha nau sau das varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

15

जब महललेल पैंसठ वर्ष का हुआ, तब उसने येरेद को जन्म दिया।

Jab mahallel painsath varsh ka huaa, tab usne yered ko janm diya.

16

और येरेद के जन्म के पश्चात महललेल आठ सौ तीस वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुई।

Aur yered ke janm ke pashchaat mahallel aath sau tees varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

17

और महललेल की कुल अवस्था आठ सौ पंचानवे वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur mahallel ki kul avastha aath sau panchanve varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

18

जब येरेद एक सौ बासठ वर्ष का हुआ, जब उसने हनोक को जन्म दिया।

Jab yered ek sau basath varsh ka huaa, jab usne hanok ko janm diya.

19

और हनोक के जन्म के पश्चात येरेद आठ सौ वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुई।

Aur hanok ke janm ke pashchaat yered aath sau varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

20

और येरेद की कुल अवस्था नौ सौ बासठ वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया।

Aur yered ki kul avastha nau sau basath varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

21

जब हनोक पैंसठ वर्ष का हुआ, तब उसने मतूशेलह को जन्म दिया।

Jab hanok painsath varsh ka huaa, tab usne matooshelah ko janm diya.

22

और मतूशेलह के जन्म के पश्चात हनोक तीन सौ वर्ष तक परमेश्वर के साथ साथ चलता रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुईं।

Aur matooshelah ke janm ke pashchaat hanok teen sau varsh tak Parmeshwar ke saath saath chalta raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

23

और हनोक की कुल अवस्था तीन सौ पैंसठ वर्ष की हुई।

Aur hanok ki kul avastha teen sau painsath varsh ki hui.

24

और हनोक परमेश्वर के साथ साथ चलता था; फिर वह लोप हो गया क्योंकि परमेश्वर ने उसे उठा लिया।

Aur hanok Parmeshwar ke saath saath chalta tha; phir vah lop ho gaya kyonki Parmeshwar ne use utha liya.

25

जब मतूशेलह एक सौ सत्तासी वर्ष का हुआ, तब उसने लेमेक को जन्म दिया।

Jab matooshelah ek sau sattasi varsh ka huaa, tab usne lemek ko janm diya.

26

और लेमेक के जन्म के पश्चात मतूशेलह सात सौ बयासी वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुईं।

Aur lemek ke janm ke pashchaat matooshelah saat sau bayasi varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

27

और मतूशेलह की कुल अवस्था नौ सौ उनहत्तर वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur matooshelah ki kul avastha nau sau unhattar varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

28

जब लेमेक एक सौ बयासी वर्ष का हुआ, तब उसने एक पुत्र जन्म दिया।

Jab lemek ek sau bayasi varsh ka huaa, tab usne ek putra janm diya.

29

और यह कहकर उसका नाम नूह रखा, कि यहोवा ने जो पृथ्वी को शाप दिया है, उसके विषय यह लड़का हमारे काम में, और उस कठिन परिश्रम में जो हम करते हैं, हम को शान्ति देगा।

Aur yah kahkar uska naam nooh rakha, ki Yahowa ne jo prithvi ko shaap diya hai, uske vishay yah ladka hamare kaam mein, aur us kathin parishram mein jo ham karte hain, ham ko shanti dega.

30

और नूह के जन्म के पश्चात लेमेक पांच सौ पंचानवे वर्ष जीवित रहा, और उसके और भी बेटे बेटियां उत्पन्न हुईं।

Aur nooh ke janm ke pashchaat lemek paanch sau panchanve varsh jeevit raha, aur uske aur bhi bete betiyan utpann hui.

31

और लेमेक की कुल अवस्था सात सौ सतहत्तर वर्ष की हुई: तत्पश्चात वह मर गया॥

Aur lemek ki kul avastha saat sau sathattar varsh ki hui: tatpashchaat vah mar gaya.

32

और नूह पांच सौ वर्ष का हुआ; और नूह ने शेम, और हाम और येपेत को जन्म दिया॥

Aur nooh paanch sau varsh ka huaa; aur nooh ne shem, aur haam aur yepet ko janm diya.