Genesis 50 · 26 verses

उत्पत्ति 50 Genesis 50 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 50.

1

तब यूसुफ अपने पिता के मुंह पर गिरकर रोया और उसे चूमा।

Tab Yusuf apne pita ke munh par girkar roya aur use chooma.

2

और यूसुफ ने उन वैद्यों को, जो उसके सेवक थे, आज्ञा दी, कि मेरे पिता की लोथ में सुगन्धद्रव्य भरो; तब वैद्यों ने इस्राएल की लोथ में सुगन्धद्रव्य भर दिए।

Aur Yusuf ne un vaidyon ko, jo uske sevak the, aagya di, ki mere pita ki loth mein sugandhadravya bharo; tab vaidyon ne Israel ki loth mein sugandhadravya bhar diye.

3

और उसके चालीस दिन पूरे हुए। क्योंकि जिनकी लोथ में सुगन्धद्रव्य भरे जाते हैं, उन को इतने ही दिन पूरे लगते हैं: और मिस्री लोग उसके लिये सत्तर दिन तक विलाप करते रहे॥

Aur uske chalees din poore hue. Kyonki jinki loth mein sugandhadravya bhare jate hain, un ko itne hi din poore lagte hain: aur misri log uske liye sattar din tak vilaap karte rahe.

4

जब उसके विलाप के दिन बीत गए, तब यूसुफ फिरौन के घराने के लोगों से कहने लगा, यदि तुम्हारी अनुग्रह की दृष्टि मुझ पर हो तो मेरी यह बिनती फिरौन को सुनाओ,

Jab uske vilaap ke din beet gaye, tab Yusuf Firaun ke gharane ke logon se kahne laga, yadi tumhari anugrah ki drishti mujh par ho to meri yah binti Firaun ko sunao,

5

कि मेरे पिता ने यह कहकर, कि देख मैं मरने पर हूं, मुझे यह शपथ खिलाई, कि जो कबर तू ने अपने लिये कनान देश में खुदवाई है उसी में मैं तुझे मिट्टी दूंगा इसलिये अब मुझे वहां जा कर अपने पिता को मिट्टी देने की आज्ञा दे, तत्पश्चात् मैं लौट आऊंगा।

Ki mere pita ne yah kahkar, ki dekh main marne par hoon, mujhe yah shapath khilai, ki jo kabar tu ne apne liye kanaan desh mein khudvai hai usi mein main tujhe mitti doonga isliye ab mujhe vahan ja kar apne pita ko mitti dene ki aagya de, tatpashchaat main laut aaoonga.

6

तब फिरौन ने कहा, जा कर अपने पिता की खिलाई हुई शपथ के अनुसार उन को मिट्टी दे।

Tab Firaun ne kaha, ja kar apne pita ki khilai hui shapath ke anusaar un ko mitti de.

7

सो यूसुफ अपने पिता को मिट्टी देने के लिये चला, और फिरौन के सब कर्मचारी, अर्थात उसके भवन के पुरनिये, और मिस्र देश के सब पुरनिये उसके संग चले।

So Yusuf apne pita ko mitti dene ke liye chala, aur Firaun ke sab karmachari, arthaat uske bhavan ke purniye, aur Misr desh ke sab purniye uske sang chale.

8

और यूसुफ के घर के सब लोग, और उसके भाई, और उसके पिता के घर के सब लोग भी संग गए; पर वे अपने बालबच्चों, और भेड़-बकरियों, और गाय-बैलों को गोशेन देश में छोड़ गए।

Aur Yusuf ke ghar ke sab log, aur uske bhai, aur uske pita ke ghar ke sab log bhi sang gaye; par ve apne balbachchon, aur bhed-bakriyon, aur gaay-bailon ko goshen desh mein chhod gaye.

9

और उसके संग रथ और सवार गए, सो भीड़ बहुत भारी हो गई।

Aur uske sang rath aur savaar gaye, so bheed bahut bhari ho gai.

10

जब वे आताद के खलिहान तक, जो यरदन नदी के पार है पहुंचे, तब वहां अत्यन्त भारी विलाप किया, और यूसुफ ने अपने पिता के सात दिन का विलाप कराया।

Jab ve aataad ke khalihaan tak, jo yardan nadi ke paar hai pahunche, tab vahan atyant bhari vilaap kiya, aur Yusuf ne apne pita ke saat din ka vilaap karaya.

11

आताद के खलिहान में के विलाप को देखकर उस देश के निवासी कनानियों ने कहा, यह तो मिस्रियों का कोई भारी विलाप होगा, इसी कारण उस स्थान का नाम आबेलमिस्रैम पड़ा, और वह यरदन के पार है।

Aataad ke khalihaan mein ke vilaap ko dekhkar us desh ke nivasi kananiyon ne kaha, yah to misriyon ka koi bhari vilaap hoga, isi karan us sthaan ka naam aabelmisraim pada, aur vah yardan ke paar hai.

12

और इस्राएल के पुत्रों ने उससे वही काम किया जिसकी उसने उन को आज्ञा दी थी:

Aur Israel ke putron ne usse vahi kaam kiya jiski usne un ko aagya di thi:

13

अर्थात उन्होंने उसको कनान देश में ले जाकर मकपेला की उस भूमिवाली गुफा में, जो मम्रे के साम्हने हैं, मिट्टी दी; जिस को इब्राहीम ने हित्ती एप्रोन के हाथ से इस निमित्त मोल लिया था, कि वह कबरिस्तान के लिये उसकी निज भूमि हो॥

Arthaat unhonne usko kanaan desh mein le jakar makpela ki us bhoomivali gupha mein, jo mamre ke samhane hain, mitti di; jis ko Ibrahim ne hitti epron ke haath se is nimitt mol liya tha, ki vah kabristaan ke liye uski nij bhoomi ho.

14

अपने पिता को मिट्टी देकर यूसुफ अपने भाइयों और उन सब समेत, जो उसके पिता को मिट्टी देने के लिये उसके संग गए थे, मिस्र में लौट आया।

Apne pita ko mitti dekar Yusuf apne bhaiyon aur un sab samet, jo uske pita ko mitti dene ke liye uske sang gaye the, Misr mein laut aaya.

15

जब यूसुफ के भाइयों ने देखा कि हमारा पिता मर गया है, तब कहने लगे, कदाचित यूसुफ अब हमारे पीछे पड़े, और जितनी बुराई हम ने उससे की थी सब का पूरा पलटा हम से ले।

Jab Yusuf ke bhaiyon ne dekha ki hamara pita mar gaya hai, tab kahne lage, kadachit Yusuf ab hamare peechhe pade, aur jitni burai ham ne usse ki thi sab ka poora palta ham se le.

16

इसलिये उन्होंने यूसुफ के पास यह कहला भेजा, कि तेरे पिता ने मरने से पहिले हमें यह आज्ञा दी थी,

Isliye unhonne Yusuf ke paas yah kahla bheja, ki tere pita ne marne se pahile hamein yah aagya di thi,

17

कि तुम लोग यूसुफ से इस प्रकार कहना, कि हम बिनती करते हैं, कि तू अपने भाइयों के अपराध और पाप को क्षमा कर; हम ने तुझ से बुराई तो की थी, पर अब अपने पिता के परमेश्वर के दासों का अपराध क्षमा कर। उनकी ये बातें सुनकर यूसुफ रो पड़ा।

Ki tum log Yusuf se is prakaar kahna, ki ham binti karte hain, ki tu apne bhaiyon ke apraadh aur paap ko kshama kar; ham ne tujh se burai to ki thi, par ab apne pita ke Parmeshwar ke dason ka apraadh kshama kar. Unki ye batein sunkar Yusuf ro pada.

18

और उसके भाई आप भी जाकर उसके साम्हने गिर पड़े, और कहा, देख, हम तेरे दास हैं।

Aur uske bhai aap bhi jakar uske samhane gir pade, aur kaha, dekh, ham tere daas hain.

19

यूसुफ ने उन से कहा, मत डरो, क्या मैं परमेश्वर की जगह पर हूं?

Yusuf ne un se kaha, mat daro, kya main Parmeshwar ki jagah par hoon?

20

यद्यपि तुम लोगों ने मेरे लिये बुराई का विचार किया था; परन्तु परमेश्वर ने उसी बात में भलाई का विचार किया, जिस से वह ऐसा करे, जैसा आज के दिन प्रगट है, कि बहुत से लोगों के प्राण बचे हैं।

Yadyapi tum logon ne mere liye burai ka vichaar kiya tha; parantu Parmeshwar ne usi baat mein bhalai ka vichaar kiya, jis se vah aisa kare, jaisa aaj ke din pragat hai, ki bahut se logon ke praan bache hain.

21

सो अब मत डरो: मैं तुम्हारा और तुम्हारे बाल-बच्चों का पालन पोषण करता रहूंगा; इस प्रकार उसने उन को समझा बुझाकर शान्ति दी॥

So ab mat daro: main tumhara aur tumhare baal-bachchon ka palan poshan karta rahoonga; is prakaar usne un ko samjha bujhakar shanti di.

22

और यूसुफ अपने पिता के घराने समेत मिस्र में रहता रहा, और यूसुफ एक सौ दस वर्ष जीवित रहा।

Aur Yusuf apne pita ke gharane samet Misr mein rahta raha, aur Yusuf ek sau das varsh jeevit raha.

23

और यूसुफ एप्रैम के परपोतों तक देखने पाया: और मनश्शे के पोते, जो माकीर के पुत्र थे, वे उत्पन्न हो कर यूसुफ से गोद में लिए गए।

Aur Yusuf epraim ke parpoton tak dekhne paya: aur manashshe ke pote, jo makeer ke putra the, ve utpann ho kar Yusuf se god mein liye gaye.

24

और यूसुफ ने अपने भाइयों से कहा मैं तो मरने पर हूं; परन्तु परमेश्वर निश्चय तुम्हारी सुधि लेगा, और तुम्हें इस देश से निकाल कर उस देश में पहुंचा देगा, जिसके देने की उसने इब्राहीम, इसहाक, और याकूब से शपथ खाई थी।

Aur Yusuf ne apne bhaiyon se kaha main to marne par hoon; parantu Parmeshwar nishchay tumhari sudhi lega, aur tumhein is desh se nikaal kar us desh mein pahuncha dega, jiske dene ki usne Ibrahim, Ishaq, aur Yakub se shapath khai thi.

25

फिर यूसुफ ने इस्राएलियों से यह कहकर, कि परमेश्वर निश्चय तुम्हारी सुधि लेगा, उन को इस विषय की शपथ खिलाई, कि हम तेरी हड्डियों को वहां से उस देश में ले जाएंगे।

Phir Yusuf ne Israeliyon se yah kahkar, ki Parmeshwar nishchay tumhari sudhi lega, un ko is vishay ki shapath khilai, ki ham teri haddiyon ko vahan se us desh mein le jayenge.

26

निदान यूसुफ एक सौ दस वर्ष का हो कर मर गया: और उसकी लोथ में सुगन्धद्रव्य भरे गए, और वह लोथ मिस्र में एक सन्दूक में रखी गई॥

Nidaan Yusuf ek sau das varsh ka ho kar mar gaya: aur uski loth mein sugandhadravya bhare gaye, aur vah loth Misr mein ek sandook mein rakhi gai.