Exodus 1 · 22 verses

निर्गमन 1 Exodus 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 1.

1

इस्राएल के पुत्रों के नाम, जो अपने अपने घराने को ले कर याकूब के साथ मिस्र देश में आए, ये हैं:

Israel ke putron ke naam, jo apne apne gharane ko le kar Yakub ke saath Misr desh mein aaye, ye hain:

2

अर्थात रूबेन, शिमोन, लेवी, यहूदा,

Arthaat rooben, shimon, levi, Yahuda,

3

इस्साकार, जबूलून, बिन्यामीन,

Issakaar, jabooloon, binyameen,

4

दान, नप्ताली, गाद और आशेर।

Daan, naptali, gaad aur aasher.

5

और यूसुफ तो मिस्र में पहिले ही आ चुका था। याकूब के निज वंश में जो उत्पन्न हुए वे सब सत्तर प्राणी थे।

Aur Yusuf to Misr mein pahile hi aa chuka tha. Yakub ke nij vansh mein jo utpann hue ve sab sattar prani the.

6

और यूसुफ, और उसके सब भाई, और उस पीढ़ी के सब लोग मर मिटे।

Aur Yusuf, aur uske sab bhai, aur us peedhi ke sab log mar mite.

7

और इस्राएल की सन्तान फूलने फलने लगी; और वे अत्यन्त सामर्थी बनते चले गए; और इतना बढ़ गए कि कुल देश उन से भर गया॥

Aur Israel ki santaan phoolne phalne lagi; aur ve atyant samarthi bante chale gaye; aur itna badh gaye ki kul desh un se bhar gaya.

8

मिस्र में एक नया राजा गद्दी पर बैठा जो यूसुफ को नहीं जानता था।

Misr mein ek naya raja gaddi par baitha jo Yusuf ko nahi janta tha.

9

और उसने अपनी प्रजा से कहा, देखो, इस्राएली हम से गिनती और सामर्थ्य में अधिक बढ़ गए हैं।

Aur usne apni praja se kaha, dekho, Israeli ham se ginti aur samarthya mein adhik badh gaye hain.

10

इसलिये आओ, हम उनके साथ बुद्धिमानी से बर्ताव करें, कहीं ऐसा न हो कि जब वे बहुत बढ़ जाएं, और यदि संग्राम का समय आ पड़े, तो हमारे बैरियों से मिलकर हम से लड़ें और इस देश से निकल जाएं।

Isliye aao, ham unke saath buddhimani se bartaav karein, kahi aisa na ho ki jab ve bahut badh jayen, aur yadi sangraam ka samay aa pade, to hamare bairiyon se milkar ham se ladein aur is desh se nikal jayen.

11

इसलिये उन्होंने उन पर बेगारी कराने वालों को नियुक्त किया कि वे उन पर भार डाल डालकर उन को दु:ख दिया करें; तब उन्होंने फिरौन के लिये पितोम और रामसेस नाम भण्डार वाले नगरों को बनाया।

Isliye unhonne un par begari karane valon ko niyukt kiya ki ve un par bhaar daal dalkar un ko dukh diya karein; tab unhonne Firaun ke liye pitom aur ramses naam bhandaar vale nagron ko banaya.

12

पर ज्यों ज्यों वे उन को दु:ख देते गए त्यों त्यों वे बढ़ते और फैलते चले गए; इसलिये वे इस्राएलियों से अत्यन्त डर गए।

Par jyon jyon ve un ko dukh dete gaye tyon tyon ve badhte aur phailte chale gaye; isliye ve Israeliyon se atyant dar gaye.

13

तौभी मिस्रियों ने इस्राएलियों से कठोरता के साथ सेवकाई करवाई।

Taubhi misriyon ne Israeliyon se kathorta ke saath sevkai karvai.

14

और उनके जीवन को गारे, ईंट और खेती के भांति भांति के काम की कठिन सेवा से दु:खी कर डाला; जिस किसी काम में वे उन से सेवा करवाते थे उस में वे कठोरता का व्यवहार करते थे।

Aur unke jeevan ko gare, int aur kheti ke bhanti bhanti ke kaam ki kathin seva se dukhi kar dala; jis kisi kaam mein ve un se seva karvate the us mein ve kathorta ka vyavhaar karte the.

15

शिप्रा और पूआ नाम दो इब्री धाइयों को मिस्र के राजा ने आज्ञा दी,

Shipra aur pooaa naam do ibri dhaiyon ko Misr ke raja ne aagya di,

16

कि जब तुम इब्री स्त्रियों को बच्चा उत्पन्न होने के समय जन्मने के पत्थरों पर बैठी देखो, तब यदि बेटा हो, तो उसे मार डालना; और बेटी हो, तो जीवित रहने देना।

Ki jab tum ibri striyon ko bachcha utpann hone ke samay janmane ke pattharon par baithi dekho, tab yadi beta ho, to use maar dalna; aur beti ho, to jeevit rahne dena.

17

परन्तु वे धाइयां परमेश्वर का भय मानती थीं, इसलिये मिस्र के राजा की आज्ञा न मानकर लड़कों को भी जीवित छोड़ देती थीं।

Parantu ve dhaiyan Parmeshwar ka bhay manti thi, isliye Misr ke raja ki aagya na mankar ladkon ko bhi jeevit chhod deti thi.

18

तब मिस्र के राजा ने उन को बुलवाकर पूछा, तुम जो लड़कों को जीवित छोड़ देती हो, तो ऐसा क्यों करती हो?

Tab Misr ke raja ne un ko bulvakar poochha, tum jo ladkon ko jeevit chhod deti ho, to aisa kyon karti ho?

19

धाइयों ने फिरौन को उतर दिया, कि इब्री स्त्रियां मिस्री स्त्रियों के समान नहीं हैं; वे ऐसी फुर्तीली हैं कि धाइयों के पहुंचने से पहिले ही उन को बच्चा उत्पन्न हो जाता है।

Dhaiyon ne Firaun ko utar diya, ki ibri striyan misri striyon ke samaan nahi hain; ve aisi phurteeli hain ki dhaiyon ke pahunchne se pahile hi un ko bachcha utpann ho jata hai.

20

इसलिये परमेश्वर ने धाइयों के साथ भलाई की; और वे लोग बढ़कर बहुत सामर्थी हो गए।

Isliye Parmeshwar ne dhaiyon ke saath bhalai ki; aur ve log badhkar bahut samarthi ho gaye.

21

और धाइयां इसलिये कि वे परमेश्वर का भय मानती थीं उसने उनके घर बसाए।

Aur dhaiyan isliye ki ve Parmeshwar ka bhay manti thi usne unke ghar basaye.

22

तब फिरौन ने अपनी सारी प्रजा के लोगों को आज्ञा दी, कि इब्रियों के जितने बेटे उत्पन्न हों उन सभों को तुम नील नदी में डाल देना, और सब बेटियों को जीवित रख छोड़ना॥

Tab Firaun ne apni sari praja ke logon ko aagya di, ki ibriyon ke jitne bete utpann hon un sabhon ko tum neel nadi mein daal dena, aur sab betiyon ko jeevit rakh chhodna.