Genesis 4 · 26 verses

उत्पत्ति 4 Genesis 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 4.

1

जब आदम अपनी पत्नी हव्वा के पास गया तब उसने गर्भवती हो कर कैन को जन्म दिया और कहा, मैं ने यहोवा की सहायता से एक पुरूष पाया है।

Jab aadam apni patni havva ke paas gaya tab usne garbhavti ho kar kain ko janm diya aur kaha, main ne Yahowa ki sahayta se ek puroosh paya hai.

2

फिर वह उसके भाई हाबिल को भी जन्मी, और हाबिल तो भेड़-बकरियों का चरवाहा बन गया, परन्तु कैन भूमि की खेती करने वाला किसान बना।

Phir vah uske bhai habil ko bhi janmi, aur habil to bhed-bakriyon ka charvaha ban gaya, parantu kain bhoomi ki kheti karne vala kisaan bana.

3

कुछ दिनों के पश्चात कैन यहोवा के पास भूमि की उपज में से कुछ भेंट ले आया।

Kuchh dinon ke pashchaat kain Yahowa ke paas bhoomi ki upaj mein se kuchh bhent le aaya.

4

और हाबिल भी अपनी भेड़-बकरियों के कई एक पहिलौठे बच्चे भेंट चढ़ाने ले आया और उनकी चर्बी भेंट चढ़ाई; तब यहोवा ने हाबिल और उसकी भेंट को तो ग्रहण किया,

Aur habil bhi apni bhed-bakriyon ke kai ek pahilauthe bachche bhent chadhane le aaya aur unki charbi bhent chadhai; tab Yahowa ne habil aur uski bhent ko to grahan kiya,

5

परन्तु कैन और उसकी भेंट को उसने ग्रहण न किया। तब कैन अति क्रोधित हुआ, और उसके मुंह पर उदासी छा गई।

Parantu kain aur uski bhent ko usne grahan na kiya. Tab kain ati krodhit huaa, aur uske munh par udasi chha gai.

6

तब यहोवा ने कैन से कहा, तू क्यों क्रोधित हुआ? और तेरे मुंह पर उदासी क्यों छा गई है?

Tab Yahowa ne kain se kaha, tu kyon krodhit huaa? Aur tere munh par udasi kyon chha gai hai?

7

यदि तू भला करे, तो क्या तेरी भेंट ग्रहण न की जाएगी? और यदि तू भला न करे, तो पाप द्वार पर छिपा रहता है, और उसकी लालसा तेरी और होगी, और तू उस पर प्रभुता करेगा।

Yadi tu bhala kare, to kya teri bhent grahan na ki jayegi? Aur yadi tu bhala na kare, to paap dwaar par chhipa rahta hai, aur uski lalsa teri aur hogi, aur tu us par prabhuta karega.

8

तब कैन ने अपने भाई हाबिल से कुछ कहा: और जब वे मैदान में थे, तब कैन ने अपने भाई हाबिल पर चढ़ कर उसे घात किया।

Tab kain ne apne bhai habil se kuchh kaha: aur jab ve maidaan mein the, tab kain ne apne bhai habil par chadh kar use ghaat kiya.

9

तब यहोवा ने कैन से पूछा, तेरा भाई हाबिल कहां है? उसने कहा मालूम नहीं: क्या मैं अपने भाई का रखवाला हूं?

Tab Yahowa ne kain se poochha, tera bhai habil kahan hai? Usne kaha maloom nahi: kya main apne bhai ka rakhvala hoon?

10

उसने कहा, तू ने क्या किया है? तेरे भाई का लोहू भूमि में से मेरी ओर चिल्ला कर मेरी दोहाई दे रहा है!

Usne kaha, tu ne kya kiya hai? Tere bhai ka lohu bhoomi mein se meri or chilla kar meri dohai de raha hai!

11

इसलिये अब भूमि जिसने तेरे भाई का लोहू तेरे हाथ से पीने के लिये अपना मुंह खोला है, उसकी ओर से तू शापित है।

Isliye ab bhoomi jisne tere bhai ka lohu tere haath se peene ke liye apna munh khola hai, uski or se tu shapit hai.

12

चाहे तू भूमि पर खेती करे, तौभी उसकी पूरी उपज फिर तुझे न मिलेगी, और तू पृथ्वी पर बहेतू और भगोड़ा होगा।

Chahe tu bhoomi par kheti kare, taubhi uski poori upaj phir tujhe na milegi, aur tu prithvi par bahetu aur bhagoda hoga.

13

तब कैन ने यहोवा से कहा, मेरा दण्ड सहने से बाहर है।

Tab kain ne Yahowa se kaha, mera dand sahne se bahar hai.

14

देख, तू ने आज के दिन मुझे भूमि पर से निकाला है और मैं तेरी दृष्टि की आड़ मे रहूंगा और पृथ्वी पर बहेतू और भगोड़ा रहूंगा; और जो कोई मुझे पाएगा, मुझे घात करेगा।

Dekh, tu ne aaj ke din mujhe bhoomi par se nikala hai aur main teri drishti ki aad me rahoonga aur prithvi par bahetu aur bhagoda rahoonga; aur jo koi mujhe payega, mujhe ghaat karega.

15

इस कारण यहोवा ने उससे कहा, जो कोई कैन को घात करेगा उससे सात गुणा पलटा लिया जाएगा। और यहोवा ने कैन के लिये एक चिन्ह ठहराया ऐसा ने हो कि कोई उसे पाकर मार डाले॥

Is karan Yahowa ne usse kaha, jo koi kain ko ghaat karega usse saat guna palta liya jayega. Aur Yahowa ne kain ke liye ek chinh thahraya aisa ne ho ki koi use pakar maar dale.

16

तब कैन यहोवा के सम्मुख से निकल गया, और नोद नाम देश में, जो अदन के पूर्व की ओर है, रहने लगा।

Tab kain Yahowa ke sammukh se nikal gaya, aur nod naam desh mein, jo adan ke poorva ki or hai, rahne laga.

17

जब कैन अपनी पत्नी के पास गया जब वह गर्भवती हुई और हनोक को जन्मी, फिर कैन ने एक नगर बसाया और उस नगर का नाम अपने पुत्र के नाम पर हनोक रखा।

Jab kain apni patni ke paas gaya jab vah garbhavti hui aur hanok ko janmi, phir kain ne ek nagar basaya aur us nagar ka naam apne putra ke naam par hanok rakha.

18

और हनोक से ईराद उत्पन्न हुआ, और ईराद ने महूयाएल को जन्म दिया, और महूयाएल ने मतूशाएल को, और मतूशाएल ने लेमेक को जन्म दिया।

Aur hanok se iraad utpann huaa, aur iraad ne mahooyayel ko janm diya, aur mahooyayel ne matooshayel ko, aur matooshayel ne lemek ko janm diya.

19

और लेमेक ने दो स्त्रियां ब्याह ली: जिन में से एक का नाम आदा, और दूसरी को सिल्ला है।

Aur lemek ne do striyan byaah li: jin mein se ek ka naam aada, aur doosri ko silla hai.

20

और आदा ने याबाल को जन्म दिया। वह तम्बुओं में रहना और जानवरों का पालन इन दोनो रीतियों का उत्पादक हुआ।

Aur aada ne yabaal ko janm diya. Vah tambuon mein rahna aur janavron ka palan in dono reetiyon ka utpadak huaa.

21

और उसके भाई का नाम यूबाल है: वह वीणा और बांसुरी आदि बाजों के बजाने की सारी रीति का उत्पादक हुआ।

Aur uske bhai ka naam yoobaal hai: vah veena aur bansuri aadi bajon ke bajane ki sari reeti ka utpadak huaa.

22

और सिल्ला ने भी तूबल्कैन नाम एक पुत्र को जन्म दिया: वह पीतल और लोहे के सब धार वाले हथियारों का गढ़ने वाला हुआ: और तूबल्कैन की बहिन नामा थी।

Aur silla ne bhi toobalkain naam ek putra ko janm diya: vah peetal aur lohe ke sab dhaar vale hathiyaron ka gadhne vala huaa: aur toobalkain ki bahin nama thi.

23

और लेमेक ने अपनी पत्नियों से कहा, हे आदा और हे सिल्ला मेरी सुनो; हे लेमेक की पत्नियों, मेरी बात पर कान लगाओ: मैंने एक पुरूष को जो मेरे चोट लगाता था, अर्थात एक जवान को जो मुझे घायल करता था, घात किया है।

Aur lemek ne apni patniyon se kaha, he aada aur he silla meri suno; he lemek ki patniyon, meri baat par kaan lagao: mainne ek puroosh ko jo mere chot lagata tha, arthaat ek javaan ko jo mujhe ghayal karta tha, ghaat kiya hai.

24

जब कैन का पलटा सात गुणा लिया जाएगा। तो लेमेक का सत्तर गुणा लिया जाएगा।

Jab kain ka palta saat guna liya jayega. To lemek ka sattar guna liya jayega.

25

और आदम अपनी पत्नी के पास फिर गया; और उसने एक पुत्र को जन्म दिया और उसका नाम यह कह के शेत रखा, कि परमेश्वर ने मेरे लिये हाबिल की सन्ती, जिस को कैन ने घात किया, एक और वंश ठहरा दिया है।

Aur aadam apni patni ke paas phir gaya; aur usne ek putra ko janm diya aur uska naam yah kah ke shet rakha, ki Parmeshwar ne mere liye habil ki santi, jis ko kain ne ghaat kiya, ek aur vansh thahra diya hai.

26

और शेत के भी एक पुत्र उत्पन्न हुआ; और उसने उसका नाम एनोश रखा, उसी समय से लोग यहोवा से प्रार्थना करने लगे॥

Aur shet ke bhi ek putra utpann huaa; aur usne uska naam enosh rakha, usi samay se log Yahowa se prarthana karne lage.