Genesis 48 · 22 verses

उत्पत्ति 48 Genesis 48 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 48.

1

इन बातों के पश्चात किसी ने यूसुफ से कहा, सुन, तेरा पिता बीमार है; तब वह मनश्शे और एप्रैम नाम अपने दोनों पुत्रों को संग ले कर उसके पास चला।

In baton ke pashchaat kisi ne Yusuf se kaha, sun, tera pita beemaar hai; tab vah manashshe aur epraim naam apne donon putron ko sang le kar uske paas chala.

2

और किसी ने याकूब को बता दिया, कि तेरा पुत्र यूसुफ तेरे पास आ रहा है; तब इस्राएल अपने को सम्भाल कर खाट पर बैठ गया।

Aur kisi ne Yakub ko bata diya, ki tera putra Yusuf tere paas aa raha hai; tab Israel apne ko sambhaal kar khaat par baith gaya.

3

और याकूब ने यूसुफ से कहा, सर्वशक्तिमान ईश्वर ने कनान देश के लूज नगर के पास मुझे दर्शन देकर आशीष दी,

Aur Yakub ne Yusuf se kaha, sarvashaktimaan ishwar ne kanaan desh ke looj nagar ke paas mujhe darshan dekar aasheesh di,

4

और कहा, सुन, मैं तुझे फुला-फलाकर बढ़ाऊंगा, और तुझे राज्य राज्य की मण्डली का मूल बनाऊंगा, और तेरे पश्चात तेरे वंश को यह देश दे दूंगा, जिस से कि वह सदा तक उनकी निज भूमि बनी रहे।

Aur kaha, sun, main tujhe phula-phalakar badhaoonga, aur tujhe rajya rajya ki mandali ka mool banaoonga, aur tere pashchaat tere vansh ko yah desh de doonga, jis se ki vah sada tak unki nij bhoomi bani rahe.

5

और अब तेरे दोनों पुत्र, जो मिस्र में मेरे आने से पहिले उत्पन्न हुए हैं, वे मेरे ही ठहरेंगे; अर्थात जिस रीति से रूबेन और शिमोन मेरे हैं, उसी रीति से एप्रैम और मनश्शे भी मेरे ठहरेंगे।

Aur ab tere donon putra, jo Misr mein mere aane se pahile utpann hue hain, ve mere hi thahrenge; arthaat jis reeti se rooben aur shimon mere hain, usi reeti se epraim aur manashshe bhi mere thahrenge.

6

और उनके पश्चात जो सन्तान उत्पन्न हो, वह तेरे तो ठहरेंगे; परन्तु बंटवारे के समय वे अपने भाइयों ही के वंश में गिने जाएंगे।

Aur unke pashchaat jo santaan utpann ho, vah tere to thahrenge; parantu bantvare ke samay ve apne bhaiyon hi ke vansh mein gine jayenge.

7

जब मैं पद्दान से आता था, तब एप्राता पहुंचने से थोड़ी ही दूर पहिले राहेल कनान देश में, मार्ग में, मेरे साम्हने मर गई: और मैं ने उसे वहीं, अर्थात एप्राता जो बेतलेहम भी कहलाता है, उसी के मार्ग में मिट्टी दी।

Jab main paddaan se aata tha, tab eprata pahunchne se thodi hi door pahile rahel kanaan desh mein, maarg mein, mere samhane mar gai: aur main ne use vahi, arthaat eprata jo betleham bhi kahlata hai, usi ke maarg mein mitti di.

8

तब इस्राएल को यूसुफ के पुत्र देख पड़े, और उसने पूछा, ये कौन हैं?

Tab Israel ko Yusuf ke putra dekh pade, aur usne poochha, ye kaun hain?

9

यूसुफ ने अपने पिता से कहा, ये मेरे पुत्र हैं, जो परमेश्वर ने मुझे यहां दिए हैं: उसने कहा, उन को मेरे पास ले आ कि मैं उन्हें आशीर्वाद दूं।

Yusuf ne apne pita se kaha, ye mere putra hain, jo Parmeshwar ne mujhe yahan diye hain: usne kaha, un ko mere paas le aa ki main unhein aasheervaad dun.

10

इस्राएल की आंखे बुढ़ापे के कारण धुन्धली हो गई थीं, यहां तक कि उसे कम सूझता था। तब यूसुफ उन्हें उनके पास ले गया; और उसने उन्हें चूमकर गले लगा लिया।

Israel ki aankhe budhape ke karan dhundhali ho gai thi, yahan tak ki use kam soojhta tha. Tab Yusuf unhein unke paas le gaya; aur usne unhein choomkar gale laga liya.

11

तब इस्राएल ने यूसुफ से कहा, मुझे आशा न थी, कि मैं तेरा मुख फिर देखने पाऊंगा: परन्तु देख, परमेश्वर ने मुझे तेरा वंश भी दिखाया है।

Tab Israel ne Yusuf se kaha, mujhe aasha na thi, ki main tera mukh phir dekhne paoonga: parantu dekh, Parmeshwar ne mujhe tera vansh bhi dikhaya hai.

12

तब यूसुफ ने उन्हें अपने घुटनों के बीच से हटाकर और अपने मुंह के बल भूमि पर गिर के दण्डवत की।

Tab Yusuf ne unhein apne ghutnon ke beech se hatakar aur apne munh ke bal bhoomi par gir ke dandavat ki.

13

तब यूसुफ ने उन दोनों को लेकर, अर्थात एप्रैम को अपने दाहिने हाथ से, कि वह इस्राएल के बाएं हाथ पड़े, और मनश्शे को अपने बाएं हाथ से, कि इस्राएल के दाहिने हाथ पड़े, उन्हें उसके पास ले गया।

Tab Yusuf ne un donon ko lekar, arthaat epraim ko apne dahine haath se, ki vah Israel ke bayen haath pade, aur manashshe ko apne bayen haath se, ki Israel ke dahine haath pade, unhein uske paas le gaya.

14

तब इस्राएल ने अपना दहिना हाथ बढ़ाकर एप्रैम के सिर पर जो छोटा था, और अपना बायां हाथ बढ़ाकर मनश्शे के सिर पर रख दिया; उसने तो जान बूझकर ऐसा किया; नहीं तो जेठा मनश्शे ही था।

Tab Israel ne apna dahina haath badhakar epraim ke sir par jo chhota tha, aur apna bayan haath badhakar manashshe ke sir par rakh diya; usne to jaan boojhkar aisa kiya; nahi to jetha manashshe hi tha.

15

फिर उसने यूसुफ को आशीर्वाद देकर कहा, परमेश्वर जिसके सम्मुख मेरे बापदादे इब्राहीम और इसहाक (अपने को जानकर ) चलते थे वही परमेश्वर मेरे जन्म से ले कर आज के दिन तक मेरा चरवाहा बना है;

Phir usne Yusuf ko aasheervaad dekar kaha, Parmeshwar jiske sammukh mere bapdade Ibrahim aur Ishaq (apne ko jankar ) chalte the vahi Parmeshwar mere janm se le kar aaj ke din tak mera charvaha bana hai;

16

और वही दूत मुझे सारी बुराई से छुड़ाता आया है, वही अब इन लड़कों को आशीष दे; और ये मेरे और मेरे बापदादे इब्राहीम और इसहाक के कहलाएं; और पृथ्वी में बहुतायत से बढ़ें।

Aur vahi doot mujhe sari burai se chhudata aaya hai, vahi ab in ladkon ko aasheesh de; aur ye mere aur mere bapdade Ibrahim aur Ishaq ke kahlayen; aur prithvi mein bahutayat se badhein.

17

जब यूसुफ ने देखा, कि मेरे पिता ने अपना दहिना हाथ एप्रैम के सिर पर रखा है, तब यह बात उसको बुरी लगी: सो उसने अपने पिता का हाथ इस मनसा से पकड़ लिया, कि एप्रैम के सिर पर से उठा कर मनश्शे के सिर पर रख दे।

Jab Yusuf ne dekha, ki mere pita ne apna dahina haath epraim ke sir par rakha hai, tab yah baat usko buri lagi: so usne apne pita ka haath is mansa se pakad liya, ki epraim ke sir par se utha kar manashshe ke sir par rakh de.

18

और यूसुफ ने अपने पिता से कहा, हे पिता, ऐसा नहीं: क्योंकि जेठा यही है; अपना दहिना हाथ इसके सिर पर रख।

Aur Yusuf ne apne pita se kaha, he pita, aisa nahi: kyonki jetha yahi hai; apna dahina haath iske sir par rakh.

19

उसके पिता ने कहा, नहीं, सुन, हे मेरे पुत्र, मैं इस बात को भली भांति जानता हूं: यद्यपि इस से भी मनुष्यों की एक मण्डली उत्पन्न होगी, और यह भी महान हो जाएगा, तौभी इसका छोटा भाई इस से अधिक महान हो जाएगा, और उसके वंश से बहुत सी जातियां निकलेंगी।

Uske pita ne kaha, nahi, sun, he mere putra, main is baat ko bhali bhanti janta hoon: yadyapi is se bhi manushyon ki ek mandali utpann hogi, aur yah bhi mahaan ho jayega, taubhi iska chhota bhai is se adhik mahaan ho jayega, aur uske vansh se bahut si jatiyan niklengi.

20

फिर उसने उसी दिन यह कहकर उन को आशीर्वाद दिया, कि इस्राएली लोग तेरा नाम ले ले कर ऐसा आशीर्वाद दिया करेंगे, कि परमेश्वर तुझे एप्रैम और मनश्शे के समान बना दे: और उसने मनश्शे से पहिले एप्रैम का नाम लिया।

Phir usne usi din yah kahkar un ko aasheervaad diya, ki Israeli log tera naam le le kar aisa aasheervaad diya karenge, ki Parmeshwar tujhe epraim aur manashshe ke samaan bana de: aur usne manashshe se pahile epraim ka naam liya.

21

तब इस्राएल ने यूसुफ से कहा, देख, मैं तो मरने पर हूं: परन्तु परमेश्वर तुम लोगों के संग रहेगा, और तुम को तुम्हारे पितरों के देश में फिर पहुंचा देगा।

Tab Israel ne Yusuf se kaha, dekh, main to marne par hoon: parantu Parmeshwar tum logon ke sang rahega, aur tum ko tumhare pitron ke desh mein phir pahuncha dega.

22

और मैं तुझ को तेरे भाइयों से अधिक भूमि का एक भाग देता हूं, जिस को मैं ने एमोरियों के हाथ से अपनी तलवार और धनुष के बल से ले लिया है।

Aur main tujh ko tere bhaiyon se adhik bhoomi ka ek bhaag deta hoon, jis ko main ne emoriyon ke haath se apni talvaar aur dhanush ke bal se le liya hai.