Genesis 47 · 31 verses

उत्पत्ति 47 Genesis 47 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 47.

1

तब यूसुफ ने फिरौन के पास जा कर यह समाचार दिया, कि मेरा पिता और मेरे भाई, और उनकी भेड़-बकरियां, गाय-बैल और जो कुछ उनका है, सब कनान देश से आ गया है; और अभी तो वे गोशेन देश में हैं।

Tab Yusuf ne Firaun ke paas ja kar yah samachaar diya, ki mera pita aur mere bhai, aur unki bhed-bakriyan, gaay-bail aur jo kuchh unka hai, sab kanaan desh se aa gaya hai; aur abhi to ve goshen desh mein hain.

2

फिर उसने अपने भाइयों में से पांच जन ले कर फिरौन के साम्हने खड़े कर दिए।

Phir usne apne bhaiyon mein se paanch jan le kar Firaun ke samhane khade kar diye.

3

फिरौन ने उसके भाइयों से पूछा, तुम्हारा उद्यम क्या है? उन्होंने फिरौन से कहा, तेरे दास चरवाहे हैं, और हमारे पुरखा भी ऐसे ही रहे।

Firaun ne uske bhaiyon se poochha, tumhara udyam kya hai? Unhonne Firaun se kaha, tere daas charvahe hain, aur hamare purkha bhi aise hi rahe.

4

फिर उन्होंने फिरौन से कहा, हम इस देश में परदेशी की भांति रहने के लिये आए हैं; क्योंकि कनान देश में भारी अकाल होने के कारण तेरे दासों को भेड़-बकरियों के लिये चारा न रहा: सो अपने दासों को गोशेन देश में रहने की आज्ञा दे।

Phir unhonne Firaun se kaha, ham is desh mein pardeshi ki bhanti rahne ke liye aaye hain; kyonki kanaan desh mein bhari akaal hone ke karan tere dason ko bhed-bakriyon ke liye chara na raha: so apne dason ko goshen desh mein rahne ki aagya de.

5

तब फिरौन ने यूसुफ से कहा, तेरा पिता और तेरे भाई तेरे पास आ गए हैं,

Tab Firaun ne Yusuf se kaha, tera pita aur tere bhai tere paas aa gaye hain,

6

और मिस्र देश तेरे साम्हने पड़ा है; इस देश का जो सब से अच्छा भाग हो, उस में अपने पिता और भाइयों को बसा दे; अर्थात वे गोशेन ही देश में रहें: और यदि तू जानता हो, कि उन में से परिश्रमी पुरूष हैं, तो उन्हें मेरे पशुओं के अधिकारी ठहरा दे।

Aur Misr desh tere samhane pada hai; is desh ka jo sab se achchha bhaag ho, us mein apne pita aur bhaiyon ko basa de; arthaat ve goshen hi desh mein rahein: aur yadi tu janta ho, ki un mein se parishrami puroosh hain, to unhein mere pashuon ke adhikari thahra de.

7

तब यूसुफ ने अपने पिता याकूब को ले आकर फिरौन के सम्मुख खड़ा किया: और याकूब ने फिरौन को आशीर्वाद दिया।

Tab Yusuf ne apne pita Yakub ko le aakar Firaun ke sammukh khada kiya: aur Yakub ne Firaun ko aasheervaad diya.

8

तब फिरौन ने याकूब से पूछा, तेरी अवस्था कितने दिन की हुई है?

Tab Firaun ne Yakub se poochha, teri avastha kitne din ki hui hai?

9

याकूब ने फिरौन से कहा, मैं तो एक सौ तीस वर्ष परदेशी हो कर अपना जीवन बीता चुका हूं; मेरे जीवन के दिन थोड़े और दु:ख से भरे हुए भी थे, और मेरे बापदादे परदेशी हो कर जितने दिन तक जीवित रहे उतने दिन का मैं अभी नहीं हुआ।

Yakub ne Firaun se kaha, main to ek sau tees varsh pardeshi ho kar apna jeevan beeta chuka hoon; mere jeevan ke din thode aur dukh se bhare hue bhi the, aur mere bapdade pardeshi ho kar jitne din tak jeevit rahe utne din ka main abhi nahi huaa.

10

और याकूब फिरौन को आशीर्वाद देकर उसके सम्मुख से चला गया।

Aur Yakub Firaun ko aasheervaad dekar uske sammukh se chala gaya.

11

तब यूसुफ ने अपने पिता और भाइयों को बसा दिया, और फिरौन की आज्ञा के अनुसार मिस्र देश के अच्छे से अच्छे भाग में, अर्थात रामसेस नाम देश में, भूमि देकर उन को सौंप दिया।

Tab Yusuf ne apne pita aur bhaiyon ko basa diya, aur Firaun ki aagya ke anusaar Misr desh ke achchhe se achchhe bhaag mein, arthaat ramses naam desh mein, bhoomi dekar un ko saump diya.

12

और यूसुफ अपने पिता का, और अपने भाइयों का, और पिता के सारे घराने का, एक एक के बालबच्चों के घराने की गिनती के अनुसार, भोजन दिला दिलाकर उनका पालन पोषण करने लगा॥

Aur Yusuf apne pita ka, aur apne bhaiyon ka, aur pita ke sare gharane ka, ek ek ke balbachchon ke gharane ki ginti ke anusaar, bhojan dila dilakar unka palan poshan karne laga.

13

और उस सारे देश में खाने को कुछ न रहा; क्योंकि अकाल बहुत भारी था, और अकाल के कारण मिस्र और कनान दोनों देश नाश हो गए।

Aur us sare desh mein khane ko kuchh na raha; kyonki akaal bahut bhari tha, aur akaal ke karan Misr aur kanaan donon desh naash ho gaye.

14

और जितना रूपया मिस्र और कनान देश में था, सब को यूसुफ ने उस अन्न की सन्ती जो उनके निवासी मोल लेते थे इकट्ठा करके फिरौन के भवन में पहुंचा दिया।

Aur jitna roopya Misr aur kanaan desh mein tha, sab ko Yusuf ne us ann ki santi jo unke nivasi mol lete the ikattha karke Firaun ke bhavan mein pahuncha diya.

15

जब मिस्र और कनान देश का रूपया चुक गया, तब सब मिस्री यूसुफ के पास आ आकर कहने लगे, हम को भोजनवस्तु दे, क्या हम रूपये के न रहने से तेरे रहते हुए मर जाएं?

Jab Misr aur kanaan desh ka roopya chuk gaya, tab sab misri Yusuf ke paas aa aakar kahne lage, ham ko bhojanvastu de, kya ham roopye ke na rahne se tere rahte hue mar jayen?

16

यूसुफ ने कहा, यदि रूपये न हों तो अपने पशु दे दो, और मैं उनकी सन्ती तुम्हें खाने को दूंगा।

Yusuf ne kaha, yadi roopye na hon to apne pashu de do, aur main unki santi tumhein khane ko doonga.

17

तब वे अपने पशु यूसुफ के पास ले आए; और यूसुफ उन को घोड़ों, भेड़-बकरियों, गाय-बैलों और गदहों की सन्ती खाने को देने लगा: उस वर्ष में वह सब जाति के पशुओं की सन्ती भोजन देकर उनका पालन पोषण करता रहा।

Tab ve apne pashu Yusuf ke paas le aaye; aur Yusuf un ko ghodon, bhed-bakriyon, gaay-bailon aur gadhon ki santi khane ko dene laga: us varsh mein vah sab jati ke pashuon ki santi bhojan dekar unka palan poshan karta raha.

18

वह वर्ष तो यों कट गया; तब अगले वर्ष में उन्होंने उसके पास आकर कहा, हम अपने प्रभु से यह बात छिपा न रखेंगे कि हमारा रूपया चुक गया है, और हमारे सब प्रकार के पशु हमारे प्रभु के पास आ चुके हैं; इसलिये अब हमारे प्रभु के साम्हने हमारे शरीर और भूमि छोड़कर और कुछ नहीं रहा।

Vah varsh to yon kat gaya; tab agle varsh mein unhonne uske paas aakar kaha, ham apne Prabhu se yah baat chhipa na rakhenge ki hamara roopya chuk gaya hai, aur hamare sab prakaar ke pashu hamare Prabhu ke paas aa chuke hain; isliye ab hamare Prabhu ke samhane hamare shareer aur bhoomi chhodkar aur kuchh nahi raha.

19

हम तेरे देखते क्यों मरें, और हमारी भूमि क्यों उजड़ जाए? हमको और हमारी भूमि को भोजन वस्तु की सन्ती मोल ले, कि हम अपनी भूमि समेत फिरौन के दास हों: और हम को बीज दे, कि हम मरने न पाएं, वरन जीवित रहें, और भूमि न उजड़े।

Ham tere dekhte kyon marein, aur hamari bhoomi kyon ujad jaye? Hamko aur hamari bhoomi ko bhojan vastu ki santi mol le, ki ham apni bhoomi samet Firaun ke daas hon: aur ham ko beej de, ki ham marne na payen, varan jeevit rahein, aur bhoomi na ujde.

20

तब यूसुफ ने मिस्र की सारी भूमि को फिरौन के लिये मोल लिया; क्योंकि उस कठिन अकाल के पड़ने से मिस्रियों को अपना अपना खेत बेच डालना पड़ा: इस प्रकार सारी भूमि फिरौन की हो गई।

Tab Yusuf ne Misr ki sari bhoomi ko Firaun ke liye mol liya; kyonki us kathin akaal ke padne se misriyon ko apna apna khet bech dalna pada: is prakaar sari bhoomi Firaun ki ho gai.

21

और एक छोर से ले कर दूसरे छोर तक सारे मिस्र देश में जो प्रजा रहती थी, उसको उसने नगरों में लाकर बसा दिया।

Aur ek chhor se le kar doosre chhor tak sare Misr desh mein jo praja rahti thi, usko usne nagron mein lakar basa diya.

22

पर याजकों की भूमि तो उसने न मोल ली: क्योंकि याजकों के लिये फिरौन की ओर से नित्य भोजन का बन्दोबस्त था, और नित्य जो भोजन फिरौन उन को देता था वही वे खाते थे; इस कारण उन को अपनी भूमि बेचनी न पड़ी।

Par yajkon ki bhoomi to usne na mol li: kyonki yajkon ke liye Firaun ki or se nitya bhojan ka bandobast tha, aur nitya jo bhojan Firaun un ko deta tha vahi ve khate the; is karan un ko apni bhoomi bechni na padi.

23

तब यूसुफ ने प्रजा के लोगों से कहा, सुनो, मैं ने आज के दिन तुम को और तुम्हारी भूमि को भी फिरौन के लिये मोल लिया है; देखो, तुम्हारे लिये यहां बीज है, इसे भूमि में बोओ।

Tab Yusuf ne praja ke logon se kaha, suno, main ne aaj ke din tum ko aur tumhari bhoomi ko bhi Firaun ke liye mol liya hai; dekho, tumhare liye yahan beej hai, ise bhoomi mein boo.

24

और जो कुछ उपजे उसका पंचमांश फिरौन को देना, बाकी चार अंश तुम्हारे रहेंगे, कि तुम उसे अपने खेतों में बोओ, और अपने अपने बालबच्चों और घर के और लोगों समेत खाया करो।

Aur jo kuchh upje uska panchmaansh Firaun ko dena, baki chaar ansh tumhare rahenge, ki tum use apne kheton mein boo, aur apne apne balbachchon aur ghar ke aur logon samet khaya karo.

25

उन्होंने कहा, तू ने हम को बचा लिया है: हमारे प्रभु के अनुग्रह की दृष्टि हम पर बनी रहे, और हम फिरौन के दास हो कर रहेंगे।

Unhonne kaha, tu ne ham ko bacha liya hai: hamare Prabhu ke anugrah ki drishti ham par bani rahe, aur ham Firaun ke daas ho kar rahenge.

26

सो यूसुफ ने मिस्र की भूमि के विषय में ऐसा नियम ठहराया, जो आज के दिन तक चला आता है, कि पंचमांश फिरौन को मिला करे; केवल याजकों ही की भूमि फिरौन की नहीं हुई।

So Yusuf ne Misr ki bhoomi ke vishay mein aisa niyam thahraya, jo aaj ke din tak chala aata hai, ki panchmaansh Firaun ko mila kare; keval yajkon hi ki bhoomi Firaun ki nahi hui.

27

और इस्राएली मिस्र के गोशेन देश में रहने लगे; और वहां की भूमि को अपने वश में कर लिया, और फूले-फले, और अत्यन्त बढ़ गए॥

Aur Israeli Misr ke goshen desh mein rahne lage; aur vahan ki bhoomi ko apne vash mein kar liya, aur phoole-phale, aur atyant badh gaye.

28

मिस्र देश में याकूब सतरह वर्ष जीवित रहा: इस प्रकार याकूब की सारी आयु एक सौ सैंतालीस वर्ष की हुई।

Misr desh mein Yakub satrah varsh jeevit raha: is prakaar Yakub ki sari aayu ek sau saintalees varsh ki hui.

29

जब इस्राएल के मरने का दिन निकट आ गया, तब उसने अपने पुत्र यूसुफ को बुलवाकर कहा, यदि तेरा अनुग्रह मुझ पर हो, तो अपना हाथ मेरी जांघ के तले रखकर शपथ खा, कि मैं तेरे साथ कृपा और सच्चाई का यह काम करूंगा, कि तुझे मिस्र में मिट्टी न दूंगा।

Jab Israel ke marne ka din nikat aa gaya, tab usne apne putra Yusuf ko bulvakar kaha, yadi tera anugrah mujh par ho, to apna haath meri jaangh ke tale rakhkar shapath kha, ki main tere saath kripa aur sachchai ka yah kaam karoonga, ki tujhe Misr mein mitti na doonga.

30

जब तू अपने बापदादों के संग सो जाएगा, तब मैं तुझे मिस्र से उठा ले जा कर उन्हीं के कबरिस्तान में रखूंगा; तब यूसुफ ने कहा, मैं तेरे वचन के अनुसार करूंगा।

Jab tu apne bapdadon ke sang so jayega, tab main tujhe Misr se utha le ja kar unhi ke kabristaan mein rakhoonga; tab Yusuf ne kaha, main tere vachan ke anusaar karoonga.

31

फिर उसने कहा, मुझ से शपथ खा: सो उसने उससे शपथ खाई। तब इस्राएल ने खाट के सिरहाने की ओर सिर झुकाया॥

Phir usne kaha, mujh se shapath kha: so usne usse shapath khai. Tab Israel ne khaat ke sirhane ki or sir jhukaya.