Genesis 45 · 28 verses

उत्पत्ति 45 Genesis 45 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 45.

1

तब यूसुफ उन सब के साम्हने, जो उसके आस पास खड़े थे, अपने को और रोक न सका; और पुकार के कहा, मेरे आस पास से सब लोगों को बाहर कर दो। भाइयों के साम्हने अपने को प्रगट करने के समय यूसुफ के संग और कोई न रहा।

Tab Yusuf un sab ke samhane, jo uske aas paas khade the, apne ko aur rok na saka; aur pukaar ke kaha, mere aas paas se sab logon ko bahar kar do. Bhaiyon ke samhane apne ko pragat karne ke samay Yusuf ke sang aur koi na raha.

2

तब वह चिल्ला चिल्लाकर रोने लगा: और मिस्रियों ने सुना, और फिरौन के घर के लोगों को भी इसका समाचार मिला।

Tab vah chilla chillakar rone laga: aur misriyon ne suna, aur Firaun ke ghar ke logon ko bhi iska samachaar mila.

3

तब यूसुफ अपने भाइयों से कहने लगा, मैं यूसुफ हूं, क्या मेरा पिता अब तब जीवित है? इसका उत्तर उसके भाई न दे सके; क्योंकि वे उसके साम्हने घबरा गए थे।

Tab Yusuf apne bhaiyon se kahne laga, main Yusuf hoon, kya mera pita ab tab jeevit hai? Iska uttar uske bhai na de sake; kyonki ve uske samhane ghabra gaye the.

4

फिर यूसुफ ने अपने भाइयों से कहा, मेरे निकट आओ। यह सुनकर वे निकट गए। फिर उसने कहा, मैं तुम्हारा भाई यूसुफ हूं, जिस को तुम ने मिस्र आनेहारों के हाथ बेच डाला था।

Phir Yusuf ne apne bhaiyon se kaha, mere nikat aao. Yah sunkar ve nikat gaye. Phir usne kaha, main tumhara bhai Yusuf hoon, jis ko tum ne Misr aaneharon ke haath bech dala tha.

5

अब तुम लोग मत पछताओ, और तुम ने जो मुझे यहां बेच डाला, इस से उदास मत हो; क्योंकि परमेश्वर ने तुम्हारे प्राणों को बचाने के लिये मुझे आगे से भेज दिया है।

Ab tum log mat pachhtao, aur tum ne jo mujhe yahan bech dala, is se udaas mat ho; kyonki Parmeshwar ne tumhare pranon ko bachane ke liye mujhe aage se bhej diya hai.

6

क्योंकि अब दो वर्ष से इस देश में अकाल है; और अब पांच वर्ष और ऐसे ही होंगे, कि उन में न तो हल चलेगा और न अन्न काटा जाएगा।

Kyonki ab do varsh se is desh mein akaal hai; aur ab paanch varsh aur aise hi honge, ki un mein na to hal chalega aur na ann kata jayega.

7

सो परमेश्वर ने मुझे तुम्हारे आगे इसी लिये भेजा, कि तुम पृथ्वी पर जीवित रहो, और तुम्हारे प्राणों के बचने से तुम्हारा वंश बढ़े।

So Parmeshwar ne mujhe tumhare aage isi liye bheja, ki tum prithvi par jeevit raho, aur tumhare pranon ke bachne se tumhara vansh badhe.

8

इस रीति अब मुझ को यहां पर भेजने वाले तुम नहीं, परमेश्वर ही ठहरा: और उसी ने मुझे फिरौन का पिता सा, और उसके सारे घर का स्वामी, और सारे मिस्र देश का प्रभु ठहरा दिया है।

Is reeti ab mujh ko yahan par bhejne vale tum nahi, Parmeshwar hi thahra: aur usi ne mujhe Firaun ka pita sa, aur uske sare ghar ka swami, aur sare Misr desh ka Prabhu thahra diya hai.

9

सो शीघ्र मेरे पिता के पास जा कर कहो, तेरा पुत्र यूसुफ इस प्रकार कहता है, कि परमेश्वर ने मुझे सारे मिस्र का स्वामी ठहराया है; इसलिये तू मेरे पास बिना विलम्ब किए चला आ।

So sheeghra mere pita ke paas ja kar kaho, tera putra Yusuf is prakaar kahta hai, ki Parmeshwar ne mujhe sare Misr ka swami thahraya hai; isliye tu mere paas bina vilamb kiye chala aa.

10

और तेरा निवास गोशेन देश में होगा, और तू, बेटे, पोतों, भेड़-बकरियों, गाय-बैलों, और अपने सब कुछ समेत मेरे निकट रहेगा।

Aur tera nivaas goshen desh mein hoga, aur tu, bete, poton, bhed-bakriyon, gaay-bailon, aur apne sab kuchh samet mere nikat rahega.

11

और अकाल के जो पांच वर्ष और होंगे, उन में मैं वहीं तेरा पालन पोषण करूंगा; ऐसा न हो कि तू, और तेरा घराना, वरन जितने तेरे हैं, सो भूखों मरें।

Aur akaal ke jo paanch varsh aur honge, un mein main vahi tera palan poshan karoonga; aisa na ho ki tu, aur tera gharana, varan jitne tere hain, so bhookhon marein.

12

और तुम अपनी आंखों से देखते हो, और मेरा भाई बिन्यामीन भी अपनी आंखों से देखता है, कि जो हम से बातें कर रहा है सो यूसुफ है।

Aur tum apni aankhon se dekhte ho, aur mera bhai binyameen bhi apni aankhon se dekhta hai, ki jo ham se batein kar raha hai so Yusuf hai.

13

और तुम मेरे सब वैभव का, जो मिस्र में है और जो कुछ तुम ने देखा है, उस सब को मेरे पिता से वर्णन करना; और तुरन्त मेरे पिता को यहां ले आना।

Aur tum mere sab vaibhav ka, jo Misr mein hai aur jo kuchh tum ne dekha hai, us sab ko mere pita se varnan karna; aur turant mere pita ko yahan le aana.

14

और वह अपने भाई बिन्यामीन के गले से लिपट कर रोया; और बिन्यामीन भी उसके गले से लिपट कर रोया।

Aur vah apne bhai binyameen ke gale se lipat kar roya; aur binyameen bhi uske gale se lipat kar roya.

15

तब वह अपने सब भाइयों को चूम कर उन से मिल कर रोया: और इसके पश्चात उसके भाई उससे बातें करने लगे॥

Tab vah apne sab bhaiyon ko choom kar un se mil kar roya: aur iske pashchaat uske bhai usse batein karne lage.

16

इस बात की चर्चा, कि यूसुफ के भाई आए हैं, फिरौन के भवन तब पंहुच गई, और इस से फिरौन और उसके कर्मचारी प्रसन्न हुए।

Is baat ki charcha, ki Yusuf ke bhai aaye hain, Firaun ke bhavan tab panhuch gai, aur is se Firaun aur uske karmachari prasann hue.

17

सो फिरौन ने यूसुफ से कहा, अपने भाइयों से कह, कि एक काम करो, अपने पशुओं को लादकर कनान देश में चले जाओ।

So Firaun ne Yusuf se kaha, apne bhaiyon se kah, ki ek kaam karo, apne pashuon ko ladkar kanaan desh mein chale jao.

18

और अपने पिता और अपने अपने घर के लोगों को ले कर मेरे पास आओ; और मिस्र देश में जो कुछ अच्छे से अच्छा है वह मैं तुम्हें दूंगा, और तुम्हें देश के उत्तम से उत्तम पदार्थ खाने को मिलेंगे।

Aur apne pita aur apne apne ghar ke logon ko le kar mere paas aao; aur Misr desh mein jo kuchh achchhe se achchha hai vah main tumhein doonga, aur tumhein desh ke uttam se uttam padaarth khane ko milenge.

19

और तुझे आज्ञा मिली है, तुम एक काम करो, कि मिस्र देश से अपने बालबच्चों और स्त्रियों के लिये गाडियां ले जाओ, और अपने पिता को ले आओ।

Aur tujhe aagya mili hai, tum ek kaam karo, ki Misr desh se apne balbachchon aur striyon ke liye gadiyan le jao, aur apne pita ko le aao.

20

और अपनी सामग्री का मोह न करना; क्योंकि सारे मिस्र देश में जो कुछ अच्छे से अच्छा है सो तुम्हारा है।

Aur apni samagri ka moh na karna; kyonki sare Misr desh mein jo kuchh achchhe se achchha hai so tumhara hai.

21

और इस्राएल के पुत्रों ने वैसा ही किया। और यूसुफ ने फिरौन की मान के उन्हें गाडियां दी, और मार्ग के लिये सीधा भी दिया।

Aur Israel ke putron ne vaisa hi kiya. Aur Yusuf ne Firaun ki maan ke unhein gadiyan di, aur maarg ke liye seedha bhi diya.

22

उन में से एक एक जन को तो उसने एक एक जोड़ा वस्त्र भी दिया; और बिन्यामीन को तीन सौ रूपे के टुकड़े और पांच जोड़े वस्त्र दिए।

Un mein se ek ek jan ko to usne ek ek joda vastra bhi diya; aur binyameen ko teen sau roope ke tukde aur paanch jode vastra diye.

23

और अपने पिता के पास उसने जो भेजा वह यह है, अर्थात मिस्र की अच्छी वस्तुओं से लदे हुए दस गदहे, और अन्न और रोटी और उसके पिता के मार्ग के लिये भोजनवस्तु से लदी हुई दस गदहियां।

Aur apne pita ke paas usne jo bheja vah yah hai, arthaat Misr ki achchhi vastuon se lade hue das gadhe, aur ann aur roti aur uske pita ke maarg ke liye bhojanvastu se ladi hui das gadhiyan.

24

और उसने अपने भाइयों को विदा किया, और वे चल दिए; और उसने उन से कहा, मार्ग में कहीं झगड़ा न करना।

Aur usne apne bhaiyon ko vida kiya, aur ve chal diye; aur usne un se kaha, maarg mein kahi jhagda na karna.

25

मिस्र से चलकर वे कनान देश में अपने पिता याकूब के पास पहुंचे।

Misr se chalkar ve kanaan desh mein apne pita Yakub ke paas pahunche.

26

और उससे यह वर्णन किया, कि यूसुफ अब तक जीवित है, और सारे मिस्र देश पर प्रभुता वही करता है। पर उसने उनकी प्रतीति न की, और वह अपने आपे में न रहा।

Aur usse yah varnan kiya, ki Yusuf ab tak jeevit hai, aur sare Misr desh par prabhuta vahi karta hai. Par usne unki prateeti na ki, aur vah apne aape mein na raha.

27

तब उन्होंने अपने पिता याकूब से यूसुफ की सारी बातें, जो उसने उन से कहीं थी, कह दीं; जब उसने उन गाड़ियों को देखा, जो यूसुफ ने उसके ले आने के लिये भेजीं थीं, तब उसका चित्त स्थिर हो गया।

Tab unhonne apne pita Yakub se Yusuf ki sari batein, jo usne un se kahi thi, kah di; jab usne un gadiyon ko dekha, jo Yusuf ne uske le aane ke liye bheji thi, tab uska chitt sthir ho gaya.

28

और इस्राएल ने कहा, बस, मेरा पुत्र यूसुफ अब तक जीवित है: मैं अपनी मृत्यु से पहिले जा कर उसको देखूंगा॥

Aur Israel ne kaha, bas, mera putra Yusuf ab tak jeevit hai: main apni mrityu se pahile ja kar usko dekhoonga.