Genesis 44 · 34 verses

उत्पत्ति 44 Genesis 44 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 44.

1

तब उसने अपने घर के अधिकारी को आज्ञा दी, कि इन मनुष्यों के बोरों में जितनी भोजनवस्तु समा सके उतनी भर दे, और एक एक जन के रूपये को उसके बोरे के मुंह पर रख दे।

Tab usne apne ghar ke adhikari ko aagya di, ki in manushyon ke boron mein jitni bhojanvastu sama sake utni bhar de, aur ek ek jan ke roopye ko uske bore ke munh par rakh de.

2

और मेरा चांदी का कटोरा छोटे के बोरे के मुंह पर उसके अन्न के रूपये के साथ रख दे। यूसुफ की इस आज्ञा के अनुसार उसने किया।

Aur mera chandi ka katora chhote ke bore ke munh par uske ann ke roopye ke saath rakh de. Yusuf ki is aagya ke anusaar usne kiya.

3

बिहान को भोर होते ही वे मनुष्य अपने गदहों समेत विदा किए गए।

Bihaan ko bhor hote hi ve manushya apne gadhon samet vida kiye gaye.

4

वे नगर से निकले ही थे, और दूर न जाने पाए थे, कि यूसुफ ने अपने घर के अधिकारी से कहा, उन मनुष्यों का पीछा कर, और उन को पाकर उन से कह, कि तुम ने भलाई की सन्ती बुराई क्यों की है?

Ve nagar se nikle hi the, aur door na jane paye the, ki Yusuf ne apne ghar ke adhikari se kaha, un manushyon ka peechha kar, aur un ko pakar un se kah, ki tum ne bhalai ki santi burai kyon ki hai?

5

क्या यह वह वस्तु नहीं जिस में मेरा स्वामी पीता है, और जिस से वह शकुन भी विचारा करता है? तुम ने यह जो किया है सो बुरा किया।

Kya yah vah vastu nahi jis mein mera swami peeta hai, aur jis se vah shakun bhi vichara karta hai? Tum ne yah jo kiya hai so bura kiya.

6

तब उसने उन्हें जा लिया, और ऐसी ही बातें उन से कहीं।

Tab usne unhein ja liya, aur aisi hi batein un se kahi.

7

उन्होंने उससे कहा, हे हमारे प्रभु, तू ऐसी बातें क्यों कहता है? ऐसा काम करना तेरे दासों से दूर रहे।

Unhonne usse kaha, he hamare Prabhu, tu aisi batein kyon kahta hai? Aisa kaam karna tere dason se door rahe.

8

देख जो रूपया हमारे बोरों के मुंह पर निकला था, जब हम ने उसको कनान देश से ले आकर तुझे फेर दिया, तब, भला, तेरे स्वामी के घर में से हम कोई चांदी वा सोने की वस्तु क्योंकर चुरा सकते हैं?

Dekh jo roopya hamare boron ke munh par nikla tha, jab ham ne usko kanaan desh se le aakar tujhe pher diya, tab, bhala, tere swami ke ghar mein se ham koi chandi va sone ki vastu kyonkar chura sakte hain?

9

तेरे दासों में से जिस किसी के पास वह निकले, वह मार डाला जाए, और हम भी अपने उस प्रभु के दास जो जाएं।

Tere dason mein se jis kisi ke paas vah nikle, vah maar dala jaye, aur ham bhi apne us Prabhu ke daas jo jayen.

10

उसने कहा तुम्हारा ही कहना सही, जिसके पास वह निकले सो मेरा दास होगा; और तुम लोग निरपराध ठहरोगे।

Usne kaha tumhara hi kahna sahi, jiske paas vah nikle so mera daas hoga; aur tum log nirapraadh thahroge.

11

इस पर वे फुर्ती से अपने अपने बोरे को उतार भूमि पर रखकर उन्हें खोलने लगे।

Is par ve phurti se apne apne bore ko utaar bhoomi par rakhkar unhein kholne lage.

12

तब वह ढूंढ़ने लगा, और बड़े के बोरे से लेकर छोटे के बोरे तक खोज की: और कटोरा बिन्यामीन के बोरे में मिला।

Tab vah dhoondhne laga, aur bade ke bore se lekar chhote ke bore tak khoj ki: aur katora binyameen ke bore mein mila.

13

तब उन्होंने अपने अपने वस्त्र फाड़े, और अपना अपना गदहा लादकर नगर को लौट गए।

Tab unhonne apne apne vastra phade, aur apna apna gadha ladkar nagar ko laut gaye.

14

जब यहूदा और उसके भाई यूसुफ के घर पर पहुंचे, और यूसुफ वहीं था, तब वे उसके साम्हने भूमि पर गिरे।

Jab Yahuda aur uske bhai Yusuf ke ghar par pahunche, aur Yusuf vahi tha, tab ve uske samhane bhoomi par gire.

15

यूसुफ ने उन से कहा, तुम लोगों ने यह कैसा काम किया है? क्या तुम न जानते थे, कि मुझ सा मनुष्य शकुन विचार सकता है?

Yusuf ne un se kaha, tum logon ne yah kaisa kaam kiya hai? Kya tum na jante the, ki mujh sa manushya shakun vichaar sakta hai?

16

यहूदा ने कहा, हम लोग अपने प्रभु से क्या कहें? हम क्या कहकर अपने को निर्दोषी ठहराएं? परमेश्वर ने तेरे दासों के अधर्म को पकड़ लिया है: हम, और जिसके पास कटोरा निकला वह भी, हम सब के सब अपने प्रभु के दास ही हैं।

Yahuda ne kaha, ham log apne Prabhu se kya kahein? Ham kya kahkar apne ko nirdoshi thahrayen? Parmeshwar ne tere dason ke adharm ko pakad liya hai: ham, aur jiske paas katora nikla vah bhi, ham sab ke sab apne Prabhu ke daas hi hain.

17

उसने कहा, ऐसा करना मुझ से दूर रहे: जिस जन के पास कटोरा निकला है, वही मेरा दास होगा; और तुम लोग अपने पिता के पास कुशल क्षेम से चले जाओ।

Usne kaha, aisa karna mujh se door rahe: jis jan ke paas katora nikla hai, vahi mera daas hoga; aur tum log apne pita ke paas kushal kshem se chale jao.

18

तब यहूदा उसके पास जा कर कहने लगा, हे मेरे प्रभु, तेरे दास को अपने प्रभु से एक बात कहने की आज्ञा हो, और तेरा कोप तेरे दास पर न भड़के; तू तो फिरौन के तुल्य है।

Tab Yahuda uske paas ja kar kahne laga, he mere Prabhu, tere daas ko apne Prabhu se ek baat kahne ki aagya ho, aur tera kop tere daas par na bhadke; tu to Firaun ke tulya hai.

19

मेरे प्रभु ने अपने दासों से पूछा था, कि क्या तुम्हारे पिता वा भाई हैं?

Mere Prabhu ne apne dason se poochha tha, ki kya tumhare pita va bhai hain?

20

और हम ने अपने प्रभु से कहा, हां, हमारा बूढ़ा पिता तो है, और उसके बुढ़ापे का एक छोटा सा बालक भी है, परन्तु उसका भाई मर गया है, इसलिये वह अब अपनी माता का अकेला ही रह गया है, और उसका पिता उससे स्नेह रखता है।

Aur ham ne apne Prabhu se kaha, han, hamara boodha pita to hai, aur uske budhape ka ek chhota sa balak bhi hai, parantu uska bhai mar gaya hai, isliye vah ab apni mata ka akela hi rah gaya hai, aur uska pita usse sneh rakhta hai.

21

तब तू ने अपने दासों से कहा था, कि उसको मेरे पास ले आओ, जिस से मैं उसको देखूं।

Tab tu ne apne dason se kaha tha, ki usko mere paas le aao, jis se main usko dekhun.

22

तब हम ने अपने प्रभु से कहा था, कि वह लड़का अपने पिता को नहीं छोड़ सकता; नहीं तो उसका पिता मर जाएगा।

Tab ham ne apne Prabhu se kaha tha, ki vah ladka apne pita ko nahi chhod sakta; nahi to uska pita mar jayega.

23

और तू ने अपने दासों से कहा, यदि तुम्हारा छोटा भाई तुम्हारे संग न आए, तो तुम मेरे सम्मुख फिर न आने पाओगे।

Aur tu ne apne dason se kaha, yadi tumhara chhota bhai tumhare sang na aaye, to tum mere sammukh phir na aane paoge.

24

सो जब हम अपने पिता तेरे दास के पास गए, तब हम ने उससे अपने प्रभु की बातें कहीं।

So jab ham apne pita tere daas ke paas gaye, tab ham ne usse apne Prabhu ki batein kahi.

25

तब हमारे पिता ने कहा, फिर जा कर हमारे लिये थोड़ी सी भोजनवस्तु मोल ले आओ।

Tab hamare pita ne kaha, phir ja kar hamare liye thodi si bhojanvastu mol le aao.

26

हम ने कहा, हम नहीं जा सकते, हां, यदि हमारा छोटा भाई हमारे संग रहे, तब हम जाएंगे: क्योंकि यदि हमारा छोटा भाई हमारे संग न रहे, तो उस पुरूष के सम्मुख न जाने पाएंगे।

Ham ne kaha, ham nahi ja sakte, han, yadi hamara chhota bhai hamare sang rahe, tab ham jayenge: kyonki yadi hamara chhota bhai hamare sang na rahe, to us puroosh ke sammukh na jane payenge.

27

तब तेरे दास मेरे पिता ने हम से कहा, तुम तो जानते हो कि मेरी स्त्री से दो पुत्र उत्पन्न हुए।

Tab tere daas mere pita ne ham se kaha, tum to jante ho ki meri stri se do putra utpann hue.

28

और उन में से एक तो मुझे छोड़ ही गया, और मैं ने निश्चय कर लिया, कि वह फाड़ डाला गया होगा; और तब से मैं उसका मुंह न देख पाया

Aur un mein se ek to mujhe chhod hi gaya, aur main ne nishchay kar liya, ki vah phaad dala gaya hoga; aur tab se main uska munh na dekh paya

29

सो यदि तुम इस को भी मेरी आंख की आड़ में ले जाओ, और कोई विपत्ति इस पर पड़े, तो तुम्हारे कारण मैं इस पक्के बाल की अवस्था में दु:ख के साथ अधोलोक में उतर जाऊंगा।

So yadi tum is ko bhi meri aankh ki aad mein le jao, aur koi vipatti is par pade, to tumhare karan main is pakke baal ki avastha mein dukh ke saath adholok mein utar jaoonga.

30

सो जब मैं अपने पिता तेरे दास के पास पहुंचूं, और यह लड़का संग न रहे, तब, उसका प्राण जो इसी पर अटका रहता है,

So jab main apne pita tere daas ke paas pahunchun, aur yah ladka sang na rahe, tab, uska praan jo isi par atka rahta hai,

31

इस कारण, यह देखके कि लड़का नहीं है, वह तुरन्त ही मर जाएगा। तब तेरे दासों के कारण तेरा दास हमारा पिता, जो पक्के बालों की अवस्था का है, शोक के साथ अधोलोक में उतर जाएगा।

Is karan, yah dekhke ki ladka nahi hai, vah turant hi mar jayega. Tab tere dason ke karan tera daas hamara pita, jo pakke balon ki avastha ka hai, shok ke saath adholok mein utar jayega.

32

फिर तेरा दास अपने पिता के यहां यह कहके इस लड़के का जामिन हुआ है, कि यदि मैं इस को तेरे पास न पहुंचा दूं, तब तो मैं सदा के लिये तेरा अपराधी ठहरूंगा।

Phir tera daas apne pita ke yahan yah kahke is ladke ka jamin huaa hai, ki yadi main is ko tere paas na pahuncha dun, tab to main sada ke liye tera apradhi thahroonga.

33

सो अब तेरा दास इस लड़के की सन्ती अपने प्रभु का दास हो कर रहने की आज्ञा पाए, और यह लड़का अपने भाइयों के संग जाने दिया जाए।

So ab tera daas is ladke ki santi apne Prabhu ka daas ho kar rahne ki aagya paye, aur yah ladka apne bhaiyon ke sang jane diya jaye.

34

क्योंकि लड़के के बिना संग रहे मैं क्योंकर अपने पिता के पास जा सकूंगा; ऐसा न हो कि मेरे पिता पर जो दु:ख पड़ेगा वह मुझे देखना पड़े॥

Kyonki ladke ke bina sang rahe main kyonkar apne pita ke paas ja sakoonga; aisa na ho ki mere pita par jo dukh padega vah mujhe dekhna pade.