और अकाल देश में और भी भयंकर होता गया।
Aur akaal desh mein aur bhi bhayankar hota gaya.
Genesis 43 · 34 verses
और अकाल देश में और भी भयंकर होता गया।
Aur akaal desh mein aur bhi bhayankar hota gaya.
जब वह अन्न जो वे मिस्र से ले आए थे समाप्त हो गया तब उनके पिता ने उन से कहा, फिर जा कर हमारे लिये थोड़ी सी भोजनवस्तु मोल ले आओ।
Jab vah ann jo ve Misr se le aaye the samaapt ho gaya tab unke pita ne un se kaha, phir ja kar hamare liye thodi si bhojanvastu mol le aao.
तब यहूदा ने उससे कहा, उस पुरूष ने हम को चितावनी देकर कहा, कि यदि तुम्हारा भाई तुम्हारे संग न आए, तो तुम मेरे सम्मुख न आने पाओगे।
Tab Yahuda ne usse kaha, us puroosh ne ham ko chitavni dekar kaha, ki yadi tumhara bhai tumhare sang na aaye, to tum mere sammukh na aane paoge.
इसलिये यदि तू हमारे भाई को हमारे संग भेजे, तब तो हम जा कर तेरे लिये भोजनवस्तु मोल ले आएंगे;
Isliye yadi tu hamare bhai ko hamare sang bheje, tab to ham ja kar tere liye bhojanvastu mol le aayenge;
परन्तु यदि तू उसको न भेजे, तो हम न जाएंगे: क्योंकि उस पुरूष ने हम से कहा, कि यदि तुम्हारा भाई तुम्हारे संग न हो, तो तुम मेरे सम्मुख न आने पाओगे।
Parantu yadi tu usko na bheje, to ham na jayenge: kyonki us puroosh ne ham se kaha, ki yadi tumhara bhai tumhare sang na ho, to tum mere sammukh na aane paoge.
तब इस्राएल ने कहा, तुम ने उस पुरूष को यह बताकर कि हमारा एक और भाई है, क्यों मुझ से बुरा बर्ताव किया?
Tab Israel ne kaha, tum ne us puroosh ko yah batakar ki hamara ek aur bhai hai, kyon mujh se bura bartaav kiya?
उन्होंने कहा, जब उस पुरूष ने हमारी और हमारे कुटुम्बियों की दशा को इस रीति पूछा, कि क्या तुम्हारा पिता अब तक जीवित है? क्या तुम्हारे कोई और भाई भी है? तब हम ने इन प्रश्नों के अनुसार उससे वर्णन किया; फिर हम क्या जानते थे कि वह कहेगा, कि अपने भाई को यहां ले आओ।
Unhonne kaha, jab us puroosh ne hamari aur hamare kutumbiyon ki dasha ko is reeti poochha, ki kya tumhara pita ab tak jeevit hai? Kya tumhare koi aur bhai bhi hai? Tab ham ne in prashnon ke anusaar usse varnan kiya; phir ham kya jante the ki vah kahega, ki apne bhai ko yahan le aao.
फिर यहूदा ने अपने पिता इस्राएल से कहा, उस लड़के को मेरे संग भेज दे, कि हम चले जाएं; इस से हम, और तू, और हमारे बालबच्चे मरने न पाएंगे, वरन जीवित रहेंगे।
Phir Yahuda ne apne pita Israel se kaha, us ladke ko mere sang bhej de, ki ham chale jayen; is se ham, aur tu, aur hamare balbachche marne na payenge, varan jeevit rahenge.
मैं उसका जामिन होता हूं; मेरे ही हाथ से तू उसको फेर लेना: यदि मैं उसको तेरे पास पहुंचाकर साम्हने न खड़ाकर दूं, तब तो मैं सदा के लिये तेरा अपराधी ठहरूंगा।
Main uska jamin hota hoon; mere hi haath se tu usko pher lena: yadi main usko tere paas pahunchakar samhane na khadakar dun, tab to main sada ke liye tera apradhi thahroonga.
यदि हम लोग विलम्ब न करते, तो अब तब दूसरी बार लौट आते।
Yadi ham log vilamb na karte, to ab tab doosri baar laut aate.
तब उनके पिता इस्राएल ने उन से कहा, यदि सचमुच ऐसी ही बात है, तो यह करो; इस देश की उत्तम उत्तम वस्तुओं में से कुछ कुछ अपने बोरों में उस पुरूष के लिये भेंट ले जाओ: जैसे थोड़ा सा बलसान, और थोड़ा सा मधु, और कुछ सुगन्ध द्रव्य, और गन्धरस, पिस्ते, और बादाम।
Tab unke pita Israel ne un se kaha, yadi sachmuch aisi hi baat hai, to yah karo; is desh ki uttam uttam vastuon mein se kuchh kuchh apne boron mein us puroosh ke liye bhent le jao: jaise thoda sa balsaan, aur thoda sa madhu, aur kuchh sugandh dravya, aur gandharas, piste, aur badaam.
फिर अपने अपने साथ दूना रूपया ले जाओ; और जो रूपया तुम्हारे बोरों के मुंह पर रखकर फेर दिया गया था, उसको भी लेते जाओ; कदाचित यह भूल से हुआ हो।
Phir apne apne saath doona roopya le jao; aur jo roopya tumhare boron ke munh par rakhkar pher diya gaya tha, usko bhi lete jao; kadachit yah bhool se huaa ho.
और अपने भाई को भी संग ले कर उस पुरूष के पास फिर जाओ,
Aur apne bhai ko bhi sang le kar us puroosh ke paas phir jao,
और सर्वशक्तिमान ईश्वर उस पुरूष को तुम पर दयालु करेगा, जिस से कि वह तुम्हारे दूसरे भाई को और बिन्यामीन को भी आने दे: और यदि मैं निर्वंश हुआ तो होने दो।
Aur sarvashaktimaan ishwar us puroosh ko tum par dayalu karega, jis se ki vah tumhare doosre bhai ko aur binyameen ko bhi aane de: aur yadi main nirvansh huaa to hone do.
तब उन मनुष्यों ने वह भेंट, और दूना रूपया, और बिन्यामीन को भी संग लिया, और चल दिए और मिस्र में पहुंचकर यूसुफ के साम्हने खड़े हुए।
Tab un manushyon ne vah bhent, aur doona roopya, aur binyameen ko bhi sang liya, aur chal diye aur Misr mein pahunchkar Yusuf ke samhane khade hue.
उनके साथ बिन्यामीन को देखकर यूसुफ ने अपने घर के अधिकारी से कहा, उन मनुष्यों को घर में पहुंचा दो, और पशु मारके भोजन तैयार करो; क्योंकि वे लोग दोपहर को मेरे संग भोजन करेंगे।
Unke saath binyameen ko dekhkar Yusuf ne apne ghar ke adhikari se kaha, un manushyon ko ghar mein pahuncha do, aur pashu marke bhojan taiyaar karo; kyonki ve log dophar ko mere sang bhojan karenge.
तब वह अधिकारी पुरूष यूसुफ के कहने के अनुसार उन पुरूषों को यूसुफ के घर में ले गया।
Tab vah adhikari puroosh Yusuf ke kahne ke anusaar un purooshon ko Yusuf ke ghar mein le gaya.
जब वे यूसुफ के घर को पहुंचाए गए तब वे आपस में डर कर कहने लगे, कि जो रूपया पहिली बार हमारे बोरों में फेर दिया गया था, उसी के कारण हम भीतर पहुंचाए गए हैं; जिस से कि वह पुरूष हम पर टूट पड़े, और हमें वश में करके अपने दास बनाए, और हमारे गदहों को भी छीन ले।
Jab ve Yusuf ke ghar ko pahunchaye gaye tab ve aapas mein dar kar kahne lage, ki jo roopya pahili baar hamare boron mein pher diya gaya tha, usi ke karan ham bheetar pahunchaye gaye hain; jis se ki vah puroosh ham par toot pade, aur hamein vash mein karke apne daas banaye, aur hamare gadhon ko bhi chheen le.
तब वे यूसुफ के घर के अधिकारी के निकट जा कर घर के द्वार पर इस प्रकार कहने लगे,
Tab ve Yusuf ke ghar ke adhikari ke nikat ja kar ghar ke dwaar par is prakaar kahne lage,
कि हे हमारे प्रभु, जब हम पहिली बार अन्न मोल लेने को आए थे,
Ki he hamare Prabhu, jab ham pahili baar ann mol lene ko aaye the,
तब हम ने सराय में पहुंचकर अपने बोरों को खोला, तो क्या देखा, कि एक एक जन का पूरा पूरा रूपया उसके बोरे के मुंह में रखा है; इसलिये हम उसको अपने साथ फिर लेते आए हैं।
Tab ham ne saraay mein pahunchkar apne boron ko khola, to kya dekha, ki ek ek jan ka poora poora roopya uske bore ke munh mein rakha hai; isliye ham usko apne saath phir lete aaye hain.
और दूसरा रूपया भी भोजनवस्तु मोल लेने के लिये लाए हैं; हम नहीं जानते कि हमारा रूपया हमारे बोरों में किस ने रख दिया था।
Aur doosra roopya bhi bhojanvastu mol lene ke liye laye hain; ham nahi jante ki hamara roopya hamare boron mein kis ne rakh diya tha.
उसने कहा, तुम्हारा कुशल हो, मत डरो: तुम्हारा परमेश्वर, जो तुम्हारे पिता का भी परमेश्वर है, उसी ने तुम को तुम्हारे बोरों में धन दिया होगा, तुम्हारा रूपया तो मुझ को मिल गया था: फिर उसने शिमोन को निकाल कर उनके संग कर दिया।
Usne kaha, tumhara kushal ho, mat daro: tumhara Parmeshwar, jo tumhare pita ka bhi Parmeshwar hai, usi ne tum ko tumhare boron mein dhan diya hoga, tumhara roopya to mujh ko mil gaya tha: phir usne shimon ko nikaal kar unke sang kar diya.
तब उस जन ने उन मनुष्यों को यूसुफ के घर में ले जा कर जल दिया, तब उन्होंने अपने पांवों को धोया; फिर उसने उनके गदहों के लिये चारा दिया।
Tab us jan ne un manushyon ko Yusuf ke ghar mein le ja kar jal diya, tab unhonne apne panvon ko dhoya; phir usne unke gadhon ke liye chara diya.
तब यह सुनकर, कि आज हम को यहीं भोजन करना होगा, उन्होंने यूसुफ के आने के समय तक, अर्थात दोपहर तक, उस भेंट को इकट्ठा कर रखा।
Tab yah sunkar, ki aaj ham ko yahi bhojan karna hoga, unhonne Yusuf ke aane ke samay tak, arthaat dophar tak, us bhent ko ikattha kar rakha.
जब यूसुफ घर आया तब वे उस भेंट को, जो उनके हाथ में थी, उसके सम्मुख घर में ले गए, और भूमि पर गिरकर उसको दण्डवत किया।
Jab Yusuf ghar aaya tab ve us bhent ko, jo unke haath mein thi, uske sammukh ghar mein le gaye, aur bhoomi par girkar usko dandavat kiya.
उसने उनका कुशल पूछा, और कहा, क्या तुम्हारा बूढ़ा पिता, जिसकी तुम ने चर्चा की थी, कुशल से है? क्या वह अब तक जीवित है?
Usne unka kushal poochha, aur kaha, kya tumhara boodha pita, jiski tum ne charcha ki thi, kushal se hai? Kya vah ab tak jeevit hai?
उन्होंने कहा, हां तेरा दास हमारा पिता कुशल से है और अब तक जीवित है; तब उन्होंने सिर झुका कर फिर दण्डवत किया।
Unhonne kaha, han tera daas hamara pita kushal se hai aur ab tak jeevit hai; tab unhonne sir jhuka kar phir dandavat kiya.
तब उसने आंखे उठा कर और अपने सगे भाई बिन्यामीन को देखकर पूछा, क्या तुम्हारा वह छोटा भाई, जिसकी चर्चा तुम ने मुझ से की थी, यही है? फिर उसने कहा, हे मेरे पुत्र, परमेश्वर तुझ पर अनुग्रह करे।
Tab usne aankhe utha kar aur apne sage bhai binyameen ko dekhkar poochha, kya tumhara vah chhota bhai, jiski charcha tum ne mujh se ki thi, yahi hai? Phir usne kaha, he mere putra, Parmeshwar tujh par anugrah kare.
तब अपने भाई के स्नेह से मन भर आने के कारण और यह सोचकर, कि मैं कहां जा कर रोऊं, यूसुफ फुर्ती से अपनी कोठरी में गया, और वहां रो पड़ा।
Tab apne bhai ke sneh se man bhar aane ke karan aur yah sochkar, ki main kahan ja kar roun, Yusuf phurti se apni kothri mein gaya, aur vahan ro pada.
फिर अपना मुंह धोकर निकल आया, और अपने को शांत कर कहा, भोजन परोसो।
Phir apna munh dhokar nikal aaya, aur apne ko shaant kar kaha, bhojan paroso.
तब उन्होंने उसके लिये तो अलग, और भाइयों के लिये भी अलग, और जो मिस्री उसके संग खाते थे, उनके लिये भी अलग, भोजन परोसा; इसलिये कि मिस्री इब्रियों के साथ भोजन नहीं कर सकते, वरन मिस्री ऐसा करना घृणा समझते थे।
Tab unhonne uske liye to alag, aur bhaiyon ke liye bhi alag, aur jo misri uske sang khate the, unke liye bhi alag, bhojan parosa; isliye ki misri ibriyon ke saath bhojan nahi kar sakte, varan misri aisa karna ghrina samajhte the.
सो यूसुफ के भाई उसके साम्हने, बड़े बड़े पहिले, और छोटे छोटे पीछे, अपनी अपनी अवस्था के अनुसार, क्रम से बैठाए गए: यह देख वे विस्मित हो कर एक दूसरे की ओर देखने लगे।
So Yusuf ke bhai uske samhane, bade bade pahile, aur chhote chhote peechhe, apni apni avastha ke anusaar, kram se baithaye gaye: yah dekh ve vismit ho kar ek doosre ki or dekhne lage.
तब यूसुफ अपने साम्हने से भोजन-वस्तुएं उठा उठाके उनके पास भेजने लगा, और बिन्यामीन को अपने भाइयों से पचगुणी अधिक भोजनवस्तु मिली। और उन्होंने उसके संग मनमाना खाया पिया।
Tab Yusuf apne samhane se bhojan-vastuein utha uthake unke paas bhejne laga, aur binyameen ko apne bhaiyon se pachguni adhik bhojanvastu mili. Aur unhonne uske sang manmana khaya piya.