जब याकूब ने सुना कि मिस्र में अन्न है, तब उसने अपने पुत्रों से कहा, तुम एक दूसरे का मुंह क्यों देख रहे हो।
Jab Yakub ne suna ki Misr mein ann hai, tab usne apne putron se kaha, tum ek doosre ka munh kyon dekh rahe ho.
Genesis 42 · 38 verses
जब याकूब ने सुना कि मिस्र में अन्न है, तब उसने अपने पुत्रों से कहा, तुम एक दूसरे का मुंह क्यों देख रहे हो।
Jab Yakub ne suna ki Misr mein ann hai, tab usne apne putron se kaha, tum ek doosre ka munh kyon dekh rahe ho.
फिर उसने कहा, मैं ने सुना है कि मिस्र में अन्न है; इसलिये तुम लोग वहां जा कर हमारे लिये अन्न मोल ले आओ, जिस से हम न मरें, वरन जीवित रहें।
Phir usne kaha, main ne suna hai ki Misr mein ann hai; isliye tum log vahan ja kar hamare liye ann mol le aao, jis se ham na marein, varan jeevit rahein.
सो यूसुफ के दस भाई अन्न मोल लेने के लिये मिस्र को गए।
So Yusuf ke das bhai ann mol lene ke liye Misr ko gaye.
पर यूसुफ के भाई बिन्यामीन को याकूब ने यह सोचकर भाइयों के साथ न भेजा, कि कहीं ऐसा न हो कि उस पर कोई विपत्ति आ पड़े।
Par Yusuf ke bhai binyameen ko Yakub ne yah sochkar bhaiyon ke saath na bheja, ki kahi aisa na ho ki us par koi vipatti aa pade.
सो जो लोग अन्न मोल लेने आए उनके साथ इस्राएल के पुत्र भी आए; क्योंकि कनान देश में भी भारी अकाल था।
So jo log ann mol lene aaye unke saath Israel ke putra bhi aaye; kyonki kanaan desh mein bhi bhari akaal tha.
यूसुफ तो मिस्र देश का अधिकारी था, और उस देश के सब लोगों के हाथ वही अन्न बेचता था; इसलिये जब यूसुफ के भाई आए तब भूमि पर मुंह के बल गिर के दण्डवत किया।
Yusuf to Misr desh ka adhikari tha, aur us desh ke sab logon ke haath vahi ann bechta tha; isliye jab Yusuf ke bhai aaye tab bhoomi par munh ke bal gir ke dandavat kiya.
उन को देखकर यूसुफ ने पहिचान तो लिया, परन्तु उनके साम्हने भोला बनके कठोरता के साथ उन से पूछा, तुम कहां से आते हो? उन्होंने कहा, हम तो कनान देश से अन्न मोल लेने के लिये आए हैं।
Un ko dekhkar Yusuf ne pahichaan to liya, parantu unke samhane bhola banke kathorta ke saath un se poochha, tum kahan se aate ho? Unhonne kaha, ham to kanaan desh se ann mol lene ke liye aaye hain.
यूसुफ ने तो अपने भाइयों को पहिचान लिया, परन्तु उन्होंने उसको न पहिचाना।
Yusuf ne to apne bhaiyon ko pahichaan liya, parantu unhonne usko na pahichana.
तब यूसुफ अपने उन स्वप्नों को स्मरण करके जो उसने उनके विषय में देखे थे, उन से कहने लगा, तुम भेदिए हो; इस देश की दुर्दशा को देखने के लिये आए हो।
Tab Yusuf apne un swapnon ko smaran karke jo usne unke vishay mein dekhe the, un se kahne laga, tum bhediye ho; is desh ki durdasha ko dekhne ke liye aaye ho.
उन्होंने उससे कहा, नहीं, नहीं, हे प्रभु, तेरे दास भोजनवस्तु मोल लेने के लिये आए हैं।
Unhonne usse kaha, nahi, nahi, he Prabhu, tere daas bhojanvastu mol lene ke liye aaye hain.
हम सब एक ही पिता के पुत्र हैं, हम सीधे मनुष्य हैं, तेरे दास भेदिए नहीं।
Ham sab ek hi pita ke putra hain, ham seedhe manushya hain, tere daas bhediye nahi.
उसने उन से कहा, नहीं नहीं, तुम इस देश की दुर्दशा देखने ही को आए हो।
Usne un se kaha, nahi nahi, tum is desh ki durdasha dekhne hi ko aaye ho.
उन्होंने कहा, हम तेरे दास बारह भाई हैं, और कनान देशवासी एक ही पुरूष के पुत्र हैं, और छोटा इस समय हमारे पिता के पास है, और एक जाता रहा।
Unhonne kaha, ham tere daas barah bhai hain, aur kanaan deshvasi ek hi puroosh ke putra hain, aur chhota is samay hamare pita ke paas hai, aur ek jata raha.
तब यूसुफ ने उन से कहा, मैं ने तो तुम से कह दिया, कि तुम भेदिए हो;
Tab Yusuf ne un se kaha, main ne to tum se kah diya, ki tum bhediye ho;
सो इसी रीति से तुम परखे जाओगे, फिरौन के जीवन की शपथ, जब तक तुम्हारा छोटा भाई यहां न आए तब तक तुम यहां से न निकलने पाओगे।
So isi reeti se tum parkhe jaoge, Firaun ke jeevan ki shapath, jab tak tumhara chhota bhai yahan na aaye tab tak tum yahan se na nikalne paoge.
सो अपने में से एक को भेज दो, कि वह तुम्हारे भाई को ले आए, और तुम लोग बन्धुवाई में रहोगे; इस प्रकार तुम्हारी बातें परखी जाएंगी, कि तुम में सच्चाई है कि नहीं। यदि सच्चे न ठहरे तब तो फिरौन के जीवन की शपथ तुम निश्चय ही भेदिए समझे जाओगे।
So apne mein se ek ko bhej do, ki vah tumhare bhai ko le aaye, aur tum log bandhuvai mein rahoge; is prakaar tumhari batein parkhi jayengi, ki tum mein sachchai hai ki nahi. Yadi sachche na thahre tab to Firaun ke jeevan ki shapath tum nishchay hi bhediye samjhe jaoge.
तब उसने उन को तीन दिन तक बन्दीगृह में रखा।
Tab usne un ko teen din tak bandeegrih mein rakha.
तीसरे दिन यूसुफ ने उन से कहा, एक काम करो तब जीवित रहोगे; क्योंकि मैं परमेश्वर का भय मानता हूं;
Teesre din Yusuf ne un se kaha, ek kaam karo tab jeevit rahoge; kyonki main Parmeshwar ka bhay manta hoon;
यदि तुम सीधे मनुष्य हो, तो तुम सब भाइयों में से एक जन इस बन्दीगृह में बन्धुआ रहे; और तुम अपने घर वालों की भूख बुझाने के लिये अन्न ले जाओ।
Yadi tum seedhe manushya ho, to tum sab bhaiyon mein se ek jan is bandeegrih mein bandhuaa rahe; aur tum apne ghar valon ki bhookh bujhane ke liye ann le jao.
और अपने छोटे भाई को मेरे पास ले आओ; इस प्रकार तुम्हारी बातें सच्ची ठहरेंगी, और तुम मार डाले न जाओगे। तब उन्होंने वैसा ही किया।
Aur apne chhote bhai ko mere paas le aao; is prakaar tumhari batein sachchi thahrengi, aur tum maar dale na jaoge. Tab unhonne vaisa hi kiya.
उन्होंने आपस में कहा, नि:सन्देह हम अपने भाई के विषय में दोषी हैं, क्योंकि जब उसने हम से गिड़गिड़ा के बिनती की, तौभी हम ने यह देखकर, कि उसका जीवन कैसे संकट में पड़ा है, उसकी न सुनी; इसी कारण हम भी अब इस संकट में पड़े हैं।
Unhonne aapas mein kaha, nisandeh ham apne bhai ke vishay mein doshi hain, kyonki jab usne ham se gidgida ke binti ki, taubhi ham ne yah dekhkar, ki uska jeevan kaise sankat mein pada hai, uski na suni; isi karan ham bhi ab is sankat mein pade hain.
रूबेन ने उन से कहा, क्या मैं ने तुम से न कहा था, कि लड़के के अपराधी मत बनो? परन्तु तुम ने न सुना: देखो, अब उसके लोहू का पलटा दिया जाता है।
Rooben ne un se kaha, kya main ne tum se na kaha tha, ki ladke ke apradhi mat bano? Parantu tum ne na suna: dekho, ab uske lohu ka palta diya jata hai.
यूसुफ की और उनकी बातचीत जो एक दुभाषिया के द्वारा होती थी; इस से उन को मालूम न हुआ कि वह उनकी बोली समझता है।
Yusuf ki aur unki batcheet jo ek dubhashiya ke dwara hoti thi; is se un ko maloom na huaa ki vah unki boli samajhta hai.
तब वह उनके पास से हटकर रोने लगा; फिर उनके पास लौटकर और उन से बातचीत करके उन में से शिमोन को छांट निकाला और उसके साम्हने बन्धुआ रखा।
Tab vah unke paas se hatkar rone laga; phir unke paas lautkar aur un se batcheet karke un mein se shimon ko chhaant nikala aur uske samhane bandhuaa rakha.
तब यूसुफ ने आज्ञा दी, कि उनके बोरे अन्न से भरो और एक एक जन के बोरे में उसके रूपये को भी रख दो, फिर उन को मार्ग के लिये सीधा दो: सो उनके साथ ऐसा ही किया गया।
Tab Yusuf ne aagya di, ki unke bore ann se bharo aur ek ek jan ke bore mein uske roopye ko bhi rakh do, phir un ko maarg ke liye seedha do: so unke saath aisa hi kiya gaya.
तब वे अपना अन्न अपने गदहों पर लादकर वहां से चल दिए।
Tab ve apna ann apne gadhon par ladkar vahan se chal diye.
सराय में जब एक ने अपने गदहे को चारा देने के लिये अपना बोरा खोला, तब उसका रूपया बोरे के मोहड़े पर रखा हुआ दिखलाई पड़ा।
Saraay mein jab ek ne apne gadhe ko chara dene ke liye apna bora khola, tab uska roopya bore ke mohde par rakha huaa dikhlai pada.
तब उसने अपने भाइयों से कहा, मेरा रूपया तो फेर दिया गया है, देखो, वह मेरे बोरे में है; तब उनके जी में जी न रहा, और वे एक दूसरे की और भय से ताकने लगे, और बोले, परमेश्वर ने यह हम से क्या किया है?
Tab usne apne bhaiyon se kaha, mera roopya to pher diya gaya hai, dekho, vah mere bore mein hai; tab unke ji mein ji na raha, aur ve ek doosre ki aur bhay se takne lage, aur bole, Parmeshwar ne yah ham se kya kiya hai?
और वे कनान देश में अपने पिता याकूब के पास आए, और अपना सारा वृत्तान्त उससे इस प्रकार वर्णन किया:
Aur ve kanaan desh mein apne pita Yakub ke paas aaye, aur apna sara vrittaant usse is prakaar varnan kiya:
कि जो पुरूष उस देश का स्वामी है, उसने हम से कठोरता के साथ बातें कीं, और हम को देश के भेदिए कहा।
Ki jo puroosh us desh ka swami hai, usne ham se kathorta ke saath batein ki, aur ham ko desh ke bhediye kaha.
तब हम ने उससे कहा, हम सीधे लोग हैं, भेदिए नहीं।
Tab ham ne usse kaha, ham seedhe log hain, bhediye nahi.
हम बारह भाई एक ही पिता के पुत्र है, एक तो जाता रहा, परन्तु छोटा इस समय कनान देश में हमारे पिता के पास है।
Ham barah bhai ek hi pita ke putra hai, ek to jata raha, parantu chhota is samay kanaan desh mein hamare pita ke paas hai.
तब उस पुरूष ने, जो उस देश का स्वामी है, हम से कहा, इस से मालूम हो जाएगा कि तुम सीधे मनुष्य हो; तुम अपने में से एक को मेरे पास छोड़ के अपने घर वालों की भूख बुझाने के लिये कुछ ले जाओ।
Tab us puroosh ne, jo us desh ka swami hai, ham se kaha, is se maloom ho jayega ki tum seedhe manushya ho; tum apne mein se ek ko mere paas chhod ke apne ghar valon ki bhookh bujhane ke liye kuchh le jao.
और अपने छोटे भाई को मेरे पास ले आओ। तब मुझे विश्वास हो जाएगा कि तुम भेदिए नहीं, सीधे लोग हो। फिर मैं तुम्हारे भाई को तुम्हें सौंप दूंगा, और तुम इस देश में लेन देन कर सकोगे।
Aur apne chhote bhai ko mere paas le aao. Tab mujhe vishwaas ho jayega ki tum bhediye nahi, seedhe log ho. Phir main tumhare bhai ko tumhein saump doonga, aur tum is desh mein len den kar sakoge.
यह कहकर वे अपने अपने बोरे से अन्न निकालने लगे, तब, क्या देखा, कि एक एक जन के रूपये की थैली उसी के बोरे में रखी है: तब रूपये की थैलियों को देखकर वे और उनका पिता बहुत डर गए।
Yah kahkar ve apne apne bore se ann nikalne lage, tab, kya dekha, ki ek ek jan ke roopye ki thaili usi ke bore mein rakhi hai: tab roopye ki thailiyon ko dekhkar ve aur unka pita bahut dar gaye.
तब उनके पिता याकूब ने उन से कहा, मुझ को तुम ने निर्वंश कर दिया, देखो, यूसुफ नहीं रहा, और शिमोन भी नहीं आया, और अब तुम बिन्यामीन को भी ले जाना चाहते हो: ये सब विपत्तियां मेरे ऊपर आ पड़ी हैं।
Tab unke pita Yakub ne un se kaha, mujh ko tum ne nirvansh kar diya, dekho, Yusuf nahi raha, aur shimon bhi nahi aaya, aur ab tum binyameen ko bhi le jana chahte ho: ye sab vipattiyan mere oopar aa padi hain.
रूबेन ने अपने पिता से कहा, यदि मैं उसको तेरे पास न लाऊं, तो मेरे दोनों पुत्रों को मार डालना; तू उसको मेरे हाथ में सौंप दे, मैं उसे तेरे पास फिर पहुंचा दूंगा।
Rooben ne apne pita se kaha, yadi main usko tere paas na laun, to mere donon putron ko maar dalna; tu usko mere haath mein saump de, main use tere paas phir pahuncha doonga.
उसने कहा, मेरा पुत्र तुम्हारे संग न जाएगा; क्योंकि उसका भाई मर गया है, और वह अब अकेला रह गया: इसलिये जिस मार्ग से तुम जाओगे, उस में यदि उस पर कोई विपत्ति आ पड़े, तब तो तुम्हारे कारण मैं इस बुढ़ापे की अवस्था में शोक के साथ अधोलोक में उतर जाऊंगा॥
Usne kaha, mera putra tumhare sang na jayega; kyonki uska bhai mar gaya hai, aur vah ab akela rah gaya: isliye jis maarg se tum jaoge, us mein yadi us par koi vipatti aa pade, tab to tumhare karan main is budhape ki avastha mein shok ke saath adholok mein utar jaoonga.