पूरे दो बरस के बीतने पर फिरौन ने यह स्वप्न देखा, कि वह नील नदी के किनारे पर खड़ा है।
Poore do baras ke beetne par Firaun ne yah swapn dekha, ki vah neel nadi ke kinare par khada hai.
Genesis 41 · 57 verses
पूरे दो बरस के बीतने पर फिरौन ने यह स्वप्न देखा, कि वह नील नदी के किनारे पर खड़ा है।
Poore do baras ke beetne par Firaun ne yah swapn dekha, ki vah neel nadi ke kinare par khada hai.
और उस नदी में से सात सुन्दर और मोटी मोटी गायें निकल कर कछार की घास चरने लगीं।
Aur us nadi mein se saat sundar aur moti moti gayein nikal kar kachhaar ki ghaas charne lagi.
और, क्या देखा, कि उनके पीछे और सात गायें, जो कुरूप और दुर्बल हैं, नदी से निकली; और दूसरी गायों के निकट नदी के तट पर जा खड़ी हुई।
Aur, kya dekha, ki unke peechhe aur saat gayein, jo kuroop aur durbal hain, nadi se nikli; aur doosri gayon ke nikat nadi ke tat par ja khadi hui.
तब ये कुरूप और दुर्बल गायें उन सात सुन्दर और मोटी मोटी गायों को खा गईं। तब फिरौन जाग उठा।
Tab ye kuroop aur durbal gayein un saat sundar aur moti moti gayon ko kha gai. Tab Firaun jaag utha.
और वह फिर सो गया और दूसरा स्वप्न देखा, कि एक डंठी में से सात मोटी और अच्छी अच्छी बालें निकलीं।
Aur vah phir so gaya aur doosra swapn dekha, ki ek danthi mein se saat moti aur achchhi achchhi balein nikli.
और, क्या देखा, कि उनके पीछे सात बालें पतली और पुरवाई से मुरझाई हुई निकलीं।
Aur, kya dekha, ki unke peechhe saat balein patli aur purvai se murjhai hui nikli.
और इन पतली बालों ने उन सातों मोटी और अन्न से भरी हुई बालों को निगल लिया। तब फिरौन जागा, और उसे मालूम हुआ कि यह स्वप्न ही था।
Aur in patli balon ne un saton moti aur ann se bhari hui balon ko nigal liya. Tab Firaun jaga, aur use maloom huaa ki yah swapn hi tha.
भोर को फिरौन का मन व्याकुल हुआ; और उसने मिस्र के सब ज्योतिषियों, और पण्डितों को बुलवा भेजा; और उन को अपने स्वप्न बताएं; पर उन में से कोई भी उनका फल फिरौन से न कह सहा।
Bhor ko Firaun ka man vyakul huaa; aur usne Misr ke sab jyotishiyon, aur panditon ko bulva bheja; aur un ko apne swapn batayen; par un mein se koi bhi unka phal Firaun se na kah saha.
तब पिलानेहारों का प्रधान फिरौन से बोल उठा, कि मेरे अपराध आज मुझे स्मरण आए:
Tab pilaneharon ka pradhaan Firaun se bol utha, ki mere apraadh aaj mujhe smaran aaye:
जब फिरौन अपने दासों से क्रोधित हुआ था, और मुझे और पकानेहारों के प्रधान को कैद करा के जल्लादों के प्रधान के घर के बन्दीगृह में डाल दिया था;
Jab Firaun apne dason se krodhit huaa tha, aur mujhe aur pakaneharon ke pradhaan ko kaid kara ke jalladon ke pradhaan ke ghar ke bandeegrih mein daal diya tha;
तब हम दोनों ने, एक ही रात में, अपने अपने होनहार के अनुसार स्वप्न देखा;
Tab ham donon ne, ek hi raat mein, apne apne honhaar ke anusaar swapn dekha;
और वहां हमारे साथ एक इब्री जवान था, जो जल्लादों के प्रधान का दास था; सो हम ने उसको बताया, और उसने हमारे स्वप्नों का फल हम से कहा, हम में से एक एक के स्वप्न का फल उसने बता दिया।
Aur vahan hamare saath ek ibri javaan tha, jo jalladon ke pradhaan ka daas tha; so ham ne usko bataya, aur usne hamare swapnon ka phal ham se kaha, ham mein se ek ek ke swapn ka phal usne bata diya.
और जैसा जैसा फल उसने हम से कहा था, वैसा ही हुआ भी, अर्थात मुझ को तो मेरा पद फिर मिला, पर वह फांसी पर लटकाया गया।
Aur jaisa jaisa phal usne ham se kaha tha, vaisa hi huaa bhi, arthaat mujh ko to mera pad phir mila, par vah phansi par latkaya gaya.
तब फिरौन ने यूसुफ को बुलवा भेजा। और वह झटपट बन्दीगृह से बाहर निकाला गया, और बाल बनवाकर, और वस्त्र बदलकर फिरौन के साम्हने आया।
Tab Firaun ne Yusuf ko bulva bheja. Aur vah jhatpat bandeegrih se bahar nikala gaya, aur baal banvakar, aur vastra badalkar Firaun ke samhane aaya.
फिरौन ने यूसुफ से कहा, मैं ने एक स्वप्न देखा है, और उसके फल का बताने वाला कोई भी नहीं; और मैं ने तेरे विषय में सुना है, कि तू स्वप्न सुनते ही उसका फल बता सकता है।
Firaun ne Yusuf se kaha, main ne ek swapn dekha hai, aur uske phal ka batane vala koi bhi nahi; aur main ne tere vishay mein suna hai, ki tu swapn sunte hi uska phal bata sakta hai.
यूसुफ ने फिरौन से कहा, मैं तो कुछ नहीं जानता: परमेश्वर ही फिरौन के लिये शुभ वचन देगा।
Yusuf ne Firaun se kaha, main to kuchh nahi janta: Parmeshwar hi Firaun ke liye shubh vachan dega.
फिर फिरौन यूसुफ से कहने लगा, मैं ने अपने स्वप्न में देखा, कि मैं नील नदी के किनारे पर खड़ा हूं
Phir Firaun Yusuf se kahne laga, main ne apne swapn mein dekha, ki main neel nadi ke kinare par khada hoon
फिर, क्या देखा, कि नदी में से सात मोटी और सुन्दर सुन्दर गायें निकल कर कछार की घास चरने लगी।
Phir, kya dekha, ki nadi mein se saat moti aur sundar sundar gayein nikal kar kachhaar ki ghaas charne lagi.
फिर, क्या देखा, कि उनके पीछे सात और गायें निकली, जो दुबली, और बहुत कुरूप, और दुर्बल हैं; मैं ने तो सारे मिस्र देश में ऐसी कुडौल गायें कभी नहीं देखीं।
Phir, kya dekha, ki unke peechhe saat aur gayein nikli, jo dubli, aur bahut kuroop, aur durbal hain; main ne to sare Misr desh mein aisi kudaul gayein kabhi nahi dekhi.
और इन दुर्बल और कुडौल गायों ने उन पहली सातों मोटी मोटी गायों को खा लिया।
Aur in durbal aur kudaul gayon ne un pahli saton moti moti gayon ko kha liya.
और जब वे उन को खा गई तब यह मालूम नहीं होता था कि वे उन को खा गई हैं, क्योंकि वे पहिले की नाईं जैसी की तैसी कुडौल रहीं। तब मैं जाग उठा।
Aur jab ve un ko kha gai tab yah maloom nahi hota tha ki ve un ko kha gai hain, kyonki ve pahile ki nai jaisi ki taisi kudaul rahi. Tab main jaag utha.
फिर मैं ने दूसरा स्वप्न देखा, कि एक ही डंठी में सात अच्छी अच्छी और अन्न से भरी हुई बालें निकलीं।
Phir main ne doosra swapn dekha, ki ek hi danthi mein saat achchhi achchhi aur ann se bhari hui balein nikli.
फिर, क्या देखता हूं, कि उनके पीछे और सात बालें छूछी छूछी और पतली और पुरवाई से मुरझाई हुई निकलीं।
Phir, kya dekhta hoon, ki unke peechhe aur saat balein chhoochhi chhoochhi aur patli aur purvai se murjhai hui nikli.
और इन पतली बालों ने उन सात अच्छी अच्छी बालों को निगल लिया। इसे मैं ने ज्योतिषियों को बताया, पर इस का समझानेहारा कोई नहीं मिला।
Aur in patli balon ne un saat achchhi achchhi balon ko nigal liya. Ise main ne jyotishiyon ko bataya, par is ka samjhanehara koi nahi mila.
तब यूसुफ ने फिरौन से कहा, फिरौन का स्वप्न एक ही है, परमेश्वर जो काम किया चाहता है, उसको उसने फिरौन को जताया है।
Tab Yusuf ne Firaun se kaha, Firaun ka swapn ek hi hai, Parmeshwar jo kaam kiya chahta hai, usko usne Firaun ko jataya hai.
वे सात अच्छी अच्छी गायें सात वर्ष हैं; और वे सात अच्छी अच्छी बालें भी सात वर्ष हैं; स्वप्न एक ही है।
Ve saat achchhi achchhi gayein saat varsh hain; aur ve saat achchhi achchhi balein bhi saat varsh hain; swapn ek hi hai.
फिर उनके पीछे जो दुर्बल और कुडौल गायें निकलीं, और जो सात छूछी और पुरवाई से मुरझाई हुई बालें निकाली, वे अकाल के सात वर्ष होंगे।
Phir unke peechhe jo durbal aur kudaul gayein nikli, aur jo saat chhoochhi aur purvai se murjhai hui balein nikali, ve akaal ke saat varsh honge.
यह वही बात है, जो मैं फिरौन से कह चुका हूं, कि परमेश्वर जो काम किया चाहता है, उसे उसने फिरौन को दिखाया है।
Yah vahi baat hai, jo main Firaun se kah chuka hoon, ki Parmeshwar jo kaam kiya chahta hai, use usne Firaun ko dikhaya hai.
सुन, सारे मिस्र देश में सात वर्ष तो बहुतायत की उपज के होंगे।
Sun, sare Misr desh mein saat varsh to bahutayat ki upaj ke honge.
उनके पश्चात सात वर्ष अकाल के आयेंगे, और सारे मिस्र देश में लोग इस सारी उपज को भूल जायेंगे; और अकाल से देश का नाश होगा।
Unke pashchaat saat varsh akaal ke aayenge, aur sare Misr desh mein log is sari upaj ko bhool jayenge; aur akaal se desh ka naash hoga.
और सुकाल (बहुतायत की उपज) देश में फिर स्मरण न रहेगा क्योंकि अकाल अत्यन्त भयंकर होगा।
Aur sukaal (bahutayat ki upaj) desh mein phir smaran na rahega kyonki akaal atyant bhayankar hoga.
और फिरौन ने जो यह स्वप्न दो बार देखा है इसका भेद यही है, कि यह बात परमेश्वर की ओर से नियुक्त हो चुकी है, और परमेश्वर इसे शीघ्र ही पूरा करेगा।
Aur Firaun ne jo yah swapn do baar dekha hai iska bhed yahi hai, ki yah baat Parmeshwar ki or se niyukt ho chuki hai, aur Parmeshwar ise sheeghra hi poora karega.
इसलिये अब फिरौन किसी समझदार और बुद्धिमान् पुरूष को ढूंढ़ करके उसे मिस्र देश पर प्रधानमंत्री ठहराए।
Isliye ab Firaun kisi samajhdaar aur buddhimaan puroosh ko dhoondh karke use Misr desh par pradhanmantri thahraye.
फिरौन यह करे, कि देश पर अधिकारियों को नियुक्त करे, और जब तक सुकाल के सात वर्ष रहें तब तक वह मिस्र देश की उपज का पंचमांश लिया करे।
Firaun yah kare, ki desh par adhikariyon ko niyukt kare, aur jab tak sukaal ke saat varsh rahein tab tak vah Misr desh ki upaj ka panchmaansh liya kare.
और वे इन अच्छे वर्षों में सब प्रकार की भोजन वस्तु इकट्ठा करें, और नगर नगर में भण्डार घर भोजन के लिये फिरौन के वश में करके उसकी रक्षा करें।
Aur ve in achchhe varshon mein sab prakaar ki bhojan vastu ikattha karein, aur nagar nagar mein bhandaar ghar bhojan ke liye Firaun ke vash mein karke uski raksha karein.
और वह भोजनवस्तु अकाल के उन सात वर्षों के लिये, जो मिस्र देश में आएंगे, देश के भोजन के निमित्त रखी रहे, जिस से देश उस अकाल से सत्यानाश न हो जाए।
Aur vah bhojanvastu akaal ke un saat varshon ke liye, jo Misr desh mein aayenge, desh ke bhojan ke nimitt rakhi rahe, jis se desh us akaal se satyanaash na ho jaye.
यह बात फिरौन और उसके सारे कर्मचारियों को अच्छी लगी।
Yah baat Firaun aur uske sare karmachariyon ko achchhi lagi.
सो फिरौन ने अपने कर्मचारियों से कहा, कि क्या हम को ऐसा पुरूष जैसा यह है, जिस में परमेश्वर का आत्मा रहता है, मिल सकता है?
So Firaun ne apne karmachariyon se kaha, ki kya ham ko aisa puroosh jaisa yah hai, jis mein Parmeshwar ka aatma rahta hai, mil sakta hai?
फिर फिरौन ने यूसुफ से कहा, परमेश्वर ने जो तुझे इतना ज्ञान दिया है, कि तेरे तुल्य कोई समझदार और बुद्धिमान् नहीं;
Phir Firaun ne Yusuf se kaha, Parmeshwar ne jo tujhe itna gyaan diya hai, ki tere tulya koi samajhdaar aur buddhimaan nahi;
इस कारण तू मेरे घर का अधिकारी होगा, और तेरी आज्ञा के अनुसार मेरी सारी प्रजा चलेगी, केवल राजगद्दी के विषय मैं तुझ से बड़ा ठहरूंगा।
Is karan tu mere ghar ka adhikari hoga, aur teri aagya ke anusaar meri sari praja chalegi, keval rajgaddi ke vishay main tujh se bada thahroonga.
फिर फिरौन ने यूसुफ से कहा, सुन, मैं तुझ को मिस्र के सारे देश के ऊपर अधिकारी ठहरा देता हूं
Phir Firaun ne Yusuf se kaha, sun, main tujh ko Misr ke sare desh ke oopar adhikari thahra deta hoon
तब फिरौन ने अपने हाथ से अंगूठी निकाल के यूसुफ के हाथ में पहिना दी; और उसको बढ़िया मलमल के वस्त्र पहिनवा दिए, और उसके गले में सोने की जंजीर डाल दी;
Tab Firaun ne apne haath se angoothi nikaal ke Yusuf ke haath mein pahina di; aur usko badhiya malmal ke vastra pahinva diye, aur uske gale mein sone ki janjeer daal di;
और उसको अपने दूसरे रथ पर चढ़वाया; और लोग उसके आगे आगे यह प्रचार करते चले, कि घुटने टेककर दण्डवत करो और उसने उसको मिस्र के सारे देश के ऊपर प्रधान मंत्री ठहराया।
Aur usko apne doosre rath par chadhvaya; aur log uske aage aage yah prachaar karte chale, ki ghutne tekkar dandavat karo aur usne usko Misr ke sare desh ke oopar pradhaan mantri thahraya.
फिर फिरौन ने यूसुफ से कहा, फिरौन तो मैं हूं, और सारे मिस्र देश में कोई भी तेरी आज्ञा के बिना हाथ पांव न हिलाएगा।
Phir Firaun ne Yusuf se kaha, Firaun to main hoon, aur sare Misr desh mein koi bhi teri aagya ke bina haath paanv na hilayega.
और फिरौन ने यूसुफ का नाम सापन त्पानेह रखा। और ओन नगर के याजक पोतीपेरा की बेटी आसनत से उसका ब्याह करा दिया। और यूसुफ मिस्र के सारे देश में दौरा करने लगा।
Aur Firaun ne Yusuf ka naam sapan tpaneh rakha. Aur on nagar ke yajak poteepera ki beti aasnat se uska byaah kara diya. Aur Yusuf Misr ke sare desh mein daura karne laga.
जब यूसुफ मिस्र के राजा फिरौन के सम्मुख खड़ा हुआ, तब वह तीस वर्ष का था। सो वह फिरौन के सम्मुख से निकलकर मिस्र के सारे देश में दौरा करने लगा।
Jab Yusuf Misr ke raja Firaun ke sammukh khada huaa, tab vah tees varsh ka tha. So vah Firaun ke sammukh se nikalkar Misr ke sare desh mein daura karne laga.
सुकाल के सातों वर्षों में भूमि बहुतायत से अन्न उपजाती रही।
Sukaal ke saton varshon mein bhoomi bahutayat se ann upjati rahi.
और यूसुफ उन सातों वर्षों में सब प्रकार की भोजनवस्तुएं, जो मिस्र देश में होती थीं, जमा करके नगरों में रखता गया, और हर एक नगर के चारों ओर के खेतों की भोजनवस्तुओं को वह उसी नगर में इकट्ठा करता गया।
Aur Yusuf un saton varshon mein sab prakaar ki bhojanvastuein, jo Misr desh mein hoti thi, jama karke nagron mein rakhta gaya, aur har ek nagar ke charon or ke kheton ki bhojanvastuon ko vah usi nagar mein ikattha karta gaya.
सो यूसुफ ने अन्न को समुद्र की बालू के समान अत्यन्त बहुतायत से राशि राशि करके रखा, यहां तक कि उसने उनका गिनना छोड़ दिया; क्योंकि वे असंख्य हो गईं।
So Yusuf ne ann ko samudra ki balu ke samaan atyant bahutayat se rashi rashi karke rakha, yahan tak ki usne unka ginna chhod diya; kyonki ve asankhya ho gai.
अकाल के प्रथम वर्ष के आने से पहिले यूसुफ के दो पुत्र, ओन के याजक पोतीपेरा की बेटी आसनत से जन्मे।
Akaal ke pratham varsh ke aane se pahile Yusuf ke do putra, on ke yajak poteepera ki beti aasnat se janme.
और यूसुफ ने अपने जेठे का नाम यह कहके मनश्शे रखा, कि परमेश्वर ने मुझ से सारा क्लेश, और मेरे पिता का सारा घराना भुला दिया है।
Aur Yusuf ne apne jethe ka naam yah kahke manashshe rakha, ki Parmeshwar ne mujh se sara klesh, aur mere pita ka sara gharana bhula diya hai.
और दूसरे का नाम उसने यह कहकर एप्रैम रखा, कि मुझे दु:ख भोगने के देश में परमेश्वर ने फुलाया फलाया है।
Aur doosre ka naam usne yah kahkar epraim rakha, ki mujhe dukh bhogne ke desh mein Parmeshwar ne phulaya phalaya hai.
और मिस्र देश के सुकाल के वे सात वर्ष समाप्त हो गए।
Aur Misr desh ke sukaal ke ve saat varsh samaapt ho gaye.
और यूसुफ के कहने के अनुसार सात वर्षों के लिये अकाल आरम्भ हो गया। और सब देशों में अकाल पड़ने लगा; परन्तु सारे मिस्र देश में अन्न था।
Aur Yusuf ke kahne ke anusaar saat varshon ke liye akaal aarambh ho gaya. Aur sab deshon mein akaal padne laga; parantu sare Misr desh mein ann tha.
जब मिस्र का सारा देश भूखों मरने लगा; तब प्रजा फिरोन से चिल्ला चिल्लाकर रोटी मांगने लगी: और वह सब मिस्रियों से कहा करता था, यूसुफ के पास जाओ: और जो कुछ वह तुम से कहे, वही करो।
Jab Misr ka sara desh bhookhon marne laga; tab praja phiron se chilla chillakar roti mangne lagi: aur vah sab misriyon se kaha karta tha, Yusuf ke paas jao: aur jo kuchh vah tum se kahe, vahi karo.
सो जब अकाल सारी पृथ्वी पर फैल गया, और मिस्र देश में काल का भयंकर रूप हो गया, तब यूसुफ सब भण्डारों को खोल खोल के मिस्रियों के हाथ अन्न बेचने लगा।
So jab akaal sari prithvi par phail gaya, aur Misr desh mein kaal ka bhayankar roop ho gaya, tab Yusuf sab bhandaron ko khol khol ke misriyon ke haath ann bechne laga.
सो सारी पृथ्वी के लोग मिस्र में अन्न मोल लेने के लिये यूसुफ के पास आने लगे, क्योंकि सारी पृथ्वी पर भयंकर अकाल था।
So sari prithvi ke log Misr mein ann mol lene ke liye Yusuf ke paas aane lage, kyonki sari prithvi par bhayankar akaal tha.