इन बातों के पश्चात ऐसा हुआ के राजा के पिलानेहारे और पकानेहारे ने अपने स्वामी का कुछ अपराध किया।
In baton ke pashchaat aisa huaa ke raja ke pilanehare aur pakanehare ne apne swami ka kuchh apraadh kiya.
Genesis 40 · 23 verses
इन बातों के पश्चात ऐसा हुआ के राजा के पिलानेहारे और पकानेहारे ने अपने स्वामी का कुछ अपराध किया।
In baton ke pashchaat aisa huaa ke raja ke pilanehare aur pakanehare ne apne swami ka kuchh apraadh kiya.
तब फिरौन ने अपने उन दोनो हाकिमों पर, अर्थात पिलानेहारों के प्रधान, अर पकानेहारों के प्रधान पर क्रोधित होकर
Tab Firaun ne apne un dono hakimon par, arthaat pilaneharon ke pradhaan, ar pakaneharon ke pradhaan par krodhit hokar
उन्हें कैद करा के जल्लादों के प्रधान के घर के उसी बन्दीगृह में, जहां युसुफ बन्धुआ था, डलवा दिया।
Unhein kaid kara ke jalladon ke pradhaan ke ghar ke usi bandeegrih mein, jahan yusuph bandhuaa tha, dalva diya.
तब जल्लादों के प्रधान ने उनको यूसुफ के हाथ सौंपा, और वह उनकी सेवा टहल करने लगा: सो वे कुछ दिन तक बन्दीगृह में रहे।
Tab jalladon ke pradhaan ne unko Yusuf ke haath saumpa, aur vah unki seva tahal karne laga: so ve kuchh din tak bandeegrih mein rahe.
और मिस्त्र के राजा का पिलानेहारा और पकानेहारा जो बन्दीगृह में बन्द थे, उन दोनों ने एक ही रात में, अपने होनेहार के अनुसार, स्वपन देखा।
Aur mistra ke raja ka pilanehara aur pakanehara jo bandeegrih mein band the, un donon ne ek hi raat mein, apne honehaar ke anusaar, swapan dekha.
बिहान को जब यूसुफ उनके पास अन्दर गया, तब उन पर दृष्टि की, तो क्या देखा, कि वे उदास हैं।
Bihaan ko jab Yusuf unke paas andar gaya, tab un par drishti ki, to kya dekha, ki ve udaas hain.
सो उसने फिरौन के उन हाकिमों से, जो उसके साथ उसके स्वामी के घर के बन्दीगृह में थे, पूछा, कि आज तुम्हारे मुँह क्यों उदास हैं?
So usne Firaun ke un hakimon se, jo uske saath uske swami ke ghar ke bandeegrih mein the, poochha, ki aaj tumhare munh kyon udaas hain?
उन्होंने उस से कहा, हम दोनो ने स्वपन देखा है, और उनके फल का बताने वाला कोई भी नहीं। यूसुफ ने उनसे कहा, क्या स्वपनों का फल कहना परमेश्वर का काम नहीं? मुझे अपना अपना स्वपन बताओ।
Unhonne us se kaha, ham dono ne swapan dekha hai, aur unke phal ka batane vala koi bhi nahi. Yusuf ne unse kaha, kya swapnon ka phal kahna Parmeshwar ka kaam nahi? Mujhe apna apna swapan batao.
तब पिलानेहारों का प्रधान अपना स्वपन यूसुफ को यों बताने लगा: किमैंने स्वपन में देखा, कि मेरे सामने दाखलता है;
Tab pilaneharon ka pradhaan apna swapan Yusuf ko yon batane laga: kimainne swapan mein dekha, ki mere samne dakhalta hai;
और उस दाखलता में तीन डालियां हैं: और उसमें मानो कलियां लगी हैं, और वे फूलीं और उसके गुच्छों में दाक लगकर पक गई:
Aur us dakhalta mein teen daliyan hain: aur usmein mano kaliyan lagi hain, aur ve phooli aur uske guchchhon mein daak lagkar pak gai:
और फिरौन का कटोरा मेरे हाथ में था: सो मैंने उन दाखों को लेकर फिरौन के कटोरे में निचोड़ा, और कटोरे को फिरौन के हाथ में दिया।
Aur Firaun ka katora mere haath mein tha: so mainne un dakhon ko lekar Firaun ke katore mein nichoda, aur katore ko Firaun ke haath mein diya.
यूसुफ ने उस से कहा, इसका फल यह है; कि तीन डालियों का अर्थ तीन दिन है:
Yusuf ne us se kaha, iska phal yah hai; ki teen daliyon ka arth teen din hai:
सो अब से तीन दिन के भीतर तेरा सर ऊँचा करेगा, और फिर से तेरे पद पर तुझे नियुक्त करेगा, और तू पहले की नाईं फिरौन का पिलानेहारा होकर उसका कटोरा उसके हाथ में फिर दिया करेगा
So ab se teen din ke bheetar tera sar ooncha karega, aur phir se tere pad par tujhe niyukt karega, aur tu pahle ki nai Firaun ka pilanehara hokar uska katora uske haath mein phir diya karega
सो जब तेरा भला हो जाए तब मुझे स्मरण करना, और मुझ पर कृपा करके फिरौन से मेरी चर्चा चलाना, और इस घर से मुझे छुड़वा देना।
So jab tera bhala ho jaye tab mujhe smaran karna, aur mujh par kripa karke Firaun se meri charcha chalana, aur is ghar se mujhe chhudva dena.
क्योंकि सचमुच इब्रानियों के देश से मुझे चुरा कर ले आए हैं, और यहां भी मैंने कोई ऐसा काम नहीं किया, जिसके कारण मैं इस कारागार में डाला जाऊं।
Kyonki sachmuch ibraniyon ke desh se mujhe chura kar le aaye hain, aur yahan bhi mainne koi aisa kaam nahi kiya, jiske karan main is karagaar mein dala jaun.
यह देखकर, कि उसके स्वपन का फल अच्छा निकला, पकानेहारों के प्रधान ने यूसुफ से कहा, मैंने भी स्वपन देखा है, वह यह है: मैंने देखा, कि मेरे सिर पर सफेद रोटी की तीन टोकरियां हैं:
Yah dekhkar, ki uske swapan ka phal achchha nikla, pakaneharon ke pradhaan ne Yusuf se kaha, mainne bhi swapan dekha hai, vah yah hai: mainne dekha, ki mere sir par saphed roti ki teen tokriyan hain:
और ऊपर की टोकरी में फिरौन के लिए सब प्रकार की पकी पकाई वस्तुएं हैं; और पक्षी मेरे सिर पर की टोकरी में से उन वस्तुओं को खा रहे हैं।
Aur oopar ki tokri mein Firaun ke liye sab prakaar ki paki pakai vastuein hain; aur pakshi mere sir par ki tokri mein se un vastuon ko kha rahe hain.
यूसुफ ने कहा, इसका फल यह है; तीन टोकरियों का अर्थ तीन दिन है।
Yusuf ne kaha, iska phal yah hai; teen tokriyon ka arth teen din hai.
सो अब से तीन दिन के भीतर फिरौन तेरा सिर कटवाकर तुझे एक वृक्ष पर टंगवा देगा, और पक्षी तेरे मांस को नोच नोच कर खाएंगे।
So ab se teen din ke bheetar Firaun tera sir katvakar tujhe ek vriksh par tangva dega, aur pakshi tere maans ko noch noch kar khayenge.
और तीसरे दिन फिरौन का जन्मदिन था, उसने अपने सब कर्मचारियों की जेवनार की, और उसने पिलानेहारों के प्रधान, और पकानेहारों के प्रधान दोनों को बन्दीगृह से निकलवाया।
Aur teesre din Firaun ka janmadin tha, usne apne sab karmachariyon ki jevnaar ki, aur usne pilaneharon ke pradhaan, aur pakaneharon ke pradhaan donon ko bandeegrih se nikalvaya.
और पिलानेहारों के प्रधान को तो पिलानेहारे के पद पर फिर से नियुक्त किया, और वह फिरौन के हाथ में कटोरा देने लगा।
Aur pilaneharon ke pradhaan ko to pilanehare ke pad par phir se niyukt kiya, aur vah Firaun ke haath mein katora dene laga.
पर पकानेहारों के प्रधान को उस ने टंगवा दिया, जैसा कि यूसुफ ने उनके स्वपनों का फल उअन्से कहा था।
Par pakaneharon ke pradhaan ko us ne tangva diya, jaisa ki Yusuf ne unke swapnon ka phal uanse kaha tha.
फिर भी पिलानेहारों के प्रधान ने यूसुफ को स्मरण ना रखा; परन्तु उसे भूल गया॥
Phir bhi pilaneharon ke pradhaan ne Yusuf ko smaran na rakha; parantu use bhool gaya.