Genesis 39 · 23 verses

उत्पत्ति 39 Genesis 39 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 39.

1

जब यूसुफ मिस्र में पहुंचाया गया, तब पोतीपर नाम एक मिस्री, जो फिरौन का हाकिम, और जल्लादों का प्रधान था, उसने उसको इश्माएलियों के हाथ, से जो उसे वहां ले गए थे, मोल लिया।

Jab Yusuf Misr mein pahunchaya gaya, tab poteepar naam ek misri, jo Firaun ka hakim, aur jalladon ka pradhaan tha, usne usko ishmayeliyon ke haath, se jo use vahan le gaye the, mol liya.

2

और यूसुफ अपने मिस्री स्वामी के घर में रहता था, और यहोवा उसके संग था; सो वह भाग्यवान पुरूष हो गया।

Aur Yusuf apne misri swami ke ghar mein rahta tha, aur Yahowa uske sang tha; so vah bhagyavaan puroosh ho gaya.

3

और यूसुफ के स्वामी ने देखा, कि यहोवा उसके संग रहता है, और जो काम वह करता है उसको यहोवा उसके हाथ से सफल कर देता है।

Aur Yusuf ke swami ne dekha, ki Yahowa uske sang rahta hai, aur jo kaam vah karta hai usko Yahowa uske haath se saphal kar deta hai.

4

तब उसकी अनुग्रह की दृष्टि उस पर हुई, और वह उसकी सेवा टहल करने के लिये नियुक्त किया गया: फिर उसने उसको अपने घर का अधिकारी बना के अपना सब कुछ उसके हाथ में सौप दिया।

Tab uski anugrah ki drishti us par hui, aur vah uski seva tahal karne ke liye niyukt kiya gaya: phir usne usko apne ghar ka adhikari bana ke apna sab kuchh uske haath mein saup diya.

5

और जब से उसने उसको अपने घर का और अपनी सारी सम्पत्ति का अधिकारी बनाया, तब से यहोवा यूसुफ के कारण उस मिस्री के घर पर आशीष देने लगा; और क्या घर में, क्या मैदान में, उसका जो कुछ था, सब पर यहोवा की आशीष होने लगी।

Aur jab se usne usko apne ghar ka aur apni sari sampatti ka adhikari banaya, tab se Yahowa Yusuf ke karan us misri ke ghar par aasheesh dene laga; aur kya ghar mein, kya maidaan mein, uska jo kuchh tha, sab par Yahowa ki aasheesh hone lagi.

6

सो उसने अपना सब कुछ यूसुफ के हाथ में यहां तक छोड़ दिया: कि अपने खाने की रोटी को छोड़, वह अपनी सम्पत्ति का हाल कुछ न जानता था। और यूसुफ सुन्दर और रूपवान् था।

So usne apna sab kuchh Yusuf ke haath mein yahan tak chhod diya: ki apne khane ki roti ko chhod, vah apni sampatti ka haal kuchh na janta tha. Aur Yusuf sundar aur roopvaan tha.

7

इन बातों के पश्चात ऐसा हुआ, कि उसके स्वामी की पत्नी ने यूसुफ की ओर आंख लगाई; और कहा, मेरे साथ सो।

In baton ke pashchaat aisa huaa, ki uske swami ki patni ne Yusuf ki or aankh lagai; aur kaha, mere saath so.

8

पर उसने अस्वीकार करते हुए अपने स्वामी की पत्नी से कहा, सुन, जो कुछ इस घर में है मेरे हाथ में है; उसे मेरा स्वामी कुछ नहीं जानता, और उसने अपना सब कुछ मेरे हाथ में सौप दिया है।

Par usne asweekaar karte hue apne swami ki patni se kaha, sun, jo kuchh is ghar mein hai mere haath mein hai; use mera swami kuchh nahi janta, aur usne apna sab kuchh mere haath mein saup diya hai.

9

इस घर में मुझ से बड़ा कोई नहीं; और उसने तुझे छोड़, जो उसकी पत्नी है; मुझ से कुछ नहीं रख छोड़ा; सो भला, मैं ऐसी बड़ी दुष्टता करके परमेश्वर का अपराधी क्योंकर बनूं?

Is ghar mein mujh se bada koi nahi; aur usne tujhe chhod, jo uski patni hai; mujh se kuchh nahi rakh chhoda; so bhala, main aisi badi dushtata karke Parmeshwar ka apradhi kyonkar banun?

10

और ऐसा हुआ, कि वह प्रति दिन यूसुफ से बातें करती रही, पर उसने उसकी न मानी, कि उसके पास लेटे वा उसके संग रहे।

Aur aisa huaa, ki vah prati din Yusuf se batein karti rahi, par usne uski na mani, ki uske paas lete va uske sang rahe.

11

एक दिन क्या हुआ, कि यूसुफ अपना काम काज करने के लिये घर में गया, और घर के सेवकों में से कोई भी घर के अन्दर न था।

Ek din kya huaa, ki Yusuf apna kaam kaaj karne ke liye ghar mein gaya, aur ghar ke sevkon mein se koi bhi ghar ke andar na tha.

12

तब उस स्त्री ने उसका वस्त्र पकड़कर कहा, मेरे साथ सो, पर वह अपना वस्त्र उसके हाथ में छोड़कर भागा, और बाहर निकल गया।

Tab us stri ne uska vastra pakadkar kaha, mere saath so, par vah apna vastra uske haath mein chhodkar bhaga, aur bahar nikal gaya.

13

यह देखकर, कि वह अपना वस्त्र मेरे हाथ में छोड़कर बाहर भाग गया,

Yah dekhkar, ki vah apna vastra mere haath mein chhodkar bahar bhaag gaya,

14

उस स्त्री ने अपने घर के सेवकों को बुलाकर कहा, देखो, वह एक इब्री मनुष्य को हमारा तिरस्कार करने के लिये हमारे पास ले आया है। वह तो मेरे साथ सोने के मतलब से मेरे पास अन्दर आया था और मैं ऊंचे स्वर से चिल्ला उठी।

Us stri ne apne ghar ke sevkon ko bulakar kaha, dekho, vah ek ibri manushya ko hamara tiraskaar karne ke liye hamare paas le aaya hai. Vah to mere saath sone ke matlab se mere paas andar aaya tha aur main oonche swar se chilla uthi.

15

और मेरी बड़ी चिल्लाहट सुनकर वह अपना वस्त्र मेरे पास छोड़कर भागा, और बाहर निकल गया।

Aur meri badi chillahat sunkar vah apna vastra mere paas chhodkar bhaga, aur bahar nikal gaya.

16

और वह उसका वस्त्र उसके स्वामी के घर आने तक अपने पास रखे रही।

Aur vah uska vastra uske swami ke ghar aane tak apne paas rakhe rahi.

17

तब उसने उससे इस प्रकार की बातें कहीं, कि वह इब्री दास जिस को तू हमारे पास ले आया है, सो मुझ से हंसी करने के लिये मेरे पास आया था।

Tab usne usse is prakaar ki batein kahi, ki vah ibri daas jis ko tu hamare paas le aaya hai, so mujh se hansi karne ke liye mere paas aaya tha.

18

और जब मैं ऊंचे स्वर से चिल्ला उठी, तब वह अपना वस्त्र मेरे पास छोड़कर बाहर भाग गया।

Aur jab main oonche swar se chilla uthi, tab vah apna vastra mere paas chhodkar bahar bhaag gaya.

19

अपनी पत्नी की ये बातें सुनकर, कि तेरे दास ने मुझ से ऐसा ऐसा काम किया, यूसुफ के स्वामी का कोप भड़का।

Apni patni ki ye batein sunkar, ki tere daas ne mujh se aisa aisa kaam kiya, Yusuf ke swami ka kop bhadka.

20

और यूसुफ के स्वामी ने उसको पकड़कर बन्दीगृह में, जहां राजा के कैदी बन्द थे, डलवा दिया: सो वह उस बन्दीगृह में रहने लगा।

Aur Yusuf ke swami ne usko pakadkar bandeegrih mein, jahan raja ke kaidi band the, dalva diya: so vah us bandeegrih mein rahne laga.

21

पर यहोवा यूसुफ के संग संग रहा, और उस पर करूणा की, और बन्दीगृह के दरोगा के अनुग्रह की दृष्टि उस पर हुई।

Par Yahowa Yusuf ke sang sang raha, aur us par karoona ki, aur bandeegrih ke daroga ke anugrah ki drishti us par hui.

22

सो बन्दीगृह के दरोगा ने उन सब बन्धुओं को, जो कारागार में थे, यूसुफ के हाथ में सौंप दिया; और जो जो काम वे वहां करते थे, वह उसी की आज्ञा से होता था।

So bandeegrih ke daroga ne un sab bandhuon ko, jo karagaar mein the, Yusuf ke haath mein saump diya; aur jo jo kaam ve vahan karte the, vah usi ki aagya se hota tha.

23

बन्दीगृह के दरोगा के वश में जो कुछ था; क्योंकि उस में से उसको कोई भी वस्तु देखनी न पड़ती थी; इसलिये कि यहोवा यूसुफ के साथ था; और जो कुछ वह करता था, यहोवा उसको उस में सफलता देता था।

Bandeegrih ke daroga ke vash mein jo kuchh tha; kyonki us mein se usko koi bhi vastu dekhni na padti thi; isliye ki Yahowa Yusuf ke saath tha; aur jo kuchh vah karta tha, Yahowa usko us mein saphalta deta tha.