Genesis 38 · 30 verses

उत्पत्ति 38 Genesis 38 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 38.

1

उन्हीं दिनों में ऐसा हुआ, कि यहूदा अपने भाईयों के पास से चला गया, और हीरा नाम एक अदुल्लामवासी पुरूष के पास डेरा किया।

Unhi dinon mein aisa huaa, ki Yahuda apne bhaiyon ke paas se chala gaya, aur heera naam ek adullamvasi puroosh ke paas dera kiya.

2

वहां यहूदा ने शूआ नाम एक कनानी पुरूष की बेटी को देखा; और उसको ब्याह कर उसके पास गया।

Vahan Yahuda ne shooaa naam ek kanani puroosh ki beti ko dekha; aur usko byaah kar uske paas gaya.

3

वह गर्भवती हुई, और उसके एक पुत्र उत्पन्न हुआ; और यहूदा ने उसका नाम एर रखा।

Vah garbhavti hui, aur uske ek putra utpann huaa; aur Yahuda ne uska naam er rakha.

4

और वह फिर गर्भवती हुई, और उसके एक पुत्र उत्पन्न हुआ; और उसका नाम ओनान रखा गया।

Aur vah phir garbhavti hui, aur uske ek putra utpann huaa; aur uska naam onaan rakha gaya.

5

फिर उसके एक पुत्र और उत्पन्न हुआ, और उसका नाम शेला रखा गया: और जिस समय इसका जन्म हुआ उस समय यहूदा कजीब में रहता था।

Phir uske ek putra aur utpann huaa, aur uska naam shela rakha gaya: aur jis samay iska janm huaa us samay Yahuda kajeeb mein rahta tha.

6

और यहूदा ने तामार नाम एक स्त्री से अपने जेठे एर का विवाह कर दिया।

Aur Yahuda ne tamaar naam ek stri se apne jethe er ka vivaah kar diya.

7

परन्तु यहूदा का वह जेठा एर यहोवा के लेखे में दुष्ट था, इसलिये यहोवा ने उसको मार डाला।

Parantu Yahuda ka vah jetha er Yahowa ke lekhe mein dusht tha, isliye Yahowa ne usko maar dala.

8

तब यहूदा ने ओनान से कहा, अपनी भौजाई के पास जा, और उसके साथ देवर का धर्म पूरा करके अपने भाई के लिये सन्तान उत्पन्न कर।

Tab Yahuda ne onaan se kaha, apni bhaujai ke paas ja, aur uske saath devar ka dharm poora karke apne bhai ke liye santaan utpann kar.

9

ओनान तो जानता था कि सन्तान तो मेरी न ठहरेगी: सो ऐसा हुआ, कि जब वह अपनी भौजाई के पास गया, तब उसने भूमि पर वीर्य गिराकर नाश किया, जिस से ऐसा न हो कि उसके भाई के नाम से वंश चले।

Onaan to janta tha ki santaan to meri na thahregi: so aisa huaa, ki jab vah apni bhaujai ke paas gaya, tab usne bhoomi par veerya girakar naash kiya, jis se aisa na ho ki uske bhai ke naam se vansh chale.

10

यह काम जो उसने किया उसे यहोवा अप्रसन्न हुआ: और उसने उसको भी मार डाला।

Yah kaam jo usne kiya use Yahowa aprasann huaa: aur usne usko bhi maar dala.

11

तब यहूदा ने इस डर के मारे, कि कहीं ऐसा न हो कि अपने भाइयों की नाईं शेला भी मरे, अपनी बहू तामार से कहा, जब तक मेरा पुत्र शेला सियाना न हो तब तक अपने पिता के घर में विधवा की बैठी रह, सो तामार अपने पिता के घर में जा कर रहने लगी।

Tab Yahuda ne is dar ke mare, ki kahi aisa na ho ki apne bhaiyon ki nai shela bhi mare, apni bahu tamaar se kaha, jab tak mera putra shela siyana na ho tab tak apne pita ke ghar mein vidhva ki baithi rah, so tamaar apne pita ke ghar mein ja kar rahne lagi.

12

बहुत समय के बीतने पर यहूदा की पत्नी जो शूआ की बेटी थी सो मर गई; फिर यहूदा शोक से छूटकर अपने मित्र हीरा अदुल्लामवासी समेत अपनी भेड़-बकरियों का ऊन कतराने के लिये तिम्नाथ को गया।

Bahut samay ke beetne par Yahuda ki patni jo shooaa ki beti thi so mar gai; phir Yahuda shok se chhootkar apne mitra heera adullamvasi samet apni bhed-bakriyon ka oon katrane ke liye timnaath ko gaya.

13

और तामार को यह समाचार मिला, कि तेरा ससुर अपनी भेड़-बकरियों का ऊन कतराने के लिये तिम्नाथ को जा रहा है।

Aur tamaar ko yah samachaar mila, ki tera sasur apni bhed-bakriyon ka oon katrane ke liye timnaath ko ja raha hai.

14

तब उसने यह सोच कर, कि शेला सियाना तो हो गया पर मैं उसकी स्त्री नहीं होने पाई; अपना विधवापन का पहिरावा उतारा, और घूंघट डाल कर अपने को ढांप लिया, और एनैम नगर के फाटक के पास, जो तिम्नाथ के मार्ग में है, जा बैठी:

Tab usne yah soch kar, ki shela siyana to ho gaya par main uski stri nahi hone pai; apna vidhvapan ka pahirava utara, aur ghoonghat daal kar apne ko dhaamp liya, aur enaim nagar ke phatak ke paas, jo timnaath ke maarg mein hai, ja baithi:

15

जब यहूदा ने उसको देखा, उसने उसको वेश्या समझा; क्योंकि वह अपना मुंह ढापे हुए थी।

Jab Yahuda ne usko dekha, usne usko veshya samjha; kyonki vah apna munh dhape hue thi.

16

और वह मार्ग से उसकी ओर फिरा और उससे कहने लगा, मुझे अपने पास आने दे, (क्योंकि उसे यह मालूम न था कि वह उसकी बहू है)। और वह कहने लगी, कि यदि मैं तुझे अपने पास आने दूं, तो तू मुझे क्या देगा?

Aur vah maarg se uski or phira aur usse kahne laga, mujhe apne paas aane de, (kyonki use yah maloom na tha ki vah uski bahu hai). Aur vah kahne lagi, ki yadi main tujhe apne paas aane dun, to tu mujhe kya dega?

17

उसने कहा, मैं अपनी बकरियों में से बकरी का एक बच्चा तेरे पास भेज दूंगा। तब उसने कहा, भला उस के भेजने तक क्या तू हमारे पास कुछ रेहन रख जाएगा?

Usne kaha, main apni bakriyon mein se bakri ka ek bachcha tere paas bhej doonga. Tab usne kaha, bhala us ke bhejne tak kya tu hamare paas kuchh rehan rakh jayega?

18

उस ने पूछा, मैं तेरे पास क्या रेहन रख जाऊं? उस ने कहा, अपनी मुहर, और बाजूबन्द, और अपने हाथ की छड़ी। तब उसने उसको वे वस्तुएं दे दीं, और उसके पास गया, और वह उससे गर्भवती हुई।

Us ne poochha, main tere paas kya rehan rakh jaun? Us ne kaha, apni muhar, aur bajooband, aur apne haath ki chhadi. Tab usne usko ve vastuein de di, aur uske paas gaya, aur vah usse garbhavti hui.

19

तब वह उठ कर चली गई, और अपना घूंघट उतार के अपना विधवापन का पहिरावा फिर पहिन लिया।

Tab vah uth kar chali gai, aur apna ghoonghat utaar ke apna vidhvapan ka pahirava phir pahin liya.

20

तब यहूदा ने बकरी का बच्चा अपने मित्र उस अदुल्लामवासी के हाथ भेज दिया, कि वह रेहन रखी हुई वस्तुएं उस स्त्री के हाथ से छुड़ा ले आए; पर वह स्त्री उसको न मिली।

Tab Yahuda ne bakri ka bachcha apne mitra us adullamvasi ke haath bhej diya, ki vah rehan rakhi hui vastuein us stri ke haath se chhuda le aaye; par vah stri usko na mili.

21

तब उसने वहां के लोगों से पूछा, कि वह देवदासी जो एनैम में मार्ग की एक और बैठी थी, कहां है? उन्होंने कहा, यहां तो कोई देवदासी न थी।

Tab usne vahan ke logon se poochha, ki vah devdasi jo enaim mein maarg ki ek aur baithi thi, kahan hai? Unhonne kaha, yahan to koi devdasi na thi.

22

सो उसने यहूदा के पास लौट के कहा, मुझे वह नहीं मिली; और उस स्थान के लोगों ने कहा, कि यहां तो कोई देवदासी न थी।

So usne Yahuda ke paas laut ke kaha, mujhe vah nahi mili; aur us sthaan ke logon ne kaha, ki yahan to koi devdasi na thi.

23

तब यहूदा ने कहा, अच्छा, वह बन्धक उस के पास रहने दे, नहीं तो हम लोग तुच्छ गिने जाएंगे: देख, मैं ने बकरी का यह बच्चा भेज दिया, पर वह तुझे नहीं मिली।

Tab Yahuda ne kaha, achchha, vah bandhak us ke paas rahne de, nahi to ham log tuchchh gine jayenge: dekh, main ne bakri ka yah bachcha bhej diya, par vah tujhe nahi mili.

24

और तीन महीने के पीछे यहूदा को यह समाचार मिला, कि तेरी बहू तामार ने व्यभिचार किया है; वरन वह व्यभिचार से गर्भवती भी हो गई है। तब यहूदा ने कहा, उसको बाहर ले आओ, कि वह जलाई जाए।

Aur teen maheene ke peechhe Yahuda ko yah samachaar mila, ki teri bahu tamaar ne vyabhichaar kiya hai; varan vah vyabhichaar se garbhavti bhi ho gai hai. Tab Yahuda ne kaha, usko bahar le aao, ki vah jalai jaye.

25

जब उसे बाहर निकाल रहे थे, तब उसने, अपने ससुर के पास यह कहला भेजा, कि जिस पुरूष की ये वस्तुएं हैं, उसी से मैं गर्भवती हूं; फिर उसने यह भी कहलाया, कि पहिचान तो सही, कि यह मुहर, और बाजूबन्द, और छड़ी किस की है।

Jab use bahar nikaal rahe the, tab usne, apne sasur ke paas yah kahla bheja, ki jis puroosh ki ye vastuein hain, usi se main garbhavti hoon; phir usne yah bhi kahlaya, ki pahichaan to sahi, ki yah muhar, aur bajooband, aur chhadi kis ki hai.

26

यहूदा ने उन्हें पहिचान कर कहा, वह तो मुझ से कम दोषी है; क्योंकि मैं ने उसे अपने पुत्र शेला को न ब्याह दिया। और उसने उससे फिर कभी प्रसंग न किया।

Yahuda ne unhein pahichaan kar kaha, vah to mujh se kam doshi hai; kyonki main ne use apne putra shela ko na byaah diya. Aur usne usse phir kabhi prasang na kiya.

27

जब उसके जनने का समय आया, तब यह जान पड़ा कि उसके गर्भ में जुड़वे बच्चे हैं।

Jab uske janne ka samay aaya, tab yah jaan pada ki uske garbh mein judve bachche hain.

28

और जब वह जनने लगी तब एक बालक ने अपना हाथ बढ़ाया: और धाय ने लाल सूत ले कर उसके हाथ में यह कहते हुथे बान्ध दिया, कि पहिले यही उत्पन्न हुआ।

Aur jab vah janne lagi tab ek balak ne apna haath badhaya: aur dhaay ne laal soot le kar uske haath mein yah kahte huthe baandh diya, ki pahile yahi utpann huaa.

29

जब उसने हाथ समेट लिया, तब उसका भाई उत्पन्न हो गया: तब उस धाय ने कहा, तू क्यों बरबस निकल आया है? इसलिये उसका नाम पेरेस रखा गया।

Jab usne haath samet liya, tab uska bhai utpann ho gaya: tab us dhaay ne kaha, tu kyon barbas nikal aaya hai? Isliye uska naam peres rakha gaya.

30

पीछे उसका भाई जिसके हाथ में लाल सूत बन्धा था उत्पन्न हुआ, और उसका नाम जेरह रखा गया॥

Peechhe uska bhai jiske haath mein laal soot bandha tha utpann huaa, aur uska naam jerah rakha gaya.