याकूब तो कनान देश में रहता था, जहां उसका पिता परदेशी हो कर रहा था।
Yakub to kanaan desh mein rahta tha, jahan uska pita pardeshi ho kar raha tha.
Genesis 37 · 36 verses
याकूब तो कनान देश में रहता था, जहां उसका पिता परदेशी हो कर रहा था।
Yakub to kanaan desh mein rahta tha, jahan uska pita pardeshi ho kar raha tha.
और याकूब के वंश का वृत्तान्त यह है: कि यूसुफ सतरह वर्ष का हो कर भाइयों के संग भेड़-बकरियों को चराता था; और वह लड़का अपने पिता की पत्नी बिल्हा, और जिल्पा के पुत्रों के संग रहा करता था: और उनकी बुराइयों का समाचार अपने पिता के पास पहुंचाया करता था:
Aur Yakub ke vansh ka vrittaant yah hai: ki Yusuf satrah varsh ka ho kar bhaiyon ke sang bhed-bakriyon ko charata tha; aur vah ladka apne pita ki patni bilha, aur jilpa ke putron ke sang raha karta tha: aur unki buraiyon ka samachaar apne pita ke paas pahunchaya karta tha:
और इस्राएल अपने सब पुत्रों से बढ़के यूसुफ से प्रीति रखता था, क्योंकि वह उसके बुढ़ापे का पुत्र था: और उसने उसके लिये रंग बिरंगा अंगरखा बनवाया।
Aur Israel apne sab putron se badhke Yusuf se preeti rakhta tha, kyonki vah uske budhape ka putra tha: aur usne uske liye rang biranga angarkha banvaya.
सो जब उसके भाईयों ने देखा, कि हमारा पिता हम सब भाइयों से अधिक उसी से प्रीति रखता है, तब वे उससे बैर करने लगे और उसके साथ ठीक तौर से बात भी नहीं करते थे।
So jab uske bhaiyon ne dekha, ki hamara pita ham sab bhaiyon se adhik usi se preeti rakhta hai, tab ve usse bair karne lage aur uske saath theek taur se baat bhi nahi karte the.
और यूसुफ ने एक स्वप्न देखा, और अपने भाइयों से उसका वर्णन किया: तब वे उससे और भी द्वेष करने लगे।
Aur Yusuf ne ek swapn dekha, aur apne bhaiyon se uska varnan kiya: tab ve usse aur bhi dwesh karne lage.
और उसने उन से कहा, जो स्वप्न मैं ने देखा है, सो सुनो:
Aur usne un se kaha, jo swapn main ne dekha hai, so suno:
हम लोग खेत में पूले बान्ध रहे हैं, और क्या देखता हूं कि मेरा पूला उठ कर सीधा खड़ा हो गया; तब तुम्हारे पूलों ने मेरे पूले को चारों तरफ से घेर लिया और उसे दण्डवत किया।
Ham log khet mein poole baandh rahe hain, aur kya dekhta hoon ki mera poola uth kar seedha khada ho gaya; tab tumhare poolon ne mere poole ko charon taraph se gher liya aur use dandavat kiya.
तब उसके भाइयों ने उससे कहा, क्या सचमुच तू हमारे ऊपर राज्य करेगा? वा सचमुच तू हम पर प्रभुता करेगा? सो वे उसके स्वप्नों और उसकी बातों के कारण उससे और भी अधिक बैर करने लगे।
Tab uske bhaiyon ne usse kaha, kya sachmuch tu hamare oopar rajya karega? Va sachmuch tu ham par prabhuta karega? So ve uske swapnon aur uski baton ke karan usse aur bhi adhik bair karne lage.
फिर उसने एक और स्वप्न देखा, और अपने भाइयों से उसका भी यों वर्णन किया, कि सुनो, मैं ने एक और स्वप्न देखा है, कि सूर्य और चन्द्रमा, और ग्यारह तारे मुझे दण्डवत कर रहे हैं।
Phir usne ek aur swapn dekha, aur apne bhaiyon se uska bhi yon varnan kiya, ki suno, main ne ek aur swapn dekha hai, ki soorya aur chandrama, aur gyarah tare mujhe dandavat kar rahe hain.
यह स्वप्न उसने अपने पिता, और भाइयों से वर्णन किया: तब उसके पिता ने उसको दपट के कहा, यह कैसा स्वप्न है जो तू ने देखा है? क्या सचमुच मैं और तेरी माता और तेरे भाई सब जा कर तेरे आगे भूमि पर गिरके दण्डवत करेंगे?
Yah swapn usne apne pita, aur bhaiyon se varnan kiya: tab uske pita ne usko dapat ke kaha, yah kaisa swapn hai jo tu ne dekha hai? Kya sachmuch main aur teri mata aur tere bhai sab ja kar tere aage bhoomi par girke dandavat karenge?
उसके भाई तो उससे डाह करते थे; पर उसके पिता ने उसके उस वचन को स्मरण रखा।
Uske bhai to usse daah karte the; par uske pita ne uske us vachan ko smaran rakha.
और उसके भाई अपने पिता की भेड़-बकरियों को चराने के लिये शकेम को गए।
Aur uske bhai apne pita ki bhed-bakriyon ko charane ke liye shakem ko gaye.
तब इस्राएल ने यूसुफ से कहा, तेरे भाई तो शकेम ही में भेड़-बकरी चरा रहें होंगे, सो जा, मैं तुझे उनके पास भेजता हूं। उसने उससे कहा जो आज्ञा मैं हाजिर हूं।
Tab Israel ne Yusuf se kaha, tere bhai to shakem hi mein bhed-bakri chara rahein honge, so ja, main tujhe unke paas bhejta hoon. Usne usse kaha jo aagya main hajir hoon.
उसने उससे कहा, जा, अपने भाइयों और भेड़-बकरियों का हाल देख आ कि वे कुशल से तो हैं, फिर मेरे पास समाचार ले आ। सो उसने उसको हेब्रोन की तराई में विदा कर दिया, और वह शकेम में आया।
Usne usse kaha, ja, apne bhaiyon aur bhed-bakriyon ka haal dekh aa ki ve kushal se to hain, phir mere paas samachaar le aa. So usne usko hebron ki tarai mein vida kar diya, aur vah shakem mein aaya.
और किसी मनुष्य ने उसको मैदान में इधर उधर भटकते हुए पाकर उससे पूछा, तू क्या ढूंढता है?
Aur kisi manushya ne usko maidaan mein idhar udhar bhatakte hue pakar usse poochha, tu kya dhoondhta hai?
उसने कहा, मैं तो अपने भाइयों को ढूंढता हूं: कृपा कर मुझे बता, कि वे भेड़-बकरियों को कहां चरा रहे हैं?
Usne kaha, main to apne bhaiyon ko dhoondhta hoon: kripa kar mujhe bata, ki ve bhed-bakriyon ko kahan chara rahe hain?
उस मनुष्य ने कहा, वे तो यहां से चले गए हैं: और मैं ने उन को यह कहते सुना, कि आओ, हम दोतान को चलें। सो यूसुफ अपने भाइयों के पास चला, और उन्हें दोतान में पाया।
Us manushya ne kaha, ve to yahan se chale gaye hain: aur main ne un ko yah kahte suna, ki aao, ham dotaan ko chalein. So Yusuf apne bhaiyon ke paas chala, aur unhein dotaan mein paya.
और ज्योंही उन्होंने उसे दूर से आते देखा, तो उसके निकट आने के पहिले ही उसे मार डालने की युक्ति की।
Aur jyonhi unhonne use door se aate dekha, to uske nikat aane ke pahile hi use maar dalne ki yukti ki.
और वे आपस में कहने लगे, देखो, वह स्वप्न देखनेहारा आ रहा है।
Aur ve aapas mein kahne lage, dekho, vah swapn dekhnehara aa raha hai.
सो आओ, हम उसको घात करके किसी गड़हे में डाल दें, और यह कह देंगे, कि कोई दुष्ट पशु उसको खा गया। फिर हम देखेंगे कि उसके स्वप्नों का क्या फल होगा।
So aao, ham usko ghaat karke kisi gadhe mein daal dein, aur yah kah denge, ki koi dusht pashu usko kha gaya. Phir ham dekhenge ki uske swapnon ka kya phal hoga.
यह सुनके रूबेन ने उसको उनके हाथ से बचाने की मनसा से कहा, हम उसको प्राण से तो न मारें।
Yah sunke rooben ne usko unke haath se bachane ki mansa se kaha, ham usko praan se to na marein.
फिर रूबेन ने उन से कहा, लोहू मत बहाओ, उसको जंगल के इस गड़हे में डाल दो, और उस पर हाथ मत उठाओ। वह उसको उनके हाथ से छुड़ाकर पिता के पास फिर पहुंचाना चाहता था।
Phir rooben ne un se kaha, lohu mat bahao, usko jangal ke is gadhe mein daal do, aur us par haath mat uthao. Vah usko unke haath se chhudakar pita ke paas phir pahunchana chahta tha.
सो ऐसा हुआ, कि जब यूसुफ अपने भाइयों के पास पहुंचा तब उन्हों ने उसका रंगबिरंगा अंगरखा, जिसे वह पहिने हुए था, उतार लिया।
So aisa huaa, ki jab Yusuf apne bhaiyon ke paas pahuncha tab unhon ne uska rangbiranga angarkha, jise vah pahine hue tha, utaar liya.
और यूसुफ को उठा कर गड़हे में डाल दिया: वह गड़हा तो सूखा था और उस में कुछ जल न था।
Aur Yusuf ko utha kar gadhe mein daal diya: vah gadha to sookha tha aur us mein kuchh jal na tha.
तब वे रोटी खाने को बैठ गए: और आंखे उठा कर क्या देखा, कि इश्माएलियों का एक दल ऊंटो पर सुगन्धद्रव्य, बलसान, और गन्धरस लादे हुए, गिलाद से मिस्र को चला जा रहा है।
Tab ve roti khane ko baith gaye: aur aankhe utha kar kya dekha, ki ishmayeliyon ka ek dal oonto par sugandhadravya, balsaan, aur gandharas lade hue, gilaad se Misr ko chala ja raha hai.
तब यहूदा ने अपने भाइयों से कहा, अपने भाई को घात करने और उसका खून छिपाने से क्या लाभ होगा?
Tab Yahuda ne apne bhaiyon se kaha, apne bhai ko ghaat karne aur uska khoon chhipane se kya laabh hoga?
आओ, हम उसे इश्माएलियों के हाथ बेच डालें, और अपना हाथ उस पर न उठाएं, क्योंकि वह हमारा भाई और हमारी हड्डी और मांस है, सो उसके भाइयों ने उसकी बात मान ली। तब मिद्यानी व्यापारी उधर से होकर उनके पास पहुंचे:
Aao, ham use ishmayeliyon ke haath bech dalein, aur apna haath us par na uthayen, kyonki vah hamara bhai aur hamari haddi aur maans hai, so uske bhaiyon ne uski baat maan li. Tab midyani vyapari udhar se hokar unke paas pahunche:
सो यूसुफ के भाइयों ने उसको उस गड़हे में से खींच के बाहर निकाला, और इश्माएलियों के हाथ चांदी के बीस टुकड़ों में बेच दिया: और वे यूसुफ को मिस्र में ले गए।
So Yusuf ke bhaiyon ne usko us gadhe mein se kheench ke bahar nikala, aur ishmayeliyon ke haath chandi ke bees tukdon mein bech diya: aur ve Yusuf ko Misr mein le gaye.
और रूबेन ने गड़हे पर लौटकर क्या देखा, कि यूसुफ गड़हे में नहीं हैं; सो उसने अपने वस्त्र फाड़े।
Aur rooben ne gadhe par lautkar kya dekha, ki Yusuf gadhe mein nahi hain; so usne apne vastra phade.
और अपने भाइयों के पास लौटकर कहने लगा, कि लड़का तो नहीं हैं; अब मैं किधर जाऊं?
Aur apne bhaiyon ke paas lautkar kahne laga, ki ladka to nahi hain; ab main kidhar jaun?
और तब उन्होंने यूसुफ का अंगरखा लिया, और एक बकरे को मार के उसके लोहू में उसे डुबा दिया।
Aur tab unhonne Yusuf ka angarkha liya, aur ek bakre ko maar ke uske lohu mein use duba diya.
और उन्होंने उस रंग बिरंगे अंगरखे को अपने पिता के पास भेज कर कहला दिया; कि यह हम को मिला है, सो देखकर पहिचान ले, कि यह तेरे पुत्र का अंगरखा है कि नहीं।
Aur unhonne us rang birange angarkhe ko apne pita ke paas bhej kar kahla diya; ki yah ham ko mila hai, so dekhkar pahichaan le, ki yah tere putra ka angarkha hai ki nahi.
उसने उसको पहिचान लिया, और कहा, हां यह मेरे ही पुत्र का अंगरखा है; किसी दुष्ट पशु ने उसको खा लिया है; नि:सन्देह यूसुफ फाड़ डाला गया है।
Usne usko pahichaan liya, aur kaha, han yah mere hi putra ka angarkha hai; kisi dusht pashu ne usko kha liya hai; nisandeh Yusuf phaad dala gaya hai.
तब याकूब ने अपने वस्त्र फाड़े और कमर में टाट लपेटा, और अपने पुत्र के लिये बहुत दिनों तक विलाप करता रहा।
Tab Yakub ne apne vastra phade aur kamar mein taat lapeta, aur apne putra ke liye bahut dinon tak vilaap karta raha.
और उसके सब बेटे-बेटियों ने उसको शान्ति देने का यत्न किया; पर उसको शान्ति न मिली; और वह यही कहता रहा, मैं तो विलाप करता हुआ अपने पुत्र के पास अधोलोक में उतर जाऊंगा। इस प्रकार उसका पिता उसके लिये रोता ही रहा।
Aur uske sab bete-betiyon ne usko shanti dene ka yatn kiya; par usko shanti na mili; aur vah yahi kahta raha, main to vilaap karta huaa apne putra ke paas adholok mein utar jaoonga. Is prakaar uska pita uske liye rota hi raha.
और मिद्यानियों ने यूसुफ को मिस्र में ले जा कर पोतीपर नाम, फिरौन के एक हाकिम, और जल्लादों के प्रधान, के हाथ बेच डाला॥
Aur midyaniyon ne Yusuf ko Misr mein le ja kar poteepar naam, Firaun ke ek hakim, aur jalladon ke pradhaan, ke haath bech dala.