Genesis 33 · 20 verses

उत्पत्ति 33 Genesis 33 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 33.

1

और याकूब ने आंखें उठा कर यह देखा, कि ऐसाव चार सौ पुरूष संग लिये हुए चला जाता है। तब उसने लड़के बालों को अलग अलग बांट कर लिआ, और राहेल, और दोनों लौंडियों को सौंप दिया।

Aur Yakub ne aankhein utha kar yah dekha, ki aisaav chaar sau puroosh sang liye hue chala jata hai. Tab usne ladke balon ko alag alag baant kar liaa, aur rahel, aur donon laundiyon ko saump diya.

2

और उसने सब के आगे लड़कों समेत लौंडियों को उसके पीछे लड़कों समेत लिआ: को, और सब के पीछे राहेल और यूसुफ को रखा,

Aur usne sab ke aage ladkon samet laundiyon ko uske peechhe ladkon samet liaa: ko, aur sab ke peechhe rahel aur Yusuf ko rakha,

3

और आप उन सब के आगे बढ़ा, और सात बार भूमि पर गिर के दण्डवत की, और अपने भाई के पास पहुंचा।

Aur aap un sab ke aage badha, aur saat baar bhoomi par gir ke dandavat ki, aur apne bhai ke paas pahuncha.

4

तब ऐसाव उससे भेंट करने को दौड़ा, और उसको हृदय से लगा कर, गले से लिपट कर चूमा: फिर वे दोनों रो पड़े।

Tab aisaav usse bhent karne ko dauda, aur usko hriday se laga kar, gale se lipat kar chooma: phir ve donon ro pade.

5

तब उसने आंखे उठा कर स्त्रियों और लड़के बालों को देखा; और पूछा, ये जो तेरे साथ हैं सो कौन हैं? उसने कहा, ये तेरे दास के लड़के हैं, जिन्हें परमेश्वर ने अनुग्रह कर के मुझ को दिया है।

Tab usne aankhe utha kar striyon aur ladke balon ko dekha; aur poochha, ye jo tere saath hain so kaun hain? Usne kaha, ye tere daas ke ladke hain, jinhein Parmeshwar ne anugrah kar ke mujh ko diya hai.

6

तब लड़कों समेत लौंडियों ने निकट आकर दण्डवत की।

Tab ladkon samet laundiyon ne nikat aakar dandavat ki.

7

फिर लड़कों समेत लिआ: निकट आई, और उन्होंने भी दण्डवत की: पीछे यूसुफ और राहेल ने भी निकट आकर दण्डवत की।

Phir ladkon samet liaa: nikat aai, aur unhonne bhi dandavat ki: peechhe Yusuf aur rahel ne bhi nikat aakar dandavat ki.

8

तब उसने पूछा, तेरा यह बड़ा दल जो मुझ को मिला, उसका क्या प्रयोजन है? उसने कहा, यह कि मेरे प्रभु की अनुग्रह की दृष्टि मुझ पर हो।

Tab usne poochha, tera yah bada dal jo mujh ko mila, uska kya prayojan hai? Usne kaha, yah ki mere Prabhu ki anugrah ki drishti mujh par ho.

9

ऐसाव ने कहा, हे मेरे भाई, मेरे पास तो बहुत है; जो कुछ तेरा है सो तेरा ही रहे।

Aisaav ne kaha, he mere bhai, mere paas to bahut hai; jo kuchh tera hai so tera hi rahe.

10

याकूब ने कहा, नहीं नहीं, यदि तेरा अनुग्रह मुझ पर हो, तो मेरी भेंट ग्रहण कर: क्योंकि मैं ने तेरा दर्शन पाकर, मानो परमेश्वर का दर्शन पाया है, और तू मुझ से प्रसन्न हुआ है।

Yakub ne kaha, nahi nahi, yadi tera anugrah mujh par ho, to meri bhent grahan kar: kyonki main ne tera darshan pakar, mano Parmeshwar ka darshan paya hai, aur tu mujh se prasann huaa hai.

11

सो यह भेंट, जो तुझे भेजी गई है, ग्रहण कर: क्योंकि परमेश्वर ने मुझ पर अनुग्रह किया है, और मेरे पास बहुत है। जब उसने उस को दबाया, तब उस ने भेंट को ग्रहण किया।

So yah bhent, jo tujhe bheji gai hai, grahan kar: kyonki Parmeshwar ne mujh par anugrah kiya hai, aur mere paas bahut hai. Jab usne us ko dabaya, tab us ne bhent ko grahan kiya.

12

फिर ऐसाव ने कहा, आ, हम बढ़ चलें: और मैं तेरे आगे आगे चलूंगा।

Phir aisaav ne kaha, aa, ham badh chalein: aur main tere aage aage chaloonga.

13

याकूब ने कहा, हे मेरे प्रभु, तू जानता ही है कि मेरे साथ सुकुमार लड़के, और दूध देने हारी भेड़-बकरियां और गायें है; यदि ऐसे पशु एक दिन भी अधिक हांके जाएं, तो सब के सब मर जाएंगे।

Yakub ne kaha, he mere Prabhu, tu janta hi hai ki mere saath sukumaar ladke, aur doodh dene hari bhed-bakriyan aur gayein hai; yadi aise pashu ek din bhi adhik hanke jayen, to sab ke sab mar jayenge.

14

सो मेरा प्रभु अपने दास के आगे बढ़ जाए, और मैं इन पशुओं की गति के अनुसार, जो मेरे आगे है, और लड़के बालों की गति के अनुसार धीरे धीरे चल कर सेईर में अपने प्रभु के पास पहुंचूंगा।

So mera Prabhu apne daas ke aage badh jaye, aur main in pashuon ki gati ke anusaar, jo mere aage hai, aur ladke balon ki gati ke anusaar dheere dheere chal kar seir mein apne Prabhu ke paas pahunchoonga.

15

ऐसाव ने कहा, तो अपने संग वालों में से मैं कई एक तेरे साथ छोड़ जाऊं। उसने कहा, यह क्यों? इतना ही बहुत है, कि मेरे प्रभु की अनुग्रह की दृष्टि मुझ पर बनी रहे।

Aisaav ne kaha, to apne sang valon mein se main kai ek tere saath chhod jaun. Usne kaha, yah kyon? Itna hi bahut hai, ki mere Prabhu ki anugrah ki drishti mujh par bani rahe.

16

तब ऐसाव ने उसी दिन सेईर जाने को अपना मार्ग लिया।

Tab aisaav ne usi din seir jane ko apna maarg liya.

17

और याकूब वहां से कूच कर के सुक्कोत को गया, और वहां अपने लिये एक घर, और पशुओं के लिये झोंपड़े बनाए: इसी कारण उस स्थान का नाम सुक्कोत पड़ा॥

Aur Yakub vahan se kooch kar ke sukkot ko gaya, aur vahan apne liye ek ghar, aur pashuon ke liye jhompde banaye: isi karan us sthaan ka naam sukkot pada.

18

और याकूब जो पद्दनराम से आया था, सो कनान देश के शकेम नगर के पास कुशल क्षेम से पहुंच कर नगर के साम्हने डेरे खड़े किए।

Aur Yakub jo paddanraam se aaya tha, so kanaan desh ke shakem nagar ke paas kushal kshem se pahunch kar nagar ke samhane dere khade kiye.

19

और भूमि के जिस खण्ड पर उसने अपना तम्बू खड़ा किया, उसको उसने शकेम के पिता हमोर के पुत्रों के हाथ से एक सौ कसीतों में मोल लिया।

Aur bhoomi ke jis khand par usne apna tambu khada kiya, usko usne shakem ke pita hamor ke putron ke haath se ek sau kaseeton mein mol liya.

20

और वहां उसने एक वेदी बना कर उसका नाम एलेलोहे इस्राएल रखा॥

Aur vahan usne ek vedi bana kar uska naam elelohe Israel rakha.