और याकूब ने भी अपना मार्ग लिया और परमेश्वर के दूत उसे आ मिले।
Aur Yakub ne bhi apna maarg liya aur Parmeshwar ke doot use aa mile.
Genesis 32 · 32 verses
और याकूब ने भी अपना मार्ग लिया और परमेश्वर के दूत उसे आ मिले।
Aur Yakub ne bhi apna maarg liya aur Parmeshwar ke doot use aa mile.
उन को देखते ही याकूब ने कहा, यह तो परमेश्वर का दल है सो उसने उस स्थान का नाम महनैम रखा॥
Un ko dekhte hi Yakub ne kaha, yah to Parmeshwar ka dal hai so usne us sthaan ka naam mahnaim rakha.
तब याकूब ने सेईर देश में, अर्थात एदोम देश में, अपने भाई ऐसाव के पास अपने आगे दूत भेज दिए।
Tab Yakub ne seir desh mein, arthaat edom desh mein, apne bhai aisaav ke paas apne aage doot bhej diye.
और उसने उन्हें यह आज्ञा दी, कि मेरे प्रभु ऐसाव से यों कहना; कि तेरा दास याकूब तुझ से यों कहता है, कि मैं लाबान के यहां परदेशी हो कर अब तक रहा;
Aur usne unhein yah aagya di, ki mere Prabhu aisaav se yon kahna; ki tera daas Yakub tujh se yon kahta hai, ki main labaan ke yahan pardeshi ho kar ab tak raha;
और मेरे पास गाय-बैल, गदहे, भेड़-बकरियां, और दास-दासियां है: सो मैं ने अपने प्रभु के पास इसलिये संदेशा भेजा है, कि तेरी अनुग्रह की दृष्टि मुझ पर हो।
Aur mere paas gaay-bail, gadhe, bhed-bakriyan, aur daas-dasiyan hai: so main ne apne Prabhu ke paas isliye sandesha bheja hai, ki teri anugrah ki drishti mujh par ho.
वे दूत याकूब के पास लौट के कहने लगे, हम तेरे भाई ऐसाव के पास गए थे, और वह भी तुझ से भेंट करने को चार सौ पुरूष संग लिये हुए चला आता है।
Ve doot Yakub ke paas laut ke kahne lage, ham tere bhai aisaav ke paas gaye the, aur vah bhi tujh se bhent karne ko chaar sau puroosh sang liye hue chala aata hai.
तब याकूब निपट डर गया, और संकट में पड़ा: और यह सोच कर, अपने संग वालों के, और भेड़-बकरियों, और गाय-बैलों, और ऊंटो के भी अलग अलग दो दल कर लिये,
Tab Yakub nipat dar gaya, aur sankat mein pada: aur yah soch kar, apne sang valon ke, aur bhed-bakriyon, aur gaay-bailon, aur oonto ke bhi alag alag do dal kar liye,
कि यदि ऐसाव आकर पहिले दल को मारने लगे, तो दूसरा दल भाग कर बच जाएगा।
Ki yadi aisaav aakar pahile dal ko marne lage, to doosra dal bhaag kar bach jayega.
फिर याकूब ने कहा, हे यहोवा, हे मेरे दादा इब्राहीम के परमेश्वर, तू ने तो मुझ से कहा, कि अपने देश और जन्म भूमि में लौट जा, और मैं तेरी भलाई करूंगा:
Phir Yakub ne kaha, he Yahowa, he mere dada Ibrahim ke Parmeshwar, tu ne to mujh se kaha, ki apne desh aur janm bhoomi mein laut ja, aur main teri bhalai karoonga:
तू ने जो जो काम अपनी करूणा और सच्चाई से अपने दास के साथ किए हैं, कि मैं जो अपनी छड़ी ही ले कर इस यरदन नदी के पार उतर आया, सो अब मेरे दो दल हो गए हैं, तेरे ऐसे ऐसे कामों में से मैं एक के भी योग्य तो नहीं हूं।
Tu ne jo jo kaam apni karoona aur sachchai se apne daas ke saath kiye hain, ki main jo apni chhadi hi le kar is yardan nadi ke paar utar aaya, so ab mere do dal ho gaye hain, tere aise aise kamon mein se main ek ke bhi yogya to nahi hoon.
मेरी विनती सुन कर मुझे मेरे भाई ऐसाव के हाथ से बचा: मैं तो उससे डरता हूं, कहीं ऐसा ने हो कि वह आकर मुझे और मां समेत लड़कों को भी मार डाले।
Meri vinti sun kar mujhe mere bhai aisaav ke haath se bacha: main to usse darta hoon, kahi aisa ne ho ki vah aakar mujhe aur maa samet ladkon ko bhi maar dale.
तू ने तो कहा है, कि मैं निश्चय तेरी भलाई करूंगा, और तेरे वंश को समुद्र की बालू के किनकों के समान बहुत करूंगा, जो बहुतायत के मारे गिने नहीं जो सकते।
Tu ne to kaha hai, ki main nishchay teri bhalai karoonga, aur tere vansh ko samudra ki balu ke kinkon ke samaan bahut karoonga, jo bahutayat ke mare gine nahi jo sakte.
और उसने उस दिन की रात वहीं बिताई; और जो कुछ उसके पास था उस में से अपने भाई ऐसाव की भेंट के लिये छांट छांट कर निकाला;
Aur usne us din ki raat vahi bitai; aur jo kuchh uske paas tha us mein se apne bhai aisaav ki bhent ke liye chhaant chhaant kar nikala;
अर्थात दो सौ बकरियां, और बीस बकरे, और दो सौ भेड़ें, और बीस मेढ़े,
Arthaat do sau bakriyan, aur bees bakre, aur do sau bhedein, aur bees medhe,
और बच्चों समेत दूध देने वाली तीस ऊंटनियां, और चालीस गायें, और दस बैल, और बीस गदहियां और उनके दस बच्चे।
Aur bachchon samet doodh dene vali tees oontniyan, aur chalees gayein, aur das bail, aur bees gadhiyan aur unke das bachche.
इन को उसने झुण्ड झुण्ड करके, अपने दासों को सौंप कर उन से कहा, मेरे आगे बढ़ जाओ; और झुण्डों के बीच बीच में अन्तर रखो।
In ko usne jhund jhund karke, apne dason ko saump kar un se kaha, mere aage badh jao; aur jhundon ke beech beech mein antar rakho.
फिर उसने अगले झुण्ड के रखवाले को यह आज्ञा दी, कि जब मेरा भाई ऐसाव तुझे मिले, और पूछने लगे, कि तू किस का दास है, और कहां जाता है, और ये जो तेरे आगे आगे हैं, सो किस के हैं?
Phir usne agle jhund ke rakhvale ko yah aagya di, ki jab mera bhai aisaav tujhe mile, aur poochhne lage, ki tu kis ka daas hai, aur kahan jata hai, aur ye jo tere aage aage hain, so kis ke hain?
तब कहना, कि यह तेरे दास याकूब के हैं। हे मेरे प्रभु ऐसाव, ये भेंट के लिये तेरे पास भेजे गए हैं, और वह आप भी हमारे पीछे पीछे आ रहा है।
Tab kahna, ki yah tere daas Yakub ke hain. He mere Prabhu aisaav, ye bhent ke liye tere paas bheje gaye hain, aur vah aap bhi hamare peechhe peechhe aa raha hai.
और उसने दूसरे और तीसरे रखवालों को भी, वरन उस सभों को जो झुण्डों के पीछे पीछे थे ऐसी ही आज्ञा दी, कि जब ऐसाव तुम को मिले तब इसी प्रकार उससे कहना।
Aur usne doosre aur teesre rakhvalon ko bhi, varan us sabhon ko jo jhundon ke peechhe peechhe the aisi hi aagya di, ki jab aisaav tum ko mile tab isi prakaar usse kahna.
और यह भी कहना, कि तेरा दास याकूब हमारे पीछे पीछे आ रहा है। क्योंकि उसने यह सोचा, कि यह भेंट जो मेरे आगे आगे जाती है, इसके द्वारा मैं उसके क्रोध को शान्त करके तब उसका दर्शन करूंगा; हो सकता है वह मुझ से प्रसन्न हो जाए।
Aur yah bhi kahna, ki tera daas Yakub hamare peechhe peechhe aa raha hai. Kyonki usne yah socha, ki yah bhent jo mere aage aage jati hai, iske dwara main uske krodh ko shaant karke tab uska darshan karoonga; ho sakta hai vah mujh se prasann ho jaye.
सो वह भेंट याकूब से पहिले पार उतर गई, और वह आप उस रात को छावनी में रहा॥
So vah bhent Yakub se pahile paar utar gai, aur vah aap us raat ko chhavni mein raha.
उसी रात को वह उठा और अपनी दोनों स्त्रियों, और दोनों लौंडियों, और ग्यारहों लड़कों को संग ले कर घाट से यब्बोक नदी के पार उतर गया।
Usi raat ko vah utha aur apni donon striyon, aur donon laundiyon, aur gyarhon ladkon ko sang le kar ghaat se yabbok nadi ke paar utar gaya.
और उसने उन्हें उस नदी के पार उतार दिया वरन अपना सब कुछ पार उतार दिया।
Aur usne unhein us nadi ke paar utaar diya varan apna sab kuchh paar utaar diya.
और याकूब आप अकेला रह गया; तब कोई पुरूष आकर पह फटने तक उससे मल्लयुद्ध करता रहा।
Aur Yakub aap akela rah gaya; tab koi puroosh aakar pah phatne tak usse mallayuddh karta raha.
जब उसने देखा, कि मैं याकूब पर प्रबल नहीं होता, तब उसकी जांघ की नस को छूआ; सो याकूब की जांघ की नस उससे मल्लयुद्ध करते ही करते चढ़ गई।
Jab usne dekha, ki main Yakub par prabal nahi hota, tab uski jaangh ki nas ko chhooaa; so Yakub ki jaangh ki nas usse mallayuddh karte hi karte chadh gai.
तब उसने कहा, मुझे जाने दे, क्योंकि भोर हुआ चाहता है; याकूब ने कहा जब तक तू मुझे आशीर्वाद न दे, तब तक मैं तुझे जाने न दूंगा।
Tab usne kaha, mujhe jane de, kyonki bhor huaa chahta hai; Yakub ne kaha jab tak tu mujhe aasheervaad na de, tab tak main tujhe jane na doonga.
और उसने याकूब से पूछा, तेरा नाम क्या है? उसने कहा याकूब।
Aur usne Yakub se poochha, tera naam kya hai? Usne kaha Yakub.
उसने कहा तेरा नाम अब याकूब नहीं, परन्तु इस्राएल होगा, क्योंकि तू परमेश्वर से और मनुष्यों से भी युद्ध कर के प्रबल हुआ है।
Usne kaha tera naam ab Yakub nahi, parantu Israel hoga, kyonki tu Parmeshwar se aur manushyon se bhi yuddh kar ke prabal huaa hai.
याकूब ने कहा, मैं बिनती करता हूं, मुझे अपना नाम बता। उसने कहा, तू मेरा नाम क्यों पूछता है? तब उसने उसको वहीं आशीर्वाद दिया।
Yakub ne kaha, main binti karta hoon, mujhe apna naam bata. Usne kaha, tu mera naam kyon poochhta hai? Tab usne usko vahi aasheervaad diya.
तब याकूब ने यह कह कर उस स्थान का नाम पनीएल रखा: कि परमेश्वर को आम्हने साम्हने देखने पर भी मेरा प्राण बच गया है।
Tab Yakub ne yah kah kar us sthaan ka naam paneeyel rakha: ki Parmeshwar ko aamhane samhane dekhne par bhi mera praan bach gaya hai.
पनूएल के पास से चलते चलते सूर्य उदय हो गया, और वह जांघ से लंगड़ाता था।
Panooyel ke paas se chalte chalte soorya uday ho gaya, aur vah jaangh se langdata tha.
इस्राएली जो पशुओं की जांघ की जोड़ वाले जंघानस को आज के दिन तक नहीं खाते, इसका कारण यही है, कि उस पुरूष ने याकूब की जांघ की जोड़ में जंघानस को छूआ था॥
Israeli jo pashuon ki jaangh ki jod vale janghanas ko aaj ke din tak nahi khate, iska karan yahi hai, ki us puroosh ne Yakub ki jaangh ki jod mein janghanas ko chhooaa tha.