Genesis 28 · 22 verses

उत्पत्ति 28 Genesis 28 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 28.

1

तब इसहाक ने याकूब को बुलाकर आशीर्वाद दिया, और आज्ञा दी, कि तू किसी कनानी लड़की को न ब्याह लेना।

Tab Ishaq ne Yakub ko bulakar aasheervaad diya, aur aagya di, ki tu kisi kanani ladki ko na byaah lena.

2

पद्दनराम में अपने नाना बतूएल के घर जा कर वहां अपने मामा लाबान की एक बेटी को ब्याह लेना।

Paddanraam mein apne nana batooyel ke ghar ja kar vahan apne mama labaan ki ek beti ko byaah lena.

3

और सर्वशक्तिमान ईश्वर तुझे आशीष दे, और फुला-फला कर बढ़ाए, और तू राज्य राज्य की मण्डली का मूल हो।

Aur sarvashaktimaan ishwar tujhe aasheesh de, aur phula-phala kar badhaye, aur tu rajya rajya ki mandali ka mool ho.

4

और वह तुझे और तेरे वंश को भी इब्राहीम की सी आशीष दे, कि तू यह देश जिस में तू परदेशी हो कर रहता है, और जिसे परमेश्वर ने इब्राहीम को दिया था, उसका अधिकारी हो जाए।

Aur vah tujhe aur tere vansh ko bhi Ibrahim ki si aasheesh de, ki tu yah desh jis mein tu pardeshi ho kar rahta hai, aur jise Parmeshwar ne Ibrahim ko diya tha, uska adhikari ho jaye.

5

और इसहाक ने याकूब को विदा किया, और वह पद्दनराम को अरामी बतूएल के उस पुत्र लाबान के पास चला, जो याकूब और ऐसाव की माता रिबका का भाई था।

Aur Ishaq ne Yakub ko vida kiya, aur vah paddanraam ko arami batooyel ke us putra labaan ke paas chala, jo Yakub aur aisaav ki mata ribka ka bhai tha.

6

जब इसहाक ने याकूब को आशीर्वाद देकर पद्दनराम भेज दिया, कि वह वहीं से पत्नी ब्याह लाए, और उसको आशीर्वाद देने के समय यह आज्ञा भी दी, कि तू किसी कनानी लड़की को ब्याह न लेना;

Jab Ishaq ne Yakub ko aasheervaad dekar paddanraam bhej diya, ki vah vahi se patni byaah laye, aur usko aasheervaad dene ke samay yah aagya bhi di, ki tu kisi kanani ladki ko byaah na lena;

7

और याकूब माता पिता की मान कर पद्दनराम को चल दिया;

Aur Yakub mata pita ki maan kar paddanraam ko chal diya;

8

तब ऐसाव यह सब देख के और यह भी सोच कर, कि कनानी लड़कियां मेरे पिता इसहाक को बुरी लगती हैं,

Tab aisaav yah sab dekh ke aur yah bhi soch kar, ki kanani ladkiyan mere pita Ishaq ko buri lagti hain,

9

इब्राहीम के पुत्र इश्माएल के पास गया, और इश्माएल की बेटी महलत को, जो नबायोत की बहिन थी, ब्याह कर अपनी पत्नियों में मिला लिया॥

Ibrahim ke putra ishmayel ke paas gaya, aur ishmayel ki beti mahlat ko, jo nabayot ki bahin thi, byaah kar apni patniyon mein mila liya.

10

सो याकूब बेर्शेबा से निकल कर हारान की ओर चला।

So Yakub bersheba se nikal kar haraan ki or chala.

11

और उसने किसी स्थान में पहुंच कर रात वहीं बिताने का विचार किया, क्योंकि सूर्य अस्त हो गया था; सो उसने उस स्थान के पत्थरों में से एक पत्थर ले अपना तकिया बना कर रखा, और उसी स्थान में सो गया।

Aur usne kisi sthaan mein pahunch kar raat vahi bitane ka vichaar kiya, kyonki soorya ast ho gaya tha; so usne us sthaan ke pattharon mein se ek patthar le apna takiya bana kar rakha, aur usi sthaan mein so gaya.

12

तब उसने स्वप्न में क्या देखा, कि एक सीढ़ी पृथ्वी पर खड़ी है, और उसका सिरा स्वर्ग तक पहुंचा है: और परमेश्वर के दूत उस पर से चढ़ते उतरते हैं।

Tab usne swapn mein kya dekha, ki ek seedhi prithvi par khadi hai, aur uska sira swarg tak pahuncha hai: aur Parmeshwar ke doot us par se chadhte utarte hain.

13

और यहोवा उसके ऊपर खड़ा हो कर कहता है, कि मैं यहोवा, तेरे दादा इब्राहीम का परमेश्वर, और इसहाक का भी परमेश्वर हूं: जिस भूमि पर तू पड़ा है, उसे मैं तुझ को और तेरे वंश को दूंगा।

Aur Yahowa uske oopar khada ho kar kahta hai, ki main Yahowa, tere dada Ibrahim ka Parmeshwar, aur Ishaq ka bhi Parmeshwar hoon: jis bhoomi par tu pada hai, use main tujh ko aur tere vansh ko doonga.

14

और तेरा वंश भूमि की धूल के किनकों के समान बहुत होगा, और पच्छिम, पूरब, उत्तर, दक्खिन, चारों ओर फैलता जाएगा: और तेरे और तेरे वंश के द्वारा पृथ्वी के सारे कुल आशीष पाएंगे।

Aur tera vansh bhoomi ki dhool ke kinkon ke samaan bahut hoga, aur pachchhim, poorab, uttar, dakkhin, charon or phailta jayega: aur tere aur tere vansh ke dwara prithvi ke sare kul aasheesh payenge.

15

और सुन, मैं तेरे संग रहूंगा, और जहां कहीं तू जाए वहां तेरी रक्षा करूंगा, और तुझे इस देश में लौटा ले आऊंगा: मैं अपने कहे हुए को जब तक पूरा न कर लूं तब तक तुझ को न छोडूंगा।

Aur sun, main tere sang rahoonga, aur jahan kahi tu jaye vahan teri raksha karoonga, aur tujhe is desh mein lauta le aaoonga: main apne kahe hue ko jab tak poora na kar lun tab tak tujh ko na chhodoonga.

16

तब याकूब जाग उठा, और कहने लगा; निश्चय इस स्थान में यहोवा है; और मैं इस बात को न जानता था।

Tab Yakub jaag utha, aur kahne laga; nishchay is sthaan mein Yahowa hai; aur main is baat ko na janta tha.

17

और भय खा कर उसने कहा, यह स्थान क्या ही भयानक है! यह तो परमेश्वर के भवन को छोड़ और कुछ नहीं हो सकता; वरन यह स्वर्ग का फाटक ही होगा।

Aur bhay kha kar usne kaha, yah sthaan kya hi bhayanak hai! Yah to Parmeshwar ke bhavan ko chhod aur kuchh nahi ho sakta; varan yah swarg ka phatak hi hoga.

18

भोर को याकूब तड़के उठा, और अपने तकिए का पत्थर ले कर उसका खम्भा खड़ा किया, और उसके सिरे पर तेल डाल दिया।

Bhor ko Yakub tadke utha, aur apne takiye ka patthar le kar uska khambha khada kiya, aur uske sire par tel daal diya.

19

और उसने उस स्थान का नाम बेतेल रखा; पर उस नगर का नाम पहिले लूज था।

Aur usne us sthaan ka naam betel rakha; par us nagar ka naam pahile looj tha.

20

और याकूब ने यह मन्नत मानी, कि यदि परमेश्वर मेरे संग रहकर इस यात्रा में मेरी रक्षा करे, और मुझे खाने के लिये रोटी, और पहिनने के लिये कपड़ा दे,

Aur Yakub ne yah mannat mani, ki yadi Parmeshwar mere sang rahkar is yatra mein meri raksha kare, aur mujhe khane ke liye roti, aur pahinne ke liye kapda de,

21

और मैं अपने पिता के घर में कुशल क्षेम से लौट आऊं: तो यहोवा मेरा परमेश्वर ठहरेगा।

Aur main apne pita ke ghar mein kushal kshem se laut aaun: to Yahowa mera Parmeshwar thahrega.

22

और यह पत्थर, जिसका मैं ने खम्भा खड़ा किया है, परमेश्वर का भवन ठहरेगा: और जो कुछ तू मुझे दे उसका दशमांश मैं अवश्य ही तुझे दिया करूंगा॥

Aur yah patthar, jiska main ne khambha khada kiya hai, Parmeshwar ka bhavan thahrega: aur jo kuchh tu mujhe de uska dashmaansh main avashya hi tujhe diya karoonga.