यों आकाश और पृथ्वी और उनकी सारी सेना का बनाना समाप्त हो गया।
Yon aakaash aur prithvi aur unki sari sena ka banana samaapt ho gaya.
Genesis 2 · 25 verses
यों आकाश और पृथ्वी और उनकी सारी सेना का बनाना समाप्त हो गया।
Yon aakaash aur prithvi aur unki sari sena ka banana samaapt ho gaya.
और परमेश्वर ने अपना काम जिसे वह करता था सातवें दिन समाप्त किया। और उसने अपने किए हुए सारे काम से सातवें दिन विश्राम किया।
Aur Parmeshwar ne apna kaam jise vah karta tha satvein din samaapt kiya. Aur usne apne kiye hue sare kaam se satvein din vishraam kiya.
और परमेश्वर ने सातवें दिन को आशीष दी और पवित्र ठहराया; क्योंकि उस में उसने अपनी सृष्टि की रचना के सारे काम से विश्राम लिया।
Aur Parmeshwar ne satvein din ko aasheesh di aur pavitra thahraya; kyonki us mein usne apni srishti ki rachna ke sare kaam se vishraam liya.
आकाश और पृथ्वी की उत्पत्ति का वृत्तान्त यह है कि जब वे उत्पन्न हुए अर्थात जिस दिन यहोवा परमेश्वर ने पृथ्वी और आकाश को बनाया:
Aakaash aur prithvi ki utpatti ka vrittaant yah hai ki jab ve utpann hue arthaat jis din Yahowa Parmeshwar ne prithvi aur aakaash ko banaya:
तब मैदान का कोई पौधा भूमि पर न था, और न मैदान का कोई छोटा पेड़ उगा था, क्योंकि यहोवा परमेश्वर ने पृथ्वी पर जल नहीं बरसाया था, और भूमि पर खेती करने के लिये मनुष्य भी नहीं था;
Tab maidaan ka koi paudha bhoomi par na tha, aur na maidaan ka koi chhota ped uga tha, kyonki Yahowa Parmeshwar ne prithvi par jal nahi barsaya tha, aur bhoomi par kheti karne ke liye manushya bhi nahi tha;
तौभी कोहरा पृथ्वी से उठता था जिस से सारी भूमि सिंच जाती थी
Taubhi kohra prithvi se uthta tha jis se sari bhoomi sinch jati thi
और यहोवा परमेश्वर ने आदम को भूमि की मिट्टी से रचा और उसके नथनों में जीवन का श्वास फूंक दिया; और आदम जीवता प्राणी बन गया।
Aur Yahowa Parmeshwar ne aadam ko bhoomi ki mitti se racha aur uske nathnon mein jeevan ka shwaas phoonk diya; aur aadam jeevta prani ban gaya.
और यहोवा परमेश्वर ने पूर्व की ओर अदन देश में एक वाटिका लगाई; और वहां आदम को जिसे उसने रचा था, रख दिया।
Aur Yahowa Parmeshwar ne poorva ki or adan desh mein ek vatika lagai; aur vahan aadam ko jise usne racha tha, rakh diya.
और यहोवा परमेश्वर ने भूमि से सब भांति के वृक्ष, जो देखने में मनोहर और जिनके फल खाने में अच्छे हैं उगाए, और वाटिका के बीच में जीवन के वृक्ष को और भले या बुरे के ज्ञान के वृक्ष को भी लगाया।
Aur Yahowa Parmeshwar ne bhoomi se sab bhanti ke vriksh, jo dekhne mein manohar aur jinke phal khane mein achchhe hain ugaye, aur vatika ke beech mein jeevan ke vriksh ko aur bhale ya bure ke gyaan ke vriksh ko bhi lagaya.
और उस वाटिका को सींचने के लिये एक महानदी अदन से निकली और वहां से आगे बहकर चार धारा में हो गई।
Aur us vatika ko seenchne ke liye ek mahandi adan se nikli aur vahan se aage bahkar chaar dhara mein ho gai.
पहिली धारा का नाम पीशोन है, यह वही है जो हवीला नाम के सारे देश को जहां सोना मिलता है घेरे हुए है।
Pahili dhara ka naam peeshon hai, yah vahi hai jo haveela naam ke sare desh ko jahan sona milta hai ghere hue hai.
उस देश का सोना चोखा होता है, वहां मोती और सुलैमानी पत्थर भी मिलते हैं।
Us desh ka sona chokha hota hai, vahan moti aur sulaimani patthar bhi milte hain.
और दूसरी नदी का नाम गीहोन है, यह वही है जो कूश के सारे देश को घेरे हुए है।
Aur doosri nadi ka naam geehon hai, yah vahi hai jo koosh ke sare desh ko ghere hue hai.
और तीसरी नदी का नाम हिद्देकेल है, यह वही है जो अश्शूर के पूर्व की ओर बहती है। और चौथी नदी का नाम फरात है।
Aur teesri nadi ka naam hiddekel hai, yah vahi hai jo ashshoor ke poorva ki or bahti hai. Aur chauthi nadi ka naam pharaat hai.
तब यहोवा परमेश्वर ने आदम को ले कर अदन की वाटिका में रख दिया, कि वह उस में काम करे और उसकी रक्षा करे,
Tab Yahowa Parmeshwar ne aadam ko le kar adan ki vatika mein rakh diya, ki vah us mein kaam kare aur uski raksha kare,
तब यहोवा परमेश्वर ने आदम को यह आज्ञा दी, कि तू वाटिका के सब वृक्षों का फल बिना खटके खा सकता है:
Tab Yahowa Parmeshwar ne aadam ko yah aagya di, ki tu vatika ke sab vrikshon ka phal bina khatke kha sakta hai:
पर भले या बुरे के ज्ञान का जो वृक्ष है, उसका फल तू कभी न खाना: क्योंकि जिस दिन तू उसका फल खाए उसी दिन अवश्य मर जाएगा॥
Par bhale ya bure ke gyaan ka jo vriksh hai, uska phal tu kabhi na khana: kyonki jis din tu uska phal khaye usi din avashya mar jayega.
फिर यहोवा परमेश्वर ने कहा, आदम का अकेला रहना अच्छा नहीं; मैं उसके लिये एक ऐसा सहायक बनाऊंगा जो उससे मेल खाए।
Phir Yahowa Parmeshwar ne kaha, aadam ka akela rahna achchha nahi; main uske liye ek aisa sahayak banaoonga jo usse mel khaye.
और यहोवा परमेश्वर भूमि में से सब जाति के बनैले पशुओं, और आकाश के सब भाँति के पक्षियों को रचकर आदम के पास ले आया कि देखें, कि वह उनका क्या क्या नाम रखता है; और जिस जिस जीवित प्राणी का जो जो नाम आदम ने रखा वही उसका नाम हो गया।
Aur Yahowa Parmeshwar bhoomi mein se sab jati ke banaile pashuon, aur aakaash ke sab bhanti ke pakshiyon ko rachkar aadam ke paas le aaya ki dekhein, ki vah unka kya kya naam rakhta hai; aur jis jis jeevit prani ka jo jo naam aadam ne rakha vahi uska naam ho gaya.
सो आदम ने सब जाति के घरेलू पशुओं, और आकाश के पक्षियों, और सब जाति के बनैले पशुओं के नाम रखे; परन्तु आदम के लिये कोई ऐसा सहायक न मिला जो उससे मेल खा सके।
So aadam ne sab jati ke gharelu pashuon, aur aakaash ke pakshiyon, aur sab jati ke banaile pashuon ke naam rakhe; parantu aadam ke liye koi aisa sahayak na mila jo usse mel kha sake.
तब यहोवा परमेश्वर ने आदम को भारी नीन्द में डाल दिया, और जब वह सो गया तब उसने उसकी एक पसली निकाल कर उसकी सन्ती मांस भर दिया।
Tab Yahowa Parmeshwar ne aadam ko bhari neend mein daal diya, aur jab vah so gaya tab usne uski ek pasli nikaal kar uski santi maans bhar diya.
और यहोवा परमेश्वर ने उस पसली को जो उसने आदम में से निकाली थी, स्त्री बना दिया; और उसको आदम के पास ले आया।
Aur Yahowa Parmeshwar ne us pasli ko jo usne aadam mein se nikali thi, stri bana diya; aur usko aadam ke paas le aaya.
और आदम ने कहा अब यह मेरी हड्डियों में की हड्डी और मेरे मांस में का मांस है: सो इसका नाम नारी होगा, क्योंकि यह नर में से निकाली गई है।
Aur aadam ne kaha ab yah meri haddiyon mein ki haddi aur mere maans mein ka maans hai: so iska naam nari hoga, kyonki yah nar mein se nikali gai hai.
इस कारण पुरूष अपने माता पिता को छोड़कर अपनी पत्नी से मिला रहेगा और वे एक तन बने रहेंगे।
Is karan puroosh apne mata pita ko chhodkar apni patni se mila rahega aur ve ek tan bane rahenge.
और आदम और उसकी पत्नी दोनो नंगे थे, पर लजाते न थे॥
Aur aadam aur uski patni dono nange the, par lajate na the.