Genesis 1 · 31 verses

उत्पत्ति 1 Genesis 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 1.

1

आदि में परमेश्वर ने आकाश और पृथ्वी की सृष्टि की।

Aadi mein Parmeshwar ne aakaash aur prithvi ki srishti ki.

2

और पृथ्वी बेडौल और सुनसान पड़ी थी; और गहरे जल के ऊपर अन्धियारा था: तथा परमेश्वर का आत्मा जल के ऊपर मण्डलाता था।

Aur prithvi bedaul aur sunsaan padi thi; aur gahre jal ke oopar andhiyara tha: tatha Parmeshwar ka aatma jal ke oopar mandalata tha.

3

तब परमेश्वर ने कहा, उजियाला हो: तो उजियाला हो गया।

Tab Parmeshwar ne kaha, ujiyala ho: to ujiyala ho gaya.

4

और परमेश्वर ने उजियाले को देखा कि अच्छा है; और परमेश्वर ने उजियाले को अन्धियारे से अलग किया।

Aur Parmeshwar ne ujiyale ko dekha ki achchha hai; aur Parmeshwar ne ujiyale ko andhiyare se alag kiya.

5

और परमेश्वर ने उजियाले को दिन और अन्धियारे को रात कहा। तथा सांझ हुई फिर भोर हुआ। इस प्रकार पहिला दिन हो गया॥

Aur Parmeshwar ne ujiyale ko din aur andhiyare ko raat kaha. Tatha saanjh hui phir bhor huaa. Is prakaar pahila din ho gaya.

6

फिर परमेश्वर ने कहा, जल के बीच एक ऐसा अन्तर हो कि जल दो भाग हो जाए।

Phir Parmeshwar ne kaha, jal ke beech ek aisa antar ho ki jal do bhaag ho jaye.

7

तब परमेश्वर ने एक अन्तर करके उसके नीचे के जल और उसके ऊपर के जल को अलग अलग किया; और वैसा ही हो गया।

Tab Parmeshwar ne ek antar karke uske neeche ke jal aur uske oopar ke jal ko alag alag kiya; aur vaisa hi ho gaya.

8

और परमेश्वर ने उस अन्तर को आकाश कहा। तथा सांझ हुई फिर भोर हुआ। इस प्रकार दूसरा दिन हो गया॥

Aur Parmeshwar ne us antar ko aakaash kaha. Tatha saanjh hui phir bhor huaa. Is prakaar doosra din ho gaya.

9

फिर परमेश्वर ने कहा, आकाश के नीचे का जल एक स्थान में इकट्ठा हो जाए और सूखी भूमि दिखाई दे; और वैसा ही हो गया।

Phir Parmeshwar ne kaha, aakaash ke neeche ka jal ek sthaan mein ikattha ho jaye aur sookhi bhoomi dikhai de; aur vaisa hi ho gaya.

10

और परमेश्वर ने सूखी भूमि को पृथ्वी कहा; तथा जो जल इकट्ठा हुआ उसको उसने समुद्र कहा: और परमेश्वर ने देखा कि अच्छा है।

Aur Parmeshwar ne sookhi bhoomi ko prithvi kaha; tatha jo jal ikattha huaa usko usne samudra kaha: aur Parmeshwar ne dekha ki achchha hai.

11

फिर परमेश्वर ने कहा, पृथ्वी से हरी घास, तथा बीज वाले छोटे छोटे पेड़, और फलदाई वृक्ष भी जिनके बीज उन्ही में एक एक की जाति के अनुसार होते हैं पृथ्वी पर उगें; और वैसा ही हो गया।

Phir Parmeshwar ne kaha, prithvi se hari ghaas, tatha beej vale chhote chhote ped, aur phaldai vriksh bhi jinke beej unhi mein ek ek ki jati ke anusaar hote hain prithvi par ugein; aur vaisa hi ho gaya.

12

तो पृथ्वी से हरी घास, और छोटे छोटे पेड़ जिन में अपनी अपनी जाति के अनुसार बीज होता है, और फलदाई वृक्ष जिनके बीज एक एक की जाति के अनुसार उन्ही में होते हैं उगे; और परमेश्वर ने देखा कि अच्छा है।

To prithvi se hari ghaas, aur chhote chhote ped jin mein apni apni jati ke anusaar beej hota hai, aur phaldai vriksh jinke beej ek ek ki jati ke anusaar unhi mein hote hain uge; aur Parmeshwar ne dekha ki achchha hai.

13

तथा सांझ हुई फिर भोर हुआ। इस प्रकार तीसरा दिन हो गया॥

Tatha saanjh hui phir bhor huaa. Is prakaar teesra din ho gaya.

14

फिर परमेश्वर ने कहा, दिन को रात से अलग करने के लिये आकाश के अन्तर में ज्योतियां हों; और वे चिन्हों, और नियत समयों, और दिनों, और वर्षों के कारण हों।

Phir Parmeshwar ne kaha, din ko raat se alag karne ke liye aakaash ke antar mein jyotiyan hon; aur ve chinhon, aur niyat samyon, aur dinon, aur varshon ke karan hon.

15

और वे ज्योतियां आकाश के अन्तर में पृथ्वी पर प्रकाश देने वाली भी ठहरें; और वैसा ही हो गया।

Aur ve jyotiyan aakaash ke antar mein prithvi par prakaash dene vali bhi thahrein; aur vaisa hi ho gaya.

16

तब परमेश्वर ने दो बड़ी ज्योतियां बनाईं; उन में से बड़ी ज्योति को दिन पर प्रभुता करने के लिये, और छोटी ज्योति को रात पर प्रभुता करने के लिये बनाया: और तारागण को भी बनाया।

Tab Parmeshwar ne do badi jyotiyan banai; un mein se badi jyoti ko din par prabhuta karne ke liye, aur chhoti jyoti ko raat par prabhuta karne ke liye banaya: aur taragan ko bhi banaya.

17

परमेश्वर ने उन को आकाश के अन्तर में इसलिये रखा कि वे पृथ्वी पर प्रकाश दें,

Parmeshwar ne un ko aakaash ke antar mein isliye rakha ki ve prithvi par prakaash dein,

18

तथा दिन और रात पर प्रभुता करें और उजियाले को अन्धियारे से अलग करें: और परमेश्वर ने देखा कि अच्छा है।

Tatha din aur raat par prabhuta karein aur ujiyale ko andhiyare se alag karein: aur Parmeshwar ne dekha ki achchha hai.

19

तथा सांझ हुई फिर भोर हुआ। इस प्रकार चौथा दिन हो गया॥

Tatha saanjh hui phir bhor huaa. Is prakaar chautha din ho gaya.

20

फिर परमेश्वर ने कहा, जल जीवित प्राणियों से बहुत ही भर जाए, और पक्षी पृथ्वी के ऊपर आकाश के अन्तर में उड़ें।

Phir Parmeshwar ne kaha, jal jeevit praniyon se bahut hi bhar jaye, aur pakshi prithvi ke oopar aakaash ke antar mein udein.

21

इसलिये परमेश्वर ने जाति जाति के बड़े बड़े जल-जन्तुओं की, और उन सब जीवित प्राणियों की भी सृष्टि की जो चलते फिरते हैं जिन से जल बहुत ही भर गया और एक एक जाति के उड़ने वाले पक्षियों की भी सृष्टि की: और परमेश्वर ने देखा कि अच्छा है।

Isliye Parmeshwar ne jati jati ke bade bade jal-jantuon ki, aur un sab jeevit praniyon ki bhi srishti ki jo chalte phirte hain jin se jal bahut hi bhar gaya aur ek ek jati ke udne vale pakshiyon ki bhi srishti ki: aur Parmeshwar ne dekha ki achchha hai.

22

और परमेश्वर ने यह कहके उनको आशीष दी, कि फूलो-फलो, और समुद्र के जल में भर जाओ, और पक्षी पृथ्वी पर बढ़ें।

Aur Parmeshwar ne yah kahke unko aasheesh di, ki phoolo-phalo, aur samudra ke jal mein bhar jao, aur pakshi prithvi par badhein.

23

तथा सांझ हुई फिर भोर हुआ। इस प्रकार पांचवां दिन हो गया।

Tatha saanjh hui phir bhor huaa. Is prakaar panchvan din ho gaya.

24

फिर परमेश्वर ने कहा, पृथ्वी से एक एक जाति के जीवित प्राणी, अर्थात घरेलू पशु, और रेंगने वाले जन्तु, और पृथ्वी के वनपशु, जाति जाति के अनुसार उत्पन्न हों; और वैसा ही हो गया।

Phir Parmeshwar ne kaha, prithvi se ek ek jati ke jeevit prani, arthaat gharelu pashu, aur rengne vale jantu, aur prithvi ke vanapshu, jati jati ke anusaar utpann hon; aur vaisa hi ho gaya.

25

सो परमेश्वर ने पृथ्वी के जाति जाति के वन पशुओं को, और जाति जाति के घरेलू पशुओं को, और जाति जाति के भूमि पर सब रेंगने वाले जन्तुओं को बनाया: और परमेश्वर ने देखा कि अच्छा है।

So Parmeshwar ne prithvi ke jati jati ke van pashuon ko, aur jati jati ke gharelu pashuon ko, aur jati jati ke bhoomi par sab rengne vale jantuon ko banaya: aur Parmeshwar ne dekha ki achchha hai.

26

फिर परमेश्वर ने कहा, हम मनुष्य को अपने स्वरूप के अनुसार अपनी समानता में बनाएं; और वे समुद्र की मछलियों, और आकाश के पक्षियों, और घरेलू पशुओं, और सारी पृथ्वी पर, और सब रेंगने वाले जन्तुओं पर जो पृथ्वी पर रेंगते हैं, अधिकार रखें।

Phir Parmeshwar ne kaha, ham manushya ko apne swaroop ke anusaar apni samanta mein banayen; aur ve samudra ki machhliyon, aur aakaash ke pakshiyon, aur gharelu pashuon, aur sari prithvi par, aur sab rengne vale jantuon par jo prithvi par rengte hain, adhikaar rakhein.

27

तब परमेश्वर ने मनुष्य को अपने स्वरूप के अनुसार उत्पन्न किया, अपने ही स्वरूप के अनुसार परमेश्वर ने उसको उत्पन्न किया, नर और नारी करके उसने मनुष्यों की सृष्टि की।

Tab Parmeshwar ne manushya ko apne swaroop ke anusaar utpann kiya, apne hi swaroop ke anusaar Parmeshwar ne usko utpann kiya, nar aur nari karke usne manushyon ki srishti ki.

28

और परमेश्वर ने उन को आशीष दी: और उन से कहा, फूलो-फलो, और पृथ्वी में भर जाओ, और उसको अपने वश में कर लो; और समुद्र की मछलियों, तथा आकाश के पक्षियों, और पृथ्वी पर रेंगने वाले सब जन्तुओ पर अधिकार रखो।

Aur Parmeshwar ne un ko aasheesh di: aur un se kaha, phoolo-phalo, aur prithvi mein bhar jao, aur usko apne vash mein kar lo; aur samudra ki machhliyon, tatha aakaash ke pakshiyon, aur prithvi par rengne vale sab jantuo par adhikaar rakho.

29

फिर परमेश्वर ने उन से कहा, सुनो, जितने बीज वाले छोटे छोटे पेड़ सारी पृथ्वी के ऊपर हैं और जितने वृक्षों में बीज वाले फल होते हैं, वे सब मैं ने तुम को दिए हैं; वे तुम्हारे भोजन के लिये हैं:

Phir Parmeshwar ne un se kaha, suno, jitne beej vale chhote chhote ped sari prithvi ke oopar hain aur jitne vrikshon mein beej vale phal hote hain, ve sab main ne tum ko diye hain; ve tumhare bhojan ke liye hain:

30

और जितने पृथ्वी के पशु, और आकाश के पक्षी, और पृथ्वी पर रेंगने वाले जन्तु हैं, जिन में जीवन के प्राण हैं, उन सब के खाने के लिये मैं ने सब हरे हरे छोटे पेड़ दिए हैं; और वैसा ही हो गया।

Aur jitne prithvi ke pashu, aur aakaash ke pakshi, aur prithvi par rengne vale jantu hain, jin mein jeevan ke praan hain, un sab ke khane ke liye main ne sab hare hare chhote ped diye hain; aur vaisa hi ho gaya.

31

तब परमेश्वर ने जो कुछ बनाया था, सब को देखा, तो क्या देखा, कि वह बहुत ही अच्छा है। तथा सांझ हुई फिर भोर हुआ। इस प्रकार छठवां दिन हो गया॥

Tab Parmeshwar ne jo kuchh banaya tha, sab ko dekha, to kya dekha, ki vah bahut hi achchha hai. Tatha saanjh hui phir bhor huaa. Is prakaar chhathvan din ho gaya.